Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Fahmi Badayuni's Photo'

Fahmi Badayuni

1952 - 2024 | Badayun, India

A renowned poet who explores new creative dimensions in familiar themes and common emotions, and expresses profound meanings in simple words, gaining immense popularity in the first decade of the 21st century

A renowned poet who explores new creative dimensions in familiar themes and common emotions, and expresses profound meanings in simple words, gaining immense popularity in the first decade of the 21st century

Sher of Fahmi Badayuni

15.4K
Favorite

SORT BY

pūchh lete vo bas mizāj mirā

kitnā āsān thā ilaaj mirā

puchh lete wo bas mizaj mera

kitna aasan tha ilaj mera

maiñ ne us taraf se ḳhat likkhā

aur apne pate pe bhej diyā

main ne us ki taraf se KHat likkha

aur apne pate pe bhej diya

kaash vo rāste meñ mil jaa.e

mujh ko muñh pher kar guzarnā hai

kash wo raste mein mil jae

mujh ko munh pher kar guzarna hai

pareshāñ hai vo jhūTā ishq kar ke

vafā karne naubat aa ga.ī hai

pareshan hai wo jhuTa ishq kar ke

wafa karne ki naubat aa gai hai

ḳhushī se kaañp rahī thiiñ ye uñgliyāñ itnī

delete ho gayā ik shaḳhs save karne meñ

KHushi se kanp rahi thin ye ungliyan itni

delete ho gaya ek shaKHs sawe karne mein

ḳhuuñ pilā kar jo sher paalā thā

us ne circus meñ naukrī kar

KHun pila kar jo sher pala tha

us ne circus mein naukri kar li

Tahalte phir rahe haiñ saare ghar meñ

tirī ḳhālī jagah ko bhar rahe haiñ

Tahalte phir rahe hain sare ghar mein

teri KHali jagah ko bhar rahe hain

mar gayā ham ko DāñTne vaalā

ab sharārat meñ nahīñ lagtā

mar gaya hum ko DanTne wala

ab shararat mein ji nahin lagta

jab talak quvvat-e-taḳhayyul hai

aap pahlū se uTh nahīñ sakte

jab talak quwwat-e-taKHayyul hai

aap pahlu se uTh nahin sakte

kaTī hai umr bas ye sochne meñ

mire baare meñ vo kyā sochtā hai

kaTi hai umr bas ye sochne mein

mere bare mein wo kya sochta hai

kuchh na kuchh bolte raho ham se

chup rahoge to log sun leñge

kuchh na kuchh bolte raho hum se

chup rahoge to log sun lenge

badan zikr bātil hai to aao

binā sar pair bāteñ kareñge

badan ka zikr baatil hai to aao

bina sar pair ki baaten karenge

jis ko har vaqt dekhtā huuñ maiñ

us ko bas ek baar dekhā hai

jis ko har waqt dekhta hun main

us ko bas ek bar dekha hai

jo kahā vo nahīñ kiyā us ne

vo kiyā jo nahīñ kahā us ne

jo kaha wo nahin kiya us ne

wo kiya jo nahin kaha us ne

aaj paivand zarūrat hai

ye sazā hai rafū na karne

aaj paiwand ki zarurat hai

ye saza hai rafu na karne ki

maiñ chup rahtā huuñ itnā bol kar bhī

chup rah kar bhī kitnā boltā hai

main chup rahta hun itna bol kar bhi

tu chup rah kar bhi kitna bolta hai

aap tashrīf laa.e the ik roz

dūsre roz e'tibār huā

aap tashrif lae the ek roz

dusre roz e'tibar hua

use le kar jo gaaḌī chukī hai

maiñ shāyad us ke nīche aa rahā huuñ

use le kar jo gaDi ja chuki hai

main shayad us ke niche aa raha hun

phūloñ ko surḳhī dene meñ

patte piile ho jaate haiñ

phulon ko surKHi dene mein

patte pile ho jate hain

nigāheñ kartī rah jaatī haiñ hijje

vo jab chehre se imlā boltā hai

nigahen karti rah jati hain hijje

wo jab chehre se imla bolta hai

mujh pe ho kar guzar ga.ī duniyā

maiñ tirī raah se haTā nahīñ

mujh pe ho kar guzar gai duniya

main teri rah se haTa hi nahin

lailā ghar meñ silā.ī karne lagī

qais dillī meñ kaam karne lagā

laila ghar mein silai karne lagi

qais dilli mein kaam karne laga

toḌe jaate haiñ jo shīshe

vo nokīle ho jaate haiñ

toDe jate hain jo shishe

wo nokile ho jate hain

bahut kahtī rahī āñdhī se chiḌiyā

ki pahlī baar bachche uḌ rahe haiñ

bahut kahti rahi aandhi se chiDiya

ki pahli bar bachche uD rahe hain

shahsavāroñ ne raushnī māñgī

maiñ ne baisākhiyāñ jalā Dālīñ

shahsawaron ne raushni mangi

main ne baisakhiyan jala Dalin

saḳht mushkil thā imtihān-e-ġhazal

'mīr' naql kar ke paas hue

saKHt mushkil tha imtihan-e-ghazal

'mir' ki naql kar ke pas hue

phir usī qabr ke barābar se

zinda rahne rāsta niklā

phir usi qabr ke barabar se

zinda rahne ka rasta nikla

mire saa.e meñ us naqsh-e-pā hai

baḌā ehsān mujh par dhuup hai

mere sae mein us ka naqsh-e-pa hai

baDa ehsan mujh par dhup ka hai

achchhe-ḳhāse qafas meñ rahte the

jaane kyuuñ āsmāñ dikhā.ī diyā

achchhe-KHase qafas mein rahte the

jaane kyun aasman dikhai diya

kahīñ koī kamāñ taane hue hai

kabūtar āḌe-tirchhe uḌ rahe haiñ

kahin koi kaman tane hue hai

kabutar aaDe-tirchhe uD rahe hain

yaar tum ko kahāñ kahāñ DhūñDā

jaao tum se maiñ boltā nahīñ

yar tum ko kahan kahan DhunDa

jao tum se main bolta hi nahin

abhī chamke nahīñ 'ġhālib' ke juute

abhī naqqād polish kar rahe haiñ

abhi chamke nahin 'ghaalib' ke jute

abhi naqqad polish kar rahe hain

tire moze yahīñ par rah ga.e haiñ

maiñ in se apne dastāne banā luuñ

tere moze yahin par rah gae hain

main in se apne dastane bana lun

chhat haal batā detā hai

parnāle se girtā paanī

chhat ka haal bata deta hai

parnale se girta pani

tirī tasvīr, pañkhā, mez, muflar

mire kamre meñ gardish kar rahe haiñ

teri taswir, pankha, mez, muflar

mere kamre mein gardish kar rahe hain

maiñ to rahtā huuñ dasht meñ masrūf

qais kartā hai kām-kāj mirā

main to rahta hun dasht mein masruf

qais karta hai kaam-kaj mera

Recitation

Speak Now