Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Baqi Siddiqui's Photo'

Baqi Siddiqui

1905 - 1972 | Rawalpindi, Pakistan

One of the most prominent modern poets of Pakistan

One of the most prominent modern poets of Pakistan

Sher of Baqi Siddiqui

15.5K
Favorite

SORT BY

tum zamāne raah se aa.e

varna sīdhā thā rāsta dil

tum zamane ki rah se aae

warna sidha tha rasta dil ka

dost har aib chhupā lete haiñ

koī dushman bhī tirā hai ki nahīñ

dost har aib chhupa lete hain

koi dushman bhi tera hai ki nahin

kashtiyāñ TuuT ga.ī haiñ saarī

ab liye phirtā hai dariyā ham ko

kashtiyan TuT gai hain sari

ab liye phirta hai dariya hum ko

'bāqī' jo chup rahoge to uTTheñgī uñgliyāñ

hai bolnā bhī rasm-e-jahāñ bolte raho

'baqi' jo chup rahoge to uTThengi ungliyan

hai bolna bhi rasm-e-jahan bolte raho

har na.e hādse pe hairānī

pahle hotī thī ab nahīñ hotī

har nae hadse pe hairani

pahle hoti thi ab nahin hoti

is badalte hue zamāne meñ

tere qisse bhī kuchh purāne lage

is badalte hue zamane mein

tere qisse bhi kuchh purane lage

rahne do ki ab tum bhī mujhe paḌh na sakoge

barsāt meñ kāġhaz tarah bhiig gayā huuñ

rahne do ki ab tum bhi mujhe paDh na sakoge

barsat mein kaghaz ki tarah bhig gaya hun

zindagī bisāt par 'bāqī'

maut ek chaal haiñ ham log

zindagi ki bisat par 'baqi'

