Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Anwar Shuoor's Photo'

Anwar Shuoor

1943 | Karachi, Pakistan

Leading Pakistani poet who writes a four-lined on current affairs daily for the Pakistani Newspaper Jung.

Leading Pakistani poet who writes a four-lined on current affairs daily for the Pakistani Newspaper Jung.

Sher of Anwar Shuoor

44K
Favorite

SORT BY

bahut irāda kiyā koī kaam karne

magar amal na huā uljhaneñ aisī thiiñ

bahut irada kiya koi kaam karne ka

magar amal na hua uljhanen hi aisi thin

farishtoñ se bhī achchhā maiñ burā hone se pahle thā

vo mujh se intihā.ī ḳhush ḳhafā hone se pahle thā

farishton se bhi achchha main bura hone se pahle tha

wo mujh se intihai KHush KHafa hone se pahle tha

is ta.alluq meñ nahīñ mumkin talāq

ye mohabbat hai koī shādī nahīñ

is talluq mein nahin mumkin talaq

ye mohabbat hai koi shadi nahin

log sadmoñ se mar nahīñ jaate

sāmne misāl hai merī

log sadmon se mar nahin jate

samne ki misal hai meri

go kaThin hai tai karnā umr safar tanhā

lauT kar na dekhūñgā chal paḌā agar tanhā

go kaThin hai tai karna umr ka safar tanha

lauT kar na dekhunga chal paDa agar tanha

zindagī zarūratoñ yahāñ

hasratoñ meñ shumār hotā hai

zindagi ki zaruraton ka yahan

hasraton mein shumar hota hai

kis qadar bad-nāmiyāñ haiñ mere saath

kyā batā.ūñ kis qadar tanhā huuñ maiñ

kis qadar bad-namiyan hain mere sath

kya bataun kis qadar tanha hun main

sāmne aa kar vo kyā rahne lagā

ghar darvāza khulā rahne lagā

samne aa kar wo kya rahne laga

ghar ka darwaza khula rahne laga

zamāne ke jhameloñ se mujhe kyā

mirī jaañ! maiñ tumhārā aadmī huuñ

zamane ke jhamelon se mujhe kya

meri jaan! main tumhaara aadmi hun

koī zanjīr nahīñ tār-e-nazar se mazbūt

ham ne is chāñd pe Daalī hai kamand āñkhoñ se

koi zanjir nahin tar-e-nazar se mazbut

hum ne is chand pe Dali hai kamand aankhon se

aadmī ke liye ronā hai baḌī baat 'shu.ūr'

hañs to sakte haiñ sab insān hañsī meñ kyā hai

aadmi ke liye rona hai baDi baat 'shuur'

hans to sakte hain sab insan hansi mein kya hai

hamesha hāthoñ meñ hote haiñ phuul un ke liye

kisī ko bhej ke mañgvāne thoḌī hote haiñ

hamesha hathon mein hote hain phul un ke liye

kisi ko bhej ke mangwane thoDi hote hain

jo kuchh kaho qubūl hai takrār kyā karūñ

sharminda ab tumheñ sar-e-bāzār kyā karūñ

TRANSLATION

I accept whatever you say, why should I argue,

Now why in the public, should I embarrass you?

Sagar Akbarabadi

jo kuchh kaho qubul hai takrar kya karun

sharminda ab tumhein sar-e-bazar kya karun

TRANSLATION

I accept whatever you say, why should I argue,

Now why in the public, should I embarrass you?

