Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Hasrat Mohani's Photo'

Hasrat Mohani

1878 - 1951 | Delhi, India

Freedom fighter, member of constituent assembly which drafted Indian Constitution. He gave the slogan "Inquilab Zindabad" during freedom movement. He was a devotee of Shri Krishna. He wrote the famous ghazal "chupke chupke raat din".

Freedom fighter, member of constituent assembly which drafted Indian Constitution. He gave the slogan "Inquilab Zindabad" during freedom movement. He was a devotee of Shri Krishna. He wrote the famous ghazal "chupke chupke raat din".

Sher of Hasrat Mohani

73.4K
Favorite

SORT BY

chupke chupke raat din aañsū bahānā yaad hai

ham ko ab tak āshiqī vo zamānā yaad hai

chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai

hum ko ab tak aashiqi ka wo zamana yaad hai

nahīñ aatī to yaad un mahīnoñ tak nahīñ aatī

magar jab yaad aate haiñ to aksar yaad aate haiñ

nahin aati to yaad un ki mahinon tak nahin aati

magar jab yaad aate hain to aksar yaad aate hain

chorī chorī ham se tum aa kar mile the jis jagah

muddateñ guzrīñ par ab tak vo Thikānā yaad hai

chori chori hum se tum aa kar mile the jis jagah

muddaten guzrin par ab tak wo Thikana yaad hai

aarzū terī barqarār rahe

dil kyā hai rahā rahā na rahā

aarzu teri barqarar rahe

dil ka kya hai raha raha na raha

vafā tujh se ai bevafā chāhtā huuñ

mirī sādgī dekh kyā chāhtā huuñ

fealty I seek from you, O my faithless friend

behold my innocence and, see what I intend

wafa tujh se ai bewafa chahta hun

meri sadgi dekh kya chahta hun

fealty I seek from you, O my faithless friend

behold my innocence and, see what I intend

terī mahfil se uThātā ġhair mujh ko kyā majāl

dekhtā thā maiñ ki ne bhī ishāra kar diyā

teri mahfil se uThata ghair mujh ko kya majal

dekhta tha main ki tu ne bhi ishaara kar diya

ā.īne meñ vo dekh rahe the bahār-e-husn

aayā mirā ḳhayāl to sharmā ke rah ga.e

aaine mein wo dekh rahe the bahaar-e-husn

aaya mera KHayal to sharma ke rah gae

ham kyā kareñ agar na tirī aarzū kareñ

duniyā meñ aur bhī koī tere sivā hai kyā

hum kya karen agar na teri aarzu karen

duniya mein aur bhi koi tere siwa hai kya

barsāt ke aate tauba na rahī baaqī

bādal jo nazar aa.e badlī merī nīyat bhī

barsat ke aate hi tauba na rahi baqi

baadal jo nazar aae badli meri niyat bhi

iqrār hai ki dil se tumheñ chāhte haiñ ham

kuchh is gunāh bhī sazā hai tumhāre paas

iqrar hai ki dil se tumhein chahte hain hum

kuchh is gunah ki bhi saza hai tumhaare pas

kaT ga.ī ehtiyāt-e-ishq meñ umr

ham se iz.hār-e-mudda.ā na huā

kaT gai ehtiyat-e-ishq mein umr

hum se izhaar-e-muddaa na hua

kahne ko to maiñ bhuul gayā huuñ magar ai yaar

hai ḳhāna-e-dil meñ tirī tasvīr abhī tak

kahne ko to main bhul gaya hun magar ai yar

hai KHana-e-dil mein teri taswir abhi tak

dekhne aa.e the vo apnī mohabbat asar

kahne ko ye hai ki aa.e haiñ ayādat kar ke

dekhne aae the wo apni mohabbat ka asar

kahne ko ye hai ki aae hain ayaadat kar ke

aise bigḌe ki phir jafā bhī na

dushmanī bhī haq adā na huā

she was so annoyed she did not even torment me

in doing so denied what was due to enmity

aise bigDe ki phir jafa bhi na ki

dushmani ka bhi haq ada na hua

she was so annoyed she did not even torment me

in doing so denied what was due to enmity

dopahar dhuup meñ mere bulāne ke liye

vo tirā koThe pe nañge paañv aanā yaad hai

dopahar ki dhup mein mere bulane ke liye

wo tera koThe pe nange panw aana yaad hai

aap ko aatā rahā mere satāne ḳhayāl

sulh se achchhī rahī mujh ko laḌā.ī aap

aap ko aata raha mere satane ka KHayal

sulh se achchhi rahi mujh ko laDai aap ki

sher dar-asl haiñ vahī 'hasrat'

