Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baĥhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Parveen Shakir's Photo'

Parveen Shakir

1952 - 1994 | Karachi, Pakistan

One of the most popular Urdu poets who gave expression to feelings and experiences specific to women

One of the most popular Urdu poets who gave expression to feelings and experiences specific to women

Sher of Parveen Shakir

151.8K
Favorite

SORT BY

vo to á¸ŗhush-bÅĢ hai havāoÃą meÃą bikhar jā.egā

mas.ala phuul kā hai phuul kidhar jā.egā

wo to KHush-bu hai hawaon mein bikhar jaega

masala phul ka hai phul kidhar jaega

husn ke samajhne ko umr chāhiye jānÄÃą

do ghaḌÄĢ kÄĢ chāhat meÃą laḌkiyÄÃą nahÄĢÃą khultÄĢÃą

husn ke samajhne ko umr chahiye jaanan

do ghaDi ki chahat mein laDkiyan nahin khultin

maiÃą sach kahÅĢÃągÄĢ magar phir bhÄĢ haar jā.ÅĢÃągÄĢ

vo jhuuT bolegā aur lā-javāb kar degā

main sach kahungi magar phir bhi haar jaungi

wo jhuT bolega aur la-jawab kar dega

vo kahÄĢÃą bhÄĢ gayā lauTā to mire paas aayā

bas yahÄĢ baat hai achchhÄĢ mire harjā.ÄĢ kÄĢ

wo kahin bhi gaya lauTa to mere pas aaya

bas yahi baat hai achchhi mere harjai ki

kaise kah duuÃą ki mujhe chhoḌ diyā hai us ne

baat to sach hai magar baat hai rusvā.ÄĢ kÄĢ

How can I say that I have been deserted by my beau

Its true but this will cause me to be shamed for evermore

kaise kah dun ki mujhe chhoD diya hai us ne

baat to sach hai magar baat hai ruswai ki

How can I say that I have been deserted by my beau

Its true but this will cause me to be shamed for evermore

itne ghane bādal ke pÄĢchhe

kitnā tanhā hogā chÄÃąd

itne ghane baadal ke pichhe

kitna tanha hoga chand

merÄĢ talab thā ek shaá¸ŗhs vo jo nahÄĢÃą milā to phir

haath duā se yuuÃą girā bhuul gayā savāl bhÄĢ

meri talab tha ek shaKHs wo jo nahin mila to phir

hath dua se yun gira bhul gaya sawal bhi

kuchh to tire mausam hÄĢ mujhe raas kam aa.e

aur kuchh mirÄĢ miTTÄĢ meÃą baÄĄhāvat bhÄĢ bahut thÄĢ

kuchh to tere mausam hi mujhe ras kam aae

aur kuchh meri miTTi mein baghawat bhi bahut thi

kuchh to havā bhÄĢ sard thÄĢ kuchh thā tirā á¸ŗhayāl bhÄĢ

dil ko á¸ŗhushÄĢ ke saath saath hotā rahā malāl bhÄĢ

kuchh to hawa bhi sard thi kuchh tha tera KHayal bhi

dil ko KHushi ke sath sath hota raha malal bhi

vo na aa.egā hameÃą ma.alÅĢm thā is shaam bhÄĢ

intizār us kā magar kuchh soch kar karte rahe

wo na aaega hamein malum tha is sham bhi

intizar us ka magar kuchh soch kar karte rahe

vo mujh ko chhoḌ ke jis aadmÄĢ ke paas gayā

barābarÄĢ kā bhÄĢ hotā to sabr aa jaatā

wo mujh ko chhoD ke jis aadmi ke pas gaya

barabari ka bhi hota to sabr aa jata

ham to samjhe the ki ik zaá¸ŗhm hai bhar jā.egā

kyā á¸ŗhabar thÄĢ ki rag-e-jÄÃą meÃą utar jā.egā

hum to samjhe the ki ek zaKHm hai bhar jaega

kya KHabar thi ki rag-e-jaan mein utar jaega

chalne kā hausla nahÄĢÃą ruknā muhāl kar diyā

ishq ke is safar ne to mujh ko niDhāl kar diyā

chalne ka hausla nahin rukna muhaal kar diya

ishq ke is safar ne to mujh ko niDhaal kar diya

dushmanoÃą ke saath mere dost bhÄĢ āzād haiÃą

dekhnā hai khÄĢÃąchtā hai mujh pe pahlā tiir kaun

dushmanon ke sath mere dost bhi aazad hain

dekhna hai khinchta hai mujh pe pahla tir kaun