Sagar Akbarabadi

dīvār-e-zindāñ ke pīchhe

jurm-e-mohabbat meñ baiThā huuñ

diwar-e-zindan ke pichhe

jurm-e-mohabbat mein baiTha hun

achchhā ḳhāsā baiThe baiThe gum ho jaatā huuñ

ab maiñ aksar maiñ nahīñ rahtā tum ho jaatā huuñ

achchha KHasa baiThe baiThe gum ho jata hun

ab main aksar main nahin rahta tum ho jata hun

haiñ pattharoñ zad pe tumhārī galī meñ ham

kyā aa.e the yahāñ isī barsāt ke liye

hain pattharon ki zad pe tumhaari gali mein hum

kya aae the yahan isi barsat ke liye

marne vaalā ḳhud rūThā thā

nārāz hayāt huī thī

marne wala KHud ruTha tha

ya naraaz hayat hui thi

mere ghar ke tamām darvāze

tum se karte haiñ pyaar aa jaao

mere ghar ke tamam darwaze

tum se karte hain pyar aa jao

rahe tazkire amn ke āshtī ke

magar bastiyoñ par baraste rahe bam

rahe tazkire amn ke aashti ke

magar bastiyon par baraste rahe bam

burā bure ke alāva bhalā bhī hotā hai

har aadmī meñ koī dūsrā bhī hotā hai

bura bure ke alawa bhala bhi hota hai

har aadmi mein koi dusra bhi hota hai

kisī ġharīb ko zaḳhmī kareñ ki qatl kareñ

nigāh-e-nāz pe jurmāne thoḌī hote haiñ

kisi gharib ko zaKHmi karen ki qatl karen

nigah-e-naz pe jurmane thoDi hote hain

'shu.ūr' tum ne ḳhudā jaane kyā kiyā hogā

zarā baat ke afsāne thoḌī hote haiñ

'shuur' tum ne KHuda jaane kya kiya hoga

zara si baat ke afsane thoDi hote hain

thā va.ada shaam magar aa.e vo raat ko

maiñ bhī kivāḌ kholne fauran nahīñ gayā

tha wada sham ka magar aae wo raat ko

main bhi kiwaD kholne fauran nahin gaya

janāb ke ruḳh-e-raushan diid ho jaatī

to ham siyāh-nasīboñ iid ho jaatī

janab ke ruKH-e-raushan ki did ho jati

to hum siyah-nasibon ki id ho jati

muskurā.e baġhair bhī vo hoñT

nazar aate haiñ muskurā.e hue

muskurae baghair bhi wo honT

nazar aate hain muskurae hue

kiyā bādaloñ meñ safar zindagī bhar

zamīñ par banāyā na ghar zindagī bhar

kiya baadalon mein safar zindagi bhar

zamin par banaya na ghar zindagi bhar

lagī rahtī hai ashkoñ jhaḌī garmī ho sardī ho

nahīñ ruktī kabhī barsāt jab se tum nahīñ aa.e

lagi rahti hai ashkon ki jhaDi garmi ho sardi ho

nahin rukti kabhi barsat jab se tum nahin aae

muskurā kar dekh lete ho mujhe

is tarah kyā haq adā ho jā.egā

muskura kar dekh lete ho mujhe

is tarah kya haq ada ho jaega

achchhoñ ko to sab chāhte haiñ

hai koī ki maiñ bahut burā huuñ

achchhon ko to sab hi chahte hain

hai koi ki main bahut bura hun

ittifāq apnī jagah ḳhush-qismatī apnī jagah

ḳhud banātā hai jahāñ meñ aadmī apnī jagah

ittifaq apni jagah KHush-qismati apni jagah

KHud banata hai jahan mein aadmi apni jagah

kaafī nahīñ ḳhutūt kisī baat ke liye

tashrīf lā.iyegā mulāqāt ke liye

kafi nahin KHutut kisi baat ke liye

tashrif laiyega mulaqat ke liye

nizām-e-zar meñ kisī aur kaam kyā ho

bas aadmī hai kamāne aur khāne

nizam-e-zar mein kisi aur kaam ka kya ho

bas aadmi hai kamane ka aur khane ka

ishq to har shaḳhs kartā hai 'shu.ūr'

tum ne apnā haal ye kyā kar liyā

ishq to har shaKHs karta hai 'shuur'