sunte dil meñ jo utar jaa.eñ

sher dar-asl hain wahi 'hasrat'

sunte hi dil mein jo utar jaen

aur to paas mire hijr meñ kyā rakkhā hai

ik tire dard ko pahlū meñ chhupā rakkhā hai

aur to pas mere hijr mein kya rakkha hai

ek tere dard ko pahlu mein chhupa rakkha hai

raushan jamāl-e-yār se hai anjuman tamām

dahkā huā hai ātish-e-gul se chaman tamām

raushan jamal-e-yar se hai anjuman tamam

dahka hua hai aatish-e-gul se chaman tamam

vāqif haiñ ḳhuub aap ke tarz-e-jafā se ham

iz.hār-e-iltifāt zahmat na kījiye

waqif hain KHub aap ke tarz-e-jafa se hum

izhaar-e-iltifat ki zahmat na kijiye

mālūm sab hai pūchhte ho phir bhī mudda.ā

ab tum se dil baat kaheñ kyā zabāñ se ham

malum sab hai puchhte ho phir bhi muddaa

ab tum se dil ki baat kahen kya zaban se hum

barq ko abr ke dāman meñ chhupā dekhā hai

ham ne us shoḳh ko majbūr-e-hayā dekhā hai

hidden midst the clouds, lightning I did see

that sprite was today subdued by modesty

barq ko abr ke daman mein chhupa dekha hai

hum ne us shoKH ko majbur-e-haya dekha hai

hidden midst the clouds, lightning I did see

that sprite was today subdued by modesty

phir aur taġhāful sabab kyā hai ḳhudāyā

maiñ yaad na aa.uuñ unheñ mumkin nahīñ hai

phir aur taghaful ka sabab kya hai KHudaya

main yaad na aaun unhen mumkin hi nahin hai

dekhā kiye vo mast nigāhoñ se baar baar

jab tak sharāb aa.ī ka.ī daur ho ga.e

she often looks my way with her intoxicating eyes

many rounds are done even before the wine arrives

dekha kiye wo mast nigahon se bar bar

jab tak sharab aai kai daur ho gae

she often looks my way with her intoxicating eyes

many rounds are done even before the wine arrives

kahāñ ham kahāñ vasl-e-jānāñ 'hasrat'

bahut hai unheñ ik nazar dekh lenā

kahan hum kahan wasl-e-jaanan ki 'hasrat'