ab to is raah se vo shaá¸ŗhs guzartā bhÄĢ nahÄĢÃą

ab kis ummÄĢd pe darvāze se jhÄÃąke koÄĢ

ab to is rah se wo shaKHs guzarta bhi nahin

ab kis ummid pe darwaze se jhanke koi

baat vo aadhÄĢ raat kÄĢ raat vo puure chÄÃąd kÄĢ

chÄÃąd bhÄĢ ain chait kā us pe tirā jamāl bhÄĢ

baat wo aadhi raat ki raat wo pure chand ki

chand bhi ain chait ka us pe tera jamal bhi

yuuÃą bichhaḌnā bhÄĢ bahut āsÄÃą na thā us se magar

jaate jaate us kā vo muḌ kar dobāra dekhnā

yun bichhaDna bhi bahut aasan na tha us se magar

jate jate us ka wo muD kar dobara dekhna

raat ke shāyad ek baje haiÃą

sotā hogā merā chÄÃąd

raat ke shayad ek baje hain

sota hoga mera chand

mumkina faisloÃą meÃą ek hijr kā faisla bhÄĢ thā

ham ne to ek baat kÄĢ us ne kamāl kar diyā

mumkina faislon mein ek hijr ka faisla bhi tha

hum ne to ek baat ki us ne kamal kar diya

ab bhÄĢ barsāt kÄĢ rātoÃą meÃą badan TÅĢTtā hai

jaag uThtÄĢ haiÃą ajab á¸ŗhvāhisheÃą aÃągḌā.ÄĢ kÄĢ

Till even now in rainy climes, my limbs are aching, sore

The yen to stretch out languidly then comes to the fore

ab bhi barsat ki raaton mein badan TuTta hai

jag uThti hain ajab KHwahishen angDai ki

Till even now in rainy climes, my limbs are aching, sore

The yen to stretch out languidly then comes to the fore

bas ye huā ki us ne takalluf se baat kÄĢ

aur ham ne rote rote dupaTTe bhigo liye

bas ye hua ki us ne takalluf se baat ki

aur hum ne rote rote dupaTTe bhigo liye

maiÃą phuul chuntÄĢ rahÄĢ aur mujhe á¸ŗhabar na huÄĢ

vo shaá¸ŗhs aa ke mire shahr se chalā bhÄĢ gayā

main phul chunti rahi aur mujhe KHabar na hui

wo shaKHs aa ke mere shahr se chala bhi gaya

laḌkiyoÃą ke dukh ajab hote haiÃą sukh us se ajiib

haÃąs rahÄĢ haiÃą aur kājal bhÄĢgtā hai saath saath

laDkiyon ke dukh ajab hote hain sukh us se ajib

hans rahi hain aur kajal bhigta hai sath sath

maiÃą us kÄĢ dastaras meÃą huuÃą magar vo

mujhe merÄĢ razā se mÄÃągtā hai

main us ki dastaras mein hun magar wo

mujhe meri raza se mangta hai

bahut se log the mehmān mere ghar lekin

vo jāntā thā ki hai ehtimām kis ke liye

bahut se log the mehman mere ghar lekin

wo jaanta tha ki hai ehtimam kis ke liye

jis tarah á¸ŗhvāb mire ho ga.e reza reza

us tarah se na kabhÄĢ TuuT ke bikhre koÄĢ

jis tarah KHwab mere ho gae reza reza

us tarah se na kabhi TuT ke bikhre koi

kaaÃąp uThtÄĢ huuÃą maiÃą ye soch ke tanhā.ÄĢ meÃą

mere chehre pe tirā naam na paḌh le koÄĢ

kanp uThti hun main ye soch ke tanhai mein

mere chehre pe tera nam na paDh le koi

hārne meÃą ik anā kÄĢ baat thÄĢ

jiit jaane meÃą á¸ŗhasārā aur hai

haarne mein ek ana ki baat thi

jit jaane mein KHasara aur hai

yahÄĢ vo din the jab ik dÅĢsre ko paayā thā

hamārÄĢ sāl-girah Thiik ab ke maah meÃą hai

yahi wo din the jab ek dusre ko paya tha

hamari sal-girah Thik ab ke mah mein hai

us ne jaltÄĢ huÄĢ peshānÄĢ pe jab haath rakhā

ruuh tak aa ga.ÄĢ tāsÄĢr masÄĢhā.ÄĢ kÄĢ

us ne jalti hui peshani pe jab hath rakha

ruh tak aa gai tasir masihai ki

ek sÅĢraj thā ki tāroÃą ke gharāne se uThā

aaÃąkh hairān hai kyā shaá¸ŗhs zamāne se uThā

ek suraj tha ki taron ke gharane se uTha

aankh hairan hai kya shaKHs zamane se uTha

kamāl-e-zabt ko á¸ŗhud bhÄĢ to āzmā.ÅĢÃągÄĢ

maiÃą apne haath se us kÄĢ dulhan sajā.ÅĢÃągÄĢ