tum ne apna haal ye kya kar liya

ham bulāte vo tashrīf laate rahe

ḳhvāb meñ ye karāmāt hotī rahī

hum bulate wo tashrif late rahe

KHwab mein ye karamat hoti rahi

vo rañg rañg ke chhīñTe paḌe ki us ke ba.ad

kabhī na phir na.e kapḌe pahan ke niklā maiñ

wo rang rang ke chhinTe paDe ki us ke baad

kabhi na phir nae kapDe pahan ke nikla main

sach hai umr bhar kis kaun saath detā hai

ġham bhī ho gayā ruḳhsat dil ko chhoḌ kar tanhā

sach hai umr bhar kis ka kaun sath deta hai

gham bhi ho gaya ruKHsat dil ko chhoD kar tanha

terī aas pe jiitā thā maiñ vo bhī ḳhatm huī

ab duniyā meñ kaun hai merā koī nahīñ merā

teri aas pe jita tha main wo bhi KHatm hui

ab duniya mein kaun hai mera koi nahin mera

sabhī zindagī ke maze lūTte haiñ

na aayā hameñ ye hunar zindagī bhar

sabhi zindagi ke maze luTte hain

na aaya hamein ye hunar zindagi bhar

kah to saktā huuñ magar majbūr kar saktā nahīñ

iḳhtiyār apnī jagah hai bebasī apnī jagah

kah to sakta hun magar majbur kar sakta nahin

iKHtiyar apni jagah hai bebasi apni jagah

aadmī ban ke mirā ādamiyoñ meñ rahnā

ek alag vaz.a hai darveshī o sultānī se

aadmi ban ke mera aadamiyon mein rahna

ek alag waza hai darweshi o sultani se

kabhī rotā thā us ko yaad kar ke

ab aksar be-sabab rone lagā huuñ

kabhi rota tha us ko yaad kar ke

ab aksar be-sabab rone laga hun

'shu.ūr' sirf irāde se kuchh nahīñ hotā

amal hai shart irāde sabhī ke hote haiñ

'shuur' sirf irade se kuchh nahin hota

amal hai shart irade sabhi ke hote hain

ḳhvāh dil se mujhe na chāhe vo

zāhirī vaz.a to nibāhe vo

Though, at heart, she holds me in disdain

A civil aspect should at least maintain

KHwah dil se mujhe na chahe wo

zahiri waza to nibahe wo

Though, at heart, she holds me in disdain

A civil aspect should at least maintain

ho ga.e din jinheñ bhulā.e hue

aaj kal haiñ vo yaad aa.e hue

ho gae din jinhen bhulae hue

aaj kal hain wo yaad aae hue

'shu.ūr' ḳhud ko zahīn aadmī samajhte haiñ

ye sādgī hai to vallāh intihā hai

'shuur' KHud ko zahin aadmi samajhte hain

ye sadgi hai to wallah intiha ki hai

mirī hayāt hai bas raat ke añdhere tak

mujhe havā se bachā.e rakho savere tak

meri hayat hai bas raat ke andhere tak

mujhe hawa se bachae rakho sawere tak

kahāñ hai shaiḳh ko sudh-budh mazīd piine

nasha utaar ga.e tiin chaar jaam us

kahan hai shaiKH ko sudh-budh mazid pine ki

nasha utar gae tin chaar jam us ka

zabān-e-dil se koī shā.irī sunātā hai

to sāma.īn bhulāte nahīñ kalām us

zaban-e-dil se koi shairi sunata hai

to samain bhulate nahin kalam us ka

vo mujh se ruuTh na jaatī to aur kyā kartī

mirī ḳhatā.eñ mirī laġhzisheñ aisī thiiñ

wo mujh se ruTh na jati to aur kya karti

meri KHataen meri laghzishen hi aisi thin

mohabbat rahī chaar din zindagī meñ

rahā chaar din asar zindagī bhar

mohabbat rahi chaar din zindagi mein

raha chaar din ka asar zindagi bhar

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now