Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Parveen Shakir's Photo'

Parveen Shakir

1952 - 1994 | Karachi, Pakistan

One of the most popular Urdu poets who gave expression to feelings and experiences specific to women

One of the most popular Urdu poets who gave expression to feelings and experiences specific to women

Sher of Parveen Shakir

141.9K
Favorite

SORT BY

aks-e-ḳhushbū huuñ bikharne se na roke koī

aur bikhar jā.ūñ to mujh ko na sameTe koī

aks-e-KHushbu hun bikharne se na roke koi

aur bikhar jaun to mujh ko na sameTe koi

chalne hausla nahīñ ruknā muhāl kar diyā

ishq ke is safar ne to mujh ko niDhāl kar diyā

chalne ka hausla nahin rukna muhaal kar diya

ishq ke is safar ne to mujh ko niDhaal kar diya

darvāza jo kholā to nazar aa.e khaḌe vo

hairat hai mujhe aaj kidhar bhuul paḌe vo

darwaza jo khola to nazar aae khaDe wo

hairat hai mujhe aaj kidhar bhul paDe wo

raat ke shāyad ek baje haiñ

sotā hogā merā chāñd

raat ke shayad ek baje hain

sota hoga mera chand

mirī tarah se koī hai jo zindagī apnī

tumhārī yaad ke naam intisāb kar degā

meri tarah se koi hai jo zindagi apni

tumhaari yaad ke nam intisab kar dega

kyā kare merī masīhā.ī bhī karne vaalā

zaḳhm ye mujhe lagtā nahīñ bharne vaalā

kya kare meri masihai bhi karne wala

zaKHm hi ye mujhe lagta nahin bharne wala

ruḳhsat karne ke ādāb nibhāne the

band ā.ankhoñ se us ko jaatā dekh liyā hai

ruKHsat karne ke aadab nibhane hi the

band aaankhon se us ko jata dekh liya hai

shab tanhā.ī meñ ab to akasr

guftugū tujh se rahā kartī hai

shab ki tanhai mein ab to akasr

guftugu tujh se raha karti hai

kuchh to havā bhī sard thī kuchh thā tirā ḳhayāl bhī

dil ko ḳhushī ke saath saath hotā rahā malāl bhī

kuchh to hawa bhi sard thi kuchh tha tera KHayal bhi

dil ko KHushi ke sath sath hota raha malal bhi

aamad pe terī itr o charāġh o subū na hoñ

itnā bhī būd-o-bāsh ko saada nahīñ kiyā

aamad pe teri itr o charagh o subu na hon

itna bhi bud-o-bash ko sada nahin kiya

chehra o naam ek saath aaj na yaad aa sake

vaqt ne kis shabīh ko ḳhvāb o ḳhayāl kar diyā

chehra o nam ek sath aaj na yaad aa sake

waqt ne kis shabih ko KHwab o KHayal kar diya

yuuñ bichhaḌnā bhī bahut āsāñ na thā us se magar

jaate jaate us vo muḌ kar dobāra dekhnā

yun bichhaDna bhi bahut aasan na tha us se magar

jate jate us ka wo muD kar dobara dekhna

ab to is raah se vo shaḳhs guzartā bhī nahīñ

ab kis ummīd pe darvāze se jhāñke koī

ab to is rah se wo shaKHs guzarta bhi nahin

ab kis ummid pe darwaze se jhanke koi

badan ke karb ko vo bhī samajh na pā.egā

maiñ dil meñ ro.ūñgī āñkhoñ meñ muskurā.ūñgī

badan ke karb ko wo bhi samajh na paega

main dil mein roungi aankhon mein muskuraungi

vo to ḳhush-bū hai havāoñ meñ bikhar jā.egā

mas.ala phuul hai phuul kidhar jā.egā

wo to KHush-bu hai hawaon mein bikhar jaega

masala phul ka hai phul kidhar jaega

merī chādar to chhinī thī shaam tanhā.ī meñ

be-ridā.ī ko mirī phir de gayā tash.hīr kaun

