Sher of Hasan Naim
maiñ ek baab thā afsāna-e-vafā kā magar
tumhārī bazm se uTThā to ik kitāb banā
main ek bab tha afsana-e-wafa ka magar
tumhaari bazm se uTTha to ek kitab bana
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ġham se bikhrā na pā.emāl huā
maiñ to ġham se hī be-misāl huā
gham se bikhra na paemal hua
main to gham se hi be-misal hua
-
Tag : Gham
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kuchh usūloñ kā nasha thā kuchh muqaddas ḳhvāb the
har zamāne meñ shahādat ke yahī asbāb the
TRANSLATION
Intoxication of the principles, and pious dreams were some,
In every age these alone were the reasons for martyrdom.
Sagar Akbarabadi
kuchh usulon ka nasha tha kuchh muqaddas KHwab the
har zamane mein shahadat ke yahi asbab the
TRANSLATION
Intoxication of the principles, and pious dreams were some,
In every age these alone were the reasons for martyrdom.
Sagar Akbarabadi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ai sabā maiñ bhī thā āshufta-saroñ meñ yaktā
pūchhnā dillī kī galiyoñ se mirā naam kabhī
ai saba main bhi tha aashufta-saron mein yakta
puchhna dilli ki galiyon se mera nam kabhi
-
Tag : Delhi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kisī ne Dūbtī sub.hoñ taḌaptī shāmoñ ko
ġhazal ke jaam meñ shab kā ḳhumār bhejā hai
kisi ne Dubti subhon taDapti shamon ko
ghazal ke jam mein shab ka KHumar bheja hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
itnā royā huuñ ġham-e-dost zarā sā hañs kar
muskurāte hue lamhāt se jī Dartā hai
itna roya hun gham-e-dost zara sa hans kar
muskuraate hue lamhat se ji Darta hai
-
Tag : Muskurahat
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ḳhalvat-e-ummīd meñ raushan hai ab tak vo charāġh
jis se uThtā hai qarīb-e-shām yādoñ kā dhuāñ
KHalwat-e-ummid mein raushan hai ab tak wo charagh
jis se uThta hai qarib-e-sham yaadon ka dhuan
itnā dil-e-'na.īm' ko vīrāñ na kar hijāz
ro.egī mauj-e-gañg jo us tak ḳhabar ga.ī
itna dil-e-'naim' ko viran na kar hijaz
roegi mauj-e-gang jo us tak KHabar gai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kyā firāq o faiz se lenā thā mujh ko ai 'na.īm'
mere aage fikr-o-fan ke kuchh na.e ādāb the
kya firaq o faiz se lena tha mujh ko ai 'naim'
mere aage fikr-o-fan ke kuchh nae aadab the
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sarā-e-dil meñ jagah de to kaaT luuñ ik raat
nahīñ hai shart ki mujh ko sharīk-e-ḳhvāb banā
sara-e-dil mein jagah de to kaT lun ek raat
nahin hai shart ki mujh ko sharik-e-KHwab bana
'iqbāl' kī navā se musharraf hai go 'na.īm'
urdu ke sar pe 'mīr' kī ġhazloñ kā taaj hai
'iqbaal' ki nawa se musharraf hai go 'naim'
urdu ke sar pe 'mir' ki ghazlon ka taj hai
-
Tag : Meer Taqi Meer
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kaun mujh se pūchhtā hai roz itne pyaar se
kaam kitnā ho chukā hai vaqt kitnā rah gayā
kaun mujh se puchhta hai roz itne pyar se
kaam kitna ho chuka hai waqt kitna rah gaya
jur.at kahāñ ki apnā pata tak batā sakūñ
jiitā huuñ apne mulk meñ auroñ ke naam se
jurat kahan ki apna pata tak bata sakun
jita hun apne mulk mein auron ke nam se
gard-e-shohrat ko bhī dāman se lipaTne na diyā
koī ehsān zamāne kā uThāyā hī nahīñ
gard-e-shohrat ko bhi daman se lipaTne na diya
