Sher of Lala Madhav Ram Jauhar
bhāñp hī leñge ishāra sar-e-mahfil jo kiyā
tāḌne vaale qayāmat kī nazar rakhte haiñ
bhanp hi lenge ishaara sar-e-mahfil jo kiya
taDne wale qayamat ki nazar rakhte hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ġhairoñ se to fursat tumheñ din raat nahīñ hai
haañ mere liye vaqt-e-mulāqāt nahīñ hai
ghairon se to fursat tumhein din raat nahin hai
han mere liye waqt-e-mulaqat nahin hai
tujh sā koī jahān meñ nāzuk-badan kahāñ
ye pañkhuḌī se hoñT ye gul sā badan kahāñ
tujh sa koi jahan mein nazuk-badan kahan
ye pankhuDi se honT ye gul sa badan kahan
laḌne ko dil jo chāhe to āñkheñ laḌā.iye
ho jañg bhī agar to mazedār jañg ho
laDne ko dil jo chahe to aankhen laDaiye
ho jang bhi agar to mazedar jang ho
-
Tag : Eyes
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ai dost tujh ko rahm na aa.e to kyā karūñ
dushman bhī mere haal pe ab āb-dīda hai
ai dost tujh ko rahm na aae to kya karun
dushman bhi mere haal pe ab aab-dida hai
nāla-e-bulbul-e-shaidā to sunā hañs hañs kar
ab jigar thaam ke baiTho mirī baarī aa.ī
nala-e-bulbul-e-shaida to suna hans hans kar
ab jigar tham ke baiTho meri bari aai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
samjhā liyā fareb se mujh ko to aap ne
dil se to pūchh lījiye kyuuñ be-qarār hai
samjha liya fareb se mujh ko to aap ne
dil se to puchh lijiye kyun be-qarar hai
vahī shāgird phir ho jaate haiñ ustād ai 'jauhar'
jo apne jān-o-dil se ḳhidmat-e-ustād karte haiñ
wahi shagird phir ho jate hain ustad ai 'jauhar'
jo apne jaan-o-dil se KHidmat-e-ustad karte hain
jo dost haiñ vo māñgte haiñ sulh kī duā
dushman ye chāhte haiñ ki aapas meñ jañg ho
jo dost hain wo mangte hain sulh ki dua
dushman ye chahte hain ki aapas mein jang ho
ḳhūb-rū haiñ saikḌoñ lekin nahīñ terā javāb
dilrubā.ī meñ adā meñ naaz meñ andāz meñ
KHub-ru hain saikDon lekin nahin tera jawab
dilrubai mein ada mein naz mein andaz mein
ham ishq meñ haiñ fard to tum husn meñ yaktā
ham sā bhī nahīñ ek jo tum sā nahīñ koī
hum ishq mein hain fard to tum husn mein yakta
hum sa bhi nahin ek jo tum sa nahin koi
na vo sūrat dikhāte haiñ na milte haiñ gale aa kar
na āñkheñ shaad hotīñ haiñ na dil masrūr hotā hai
na wo surat dikhate hain na milte hain gale aa kar
na aankhen shad hotin hain na dil masrur hota hai
dost do-chār nikalte haiñ kahīñ lākhoñ meñ
jitne hote haiñ sivā utne hī kam hote haiñ
dost do-chaar nikalte hain kahin lakhon mein
jitne hote hain siwa utne hi kam hote hain
zarra samajh ke yuuñ na milā mujh ko ḳhaak meñ
ai āsmān maiñ bhī kabhī āftāb thā
zarra samajh ke yun na mila mujh ko KHak mein
ai aasman main bhi kabhi aaftab tha
-
Tag : Aasman
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
duniyā bahut ḳharāb hai jā-e-guzar nahīñ
bistar uThāo rahne ke qābil ye ghar nahīñ
duniya bahut KHarab hai ja-e-guzar nahin
bistar uThao rahne ke qabil ye ghar nahin
armān vasl kā mirī nazroñ se taaḌ ke
pahle hī se vo baiTh ga.e muñh bigāḌ ke
arman wasl ka meri nazron se taD ke
