Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Sheen Kaaf Nizam's Photo'

Sheen Kaaf Nizam

1947

Prominent post-modern poet, Sahitya Academy award winner.

Prominent post-modern poet, Sahitya Academy award winner.

Sher of Sheen Kaaf Nizam

3K
Favorite

SORT BY

chubhan ye piiTh meñ kaisī hai muḌ ke dekh to le

kahīñ koī tujhe pīchhe se dekhtā hogā

chubhan ye piTh mein kaisi hai muD ke dekh to le

kahin koi tujhe pichhe se dekhta hoga

galī ke moḌ se ghar tak añdherā kyuuñ hai 'nizām'

charāġh yaad us ne bujhā diyā hogā

gali ke moD se ghar tak andhera kyun hai 'nizam'

charagh yaad ka us ne bujha diya hoga

akelā hai band hai kamrā

ab to chehrā utaar kar rakh de

tu akela hai band hai kamra

ab to chehra utar kar rakh de

manzar ko kisī tarah badalne duā de

de raat ThanDak ko pighalne duā de

manzar ko kisi tarah badalne ki dua de

de raat ki ThanDak ko pighalne ki dua de

dostī ishq aur vafādārī

saḳht jaañ meñ bhī narm goshe haiñ

dosti ishq aur wafadari

saKHt jaan mein bhi narm goshe hain

yaad aur yaad ko bhulāne meñ

umr fasl kaT ga.ī dekho

yaad aur yaad ko bhulane mein

umr ki fasl kaT gai dekho

jin se añdherī rātoñ meñ jal jaate the diye

kitne hasīn log the kyā jaane kyā hue

jin se andheri raaton mein jal jate the diye

kitne hasin log the kya jaane kya hue

kahāñ jaatī haiñ bārish duā.eñ

shajar par ek bhī patta nahīñ hai

kahan jati hain barish ki duaen

shajar par ek bhi patta nahin hai

apnī pahchān bhiiḌ meñ kho kar

ḳhud ko kamroñ meñ DhūñDte haiñ log

apni pahchan bhiD mein kho kar

KHud ko kamron mein DhunDte hain log

koī duā kabhī to hamārī qubūl kar

varna kaheñge log duā se asar gayā

koi dua kabhi to hamari qubul kar

warna kahenge log dua se asar gaya

aarzū thī ek din tujh se milūñ

mil gayā to sochtā huuñ kyā karūñ

aarzu thi ek din tujh se milun

mil gaya to sochta hun kya karun

apne afsāne shohrat use manzūr na thī

us ne kirdār badal kar mirā qissa likhkhā

apne afsane ki shohrat use manzur na thi

us ne kirdar badal kar mera qissa likhkha

zulm to be-zabān hai lekin

zaḳhm ko zabān kab degā

zulm to be-zaban hai lekin

zaKHm ko tu zaban kab dega

nikle kabhī na ghar se magar is ke bāvajūd

apnī tamām umr safar meñ guzar ga.ī

nikle kabhi na ghar se magar is ke bawajud

apni tamam umr safar mein guzar gai

barsoñ se ghūmtā hai isī tarah raat din

lekin zamīn miltī nahīñ āsmān ko

barson se ghumta hai isi tarah raat din

lekin zamin milti nahin aasman ko

darvāza koī ghar se nikalne ke liye de

be-ḳhauf koī rāsta chalne ke liye de

darwaza koi ghar se nikalne ke liye de

be-KHauf koi rasta chalne ke liye de

āñkheñ kahīñ dimāġh kahīñ dast o kahīñ

rastoñ bhīḌ-bhāḌ meñ duniyā bikhar ga.ī

aankhen kahin dimagh kahin dast o pa kahin

raston ki bhiD-bhaD mein duniya bikhar gai

yādoñ rut ke aate sab ho ga.e hare

ham to samajh rahe the sabhī zaḳhm bhar ga.e

yaadon ki rut ke aate hi sab ho gae hare

hum to samajh rahe the sabhi zaKHm bhar gae

biich baḌhtā huā har fāsla le jā.egā

ek tūfāñ aa.egā sab kuchh bahā le jā.egā

bich ka baDhta hua har fasla le jaega

ek tufan aaega sab kuchh baha le jaega

ūñchī imārateñ to baḌī shāndār haiñ

lekin yahāñ to ren-basere the kyā hue

unchi imaraten to baDi shandar hain

lekin yahan to ren-basere the kya hue

pattiyāñ ho ga.iiñ harī dekho

ḳhud se bāhar bhī to kabhī dekho

pattiyan ho gain hari dekho

KHud se bahar bhi to kabhi dekho

kisī ke saath ab saaya nahīñ hai

koī bhī aadmī puurā nahīñ hai

kisi ke sath ab saya nahin hai

koi bhi aadmi pura nahin hai

sun liyā hogā havāoñ meñ bikhar jaatā hai

is liye bachche ne kāġhaz pe gharauñdā likhkhā

sun liya hoga hawaon mein bikhar jata hai

is liye bachche ne kaghaz pe gharaunda likhkha

sāhiloñ shafīq āñkhoñ meñ

dhuup kapḌe utaar kar chamke

sahilon ki shafiq aankhon mein

dhup kapDe utar kar chamke

ḳhāmosh tum the aur mire hoñT bhī the band

phir itnī der kaun thā jo boltā rahā

KHamosh tum the aur mere honT bhi the band

phir itni der kaun tha jo bolta raha

dhuul uḌtī hai dhuup baiThī hai

os ne āñsuoñ ghar chhoḌā

dhul uDti hai dhup baiThi hai

os ne aansuon ka ghar chhoDa

udāsī akele meñ Dar jā.egī

ghaḌī-do-ghaḌī ko ḳhushī bhej de

udasi akele mein Dar jaegi

ghaDi-do-ghaDi ko KHushi bhej de

ek aaseb hai har ik ghar meñ

ek chehra dar-ba-dar chamke

ek aaseb hai har ek ghar mein

ek hi chehra dar-ba-dar chamke

badaltī rut nauha sun rahā hai

nadī soī hai jañgal jāgtā hai

badalti rut ka nauha sun raha hai

nadi soi hai jangal jagta hai

zarā baat thī terā bichhaḌnā

zarā baat se kyā kuchh huā hai

zara si baat thi tera bichhaDna

zara si baat se kya kuchh hua hai

vahshat to sañg-o-ḳhisht tartīb le ga.ī

ab fikr ye hai dasht vus.at bhī le na jaa.e

wahshat to sang-o-KHisht ki tartib le gai

ab fikr ye hai dasht ki wusat bhi le na jae

ḳhāmosh tum the aur mire hoñTh bhī the band

phir itnī der kaun thā jo boltā rahā

KHamosh tum the aur mere honTh bhi the band

phir itni der kaun tha jo bolta raha

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now