TOP 20 SHAYARI of Jaleel Manikpuri
tasadduq is karam ke maiñ kabhī tanhā nahīñ rahtā
ki jis din tum nahīñ aate tumhārī yaad aatī hai
tasadduq is karam ke main kabhi tanha nahin rahta
ki jis din tum nahin aate tumhaari yaad aati hai
aap pahlū meñ jo baiTheñ to sambhal kar baiTheñ
dil-e-betāb ko aadat hai machal jaane kī
when you come into my arms you should be aware
my restless heart is wont to leap, it may give you a scare
aap pahlu mein jo baiThen to sambhal kar baiThen
dil-e-betab ko aadat hai machal jaane ki
when you come into my arms you should be aware
my restless heart is wont to leap, it may give you a scare
-
Tag : Dil
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
mohabbat rañg de jaatī hai jab dil dil se miltā hai
magar mushkil to ye hai dil baḌī mushkil se miltā hai
mohabbat rang de jati hai jab dil dil se milta hai
magar mushkil to ye hai dil baDi mushkil se milta hai
-
Tag : Dil
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aap ne tasvīr bhejī maiñ ne dekhī ġhaur se
har adā achchhī ḳhamoshī kī adā achchhī nahīñ
aap ne taswir bheji main ne dekhi ghaur se
har ada achchhi KHamoshi ki ada achchhi nahin
baat ulTī vo samajhte haiñ jo kuchh kahtā huuñ
ab kī pūchhā to ye kah dūñgā ki haal achchhā hai
baat ulTi wo samajhte hain jo kuchh kahta hun
ab ki puchha to ye kah dunga ki haal achchha hai
-
Tag : Famous shayari
jab maiñ chalūñ to saaya bhī apnā na saath de
jab tum chalo zamīn chale āsmāñ chale
jab main chalun to saya bhi apna na sath de
jab tum chalo zamin chale aasman chale
nigāh barq nahīñ chehra āftāb nahīñ
vo aadmī hai magar dekhne kī taab nahīñ
nigah barq nahin chehra aaftab nahin
wo aadmi hai magar dekhne ki tab nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
shab ko mai ḳhuub sī pī sub.h ko tauba kar lī
riñd ke riñd rahe haath se jannat na ga.ī
shab ko mai KHub si pi subh ko tauba kar li
rind ke rind rahe hath se jannat na gai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sab kuchh ham un se kah ga.e lekin ye ittifāq
kahne kī thī jo baat vahī dil meñ rah ga.ī
sab kuchh hum un se kah gae lekin ye ittifaq
kahne ki thi jo baat wahi dil mein rah gai
kuchh is adā se aap ne pūchhā mirā mizāj
kahnā paḌā ki shukr hai parvardigār kā
you inquired how I was in such an artful way
except for 'God is kind' there is little I could say
kuchh is ada se aap ne puchha mera mizaj
kahna paDa ki shukr hai parwardigar ka
you inquired how I was in such an artful way
except for 'God is kind' there is little I could say
-
Tag : Famous shayari
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
baat saaqī kī na Taalī jā.egī
kar ke tauba toḌ Daalī jā.egī
the wishes of my saaqii I will not ignore
the vow of abstinence I take, will forthwith abjure
baat saqi ki na Tali jaegi
kar ke tauba toD Dali jaegi
the wishes of my saaqii I will not ignore
the vow of abstinence I take, will forthwith abjure
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
raat ko sonā na sonā sab barābar ho gayā
tum na aa.e ḳhvāb meñ āñkhoñ meñ ḳhvāb aayā to kyā
raat ko sona na sona sab barabar ho gaya
tum na aae KHwab mein aankhon mein KHwab aaya to kya
hotī kahāñ hai dil se judā dil kī aarzū
jaatā kahāñ hai sham.a ko parvāna chhoḌ kar
hoti kahan hai dil se juda dil ki aarzu
jata kahan hai shama ko parwana chhoD kar
sach hai ehsān kā bhī bojh bahut hotā hai
chaar phūloñ se dabī jaatī hai turbat merī
sach hai ehsan ka bhi bojh bahut hota hai
chaar phulon se dabi jati hai turbat meri
qāsid payām-e-shauq ko denā bahut na tuul
kahnā faqat ye un se ki āñkheñ taras ga.iiñ
qasid payam-e-shauq ko dena bahut na tul
kahna faqat ye un se ki aankhen taras gain
zindagī kyā jo basar ho chain se
dil meñ thoḌī sī tamannā chāhiye
zindagi kya jo basar ho chain se
dil mein thoDi si tamanna chahiye
aise chhupne se na chhupnā hī thā behtar terā
tū hai parde meñ magar zikr hai ghar ghar terā
aise chhupne se na chhupna hi tha behtar tera
tu hai parde mein magar zikr hai ghar ghar tera
aate aate aa.egā un ko ḳhayāl
jaate jaate be-ḳhayālī jā.egī
aate aate aaega un ko KHayal
jate jate be-KHayali jaegi
-
Tag : Yaad
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sab hue mahv use dekh jidhar se niklā
the ta.ajjub meñ ki ye chāñd kidhar se niklā
sab hue mahw use dekh jidhar se nikla
the tajjub mein ki ye chand kidhar se nikla
chhupā na raaz mohabbat kā bū-e-gul kī tarah
jo baat dil meñ thī vo darmiyāñ nikal aa.ī
chhupa na raaz mohabbat ka bu-e-gul ki tarah
jo baat dil mein thi wo darmiyan nikal aai