Sher of Momin Khan Momin
tum mire paas hote ho goyā
jab koī dūsrā nahīñ hotā
in such a manner are you close to me
when no one else at all there ever be
tum mere pas hote ho goya
jab koi dusra nahin hota
in such a manner are you close to me
when no one else at all there ever be
-
Tag : Famous shayari
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
umr to saarī kaTī ishq-e-butāñ meñ 'momin'
āḳhirī vaqt meñ kyā ḳhaak musalmāñ hoñge
Momin all your life in idol worship you did spend
How can you be a Muslim say now towards the end?
umr to sari kaTi ishq-e-butan mein 'momin'
aaKHiri waqt mein kya KHak musalman honge
Momin all your life in idol worship you did spend
How can you be a Muslim say now towards the end?
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo jo ham meñ tum meñ qarār thā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
vahī yaanī va.ada nibāh kā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
the love that 'tween us used to be, you may, may not recall
those promises of constancy, you may, may not recall
wo jo hum mein tum mein qarar tha tumhein yaad ho ki na yaad ho
wahi yani wada nibah ka tumhein yaad ho ki na yaad ho
the love that 'tween us used to be, you may, may not recall
those promises of constancy, you may, may not recall
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
thī vasl meñ bhī fikr-e-judā.ī tamām shab
vo aa.e to bhī niiñd na aa.ī tamām shab
thi wasl mein bhi fikr-e-judai tamam shab
wo aae to bhi nind na aai tamam shab
tum hamāre kisī tarah na hue
varna duniyā meñ kyā nahīñ hotā
your love by any means I could not gain
Or else in life what would not one attain
tum hamare kisi tarah na hue
warna duniya mein kya nahin hota
your love by any means I could not gain
Or else in life what would not one attain
-
Tag : Qismat
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kyā jaane kyā likhā thā use iztirāb meñ
qāsid kī laash aa.ī hai ḳhat ke javāb meñ
kya jaane kya likha tha use iztirab mein
qasid ki lash aai hai KHat ke jawab mein
maiñ bhī kuchh ḳhush nahīñ vafā kar ke
tum ne achchhā kiyā nibāh na kī
main bhi kuchh KHush nahin wafa kar ke
tum ne achchha kiya nibah na ki
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
royā kareñge aap bhī pahroñ isī tarah
aTkā kahīñ jo aap kā dil bhī mirī tarah
roya karenge aap bhi pahron isi tarah
aTka kahin jo aap ka dil bhi meri tarah
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
māñgā kareñge ab se duā hijr-e-yār kī
āḳhir to dushmanī hai asar ko duā ke saath
to be parted from my dearest I will pray now hence
as after all prayers bear enmity with consequence
manga karenge ab se dua hijr-e-yar ki
aaKHir to dushmani hai asar ko dua ke sath
to be parted from my dearest I will pray now hence
as after all prayers bear enmity with consequence
-
Tag : Dua
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
haath TūTeñ maiñ ne gar chheḌī hoñ zulfeñ aap kī
aap ke sar kī qasam bād-e-sabā thī maiñ na thā
hath TuTen main ne gar chheDi hon zulfen aap ki
aap ke sar ki qasam baad-e-saba thi main na tha
shab jo masjid meñ jā phañse 'momin'
raat kaaTī ḳhudā ḳhudā kar ke
shab jo masjid mein ja phanse 'momin'
raat kaTi KHuda KHuda kar ke
kis pe marte ho aap pūchhte haiñ
mujh ko fikr-e-javāb ne maarā
kis pe marte ho aap puchhte hain
mujh ko fikr-e-jawab ne mara
aap kī kaun sī baḌhī izzat
maiñ agar bazm meñ zalīl huā
aap ki kaun si baDhi izzat
main agar bazm mein zalil hua
kisī kā huā aaj kal thā kisī kā
na hai tū kisī kā na hogā kisī kā
kisi ka hua aaj kal tha kisi ka
na hai tu kisi ka na hoga kisi ka
chal diye sū-e-haram kū-e-butāñ se 'momin'
jab diyā ranj butoñ ne to ḳhudā yaad aayā
from the streets of idols fair
to the mosque did I repair
chal diye su-e-haram ku-e-butan se 'momin'
jab diya ranj buton ne to KHuda yaad aaya
from the streets of idols fair
