Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Jaun Eliya's Photo'

Jaun Eliya

1931 - 2002 | Karachi, Pakistan

One of the most prominent modern Urdu poets. Popular among masses for his unconventional ways

One of the most prominent modern Urdu poets. Popular among masses for his unconventional ways

Sher of Jaun Eliya

516.1K
Favorite

SORT BY

jurm meñ ham kamī kareñ bhī to kyuuñ

tum sazā bhī to kam nahīñ karte

jurm mein hum kami karen bhi to kyun

tum saza bhi to kam nahin karte

husn kahtā thā chheḌne vaale

chheḌnā to bas nahīñ chhū bhī

husn kahta tha chheDne wale

chheDna hi to bas nahin chhu bhi

kaun is ghar dekh-bhāl kare

roz ik chiiz TuuT jaatī hai

kaun is ghar ki dekh-bhaal kare

roz ek chiz TuT jati hai

ye vaar kar gayā hai pahlū se kaun mujh par

thā maiñ daa.eñ baa.eñ aur maiñ darmiyāñ thā

ye war kar gaya hai pahlu se kaun mujh par

tha main hi daen baen aur main hi darmiyan tha

kyā hai jo badal ga.ī hai duniyā

maiñ bhī to bahut badal gayā huuñ

kya hai jo badal gai hai duniya

main bhi to bahut badal gaya hun

ilaaj ye hai ki majbūr kar diyā jā.ūñ

vagarna yuuñ to kisī nahīñ sunī maiñ ne

ilaj ye hai ki majbur kar diya jaun

wagarna yun to kisi ki nahin suni main ne

ghar se ham ghar talak ga.e hoñge

apne aap tak ga.e hoñge

ghar se hum ghar talak gae honge

apne hi aap tak gae honge

us ne goyā mujhī ko yaad rakhā

maiñ bhī goyā usī ko bhuul gayā

us ne goya mujhi ko yaad rakha

main bhi goya usi ko bhul gaya

vo hujūm-e-dil-zadgāñ ki thā tujhe muzhda ho ki bikhar gayā

tire āstāne ḳhair ho sar-e-rah-e-ġhubār bhī ab nahīñ

wo hujum-e-dil-zadgan ki tha tujhe muzhda ho ki bikhar gaya

tere aastane ki KHair ho sar-e-rah-e-ghubar bhi ab nahin

haiñ dalīleñ tire ḳhilāf magar

sochtā huuñ tirī himāyat meñ

hain dalilen tere KHilaf magar

sochta hun teri himayat mein

maiñ is dīvār par chaḌh to gayā thā

utāre kaun ab dīvār par se

main is diwar par chaDh to gaya tha

utare kaun ab diwar par se

sochā hai ki ab kār-e-masīhā na kareñge

vo ḳhuun bhī thūkegā to parvā na kareñge

TRANSLATION

I have decided that I won’t act as a messiah anymore,

Even blood he was to spit, I won’t care for anymore.

Sagar Akbarabadi

socha hai ki ab kar-e-masiha na karenge

wo KHun bhi thukega to parwa na karenge

TRANSLATION

I have decided that I won’t act as a messiah anymore,

Even blood he was to spit, I won’t care for anymore.

Sagar Akbarabadi

ho rahā huuñ maiñ kis tarah barbād

dekhne vaale haath malte haiñ

ho raha hun main kis tarah barbaad

dekhne wale hath malte hain

go apne hazār naam rakh luuñ

par apne sivā maiñ aur kyā huuñ

go apne hazar nam rakh lun

par apne siwa main aur kya hun

kuchh to rishta hai tum se kam-baḳhtoñ

kuchh nahīñ koī bad-duā bhejo

kuchh to rishta hai tum se kam-baKHton

kuchh nahin koi bad-dua bhejo

royā huuñ to apne dostoñ meñ

par tujh se to hañs ke milā huuñ

roya hun to apne doston mein

par tujh se to hans ke hi mila hun

'jaun' duniyā chākarī kar ke

ne dil vo naukrī kyā

'jaun' duniya ki chaakari kar ke

tu ne dil ki wo naukri kya ki

kal din haa.e kal din ai 'jaun'

kaash is raat ham bhī mar jaa.eñ

kal ka din hae kal ka din ai 'jaun'