bahut hai unhen ek nazar dekh lena

jabīñ par sādgī nīchī nigāheñ baat meñ narmī

muḳhātib kaun kar saktā hai tum ko lafz-e-qātil se

jabin par sadgi nichi nigahen baat mein narmi

muKHatib kaun kar sakta hai tum ko lafz-e-qatil se

jo aur kuchh ho tirī diid ke sivā manzūr

to mujh pe ḳhvāhish-e-jannat harām ho jaa.e

jo aur kuchh ho teri did ke siwa manzur

to mujh pe KHwahish-e-jannat haram ho jae

chhup nahīñ saktī chhupāne se mohabbat nazar

paḌ jaatī hai ruḳh-e-yār pe hasrat nazar

chhup nahin sakti chhupane se mohabbat ki nazar

paD hi jati hai ruKH-e-yar pe hasrat ki nazar

ġhair nazroñ se bach kar sab marzī ke ḳhilāf

vo tirā chorī-chhupe rātoñ ko aanā yaad hai

ghair ki nazron se bach kar sab ki marzi ke KHilaf

wo tera chori-chhupe raaton ko aana yaad hai

kabhī thī jo ab vafā kījiyegā

mujhe pūchh kar aap kyā kījiyegā

kabhi ki thi jo ab wafa kijiyega

mujhe puchh kar aap kya kijiyega

'hasrat' bhī qubūl ho mathurā meñ hāzirī

sunte haiñ āshiqoñ pe tumhārā karam hai aaj

'hasrat' ki bhi qubul ho mathura mein haziri

sunte hain aashiqon pe tumhaara karam hai aaj

hai mashq-e-suḳhan jaarī chakkī mashaqqat bhī

ik turfa tamāshā hai 'hasrat' tabī.at bhī

hai mashq-e-suKHan jari chakki ki mashaqqat bhi

ek turfa tamasha hai 'hasrat' ki tabiat bhi

ġham-e-ārzū 'hasrat' sabab aur kyā batā.ūñ

mirī himmatoñ pastī mire shauq bulandī

gham-e-arzu ka 'hasrat' sabab aur kya bataun

meri himmaton ki pasti mere shauq ki bulandi

us nā-ḳhudā ke zulm o sitam haa.e kyā karūñ

kashtī mirī Duboī hai sāhil ke ās-pās

us na-KHuda ke zulm o sitam hae kya karun

kashti meri Duboi hai sahil ke aas-pas

mirā ishq bhī ḳhud-ġharaz ho chalā hai

tire husn ko bevafā kahte kahte

mera ishq bhi KHud-gharaz ho chala hai

tere husn ko bewafa kahte kahte

allāh-rī jism-e-yār ḳhūbī ki ḳhud-ba-ḳhud

rañgīniyoñ meñ Duub gayā pairahan tamām

allah-ri jism-e-yar ki KHubi ki KHud-ba-KHud

ranginiyon mein Dub gaya pairahan tamam

haqīqat khul ga.ī 'hasrat' tire tark-e-mohabbat

tujhe to ab vo pahle se bhī baḌh kar yaad aate haiñ

haqiqat khul gai 'hasrat' tere tark-e-mohabbat ki

tujhe to ab wo pahle se bhi baDh kar yaad aate hain

mānūs ho chalā thā tasallī se hāl-e-dil

phir ne yaad aa ke ba-dastūr kar diyā

manus ho chala tha tasalli se haal-e-dil

phir tu ne yaad aa ke ba-dastur kar diya

mujh ko dekho mire marne tamannā dekho

phir bhī hai tum ko masīhā.ī da.avā dekho

mujh ko dekho mere marne ki tamanna dekho

phir bhi hai tum ko masihai ka dawa dekho

hai intihā-e-yās bhī ik ibtidā-e-shauq

phir aa ga.e vahīñ pe chale the jahāñ se ham

hai intiha-e-yas bhi ek ibtida-e-shauq

phir aa gae wahin pe chale the jahan se hum

milte haiñ is adā se ki goyā ḳhafā nahīñ

kyā aap nigāh se ham āshnā nahīñ

milte hain is ada se ki goya KHafa nahin

kya aap ki nigah se hum aashna nahin

bad-gumāñ aap haiñ kyuuñ aap se shikva hai kise

jo shikāyat hai hameñ gardish-e-ayyām se hai

bad-guman aap hain kyun aap se shikwa hai kise

jo shikayat hai hamein gardish-e-ayyam se hai

sher mere bhī haiñ pur-dard va-lekin 'hasrat'

'mīr' sheva-e-guftār kahāñ se lā.ūñ

sher mere bhi hain pur-dard wa-lekin 'hasrat'

'mir' ka shewa-e-guftar kahan se laun

shikva-e-ġham tire huzūr kiyā

ham ne be-shak baḌā qusūr kiyā

shikwa-e-gham tere huzur kiya

hum ne be-shak baDa qusur kiya

khīñch lenā vo mirā parde konā daf.atan

aur dupaTTe se tirā vo muñh chhupānā yaad hai

khinch lena wo mera parde ka kona dafatan

aur dupaTTe se tera wo munh chhupana yaad hai

guzre bahut ustād magar rañg-e-asar meñ

be-misl hai 'hasrat' suḳhan-e-'mīr' abhī tak

guzre bahut ustad magar rang-e-asar mein

be-misl hai 'hasrat' suKHan-e-'mir' abhi tak

sabhī kuchh ho chukā un hamārā kyā rahā 'hasrat'

na diiñ apnā na dil apnā na jaañ apnī na tan apnā

sabhi kuchh ho chuka un ka hamara kya raha 'hasrat'

na din apna na dil apna na jaan apni na tan apna

ham jaur-parastoñ pe gumāñ tark-e-vafā

ye vahm kahīñ tum ko gunahgār na kar de

hum jaur-paraston pe guman tark-e-wafa ka

ye wahm kahin tum ko gunahgar na kar de

shaam ho ki sahar yaad unhīñ rakhnī

din ho raat hameñ zikr unhīñ karnā

sham ho ya ki sahar yaad unhin ki rakhni

din ho ya raat hamein zikr unhin ka karna

paiġhām-e-hayāt-e-jāvedāñ thā

har naġhma-e-krishn bāñsurī

paigham-e-hayat-e-jawedan tha

har naghma-e-krishn bansuri ka

Recitation

Speak Now