to the mosque did I repair
-
Tag : Khuda
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
Thānī thī dil meñ ab na mileñge kisī se ham
par kyā kareñ ki ho ga.e nā-chār jī se ham
Thani thi dil mein ab na milenge kisi se hum
par kya karen ki ho gae na-chaar ji se hum
-
Tag : Mulaqat
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo aa.e haiñ pashemāñ laash par ab
tujhe ai zindagī lā.ūñ kahāñ se
wo aae hain pasheman lash par ab
tujhe ai zindagi laun kahan se
hai kuchh to baat 'momin' jo chhā ga.ī ḳhamoshī
kis but ko de diyā dil kyuuñ but se ban ga.e ho
hai kuchh to baat 'momin' jo chha gai KHamoshi
kis but ko de diya dil kyun but se ban gae ho
us naqsh-e-pā ke sajde ne kyā kyā kiyā zalīl
maiñ kūcha-e-raqīb meñ bhī sar ke bal gayā
bowing to her footsteps brought me shame I dread
I went to my rival's street standing on my head
us naqsh-e-pa ke sajde ne kya kya kiya zalil
main kucha-e-raqib mein bhi sar ke bal gaya
bowing to her footsteps brought me shame I dread
I went to my rival's street standing on my head
-
Tag : Raqeeb
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
na karo ab nibāh kī bāteñ
tum ko ai mehrbān dekh liyā
na karo ab nibah ki baaten
tum ko ai mehrban dekh liya
hāl-e-dil yaar ko likhūñ kyūñkar
haath dil se judā nahīñ hotā
haal-e-dil yar ko likhun kyunkar
hath dil se juda nahin hota
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hañs hañs ke vo mujh se hī mire qatl kī bāteñ
is tarah se karte haiñ ki goyā na kareñge
hans hans ke wo mujh se hi mere qatl ki baaten
is tarah se karte hain ki goya na karenge
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
uljhā hai paañv yaar kā zulf-e-darāz meñ
lo aap apne daam meñ sayyād aa gayā
uljha hai panw yar ka zulf-e-daraaz mein
lo aap apne dam mein sayyaad aa gaya
-
Tag : Zulf
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
Dartā huuñ āsmān se bijlī na gir paḌe
sayyād kī nigāh sū-e-āshiyāñ nahīñ
Darta hun aasman se bijli na gir paDe
sayyaad ki nigah su-e-ashiyan nahin
us ġhairat-e-nāhīd kī har taan hai dīpak
sho.ala sā lapak jaa.e hai āvāz to dekho
us ghairat-e-nahid ki har tan hai dipak
shoala sa lapak jae hai aawaz to dekho
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
'momin' ḳhudā ke vāste aisā makāñ na chhoḌ
dozaḳh meñ Daal ḳhuld ko kū-e-butāñ na chhoḌ
for sake of God! momin from leaving this house refrain
let paradise to hell consign, leave not the idol's lane
'momin' KHuda ke waste aisa makan na chhoD
dozaKH mein Dal KHuld ko ku-e-butan na chhoD
for sake of God! momin from leaving this house refrain
let paradise to hell consign, leave not the idol's lane
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bahr-e-ayādat aa.e vo lekin qazā ke saath
dam hī nikal gayā mirā āvāz-e-pā ke saath
bahr-e-ayaadat aae wo lekin qaza ke sath
dam hi nikal gaya mera aawaz-e-pa ke sath
ma.ashūq se bhī ham ne nibhā.ī barābarī
vaañ lutf kam huā to yahāñ pyaar kam huā
mashuq se bhi hum ne nibhai barabari
wan lutf kam hua to yahan pyar kam hua
kal tum jo bazm-e-ġhair meñ āñkheñ churā ga.e
kho.e ga.e ham aise ki aġhyār pā ga.e
kal tum jo bazm-e-ghair mein aankhen chura gae
khoe gae hum aise ki aghyar pa gae
chāra-e-dil sivā.e sabr nahīñ
so tumhāre sivā nahīñ hotā
chaara-e-dil siwae sabr nahin
so tumhaare siwa nahin hota
-
Tag : Sabr
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
majlis meñ mire zikr ke aate hī uThe vo
badnāmi-e-ushshāq kā e.azāz to dekho
majlis mein mere zikr ke aate hi uThe wo
badnami-e-ushshaq ka eazaz to dekho
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ho gayā rāz-e-ishq be-parda
us ne parde se jo nikālā muñh
ho gaya raaz-e-ishq be-parda
us ne parde se jo nikala munh
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kyā milā arz-e-mudda.ā kar ke
baat bhī khoī iltijā kar ke
kya mila arz-e-muddaa kar ke
baat bhi khoi iltija kar ke
