aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Top 20 Mulaqat Shayari

The pleasures and pains

of meeting have been the favourite concern of poets in all ages. Most often, they have written about the meeting and union of lovers in separation. These verses expose you to the pleasures of meeting which also lead to separation sometimes.

musāfir haiñ ham bhī musāfir ho tum bhī

kisī moḌ par phir mulāqāt hogī

musafir hain hum bhi musafir ho tum bhi

kisi moD par phir mulaqat hogi

Bashir Badr

gaahe gaahe mulāqāt achchhī hai 'amīr'

qadr kho detā hai har roz aanā jaanā

gahe gahe ki mulaqat hi achchhi hai 'amir'

qadr kho deta hai har roz ka aana jaana

Ameer Minai

kaise kah duuñ ki mulāqāt nahīñ hotī hai

roz milte haiñ magar baat nahīñ hotī hai

kaise kah dun ki mulaqat nahin hoti hai

roz milte hain magar baat nahin hoti hai

Shakeel Badayuni

jaane vaale se mulāqāt na hone paa.ī

dil dil meñ rahī baat na hone paa.ī

jaane wale se mulaqat na hone pai

dil ki dil mein hi rahi baat na hone pai

Shakeel Badayuni

kyā kahūñ us se ki jo baat samajhtā nahīñ

vo to milne ko mulāqāt samajhtā nahīñ

kya kahun us se ki jo baat samajhta hi nahin

wo to milne ko mulaqat samajhta hi nahin

Fatima Hasan

ġhairoñ se to fursat tumheñ din raat nahīñ hai

haañ mere liye vaqt-e-mulāqāt nahīñ hai

ghairon se to fursat tumhein din raat nahin hai

han mere liye waqt-e-mulaqat nahin hai

Lala Madhav Ram Jauhar

mil rahī ho baḌe tapāk ke saath

mujh ko yaksar bhulā chukī ho kyā

mil rahi ho baDe tapak ke sath

mujh ko yaksar bhula chuki ho kya

Jaun Eliya

ye mulāqāt mulāqāt nahīñ hotī hai

baat hotī hai magar baat nahīñ hotī hai

ye mulaqat mulaqat nahin hoti hai

baat hoti hai magar baat nahin hoti hai

Hafeez Jalandhari

sunte rahe haiñ aap ke ausāf sab se ham

milne aap se kabhī mauqa.a nahīñ milā

sunte rahe hain aap ke ausaf sab se hum

milne ka aap se kabhi mauqa nahin mila

Nooh Narvi

har mulāqāt pe siine se lagāne vaale

kitne pyāre haiñ mujhe chhoḌ ke jaane vaale

har mulaqat pe sine se lagane wale

kitne pyare hain mujhe chhoD ke jaane wale

Vipul Kumar

aaj to mil ke bhī jaise na mile hoñ tujh se

chauñk uThte the kabhī terī mulāqāt se ham

aaj to mil ke bhi jaise na mile hon tujh se

chaunk uThte the kabhi teri mulaqat se hum

Jan Nisar Akhtar

kaafī nahīñ ḳhutūt kisī baat ke liye

tashrīf lā.iyegā mulāqāt ke liye

kafi nahin KHutut kisi baat ke liye

tashrif laiyega mulaqat ke liye

Anwar Shuoor

yaar sab jam.a hue raat ḳhāmoshī meñ

koī ro kar to koī baal banā kar aayā

yar sab jama hue raat ki KHamoshi mein

koi ro kar to koi baal bana kar aaya

Ahmad Mushtaq

jab us zulf meñ pahlā safed baal aayā

tab us ko pahlī mulāqāt ḳhayāl aayā

jab us ki zulf mein pahla safed baal aaya

tab us ko pahli mulaqat ka KHayal aaya

Shahzad Ahmad

ba.az auqāt kisī aur ke milne se 'adam'

apnī hastī se mulāqāt bhī ho jaatī hai

baz auqat kisi aur ke milne se 'adam'

apni hasti se mulaqat bhi ho jati hai

Abdul Hamid Adam

ab mulāqāt huī hai to mulāqāt rahe

na mulāqāt thī jab tak ki mulāqāt na thī

ab mulaqat hui hai to mulaqat rahe

na mulaqat thi jab tak ki mulaqat na thi

Haidar Ali Aatish

zindagī ke vo kisī moḌ pe gaahe gaahe

mil to jaate haiñ mulāqāt kahāñ hotī hai

zindagi ke wo kisi moD pe gahe gahe

mil to jate hain mulaqat kahan hoti hai

Ahmad Rahi

miTe ye shub.h to a dost tujh se baat kareñ

hamārī pahlī mulāqāt āḳhirī to nahīñ

miTe ye shubh to a dost tujh se baat karen

hamari pahli mulaqat aaKHiri to nahin

Krishn Bihari Noor

roz aane pe nahīñ nisbat-e-ishqī mauqūf

umr bhar ek mulāqāt chalī jaatī hai

roz aane pe nahin nisbat-e-ishqi mauquf

umr bhar ek mulaqat chali jati hai

Meer Taqi Meer

na milo khul ke to chorī mulāqāt rahe

ham bulā.eñge tumheñ raat ga.e raat rahe

na milo khul ke to chori ki mulaqat rahe

hum bulaenge tumhein raat gae raat rahe

Nooh Narvi

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now