Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Saleem Kausar's Photo'

Saleem Kausar

1947 | Karachi, Pakistan

Well-known poet from Pakistan famous for his ghazal "main khayaal hoon kisi aur ka…"

Well-known poet from Pakistan famous for his ghazal "main khayaal hoon kisi aur ka…"

Sher of Saleem Kausar

19.4K
Favorite

SORT BY

qurbateñ hote hue bhī fāsloñ meñ qaid haiñ

kitnī āzādī se ham apnī hadoñ meñ qaid haiñ

qurbaten hote hue bhi faslon mein qaid hain

kitni aazadi se hum apni hadon mein qaid hain

kahānī likhte hue dāstāñ sunāte hue

vo so gayā hai mujhe ḳhvāb se jagāte hue

kahani likhte hue dastan sunate hue

wo so gaya hai mujhe KHwab se jagate hue

aur is se pahle ki sābit ho jurm-e-ḳhāmoshī

ham apnī raa.e iz.hār karnā chāhte haiñ

aur is se pahle ki sabit ho jurm-e-KHamoshi

hum apni rae ka izhaar karna chahte hain

maiñ ḳhayāl huuñ kisī aur mujhe sochtā koī aur hai

sar-e-ā.īna mirā aks hai pas-e-ā.īna koī aur hai

I am someone else's thought, someone else brings me to mind

my image in the mirror wrought, someone else is there behind

main KHayal hun kisi aur ka mujhe sochta koi aur hai

sar-e-aina mera aks hai pas-e-aina koi aur hai

I am someone else's thought, someone else brings me to mind

my image in the mirror wrought, someone else is there behind

ham ne to ḳhud se intiqām liyā

tum ne kyā soch kar mohabbat

hum ne to KHud se intiqam liya

tum ne kya soch kar mohabbat ki

ā.īna ḳhud bhī sañvartā thā hamārī ḳhātir

ham tire vāste tayyār huā karte the

aaina KHud bhi sanwarta tha hamari KHatir

hum tere waste tayyar hua karte the

vaqt ruk ruk ke jinheñ dekhtā rahtā hai 'salīm'

ye kabhī vaqt raftār huā karte the

waqt ruk ruk ke jinhen dekhta rahta hai 'salim'

ye kabhi waqt ki raftar hua karte the

pukārte haiñ unheñ sāhiloñ ke sannāTe

jo log Duub ga.e kashtiyāñ banāte hue

pukarte hain unhen sahilon ke sannaTe

jo log Dub gae kashtiyan banate hue

duniyā achchhī bhī nahīñ lagtī ham aisoñ ko 'salīm'

aur duniyā se kinārā bhī nahīñ ho saktā

duniya achchhi bhi nahin lagti hum aison ko 'salim'

