aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Asad Badayuni's Photo'

Asad Badayuni

1952 - 2003 | Aligarh, India

Leading poet who taught Urdu literature at AMU, Aligarh, also published a literary magazine 'Daairay'

Leading poet who taught Urdu literature at AMU, Aligarh, also published a literary magazine 'Daairay'

Sher of Asad Badayuni

13K
Favorite

SORT BY

dekhne ke liye saarā aalam bhī kam

chāhne ke liye ek chehrā bahut

dekhne ke liye sara aalam bhi kam

chahne ke liye ek chehra bahut

sab ik charāġh ke parvāne honā chāhte haiñ

ajiib log haiñ dīvāne honā chāhte haiñ

sab ek charagh ke parwane hona chahte hain

ajib log hain diwane hona chahte hain

merī rusvā.ī ke asbāb haiñ mere andar

aadmī huuñ so bahut ḳhvāb haiñ mere andar

meri ruswai ke asbab hain mere andar

aadmi hun so bahut KHwab hain mere andar

bichhaḌ ke tujh se kisī dūsre pe marnā hai

ye tajraba bhī isī zindagī meñ karnā hai

bichhaD ke tujh se kisi dusre pe marna hai

ye tajraba bhi isi zindagi mein karna hai

gaañv aañkh se bastī nazar se dekhā

ek rañg hai duniyā ko jidhar se dekhā

ganw ki aankh se basti ki nazar se dekha

ek hi rang hai duniya ko jidhar se dekha

chashm-e-inkār meñ iqrār bhī ho saktā thā

chheḌne ko mujhe phir merī anā pūchhtī hai

chashm-e-inkar mein iqrar bhi ho sakta tha

chheDne ko mujhe phir meri ana puchhti hai

jam ga.ī dhuul mulāqāt ke ā.īnoñ par

mujh ko us na use merī zarūrat koī

jam gai dhul mulaqat ke aainon par

mujh ko us ki na use meri zarurat koi

jise paḌhte to yaad aatā thā terā phuul chehra

hamārī sab kitāboñ meñ ik aisā baab rahtā thā

jise paDhte to yaad aata tha tera phul sa chehra

hamari sab kitabon mein ek aisa bab rahta tha

vo saarī bāteñ maiñ ahbāb se kahtā huuñ

mujhe harīf ko jo kuchh sunānā hotā hai

wo sari baaten main ahbab hi se kahta hun

mujhe harif ko jo kuchh sunana hota hai

ġhairoñ ko kyā paḌī hai ki rusvā kareñ mujhe

in sāzishoñ meñ haath kisī āshnā hai

what is it to strangers to spread this calumny

the conspiracy is the work of someone close to me

ghairon ko kya paDi hai ki ruswa karen mujhe

in sazishon mein hath kisi aashna ka hai

what is it to strangers to spread this calumny

the conspiracy is the work of someone close to me

bahut se logoñ ko maiñ bhī ġhalat samajhtā huuñ

bahut se log mujhe bhī burā batāte haiñ

bahut se logon ko main bhi ghalat samajhta hun

bahut se log mujhe bhi bura batate hain

phūloñ tāzgī nahīñ dekhne chiiz

kāñToñ samt bhī to nigāheñ uThā ke dekh

phulon ki tazgi hi nahin dekhne ki chiz

kanTon ki samt bhi to nigahen uTha ke dekh

kabhī mauj-e-ḳhvāb meñ kho gayā kabhī thak ke ret pe so gayā

yūñhī umr saarī guzār faqat ārzū-e-visāl meñ

kabhi mauj-e-KHwab mein kho gaya kabhi thak ke ret pe so gaya

yunhi umr sari guzar di faqat aarzu-e-visal mein

jise na merī udāsī kuchh ḳhayāl aayā

maiñ us ke husn pe ik roz ḳhaak Daal aayā

jise na meri udasi ka kuchh KHayal aaya

main us ke husn pe ek roz KHak Dal aaya

letā nahīñ kisī pas-e-marg koī naam

