Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Akbar Allahabadi's Photo'

Akbar Allahabadi

1846 - 1921 | Allahabad, India

The greatest Urdu poet of humour and satire who was a Sessions judge at Allahabad.

The greatest Urdu poet of humour and satire who was a Sessions judge at Allahabad.

Sher of Akbar Allahabadi

161.8K
Favorite

SORT BY

rah-o-rasm-e-mohabbat in hasīnoñ se maiñ kyā rakkhūñ

jahāñ tak dekhtā huuñ naf.a un hai zarar apnā

rah-o-rasm-e-mohabbat in hasinon se main kya rakkhun

jahan tak dekhta hun nafa un ka hai zarar apna

har chand bagūla muztar hai ik josh to us ke andar hai

ik vajd to hai ik raqs to hai bechain sahī barbād sahī

har chand bagula muztar hai ek josh to us ke andar hai

ek wajd to hai ek raqs to hai bechain sahi barbaad sahi

is gulistāñ meñ bahut kaliyāñ mujhe taḌpā ga.iiñ

kyuuñ lagī thiiñ shāḳh meñ kyuuñ be-khile murjhā ga.iiñ

is gulistan mein bahut kaliyan mujhe taDpa gain

kyun lagi thin shaKH mein kyun be-khile murjha gain

ye hai ki jhukātā hai muḳhālif bhī gardan

sun lo ki koī shai nahīñ ehsān se behtar

ye hai ki jhukata hai muKHalif ki bhi gardan

sun lo ki koi shai nahin ehsan se behtar

sidhāreñ shaiḳh ka.aba ko ham inglistān dekheñge

vo dekheñ ghar ḳhudā ham ḳhudā shaan dekheñge

sidhaaren shaiKH kaba ko hum inglistan dekhenge

wo dekhen ghar KHuda ka hum KHuda ki shan dekhenge

parde muḳhālif jo sunā bol uThīñ begam

allāh ki maar us par aligarh ke havāle

parde ka muKHalif jo suna bol uThin begam

allah ki mar us par aligarh ke hawale

mohabbat tum se asar kyā kahūñ

nazar mil ga.ī dil dhaḌakne lagā

mohabbat ka tum se asar kya kahun

nazar mil gai dil dhaDakne laga

mar.ūb ho ga.e haiñ vilāyat se shaiḳh-jī

ab sirf man.a karte haiñ desī sharāb ko

marub ho gae hain wilayat se shaiKH-ji

ab sirf mana karte hain desi sharab ko

tumhāre va.az meñ tāsīr to hai hazrat-e-vā.iz

asar lekin nigāh-e-nāz bhī kam nahīñ hotā

tumhaare waz mein tasir to hai hazrat-e-waiz

asar lekin nigah-e-naz ka bhi kam nahin hota

kuchh allahabad meñ sāmāñ nahīñ bahbūd ke

yaañ dharā kyā hai ba-juz akbar ke aur amrūd ke

kuchh allahabad mein saman nahin bahbud ke

yan dhara kya hai ba-juz akbar ke aur amrud ke

but-kade meñ shor hai 'akbar' musalmāñ ho gayā

be-vafāoñ se koī kah de ki haañ haañ ho gayā

but-kade mein shor hai 'akbar' musalman ho gaya

be-wafaon se koi kah de ki han han ho gaya

tum naak chaḌhāte ho mirī baat pe ai shaiḳh

khīñchūñgī kisī roz maiñ ab kaan tumhāre

tum nak chaDhate ho meri baat pe ai shaiKH

khinchungi kisi roz main ab kan tumhaare

mujh ko to dekh lene se matlab hai nāsehā

bad-ḳhū agar hai yaar to ho ḳhūb-rū to hai

mujh ko to dekh lene se matlab hai naseha

bad-KHu agar hai yar to ho KHub-ru to hai

agar maz.hab ḳhalal-andāz hai mulkī maqāsid meñ

to shaiḳh o barhaman pinhāñ raheñ dair o masājid meñ

agar mazhab KHalal-andaz hai mulki maqasid mein

to shaiKH o barhaman pinhan rahen dair o masajid mein

maiñ bhī graduate huuñ tum bhī graduate

ilmī mubāhise hoñ zarā paas aa ke leT

main bhi graduate hun tum bhi graduate

ilmi mubahise hon zara pas aa ke leT

vaah kyā raah dikhā.ī hai hameñ murshid ne

kar diyā ka.abe ko gum aur kalīsā na milā

wah kya rah dikhai hai hamein murshid ne

kar diya kabe ko gum aur kalisa na mila

dinner se tum ko fursat kam yahāñ faaqe se kam ḳhālī

chalo bas ho chukā milnā na tum ḳhālī na ham ḳhālī

dinner se tum ko fursat kam yahan faqe se kam KHali

chalo bas ho chuka milna na tum KHali na hum KHali

jo kahā maiñ ne ki pyaar aatā hai mujh ko tum par

hañs ke kahne lagā aur aap ko aatā kyā hai

laughing, she inquired when, I said I love you

is there anything else at all that you know to do

jo kaha main ne ki pyar aata hai mujh ko tum par

hans ke kahne laga aur aap ko aata kya hai

laughing, she inquired when, I said I love you

is there anything else at all that you know to do

lagāvaT bahut hai tirī aañkh meñ

isī se to ye fitna-zā ho ga.ī

lagawaT bahut hai teri aankh mein

isi se to ye fitna-za ho gai

Daal de jaan ma.ānī meñ vo urdu ye hai

karvaTeñ lene lage tab.a vo pahlū ye hai

Dal de jaan maani mein wo urdu ye hai

karwaTen lene lage taba wo pahlu ye hai

paḌ jaa.eñ mire jism pe laakh aable 'akbar'

paḌh kar jo koī phūñk de april may june

paD jaen mere jism pe lakh aable 'akbar'