aur duniya se kinara bhi nahin ho sakta

kabhī ishq karo aur phir dekho is aag meñ jalte rahne se

kabhī dil par aañch nahīñ aatī kabhī rañg ḳharāb nahīñ hotā

kabhi ishq karo aur phir dekho is aag mein jalte rahne se

kabhi dil par aanch nahin aati kabhi rang KHarab nahin hota

mujhe sambhālne meñ itnī ehtiyāt na kar

bikhar na jā.ūñ kahīñ maiñ tirī hifāzat meñ

mujhe sambhaalne mein itni ehtiyat na kar

bikhar na jaun kahin main teri hifazat mein

tujhe dushmanoñ ḳhabar na thī mujhe dostoñ patā nahīñ

tirī dāstāñ koī aur thī mirā vāqi.a koī aur hai

----

----

tujhe dushmanon ki KHabar na thi mujhe doston ka pata nahin

teri dastan koi aur thi mera waqia koi aur hai

----

----

raat ko raat is baar kahā hai ham ne

ham ne is baar bhī tauhīn-e-adālat nahīñ

raat ko raat hi is bar kaha hai hum ne

hum ne is bar bhi tauhin-e-adalat nahin ki

tum ne sach bolne jur.at

ye bhī tauhīn hai adālat

tum ne sach bolne ki jurat ki

ye bhi tauhin hai adalat ki

dekhte kuchh haiñ dikhāte hameñ kuchh haiñ ki yahāñ

koī rishta nahīñ ḳhvāb tābīr ke saath

dekhte kuchh hain dikhate hamein kuchh hain ki yahan

koi rishta hi nahin KHwab ka tabir ke sath

bahut dinoñ meñ kahīñ hijr-e-māh-o-sāl ke ba.ad

rukā huā hai zamāna tire visāl ke ba.ad

bahut dinon mein kahin hijr-e-mah-o-sal ke baad

ruka hua hai zamana tere visal ke baad

tamām umr sitāre talāsh kartā phirā

palaT ke dekhā to mahtāb mere sāmne thā

tamam umr sitare talash karta phira

palaT ke dekha to mahtab mere samne tha

ye log ishq meñ sachche nahīñ haiñ varna hijr

na ibtidā na kahīñ intihā meñ aatā hai

ye log ishq mein sachche nahin hain warna hijr

na ibtida na kahin intiha mein aata hai

kyā ajab kār-e-tahayyur hai supurd-e-nār-e-ishq

ghar meñ jo thā bach gayā aur jo nahīñ thā jal gayā

kya ajab kar-e-tahayyur hai supurd-e-nar-e-ishq

ghar mein jo tha bach gaya aur jo nahin tha jal gaya

'salīm' ab tak kisī ko ba-duā to nahīñ lekin

hamesha ḳhush rahe jis ne hamārā dil dukhāyā hai

'salim' ab tak kisi ko ba-dua di to nahin lekin

hamesha KHush rahe jis ne hamara dil dukhaya hai

kuchh is tarah se vo shāmil huā kahānī meñ

ki is ke baad jo kirdār thā fasāna huā

kuchh is tarah se wo shamil hua kahani mein

ki is ke baad jo kirdar tha fasana hua

ai mire chārāgar tire bas meñ nahīñ mo.āmla

sūrat-e-hāl ke liye vāqif-e-hāl chāhiye

ai mere chaaragar tere bas mein nahin moamla

surat-e-haal ke liye waqif-e-haal chahiye

maiñ kisī ke dast-e-talab meñ huuñ to kisī ke harf-e-duā meñ huuñ

maiñ nasīb huuñ kisī aur mujhe māñgtā koī aur hai

I am in someone's outstretched hand, and in someone's prayer prayer I be

I am someone's destiny but someone else does ask for me

main kisi ke dast-e-talab mein hun to kisi ke harf-e-dua mein hun

main nasib hun kisi aur ka mujhe mangta koi aur hai

I am in someone's outstretched hand, and in someone's prayer prayer I be

I am someone's destiny but someone else does ask for me

ḳhāmosh sahī markazī kirdār to ham the

phir kaise bhalā terī kahānī se nikalte

KHamosh sahi markazi kirdar to hum the

phir kaise bhala teri kahani se nikalte

vo jin ke naqsh-e-qadam dekhne meñ aate haiñ

ab aise log to kam dekhne meñ aate haiñ

wo jin ke naqsh-e-qadam dekhne mein aate hain

ab aise log to kam dekhne mein aate hain

mohabbat apne liye jin ko muntaḳhab kar le

vo log mar ke bhī marte nahīñ mohabbat meñ

mohabbat apne liye jin ko muntaKHab kar le

wo log mar ke bhi marte nahin mohabbat mein

saañs lene se bhī bhartā nahīñ siine ḳhalā

jaane kyā shai hai jo be-daḳhl huī hai mujh meñ

sans lene se bhi bharta nahin sine ka KHala

jaane kya shai hai jo be-daKHl hui hai mujh mein

qadmoñ meñ saa.e tarah rauñde ga.e haiñ ham

ham se ziyāda terā talabgār kaun hai

qadmon mein sae ki tarah raunde gae hain hum

hum se ziyaada tera talabgar kaun hai

ajnabī hairān mat honā ki dar khultā nahīñ

jo yahāñ ābād haiñ un par bhī ghar khultā nahīñ

ajnabi hairan mat hona ki dar khulta nahin

jo yahan aabaad hain un par bhi ghar khulta nahin

tum to kahte the ki sab qaidī rihā.ī ga.e

phir pas-e-dīvār-e-zindāñ rāt-bhar rotā hai kaun

tum to kahte the ki sab qaidi rihai pa gae

phir pas-e-diwar-e-zindan raat-bhar rota hai kaun

yaad zaḳhm bhī ham tujh ko nahīñ de sakte