meri chadar to chhini thi sham ki tanhai mein

be-ridai ko meri phir de gaya tashhir kaun

vo kahīñ bhī gayā lauTā to mire paas aayā

bas yahī baat hai achchhī mire harjā.ī

wo kahin bhi gaya lauTa to mere pas aaya

bas yahi baat hai achchhi mere harjai ki

bojh uThāte hue phirtī hai hamārā ab tak

ai zamīñ maañ tirī ye umr to ārām thī

bojh uThate hue phirti hai hamara ab tak

ai zamin man teri ye umr to aaram ki thi

jugnū ko din ke vaqt parakhne zid kareñ

bachche hamāre ahd ke chālāk ho ga.e

jugnu ko din ke waqt parakhne ki zid karen

bachche hamare ahd ke chaalak ho gae

haath mere bhuul baiThe dastakeñ dene fan

band mujh par jab se us ke ghar darvāza huā

hath mere bhul baiThe dastaken dene ka fan

band mujh par jab se us ke ghar ka darwaza hua

bārhā terā intizār kiyā

apne ḳhvāboñ meñ ik dulhan tarah

barha tera intizar kiya

apne KHwabon mein ek dulhan ki tarah

paas jab tak vo rahe dard thamā rahtā hai

phailtā jaatā hai phir aañkh ke kājal tarah

pas jab tak wo rahe dard thama rahta hai

phailta jata hai phir aankh ke kajal ki tarah

husn ke samajhne ko umr chāhiye jānāñ

do ghaḌī chāhat meñ laḌkiyāñ nahīñ khultīñ

husn ke samajhne ko umr chahiye jaanan

do ghaDi ki chahat mein laDkiyan nahin khultin

raa.e pahle se banā ne

dil meñ ab ham tire ghar kyā karte

rae pahle se bana li tu ne

dil mein ab hum tere ghar kya karte

us ke yuuñ tark-e-mohabbat sabab hogā koī

nahīñ ye māntā vo bevafā pahle se thā

us ke yun tark-e-mohabbat ka sabab hoga koi

ji nahin ye manta wo bewafa pahle se tha

ek musht-e-ḳhāk aur vo bhī havā zad meñ hai

zindagī bebasī isti.āra dekhnā

ek musht-e-KHak aur wo bhi hawa ki zad mein hai

zindagi ki bebasi ka istiara dekhna

ajab nahīñ hai ki dil par jamī milī kaa.ī

bahut dinoñ se to ye hauz saaf bhī na huā

ajab nahin hai ki dil par jami mili kai

bahut dinon se to ye hauz saf bhi na hua

gavāhī kaise TūTtī muāmla ḳhudā thā

mirā aur us rābta to haath aur duā thā

gawahi kaise TuTti muamla KHuda ka tha

mera aur us ka rabta to hath aur dua ka tha

titliyāñ pakaḌne meñ duur tak nikal jaanā

kitnā achchhā lagtā hai phuul jaise bachchoñ par

titliyan pakaDne mein dur tak nikal jaana

kitna achchha lagta hai phul jaise bachchon par

hatheliyoñ duā phuul ban ke aa.ī ho

kabhī to rañg mire haath hinā.ī ho

hatheliyon ki dua phul ban ke aai ho

kabhi to rang mere hath ka hinai ho

palaT kar phir yahīñ aa jā.eñge ham

vo dekhe to hameñ āzād kar ke

palaT kar phir yahin aa jaenge hum

wo dekhe to hamein aazad kar ke

maiñ phuul chuntī rahī aur mujhe ḳhabar na huī

vo shaḳhs aa ke mire shahr se chalā bhī gayā

main phul chunti rahi aur mujhe KHabar na hui

wo shaKHs aa ke mere shahr se chala bhi gaya

kaise kah duuñ ki mujhe chhoḌ diyā hai us ne

baat to sach hai magar baat hai rusvā.ī

How can I say that I have been deserted by my beau

Its true but this will cause me to be shamed for evermore

kaise kah dun ki mujhe chhoD diya hai us ne