kamal-e-zabt ko KHud bhi to aazmaungi

main apne hath se us ki dulhan sajaungi

aamad pe terÄĢ itr o charāĥh o subÅĢ na hoÃą

itnā bhÄĢ bÅĢd-o-bāsh ko saada nahÄĢÃą kiyā

aamad pe teri itr o charagh o subu na hon

itna bhi bud-o-bash ko sada nahin kiya

jugnÅĢ ko din ke vaqt parakhne kÄĢ zid kareÃą

bachche hamāre ahd ke chālāk ho ga.e

jugnu ko din ke waqt parakhne ki zid karen

bachche hamare ahd ke chaalak ho gae

us ke yuuÃą tark-e-mohabbat kā sabab hogā koÄĢ

jÄĢ nahÄĢÃą ye māntā vo bevafā pahle se thā

us ke yun tark-e-mohabbat ka sabab hoga koi

ji nahin ye manta wo bewafa pahle se tha

bārhā terā intizār kiyā

apne á¸ŗhvāboÃą meÃą ik dulhan kÄĢ tarah

barha tera intizar kiya

apne KHwabon mein ek dulhan ki tarah

kal raat jo ÄĢÃądhan ke liye kaT ke girā hai

chiḌiyoÃą ko bahut pyaar thā us bÅĢḌhe shajar se

kal raat jo indhan ke liye kaT ke gira hai

chiDiyon ko bahut pyar tha us buDhe shajar se

kuchh faisla to ho ki kidhar jaanā chāhiye

paanÄĢ ko ab to sar se guzar jaanā chāhiye

kuchh faisla to ho ki kidhar jaana chahiye

pani ko ab to sar se guzar jaana chahiye

us ne mujhe dar-asl kabhÄĢ chāhā hÄĢ nahÄĢÃą thā

á¸ŗhud ko de kar ye bhÄĢ dhokā, dekh liyā hai

us ne mujhe dar-asl kabhi chaha hi nahin tha

KHud ko de kar ye bhi dhoka, dekh liya hai

chehra o naam ek saath aaj na yaad aa sake

vaqt ne kis shabÄĢh ko á¸ŗhvāb o á¸ŗhayāl kar diyā

chehra o nam ek sath aaj na yaad aa sake

waqt ne kis shabih ko KHwab o KHayal kar diya

tÅĢ badaltā hai to be-sāá¸ŗhta merÄĢ ÄÃąkheÃą

apne hāthoÃą kÄĢ lakÄĢroÃą se ulajh jaatÄĢ haiÃą

tu badalta hai to be-saKHta meri aankhen

apne hathon ki lakiron se ulajh jati hain

raa.e pahle se banā lÄĢ tÅĢ ne

dil meÃą ab ham tire ghar kyā karte

rae pahle se bana li tu ne

dil mein ab hum tere ghar kya karte

kaun jaane ki na.e saal meÃą tÅĢ kis ko paḌhe

terā me.yār badaltā hai nisāboÃą kÄĢ tarah

kaun jaane ki nae sal mein tu kis ko paDhe

tera meyar badalta hai nisabon ki tarah

apnÄĢ rusvā.ÄĢ tire naam kā charchā dekhÅĢÃą

ik zarā sher kahÅĢÃą aur maiÃą kyā kyā dekhÅĢÃą

apni ruswai tere nam ka charcha dekhun

ek zara sher kahun aur main kya kya dekhun

aks-e-á¸ŗhushbÅĢ huuÃą bikharne se na roke koÄĢ

aur bikhar jā.ÅĢÃą to mujh ko na sameTe koÄĢ

aks-e-KHushbu hun bikharne se na roke koi

aur bikhar jaun to mujh ko na sameTe koi

kabhÄĢ kabhār use dekh leÃą kahÄĢÃą mil leÃą

ye kab kahā thā ki vo á¸ŗhush-badan hamārā ho

kabhi kabhaar use dekh len kahin mil len

ye kab kaha tha ki wo KHush-badan hamara ho

na jaane kaun sā aaseb dil meÃą bastā hai

ki jo bhÄĢ Thahrā vo āá¸ŗhir makān chhoḌ gayā

na jaane kaun sa aaseb dil mein basta hai

ki jo bhi Thahra wo aaKHir makan chhoD gaya

tujhe manā.ÅĢÃą ki apnÄĢ anā kÄĢ baat sunÅĢÃą

ulajh rahā hai mire faisloÃą kā resham phir

tujhe manaun ki apni ana ki baat sunun

ulajh raha hai mere faislon ka resham phir

apne qātil kÄĢ zehānat se pareshān huuÃą maiÃą

roz ik maut na.e tarz kÄĢ ÄĢjād kare

apne qatil ki zehanat se pareshan hun main

roz ek maut nae tarz ki ijad kare

raste meÃą mil gayā to sharÄĢk-e-safar na jaan

jo chhÄÃąv mehrbÄÃą ho use apnā ghar na jaan

raste mein mil gaya to sharik-e-safar na jaan

jo chhanw mehrban ho use apna ghar na jaan

Recitation

Speak Now