maut ki ek chaal hain hum log

ek pal meñ vahāñ se ham uTThe

baiThne meñ jahāñ zamāne lage

ek pal mein wahan se hum uTThe

baiThne mein jahan zamane lage

dostī ḳhūn-e-jigar chāhtī hai

kaam mushkil hai to rasta dekho

dosti KHun-e-jigar chahti hai

kaam mushkil hai to rasta dekho

tum bhī ulTī ulTī bāteñ pūchhte ho

ham bhī kaisī kaisī qasmeñ khāte haiñ

tum bhi ulTi ulTi baaten puchhte ho

hum bhi kaisi kaisi qasmen khate hain

terī har baat pe chup rahte haiñ

ham patthar bhī koī kyā hogā

teri har baat pe chup rahte hain

hum sa patthar bhi koi kya hoga

ho ga.e chup hameñ pāgal kah kar

jab kisī ne bhī na samjhā ham ko

ho gae chup hamein pagal kah kar

jab kisi ne bhi na samjha hum ko

rāz-e-sar-basta hai mahfil terī

jo samajh legā vo tanhā hogā

raaz-e-sar-basta hai mahfil teri

jo samajh lega wo tanha hoga

vaqt ke paas haiñ kuchh tasvīreñ

koī Duubā hai ki ubhrā dekho

waqt ke pas hain kuchh taswiren

koi Duba hai ki ubhra dekho

dil ko aane lagā basne ḳhayāl

aag jab ghar ko lagā ham ne

dil ko aane laga basne ka KHayal

aag jab ghar ko laga di hum ne

dil meñ jab baat nahīñ rah saktī

kisī patthar ko sunā dete haiñ

dil mein jab baat nahin rah sakti

kisi patthar ko suna dete hain

yuuñ bhī hone patā dete haiñ

apnī zanjīr hilā dete haiñ

yun bhi hone ka pata dete hain

apni zanjir hila dete hain

ham ki sho.ala bhī haiñ aur shabnam bhī

ne kis rañg meñ dekhā ham ko

hum ki shoala bhi hain aur shabnam bhi

tu ne kis rang mein dekha hum ko

haa.e vo bāteñ jo kah sakte nahīñ

aur tanhā.ī meñ dohrāte haiñ ham

hae wo baaten jo kah sakte nahin

aur tanhai mein dohraate hain hum

tujh ko dekhā tire va.ade dekhe

ūñchī dīvār ke lambe saa.e

tujh ko dekha tere wade dekhe

unchi diwar ke lambe sae

kuchh na kar bhī mutma.in haiñ ham

ishq meñ haath kyā ḳhazāne lage

kuchh na pa kar bhi mutmain hain hum

ishq mein hath kya KHazane lage

pahle har baat pe ham sochte the

ab faqat haath uThā dete haiñ

pahle har baat pe hum sochte the

ab faqat hath uTha dete hain

kis se pūchheñ ki vo andāz-e-nazar

kab tabassum huā kab tiir huā

kis se puchhen ki wo andaz-e-nazar

kab tabassum hua kab tir hua

yahī rasta hai ab yahī manzil

ab yahīñ dil kisī bahāne lage

yahi rasta hai ab yahi manzil

ab yahin dil kisi bahane lage

rañg-e-dil rañg-e-nazar yaad aayā

tere jalvoñ asar yaad aayā

rang-e-dil rang-e-nazar yaad aaya

tere jalwon ka asar yaad aaya

tere ġham se to sukūn miltā hai

apne sho.aloñ ne jalāyā ham ko

tere gham se to sukun milta hai

apne shoalon ne jalaya hum ko

vaqt patthar bhārī hotā jaatā hai

ham miTTī sūrat dete jaate haiñ

waqt ka patthar bhaari hota jata hai

hum miTTi ki surat dete jate hain

un apnā tamāshā dekho

jo dikhātā hai zamāna dekho

un ka ya apna tamasha dekho

jo dikhata hai zamana dekho

ek dīvār uThāne ke liye

ek dīvār girā dete haiñ

ek diwar uThane ke liye

ek diwar gira dete hain

ek hañstī huī badlī dekhī

ek jaltā huā ghar yaad aayā

ek hansti hui badli dekhi

ek jalta hua ghar yaad aaya

aap ko kārvāñ se kyā matlab

aap to mīr-e-kārvāñ Thahre

aap ko karwan se kya matlab

aap to mir-e-karwan Thahre

ḳhud-farebī ḳhud-farebī hai

paas ke Dhol bhī suhāne lage

KHud-farebi si KHud-farebi hai

pas ke Dhol bhi suhane lage

dil dīvār gir ga.ī shāyad

apnī āvāz kaan meñ aa.ī

dil ki diwar gir gai shayad

apni aawaz kan mein aai

kaan paḌtī nahīñ āvāz koī

dil meñ vo shor bapā hai apnā

kan paDti nahin aawaz koi

dil mein wo shor bapa hai apna

band kaliyoñ adā kahtī hai

baat karne ke haiñ sau pairā.e

band kaliyon ki ada kahti hai

baat karne ke hain sau pairae

duniyā ne har baat meñ kyā kyā rañg bhare

ham saada aurāq ulaTte jaate haiñ

duniya ne har baat mein kya kya rang bhare

hum sada auraq ulaTte jate hain

har yaad har ḳhayāl hai lafzoñ silsila

ye mahfil-e-navā hai yahāñ bolte raho

har yaad har KHayal hai lafzon ka silsila

ye mahfil-e-nawa hai yahan bolte raho

aur ke arz-e-hāl karo

lo salām-o-payām se bhī ga.e

aur ja ja ke arz-e-haal karo

lo salam-o-payam se bhi gae

dost har aib chhupā lete haiñ

koī dushman bhī tirā hai ki nahīñ

dost har aib chhupa lete hain

koi dushman bhi tera hai ki nahin

aa.e na phir nazar kahīñ jaane kidhar ga.e

un tak to saath gardish-e-shām-o-sahar ga.ī

TRANSLATION

After that where did it go, never again did I see,

Cycle of day and night did accompany me up to thee.

Sagar Akbarabadi

aae na phir nazar kahin jaane kidhar gae

un tak to sath gardish-e-sham-o-sahar gai

TRANSLATION

After that where did it go, never again did I see,

Cycle of day and night did accompany me up to thee.

Sagar Akbarabadi

Recitation

Speak Now