pahle hi se wo baiTh gae munh bigaD ke
tasavvur zulf kā hai aur maiñ huuñ
balā kā sāmnā hai aur maiñ huuñ
tasawwur zulf ka hai aur main hun
bala ka samna hai aur main hun
mohabbat ko chhupā.e laakh koī chhup nahīñ saktī
ye vo afsāna hai jo be-kahe mash.hūr hotā hai
mohabbat ko chhupae lakh koi chhup nahin sakti
ye wo afsana hai jo be-kahe mashhur hota hai
dost dil rakhne ko karte haiñ bahāne kyā kyā
roz jhūTī ḳhabar-e-vasl sunā jaate haiñ
dost dil rakhne ko karte hain bahane kya kya
roz jhuTi KHabar-e-wasl suna jate hain
thame aañsū to phir tum shauq se ghar ko chale jaanā
kahāñ jaate ho is tūfān meñ paanī zarā Thahre
thame aansu to phir tum shauq se ghar ko chale jaana
kahan jate ho is tufan mein pani zara Thahre
va.ada nahīñ payām nahīñ guftugū nahīñ
hairat hai ai ḳhudā mujhe kyuuñ intizār hai
wada nahin payam nahin guftugu nahin
hairat hai ai KHuda mujhe kyun intizar hai
ai dil-e-zār maza dekh liyā ulfat kā
ham na kahte the ki is kaam meñ zillat hogī
ai dil-e-zar maza dekh liya ulfat ka
hum na kahte the ki is kaam mein zillat hogi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
nūr-e-badan se phailī añdhere meñ chāñdnī
kapḌe jo us ne shab ko utāre palañg par
nur-e-badan se phaili andhere mein chandni
kapDe jo us ne shab ko utare palang par
do hī din meñ ye sanam hosh-rubā hote haiñ
kal ke tarshe hue but aaj ḳhudā hote haiñ
do hi din mein ye sanam hosh-ruba hote hain
kal ke tarshe hue but aaj KHuda hote hain
chup raho kyuuñ mizāj pūchhte ho
ham ji.eñ yā mareñ tumheñ kyā hai
chup raho kyun mizaj puchhte ho
hum jien ya maren tumhein kya hai
-
Tag : Shikwa
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dil pyaar kī nazar ke liye be-qarār hai
ik tiir is taraf bhī ye taaza shikār hai
dil pyar ki nazar ke liye be-qarar hai
ek tir is taraf bhi ye taza shikar hai
muñh par naqāb-e-zard har ik zulf par gulāl
holī kī shaam hī to sahar hai basant kī
munh par naqab-e-zard har ek zulf par gulal
holi ki sham hi to sahar hai basant ki
ahl-e-jannat mujhe lete haiñ na dozaḳh vaale
kis jagah jā ke tumhārā ye gunahgār rahe
ahl-e-jannat mujhe lete hain na dozaKH wale
kis jagah ja ke tumhaara ye gunahgar rahe
hāl-e-dil sunte nahīñ ye kah ke ḳhush kar dete haiñ
phir kabhī fursat meñ sun leñge kahānī aap kī
haal-e-dil sunte nahin ye kah ke KHush kar dete hain
phir kabhi fursat mein sun lenge kahani aap ki
-
Tag : Izhaar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
na māñgiye jo ḳhudā se to māñgiye kis se
jo de rahā hai usī se savāl hotā hai
na mangiye jo KHuda se to mangiye kis se
jo de raha hai usi se sawal hota hai
merī hī jaan ke dushman haiñ nasīhat vaale
mujh ko samjhāte haiñ un ko nahīñ samjhāte haiñ
meri hi jaan ke dushman hain nasihat wale
mujh ko samjhate hain un ko nahin samjhate hain
baal apne us parī-rū ne sañvāre raat bhar
saañp loTe saikḌoñ dil par hamāre raat bhar
baal apne us pari-ru ne sanware raat bhar
sanp loTe saikDon dil par hamare raat bhar
chhoḌnā hai to na ilzām lagā kar chhoḌo