koi ehsan zamane ka uThaya hi nahin
-
Tag : Khuddari
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
payambaroñ ne kahā thā ki jhuuT hāregā
magar ye dekhiye apnā mushāhida kyā hai
payambaron ne kaha tha ki jhuT haarega
magar ye dekhiye apna mushahida kya hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ḳhair se dil ko tirī yaad se kuchh kaam to hai
vasl kī shab na sahī hijr kā hañgām to hai
KHair se dil ko teri yaad se kuchh kaam to hai
wasl ki shab na sahi hijr ka hangam to hai
koī mausam ho yahī soch ke jī lete haiñ
ik na ik roz shajar ġham kā harā to hogā
koi mausam ho yahi soch ke ji lete hain
ek na ek roz shajar gham ka hara to hoga
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sach to ye ki abhī dil ko sukūñ hai lekin
apne āvāra ḳhayālāt se jī Dartā hai
sach to ye ki abhi dil ko sukun hai lekin
apne aawara KHayalat se ji Darta hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ apnī ruuh meñ us ko basā chukā itnā
ab us kā husn bhī parda dikhā.ī detā hai
main apni ruh mein us ko basa chuka itna
ab us ka husn bhi parda dikhai deta hai
jo bhī kahnā hai kaho saaf shikāyat hī sahī
in ishārāt-o-kināyāt se jī Dartā hai
jo bhi kahna hai kaho saf shikayat hi sahi
in ishaaraat-o-kinayat se ji Darta hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
pai-ba-pai talvār chaltī hai yahāñ āfāt kī
dast-o-bāzū kī ḳhabar luuñ to samajhiye sar gayā
pai-ba-pai talwar chalti hai yahan aafat ki
dast-o-bazu ki KHabar lun to samajhiye sar gaya
jo mere dasht-e-junūñ meñ thā farq-e-rū-e-bahār
vahī ḳhirad ke ḳharābe meñ ik gulāb banā
jo mere dasht-e-junun mein tha farq-e-ru-e-bahaar
wahi KHirad ke KHarabe mein ek gulab bana
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ek dariyā paar kar ke aa gayā huuñ us ke paas
ek sahrā ke sivā ab darmiyāñ koī nahīñ
ek dariya par kar ke aa gaya hun us ke pas
ek sahra ke siwa ab darmiyan koi nahin
-
Tag : Dariya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
paañv se lag ke khaḌī hai ye ġharīb-ul-vatanī
us ko samjhāo ki ham apne vatan aa.e haiñ
panw se lag ke khaDi hai ye gharib-ul-watani
us ko samjhao ki hum apne watan aae hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aa base kitne na.e log makān-e-jāñ meñ
bām-o-dar par hai magar naam usī kā likkhā
aa base kitne nae log makan-e-jaan mein
baam-o-dar par hai magar nam usi ka likkha
jahāñ dikhā.ī na detā thā ek Tiila bhī
vahāñ se log uThā kar pahāḌ laa.e haiñ
jahan dikhai na deta tha ek Tila bhi
wahan se log uTha kar pahaD lae hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kam nahīñ ai dil-e-betāb matā-e-ummīd
dast-e-mai-ḳhvār meñ ḳhālī hī sahī jaam to hai
kam nahin ai dil-e-betab mata-e-ummid
dast-e-mai-KHwar mein KHali hi sahi jam to hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mauja-e-ashk se bhīgī na kabhī nok-e-qalam
vo anā thī ki kabhī dard na jī kā likkhā
mauja-e-ashk se bhigi na kabhi nok-e-qalam
wo ana thi ki kabhi dard na ji ka likkha
ruuh kā lambā safar hai ek bhī insāñ kā qurb
maiñ chalā barsoñ to un tak jism kā saayā gayā
ruh ka lamba safar hai ek bhi insan ka qurb
main chala barson to un tak jism ka saya gaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download