paDh kar jo koi phunk de april may june

aql meñ jo ghir gayā lā-intihā kyūñkar huā

jo samā meñ aa gayā phir vo ḳhudā kyūñkar huā

aql mein jo ghir gaya la-intiha kyunkar hua

jo sama mein aa gaya phir wo KHuda kyunkar hua

īmān bechne pe haiñ ab sab tule hue

lekin ḳharīdo ho jo aligarh ke bhaav se

iman bechne pe hain ab sab tule hue

lekin KHarido ho jo aligarh ke bhaw se

rahtā hai ibādat meñ hameñ maut khaTkā

ham yād-e-ḳhudā karte haiñ, kar le na ḳhudā yaad

As I pray I am afraid that death should not befall

While I do remember God, he should not recall

rahta hai ibaadat mein hamein maut ka khaTka

hum yaad-e-KHuda karte hain, kar le na KHuda yaad

As I pray I am afraid that death should not befall

While I do remember God, he should not recall

ishva bhī hai shoḳhī bhī tabassum bhī hayā bhī

zālim meñ aur ik baat hai is sab ke sivā bhī

ishwa bhi hai shoKHi bhi tabassum bhi haya bhi

zalim mein aur ek baat hai is sab ke siwa bhi

ham kyā kaheñ ahbāb kyā kār-e-numāyāñ kar ga.e

B.A hue naukar hue pension milī phir mar ga.e

hum kya kahen ahbab kya kar-e-numayan kar gae

BA hue naukar hue pension mili phir mar gae

ḳhilāf-e-shar.a kabhī shaiḳh thūktā bhī nahīñ

magar añdhere ujāle meñ chūktā bhī nahīñ

KHilaf-e-shara kabhi shaiKH thukta bhi nahin

magar andhere ujale mein chukta bhi nahin

aa.ī hogī kisī ko hijr meñ maut

mujh ko to niiñd bhī nahīñ aatī

aai hogi kisi ko hijr mein maut

mujh ko to nind bhi nahin aati

leaderoñ dhuum hai aur follower koī nahīñ

sab to general haiñ yahāñ āḳhir sipāhī kaun hai

leaderon ki dhum hai aur follower koi nahin

sab to general hain yahan aaKHir sipahi kaun hai

mere havās ishq meñ kyā kam haiñ muntashir

majnūñ naam ho gayā qismat baat hai

mere hawas ishq mein kya kam hain muntashir

majnun ka nam ho gaya qismat ki baat hai

sayyad sarguzisht ko haalī se pūchhiye

ġhāzī miyāñ haal Dafālī se pūchhiye

sayyad ki sarguzisht ko haali se puchhiye

ghazi miyan ka haal Dafali se puchhiye

naaz kyā is pe jo badlā hai zamāne ne tumheñ

mard haiñ vo jo zamāne ko badal dete haiñ

naz kya is pe jo badla hai zamane ne tumhein

mard hain wo jo zamane ko badal dete hain

nigāheñ kāmiloñ par paḌ jaatī haiñ zamāne

kahīñ chhuptā hai 'akbar' phuul pattoñ meñ nihāñ ho kar

nigahen kaamilon par paD hi jati hain zamane ki

kahin chhupta hai 'akbar' phul patton mein nihan ho kar

shaiḳh ghar se na nikle aur mujh se kah diyā

aap b-a paas haiñ aur banda biibī paas hai

shaiKH ji ghar se na nikle aur mujh se kah diya

aap b-a pas hain aur banda bibi pas hai

merī ye bechainiyāñ aur un kahnā naaz se

hañs ke tum se bol to lete haiñ aur ham kyā kareñ

meri ye bechainiyan aur un ka kahna naz se

hans ke tum se bol to lete hain aur hum kya karen

un āñkhoñ lagāvaT se hazar ai 'akbar'