kahīñ mil jaao to phir lutf-e-mulāqāt rahe
chhoDna hai to na ilzam laga kar chhoDo
kahin mil jao to phir lutf-e-mulaqat rahe
hāl-e-dil yaar ko mahfil meñ sunā.eñ kyūñ-kar
mudda.ī kaan idhar aur udhar rakhte haiñ
haal-e-dil yar ko mahfil mein sunaen kyun-kar
muddai kan idhar aur udhar rakhte hain
-
Tag : Izhaar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aap to muñh pher kar kahte haiñ aane ke liye
vasl kā va.ada zarā āñkheñ milā kar kījiye
aap to munh pher kar kahte hain aane ke liye
wasl ka wada zara aankhen mila kar kijiye
aa gayā 'jauhar' ajab ulTā zamāna kyā kaheñ
dost vo karte haiñ bāteñ jo adū karte nahīñ
aa gaya 'jauhar' ajab ulTa zamana kya kahen
dost wo karte hain baaten jo adu karte nahin
dekhiye kyā dikhātī hai taqdīr
chup khaḌā huuñ gunāhgāroñ meñ
dekhiye kya dikhati hai taqdir
chup khaDa hun gunahgaron mein
suntā huuñ maiñ ki aaj vo tashrīf lā.eñge
allāh sach kare kahīñ jhūTī ḳhabar na ho
sunta hun main ki aaj wo tashrif laenge
allah sach kare kahin jhuTi KHabar na ho
ka.abe meñ bhī vahī hai shivāle meñ bhī vahī
donoñ makān us ke haiñ chāhe jidhar rahe
kabe mein bhi wahi hai shiwale mein bhi wahi
donon makan us ke hain chahe jidhar rahe
āḳhir ik roz to paivand-e-zamīñ honā hai
jāma-e-zīst nayā aur purānā kaisā
aaKHir ek roz to paiwand-e-zamin hona hai
jama-e-zist naya aur purana kaisa
apnī zabān se mujhe jo chāhe kah leñ aap
baḌh baḌh ke bolnā nahīñ achchhā raqīb kā
apni zaban se mujhe jo chahe kah len aap
baDh baDh ke bolna nahin achchha raqib ka
-
Tag : Raqeeb
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vāqif nahīñ ki paañv meñ paḌtī haiñ beḌiyāñ
dūlhe ko ye ḳhushī hai ki merī barāt hai
waqif nahin ki panw mein paDti hain beDiyan
dulhe ko ye KHushi hai ki meri baraat hai
puurī hotī haiñ tasavvur meñ umīdeñ kyā kyā
dil meñ sab kuchh hai magar pesh-e-nazar kuchh bhī nahīñ
puri hoti hain tasawwur mein umiden kya kya
dil mein sab kuchh hai magar pesh-e-nazar kuchh bhi nahin
is qamar ko kabhī to dekheñge
tiis din hote haiñ mahīne ke
is qamar ko kabhi to dekhenge
tis din hote hain mahine ke
ab itr bhī malo to takalluf kī bū kahāñ
vo din havā hue jo pasīna gulāb thā
ab itr bhi malo to takalluf ki bu kahan
wo din hawa hue jo pasina gulab tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
barsāt kā mazā tire gesū dikhā ga.e
aks āsmān par jo paḌā abr chhā ga.e
barsat ka maza tere gesu dikha gae
aks aasman par jo paDa abr chha gae
jo kuchh paḌtī hai sar par sab uThātā hai mohabbat meñ
jahāñ dil aa gayā phir aadmī majbūr hotā hai
jo kuchh paDti hai sar par sab uThata hai mohabbat mein
jahan dil aa gaya phir aadmi majbur hota hai
kaun hote haiñ vo mahfil se uThāne vaale
yuuñ to jaate bhī magar ab nahīñ jaane vaale
kaun hote hain wo mahfil se uThane wale
yun to jate bhi magar ab nahin jaane wale
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
siine se lipTo yā galā kaaTo
ham tumhāre haiñ dil tumhārā hai
sine se lipTo ya gala kaTo
hum tumhaare hain dil tumhaara hai