duniyā ko dekhnā hai to duniyā se ke dekh

leta nahin kisi ka pas-e-marg koi nam

duniya ko dekhna hai to duniya se ja ke dekh

vahāñ bhī mujh ko ḳhudā sar-buland rakhtā hai

jahāñ saroñ ko jhukā.e zamāna hotā hai

wahan bhi mujh ko KHuda sar-buland rakhta hai

jahan saron ko jhukae zamana hota hai

aate haiñ barg-o-bār daraḳhtoñ ke jism par

tum bhī uThāo haath ki mausam duā hai

aate hain barg-o-bar daraKHton ke jism par

tum bhi uThao hath ki mausam dua ka hai

havā daraḳhtoñ se kahtī hai dukh ke lahje meñ

abhī mujhe ka.ī sahrāoñ se guzarnā hai

hawa daraKHton se kahti hai dukh ke lahje mein

abhi mujhe kai sahraon se guzarna hai

jab talak āzād the har ik masāfat thī vabāl

jab paḌī zanjīr pairoñ meñ safar achchhe lage

jab talak aazad the har ek masafat thi wabaal

jab paDi zanjir pairon mein safar achchhe lage

chaman vahī ki jahāñ par laboñ ke phuul khileñ

badan vahī ki jahāñ raat ho gavārā bhī

chaman wahi ki jahan par labon ke phul khilen

badan wahi ki jahan raat ho gawara bhi

mohabbateñ bhī usī aadmī hissa thiiñ

magar ye baat purāne zamāne vaalī hai

mohabbaten bhi usi aadmi ka hissa thin

magar ye baat purane zamane wali hai

parind kyuuñ mirī shāḳhoñ se ḳhauf khāte haiñ

ki ik daraḳht huuñ aur sāya-dār maiñ bhī huuñ

parind kyun meri shaKHon se KHauf khate hain

ki ek daraKHt hun aur saya-dar main bhi hun

purāne ghar shikasta chhatoñ se uktā kar

na.e makān naqsha banātā rahtā huuñ

purane ghar ki shikasta chhaton se ukta kar

nae makan ka naqsha banata rahta hun

parind peḌ se parvāz karte jaate haiñ

ki bastiyoñ muqaddar badaltā jaatā hai

parind peD se parwaz karte jate hain

ki bastiyon ka muqaddar badalta jata hai

suḳhan-varī bahāna banātā rahtā huuñ

tirā fasāna tujhī ko sunātā rahtā huuñ

suKHan-wari ka bahana banata rahta hun

tera fasana tujhi ko sunata rahta hun

koī hamdam nahīñ duniyā meñ lekin

jise dekho vahī hamdam lage hai

koi hamdam nahin duniya mein lekin

jise dekho wahi hamdam lage hai

ye tā.eroñ qatāreñ kidhar ko jaatī haiñ

na koī daam bichhā hai kahīñ na daana hai

ye taeron ki qataren kidhar ko jati hain

na koi dam bichha hai kahin na dana hai

shāḳh se TuuT ke patte ne ye dil meñ sochā

kaun is tarah bhalā mā.il-e-hijrat hogā

shaKH se TuT ke patte ne ye dil mein socha

kaun is tarah bhala mail-e-hijrat hoga

havā ke apne ilāqe havas ke apne maqām

ye kab kisī ko zafar-yāb dekh sakte haiñ

hawa ke apne ilaqe hawas ke apne maqam

ye kab kisi ko zafar-yab dekh sakte hain

mire badan pe zamānoñ zañg hai lekin

maiñ kaise dekhūñ shikasta hai aa.ina merā

mere badan pe zamanon ki zang hai lekin

main kaise dekhun shikasta hai aaina mera

takallufāt nazmoñ silsila hai sivā

ta.alluqāt ab afsāne honā chāhte haiñ

takallufat ki nazmon ka silsila hai siwa

talluqat ab afsane hona chahte hain

yahāñ na peT is shā.erī se bhartā hai

yahāñ na qaum lauh-o-qalam se jāgtī hai

yahan na peT hi is shaeri se bharta hai

yahan na qaum hi lauh-o-qalam se jagti hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now