diin se kartī hai dil ko yahī ġhammāz judā

un ki aankhon ki lagawaT se hazar ai 'akbar'

din se karti hai dil ko yahi ghammaz juda

ka.abe se jo but nikle bhī to kyā ka.aba gayā jo dil se nikal

afsos ki but bhī ham se chhuTe qabze se ḳhudā ghar bhī gayā

kabe se jo but nikle bhi to kya kaba hi gaya jo dil se nikal

afsos ki but bhi hum se chhuTe qabze se KHuda ka ghar bhi gaya

kamar-e-yār hai bārīkī se ġhā.eb har chand

magar itnā to kahūñgā ki vo ma.adūm nahīñ

kamar-e-yar hai bariki se ghaeb har chand

magar itna to kahunga ki wo madum nahin

ġhazab hai vo ziddī baḌe ho ga.e

maiñ leTā to uTh ke khaḌe ho ga.e

ghazab hai wo ziddi baDe ho gae

main leTa to uTh ke khaDe ho gae

masjid hai ḳhayāl na parvā-e-church hai

jo kuchh hai ab to college-o-teacher meñ ḳharch hai

masjid ka hai KHayal na parwa-e-church hai

jo kuchh hai ab to college-o-teacher mein KHarch hai

log kahte haiñ badaltā hai zamāna sab ko

mard vo haiñ jo zamāne ko badal dete haiñ

log kahte hain badalta hai zamana sab ko

mard wo hain jo zamane ko badal dete hain

in ko kyā kaam hai muravvat se apnī ruḳh se ye muñh na moḌeñge

jaan shāyad farishte chhoḌ bhī deñ doctor fees ko na chhoḌeñge

in ko kya kaam hai murawwat se apni ruKH se ye munh na moDenge

jaan shayad farishte chhoD bhi den doctor fees ko na chhoDenge

college se aa rahī hai sadā paas paas

ohdoñ se aa rahī hai sadā duur duur

college se aa rahi hai sada pas pas ki

ohdon se aa rahi hai sada dur dur ki

lagāvaT adā se un kahnā paan hāzir hai

qayāmat hai sitam hai dil fidā hai jaan hāzir hai

lagawaT ki ada se un ka kahna pan hazir hai

qayamat hai sitam hai dil fida hai jaan hazir hai

rahmān ke farishte go haiñ bahut muqaddas

shaitān jānib lekin majority hai

rahman ke farishte go hain bahut muqaddas

shaitan hi ki jaanib lekin majority hai

javānī duā laḌkoñ ko nā-haq log dete haiñ

yahī laḌke miTāte haiñ javānī ko javāñ ho kar

jawani ki dua laDkon ko na-haq log dete hain

yahi laDke miTate hain jawani ko jawan ho kar

duḳhtar-e-raz ne uThā rakkhī hai aafat sar par

ḳhairiyat guzrī ki añgūr ke beTā na huā

duKHtar-e-raz ne uTha rakkhi hai aafat sar par

KHairiyat guzri ki angur ke beTa na hua

ab to hai ishq-e-butāñ meñ zindagānī maza

jab ḳhudā sāmnā hogā to dekhā jā.egā

ab to hai ishq-e-butan mein zindagani ka maza

jab KHuda ka samna hoga to dekha jaega

haqīqī aur majāzī shā.erī meñ farq ye paayā

ki vo jaame se bāhar hai ye pājāme se bāhar hai

haqiqi aur majazi shaeri mein farq ye paya

ki wo jame se bahar hai ye pajame se bahar hai

bas jaan gayā maiñ tirī pahchān yahī hai

dil meñ to aatā hai samajh meñ nahīñ aatā

bas jaan gaya main teri pahchan yahi hai

tu dil mein to aata hai samajh mein nahin aata

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now