Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Khursheed Rizvi's Photo'

Khursheed Rizvi

1942 | Pakistan

Prominent modern poet

Prominent modern poet

Sher of Khursheed Rizvi

2.3K
Favorite

SORT BY

mujhe bante bigaḌte hue ab ġhaur se dekh

vaqt kal chaak pe rahne de na rahne de mujhe

tu mujhe bante bigaDte hue ab ghaur se dekh

waqt kal chaak pe rahne de na rahne de mujhe

āḳhir ko hañs paḌeñge kisī ek baat par

ronā tamām umr be-kār jā.egā

aaKHir ko hans paDenge kisi ek baat par

rona tamam umr ka be-kar jaega

tamām umr akele meñ tujh se bāteñ kiiñ

tamām umr tire rū-ba-rū ḳhamosh rahe

tamam umr akele mein tujh se baaten kin

tamam umr tere ru-ba-ru KHamosh rahe

ye daur vo hai ki baiThe raho charāġh-tale

sabhī ko bazm meñ dekho magar dikhā.ī na do

ye daur wo hai ki baiThe raho charagh-tale

sabhi ko bazm mein dekho magar dikhai na do

bas darīche se lage baiThe rahe ahl-e-safar

sabza jaltā rahā aur yād-e-vatan aatī rahī

bas dariche se lage baiThe rahe ahl-e-safar

sabza jalta raha aur yaad-e-watan aati rahi

jo shaḳhs na royā thā taptī huī rāhoñ meñ

dīvār ke saa.e meñ baiThā to bahut royā

jo shaKHs na roya tha tapti hui rahon mein

diwar ke sae mein baiTha to bahut roya

maut ek alāmat hai agar dekhā jaa.e

ruuh chaar anāsir pe savārī karnā

maut ki ek alamat hai agar dekha jae

ruh ka chaar anasir pe sawari karna

haiñ mirī raah patthar mirī āñkhoñ hijāb

zaḳhm bāhar ke jo andar nahīñ jaane dete

hain meri rah ka patthar meri aankhon ka hijab

zaKHm bahar ke jo andar nahin jaane dete

āsāñ to nahīñ apnī hastī se guzar jaanā

utrā jo samundar meñ dariyā to bahut royā

aasan to nahin apni hasti se guzar jaana

utra jo samundar mein dariya to bahut roya

ham ki apnī raah patthar samajhte haiñ use

ham se jaane kis liye duniyā na Thukrā.ī ga.ī

hum ki apni rah ka patthar samajhte hain use

hum se jaane kis liye duniya na Thukrai gai

ham terī tabī.at ko 'ḳhurshīd' nahīñ samjhe

patthar nazar aatā thā royā to bahut royā

hum teri tabiat ko 'KHurshid' nahin samjhe

patthar nazar aata tha roya to bahut roya

aks ne mere rulāyā hai mujhe

koī apnā nazar aayā hai mujhe

aks ne mere rulaya hai mujhe

koi apna nazar aaya hai mujhe

'ḳhurshīd' ab kahāñ hai kisī ko patā nahīñ

guzrā to thā kisī patā pūchhtā huā

'KHurshid' ab kahan hai kisi ko pata nahin

guzra to tha kisi ka pata puchhta hua

bahut se rog duā māñgne se jaate haiñ

ye baat ḳhūgar-e-rasm-e-davā se kaun kahe

bahut se rog dua mangne se jate hain

ye baat KHugar-e-rasm-e-dawa se kaun kahe

is e'tirāf se ras ghul rahā hai kānoñ meñ

vo e'tirāf jo us ne abhī kiyā bhī nahīñ

is e'tiraf se ras ghul raha hai kanon mein

wo e'tiraf jo us ne abhi kiya bhi nahin

do harf tasallī ke jis ne bhī kahe us ko

afsāna sunā Daalā tasvīr dikhā Daalī

do harf tasalli ke jis ne bhi kahe us ko

afsana suna Dala taswir dikha Dali

jo tamām umr rahā sabab talāsh meñ

vo tirī nigāh meñ be-sabab nahīñ aa sakā

jo tamam umr raha sabab ki talash mein

wo teri nigah mein be-sabab nahin aa saka

tumhārī bazm se tanhā nahīñ uThā 'ḳhurshīd'

hujūm-e-dard ik qāfila rikāb meñ thā

tumhaari bazm se tanha nahin uTha 'KHurshid'

hujum-e-dard ka ek qafila rikab mein tha

ab se pahle vo mirī zaat pe taarī to na thā

dil meñ rahtā thā magar ḳhuun meñ jaarī to na thā

ab se pahle wo meri zat pe tari to na tha

dil mein rahta tha magar KHun mein jari to na tha

maqām jin muarriḳh ke hāfize meñ nahīñ

shikast o fat.h ke mā-bain marhale ham log

maqam jin ka muarriKH ke hafize mein nahin

shikast o fath ke ma-bain marhale hum log

mujhe bhī apnā dil-e-rafta yaad aatā hai

kabhī kabhī kisī bāzār se guzarte hue

mujhe bhi apna dil-e-rafta yaad aata hai

kabhi kabhi kisi bazar se guzarte hue

palaT kar ashk sū-e-chashm-e-tar aatā nahīñ hai

ye vo bhaTkā musāfir hai jo ghar aatā nahīñ hai

palaT kar ashk su-e-chashm-e-tar aata nahin hai

ye wo bhaTka musafir hai jo ghar aata nahin hai

mire is avvalīñ ashk-e-mohabbat par nazar kar

ye motī siip meñ phir umr-bhar aatā nahīñ hai

mere is awwalin ashk-e-mohabbat par nazar kar

ye moti sip mein phir umr-bhar aata nahin hai

nusḳha-e-marham-e-iksīr batāne vaale

mirā zaḳhm to pahle mujhe vāpas kar de

nusKHa-e-marham-e-iksir batane wale

tu mera zaKHm to pahle mujhe wapas kar de

shikan-ālūd ho jā.egī manzar jabīñ

hamārī aañkh ke shīshe meñ baal aa jā.egā

ya shikan-alud ho jaegi manzar ki jabin

ya hamari aankh ke shishe mein baal aa jaega

bikhar gayā to mujhe koī ġham nahīñ is

ki raaz mujh pe ka.ī hue bikharte hue

bikhar gaya to mujhe koi gham nahin is ka

ki raaz mujh pe kai wa hue bikharte hue

jism chaukhaT pe ḳham dil jabīñ kar ga.ī

āsmāñ chiiz kyuuñ sarf-e-zamīñ kar ga.ī

jism ki chaukhaT pe KHam dil ki jabin kar di gai

aasman ki chiz kyun sarf-e-zamin kar di gai

Recitation

Speak Now