kash is raat hum bhi mar jaen

Thiik hai ḳhud ko ham badalte haiñ

shukriya mashvarat chalte haiñ

Thik hai KHud ko hum badalte hain

shukriya mashwarat ka chalte hain

bin tumhāre kabhī nahīñ aa.ī

kyā mirī niiñd bhī tumhārī hai

bin tumhaare kabhi nahin aai

kya meri nind bhi tumhaari hai

jān-levā thiiñ ḳhvāhisheñ varna

vasl se intizār achchhā thā

jaan-lewa thin KHwahishen warna

wasl se intizar achchha tha

terā ḳhayāl ḳhvāb ḳhvāb ḳhalvat-e-jāñ āb-o-tāb

jism-e-jamīl-e-o-naujavāñ shām-ba-ḳhair shab-ba-ḳhair

tera KHayal KHwab KHwab KHalwat-e-jaan ki aab-o-tab

jism-e-jamil-e-o-naujawan sham-ba-KHair shab-ba-KHair

kyā pūchhte ho nām-o-nishān-e-musāfirāñ

hindostāñ meñ aa.e haiñ hindostān ke the

kya puchhte ho nam-o-nishan-e-musafiran

hindostan mein aae hain hindostan ke the

ai sub.h maiñ ab kahāñ rahā huuñ

ḳhvāboñ meñ sarf ho chukā huuñ

ai subh main ab kahan raha hun

KHwabon hi mein sarf ho chuka hun

haañ Thiik hai maiñ apnī anā marīz huuñ

āḳhir mire mizāj meñ kyuuñ daḳhl de koī

han Thik hai main apni ana ka mariz hun

aaKHir mere mizaj mein kyun daKHl de koi

koī mujh tak pahuñch nahīñ paatā

itnā āsān hai patā merā

koi mujh tak pahunch nahin pata

itna aasan hai pata mera

teġh-bāzī shauq apnī jagah

aap to qatl-e-ām kar rahe haiñ

tegh-bazi ka shauq apni jagah

aap to qatl-e-am kar rahe hain

aur to kyā thā bechne ke liye

apnī āñkhoñ ke ḳhvāb beche haiñ

aur to kya tha bechne ke liye

apni aankhon ke KHwab beche hain

ā.īnoñ ko zañg lagā

ab maiñ kaisā lagtā huuñ

aainon ko zang laga

ab main kaisa lagta hun

ek surūd-e-raushanī nīma-e-shab ḳhvāb thā

ek ḳhamosh tīrgī sāneha-āshnā bhī thī

ek surud-e-raushani nima-e-shab ka KHwab tha

ek KHamosh tirgi saneha-ashna bhi thi

aaj mujh ko bahut burā kah kar

aap ne naam to liyā merā

aaj mujh ko bahut bura kah kar

aap ne nam to liya mera

ab ki jab jānāna tum ko hai sabhī par e'tibār

ab tumheñ jānāna mujh par e'tibār aayā to kyā

ab ki jab jaanana tum ko hai sabhi par e'tibar

ab tumhein jaanana mujh par e'tibar aaya to kya

vafā iḳhlās qurbānī mohabbat

ab in lafzoñ pīchhā kyuuñ kareñ ham

wafa iKHlas qurbani mohabbat

ab in lafzon ka pichha kyun karen hum

hāsil-e-kun hai ye jahān-e-ḳharāb

yahī mumkin thā itnī ujlat meñ

hasil-e-kun hai ye jahan-e-KHarab

yahi mumkin tha itni ujlat mein

sab mere baġhair mutma.in haiñ

maiñ sab ke baġhair rahā huuñ

sab mere baghair mutmain hain

main sab ke baghair ji raha hun

maiñ ab har shaḳhs se uktā chukā huuñ

faqat kuchh dost haiñ aur dost bhī kyā

main ab har shaKHs se ukta chuka hun

faqat kuchh dost hain aur dost bhi kya

ham ne kyuuñ ḳhud pe e'tibār kiyā

saḳht be-e'tibār the ham to

hum ne kyun KHud pe e'tibar kiya

saKHt be-e'tibar the hum to

maiñ jo huuñ 'jaun-elia' huuñ janāb

is behad lihāz kījiyegā

main jo hun 'jaun-elia' hun janab

is ka behad lihaz kijiyega

kitne aish se rahte hoñge kitne itrāte hoñge

jaane kaise log vo hoñge jo us ko bhāte hoñge

kitne aish se rahte honge kitne itraate honge

jaane kaise log wo honge jo us ko bhate honge

rehn sarshārī-e-fazā ke haiñ

aaj ke ba.ad ham havā ke haiñ

rehn sarshaari-e-faza ke hain

aaj ke baad hum hawa ke hain

tirī qīmat ghaTā.ī rahī hai

mujhe furqat sikhā.ī rahī hai

teri qimat ghaTai ja rahi hai

mujhe furqat sikhai ja rahi hai

maiñ le ke dil ke rishte ghar se nikal chukā huuñ

dīvār-o-dar ke rishte dīvār-o-dar meñ hoñge

main le ke dil ke rishte ghar se nikal chuka hun

diwar-o-dar ke rishte diwar-o-dar mein honge

kyā sitam hai ki ab tirī sūrat

ġhaur karne pe yaad aatī hai

kya sitam hai ki ab teri surat

ghaur karne pe yaad aati hai

hai vo bechārgī haal ki ham

har kisī ko salām kar rahe haiñ

hai wo bechaargi ka haal ki hum

har kisi ko salam kar rahe hain

fulāñ se thī ġhazal behtar fulāñ

fulāñ ke zaḳhm achchhe the fulāñ se

fulan se thi ghazal behtar fulan ki

fulan ke zaKHm achchhe the fulan se

nayā ik rishta paidā kyuuñ kareñ ham

bichhaḌnā hai to jhagḌā kyuuñ kareñ ham

naya ek rishta paida kyun karen hum

bichhaDna hai to jhagDa kyun karen hum

us chashm-e-nīm-vā se pūchhiyo

vo tire mizhgāñ-shumārāñ kyā hue

us ki chashm-e-nim-wa se puchhiyo

wo tere mizhgan-shumaran kya hue

itnā ḳhālī thā andarūñ merā

kuchh dinoñ to ḳhudā rahā mujh meñ

itna KHali tha andarun mera

kuchh dinon to KHuda raha mujh mein

marham-e-hijr thā ajab iksīr

ab to har zaḳhm bhar gayā hogā

marham-e-hijr tha ajab iksir

ab to har zaKHm bhar gaya hoga

kisī ke bin kisī yaad ke bin

jiye jaane himmat hai nahīñ to

kisi ke bin kisi ki yaad ke bin

jiye jaane ki himmat hai nahin to

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now