na mānūñgā nasīhat par na suntā maiñ to kyā kartā
ki har har baat meñ nāseh tumhārā naam letā thā
na manunga nasihat par na sunta main to kya karta
ki har har baat mein naseh tumhaara nam leta tha
ġhairoñ pe khul na jaa.e kahīñ raaz dekhnā
merī taraf bhī ġhamza-e-ġhammāz dekhnā
ghairon pe khul na jae kahin raaz dekhna
meri taraf bhi ghamza-e-ghammaz dekhna
-
Tag : Raaz
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ham samajhte haiñ āzmāne ko
uzr kuchh chāhiye satāne ko
hum samajhte hain aazmane ko
uzr kuchh chahiye satane ko
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
soz-e-ġham se ashk kā ek ek qatra jal gayā
aag paanī meñ lagī aisī ki dariyā jal gayā
soz-e-gham se ashk ka ek ek qatra jal gaya
aag pani mein lagi aisi ki dariya jal gaya
rah ke masjid meñ kyā hī ghabrāyā
raat kaaTī ḳhudā ḳhudā kar ke
rah ke masjid mein kya hi ghabraya
raat kaTi KHuda KHuda kar ke
itnī kudūrat ashk meñ hairāñ huuñ kyā kahūñ
dariyā meñ hai sarāb ki dariyā sarāb meñ
itni kudurat ashk mein hairan hun kya kahun
dariya mein hai sarab ki dariya sarab mein
kar ilāj-e-josh-e-vahshat chāragar
lā de ik jañgal mujhe bāzār se
kar ilaj-e-josh-e-wahshat chaaragar
la de ek jangal mujhe bazar se
hai kis kā intizār ki ḳhvāb-e-adam se bhī
har baar chauñk paḌte haiñ āvāz-e-pā ke saath
hai kis ka intizar ki KHwab-e-adam se bhi
har bar chaunk paDte hain aawaz-e-pa ke sath
-
Tag : Intezar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ho ga.e nām-e-butāñ sunte hī 'momin' be-qarār
ham na kahte the ki hazrat pārsā kahne ko haiñ
ho gae nam-e-butan sunte hi 'momin' be-qarar
hum na kahte the ki hazrat parsa kahne ko hain
kuchh qafas meñ in dinoñ lagtā hai jī
āshiyāñ apnā huā barbād kyā
kuchh qafas mein in dinon lagta hai ji
aashiyan apna hua barbaad kya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tū kahāñ jā.egī kuchh apnā Thikāna kar le
ham to kal ḳhvāb-e-adam meñ shab-e-hijrāñ hoñge
where will you go I worry, do find a place to stay
O lonely night tomorrow, death will take me away
tu kahan jaegi kuchh apna Thikana kar le
hum to kal KHwab-e-adam mein shab-e-hijran honge
where will you go I worry, do find a place to stay
O lonely night tomorrow, death will take me away
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
rāz-e-nihāñ zabān-e-aġhyār tak na pahuñchā
kyā ek bhī hamārā ḳhat yaar tak na pahuñchā
raaz-e-nihan zaban-e-aghyar tak na pahuncha
kya ek bhi hamara KHat yar tak na pahuncha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
be-ḳhud the ġhash the mahv the duniyā kā ġham na thā
jiinā visāl meñ bhī to hijrāñ se kam na thā
be-KHud the ghash the mahw the duniya ka gham na tha
jina visal mein bhi to hijran se kam na tha
kabhī ham meñ tum meñ bhī chaah thī kabhī ham se tum se bhī raah thī
kabhī ham bhī tum bhī the āshnā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
friendship twixt us once used to be, a path there was from you to me
once I and you were not, but we, you may, may not recall
kabhi hum mein tum mein bhi chah thi kabhi hum se tum se bhi rah thi
kabhi hum bhi tum bhi the aashna tumhein yaad ho ki na yaad ho
friendship twixt us once used to be, a path there was from you to me
once I and you were not, but we, you may, may not recall
-
Tag : Yaad
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sāhab ne is ġhulām ko āzād kar diyā
lo bandagī ki chhūT ga.e bandagī se ham
sahab ne is ghulam ko aazad kar diya
lo bandagi ki chhuT gae bandagi se hum
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
le shab-e-vasl-e-ġhair bhī kaaTī
tū mujhe āzmā.egā kab tak
le shab-e-wasl-e-ghair bhi kaTi
tu mujhe aazmaega kab tak
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
momin maiñ apne nāloñ ke sadqe ki kahte haiñ
us ko bhī aaj niiñd na aa.ī tamām shab
momin main apne nalon ke sadqe ki kahte hain
us ko bhi aaj nind na aai tamam shab