baat to sach hai magar baat hai ruswai ki

How can I say that I have been deserted by my beau

Its true but this will cause me to be shamed for evermore

tere tohfe to sab achchhe haiñ magar mauj-e-bahār

ab ke mere liye ḳhushbū-e-hinā aa.ī ho

tere tohfe to sab achchhe hain magar mauj-e-bahaar

ab ke mere liye KHushbu-e-hina aai ho

na jaane kaun aaseb dil meñ bastā hai

ki jo bhī Thahrā vo āḳhir makān chhoḌ gayā

na jaane kaun sa aaseb dil mein basta hai

ki jo bhi Thahra wo aaKHir makan chhoD gaya

maiñ sach kahūñgī magar phir bhī haar jā.ūñgī

vo jhuuT bolegā aur lā-javāb kar degā

main sach kahungi magar phir bhi haar jaungi

wo jhuT bolega aur la-jawab kar dega

bas ye huā ki us ne takalluf se baat

aur ham ne rote rote dupaTTe bhigo liye

bas ye hua ki us ne takalluf se baat ki

aur hum ne rote rote dupaTTe bhigo liye

rafāqatoñ mirī us ko dhyān kitnā thā

zamīn le magar āsmān chhoḌ gayā

rafaqaton ka meri us ko dhyan kitna tha

zamin le li magar aasman chhoD gaya

vo na aa.egā hameñ ma.alūm thā is shaam bhī

intizār us magar kuchh soch kar karte rahe

wo na aaega hamein malum tha is sham bhi

intizar us ka magar kuchh soch kar karte rahe

baat vo aadhī raat raat vo puure chāñd

chāñd bhī ain chait us pe tirā jamāl bhī

baat wo aadhi raat ki raat wo pure chand ki

chand bhi ain chait ka us pe tera jamal bhi

abr barse to ināyat us

shāḳh to sirf duā kartī hai

abr barse to inayat us ki

shaKH to sirf dua karti hai

yuuñ dekhnā us ko ki koī aur na dekhe

in.aam to achchhā thā magar shart kaḌī thī

yun dekhna us ko ki koi aur na dekhe

inam to achchha tha magar shart kaDi thi

kuchh to tire mausam mujhe raas kam aa.e

aur kuchh mirī miTTī meñ baġhāvat bhī bahut thī

kuchh to tere mausam hi mujhe ras kam aae

aur kuchh meri miTTi mein baghawat bhi bahut thi

zulm sahnā bhī to zālim himāyat Thahrā

ḳhāmushī bhī to huī pusht-panāhī tarah

zulm sahna bhi to zalim ki himayat Thahra

KHamushi bhi to hui pusht-panahi ki tarah

dushmanoñ ke saath mere dost bhī āzād haiñ

dekhnā hai khīñchtā hai mujh pe pahlā tiir kaun

dushmanon ke sath mere dost bhi aazad hain

dekhna hai khinchta hai mujh pe pahla tir kaun

kal raat jo īñdhan ke liye kaT ke girā hai

chiḌiyoñ ko bahut pyaar thā us būḌhe shajar se

kal raat jo indhan ke liye kaT ke gira hai

chiDiyon ko bahut pyar tha us buDhe shajar se

shab vahī lekin sitāra aur hai

ab safar isti.āra aur hai

shab wahi lekin sitara aur hai

ab safar ka istiara aur hai

raste meñ mil gayā to sharīk-e-safar na jaan

jo chhāñv mehrbāñ ho use apnā ghar na jaan

raste mein mil gaya to sharik-e-safar na jaan

jo chhanw mehrban ho use apna ghar na jaan

itne ghane bādal ke pīchhe

kitnā tanhā hogā chāñd

itne ghane baadal ke pichhe

kitna tanha hoga chand

qadmoñ meñ bhī takān thī ghar bhī qarīb thā

par kyā kareñ ki ab ke safar ajiib thā

qadmon mein bhi takan thi ghar bhi qarib tha

par kya karen ki ab ke safar hi ajib tha

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now