dekh kis ālam-e-ġhurbat meñ mile haiñ tujh se

yaad ka zaKHm bhi hum tujh ko nahin de sakte

dekh kis aalam-e-ghurbat mein mile hain tujh se

ab jo lahar hai pal bhar baad nahīñ hogī yaanī

ik dariyā meñ dūsrī baar utrā nahīñ saktā

ab jo lahar hai pal bhar baad nahin hogi yani

ek dariya mein dusri bar utra nahin ja sakta

dast-e-duā ko kāsa-e-sā.il samajhte ho

tum dost ho to kyuuñ nahīñ mushkil samajhte ho

dast-e-dua ko kasa-e-sail samajhte ho

tum dost ho to kyun nahin mushkil samajhte ho

zoroñ pe 'salīm' ab ke hai nafrat bahāv

jo bach ke nikal aa.egā tairāk vahī hai

zoron pe 'salim' ab ke hai nafrat ka bahaw

jo bach ke nikal aaega tairak wahi hai

intizār aur dastakoñ ke darmiyāñ kaTtī hai umr

itnī āsānī se to bāb-e-hunar khultā nahīñ

intizar aur dastakon ke darmiyan kaTti hai umr

itni aasani se to bab-e-hunar khulta nahin

saa.e galī meñ jāgte rahte haiñ raat bhar

tanhā.iyoñ oT se jhāñkā na kar mujhe

sae gali mein jagte rahte hain raat bhar

tanhaiyon ki oT se jhanka na kar mujhe

maiñ jāntā huuñ makīnoñ ḳhāmushī sabab

makāñ se pahle dar-o-bām se milā huuñ maiñ

main jaanta hun makinon ki KHamushi ka sabab

makan se pahle dar-o-baam se mila hun main

ek taraf tire husn hairat ek taraf duniyā

aur duniyā meñ der talak Thahrā nahīñ saktā

ek taraf tere husn ki hairat ek taraf duniya

aur duniya mein der talak Thahra nahin ja sakta

abhī hairat ziyāda aur ujālā kam rahegā

ġhazal meñ ab ke bhī terā havāla kam rahegā

abhi hairat ziyaada aur ujala kam rahega

ghazal mein ab ke bhi tera hawala kam rahega

ahl-e-ḳhirad ko aaj bhī apne yaqīn ke liye

jis misāl nahīñ us misāl chāhiye

ahl-e-KHirad ko aaj bhi apne yaqin ke liye

jis ki misal hi nahin us ki misal chahiye

bhalā vo husn kis dastaras meñ aa sakā hai

ki saarī umr bhī likkheñ maqāla kam rahegā

bhala wo husn kis ki dastaras mein aa saka hai

ki sari umr bhi likkhen maqala kam rahega

mirī raushnī tire ḳhadd-o-ḳhāl se muḳhtalif to nahīñ magar

qarīb aa tujhe dekh luuñ vahī hai koī aur hai

tho my sight unconversant with your features may not be

if or not you are the same come close and let me see,

meri raushni tere KHadd-o-KHal se muKHtalif to nahin magar

tu qarib aa tujhe dekh lun tu wahi hai ya koi aur hai

tho my sight unconversant with your features may not be

if or not you are the same come close and let me see,

judā.ī bhī na hotī zindagī bhī sahl ho jaatī

jo ham ik dūsre se mas.ala tabdīl kar lete

judai bhi na hoti zindagi bhi sahl ho jati

jo hum ek dusre se masala tabdil kar lete

ne dekhā nahīñ ik shaḳhs ke jaane se 'salīm'

is bhare shahr jo shakl huī hai mujh meñ

tu ne dekha nahin ek shaKHs ke jaane se 'salim'

is bhare shahr ki jo shakl hui hai mujh mein

maiñ ne jo likh diyā vo ḳhud hai gavāhī apnī

jo nahīñ likkhā abhī us bashārat dūñgā

main ne jo likh diya wo KHud hai gawahi apni

jo nahin likkha abhi us ki bashaarat dunga

jo mirī riyāzat-e-nīm-shab ko 'salīm' sub.h na mil sakī

to phir is ke ma.anī to ye hue ki yahāñ ḳhudā koī aur hai

if for my midnight prayers, Saliim, a dawn there shall never be

then it means that in this world there is a God other than thee

jo meri riyazat-e-nim-shab ko 'salim' subh na mil saki

to phir is ke mani to ye hue ki yahan KHuda koi aur hai

if for my midnight prayers, Saliim, a dawn there shall never be

then it means that in this world there is a God other than thee

kaise hañgāma-e-fursat meñ mile haiñ tujh se

ham bhare shahr ḳhalvat meñ mile haiñ tujh se

kaise hangama-e-fursat mein mile hain tujh se

hum bhare shahr ki KHalwat mein mile hain tujh se

ye aag lagne se pahle bāz-gasht hai jo

bujhāne vāloñ ko ab tak dhuāñ bulātā hai

ye aag lagne se pahle ki baz-gasht hai jo

bujhane walon ko ab tak dhuan bulata hai

maiñ use tujh se milā detā magar dil mere

mere kuchh kaam nahīñ aa.e vasā.il mere

TRANSLATION

O my heart, I would have united you with thee,

My own schemes, however, did not work for me.

Sagar Akbarabadi

main use tujh se mila deta magar dil mere

mere kuchh kaam nahin aae wasail mere

TRANSLATION

O my heart, I would have united you with thee,

My own schemes, however, did not work for me.

Sagar Akbarabadi

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now