Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Sabir Zafar's Photo'

Sabir Zafar

1949 | Rawalpindi, Pakistan

Prominent contemporary poet from Pakistan

Prominent contemporary poet from Pakistan

Sher of Sabir Zafar

6.2K
Favorite

SORT BY

shaam se pahle tirī shaam na hone dūñgā

zindagī maiñ tujhe nākām na hone dūñgā

sham se pahle teri sham na hone dunga

zindagi main tujhe nakaam na hone dunga

maiñ sochtā huuñ mujhe intizār kis hai

kivāḌ raat ko ghar agar khulā rah jaa.e

main sochta hun mujhe intizar kis ka hai

kiwaD raat ko ghar ka agar khula rah jae

umr bhar likhte rahe phir bhī varaq saada rahā

jaane kyā lafz the jo ham se na tahrīr hue

umr bhar likhte rahe phir bhi waraq sada raha

jaane kya lafz the jo hum se na tahrir hue

milūñ to kaise milūñ be-talab kisī se maiñ

jise milūñ vo kahe mujh se koī kaam thā kyā

milun to kaise milun be-talab kisi se main

jise milun wo kahe mujh se koi kaam tha kya

kuchh be-Thikāna kartī rahīñ hijrateñ mudām

kuchh merī vahshatoñ ne mujhe dar-ba-dar kiyā

kuchh be-Thikana karti rahin hijraten mudam

kuchh meri wahshaton ne mujhe dar-ba-dar kiya

ḳhizāñ rut hai janam-din hai aur dhuāñ aur phuul

havā bikher ga.ī mom-battiyāñ aur phuul

KHizan ki rut hai janam-din hai aur dhuan aur phul

hawa bikher gai mom-battiyan aur phul

na intizār karo in ai azā-dāro

shahīd jaate haiñ jannat ko ghar nahīñ aate

na intizar karo in ka ai aza-daro

shahid jate hain jannat ko ghar nahin aate

shikāyat us se nahīñ apne-āp se hai mujhe

vo bevafā thā to maiñ aas kyuuñ lagā baiThā

shikayat us se nahin apne-ap se hai mujhe

wo bewafa tha to main aas kyun laga baiTha

sub.h sair kartā huuñ tamannā shab bhar

din nikaltā hai to bistar meñ paḌā rahtā huuñ

subh ki sair ki karta hun tamanna shab bhar

din nikalta hai to bistar mein paDa rahta hun

vo jaag rahā ho shāyad ab tak

ye soch ke maiñ bhī jāgtā huuñ

wo jag raha ho shayad ab tak

ye soch ke main bhi jagta hun

vo kyuuñ na rūThtā maiñ ne bhī to ḳhatā thī

bahut ḳhayāl rakhā thā bahut vafā thī

wo kyun na ruThta main ne bhi to KHata ki thi

bahut KHayal rakha tha bahut wafa ki thi

bevafā logoñ meñ rahnā tirī qismat sahī

in meñ shāmil maiñ tirā naam na hone dūñgā

bewafa logon mein rahna teri qismat hi sahi

in mein shamil main tera nam na hone dunga

'zafar' hai behtarī is meñ ki maiñ ḳhamosh rahūñ

khule zabān to izzat kisī kyā rah jaa.e

'zafar' hai behtari is mein ki main KHamosh rahun

khule zaban to izzat kisi ki kya rah jae

na.e kapḌe badal aur baal banā tire chāhne vaale aur bhī haiñ

koī chhoḌ gayā ye shahr to kyā tire chāhne vaale aur bhī haiñ

nae kapDe badal aur baal bana tere chahne wale aur bhi hain

koi chhoD gaya ye shahr to kya tere chahne wale aur bhi hain

har shaḳhs bichhaḌ chukā hai mujh se

kyā jāniye kis ko DhūñDhtā huuñ

har shaKHs bichhaD chuka hai mujh se

kya jaaniye kis ko DhunDhta hun

badan ne chhoḌ diyā ruuh ne rihā na kiyā

maiñ qaid meñ rahā qaid se nikal ke bhī

badan ne chhoD diya ruh ne riha na kiya

main qaid hi mein raha qaid se nikal ke bhi

nazar se duur haiñ dil se judā na ham haiñ na tum

gila kareñ bhī to kyā be-vafā na ham haiñ na tum

nazar se dur hain dil se juda na hum hain na tum

gila karen bhi to kya be-wafa na hum hain na tum

maiñ ne ghāTe bhī ik saudā kiyā

jis se jo va.ada kiyā puurā kiyā

main ne ghaTe ka bhi ek sauda kiya

jis se jo wada kiya pura kiya

kaise kareñ bandagī 'zafar' vaañ

bandoñ jahāñ ḳhudā.iyāñ haiñ

kaise karen bandagi 'zafar' wan

bandon ki jahan KHudaiyan hain

ajab ik be-yaqīnī fazā hai

yahāñ honā na honā ek hai

ajab ek be-yaqini ki faza hai

yahan hona na hona ek sa hai

tumheñ to qabr miTTī bhī ab pukārtī hai

yahāñ ke log bhī uktā.e haiñ chale jaao

tumhein to qabr ki miTTi bhi ab pukarti hai

yahan ke log bhi uktae hain chale jao

ik-ādh baar to jaañ vārnī paḌtī hai

mohabbateñ hoñ to bantā nahīñ bahāna koī

ik-adh bar to jaan warni hi paDti hai

mohabbaten hon to banta nahin bahana koi

kitnī be-sūd judā.ī hai ki dukh bhī na milā

koī dhoka vo detā ki maiñ pachhtā saktā

kitni be-sud judai hai ki dukh bhi na mila

koi dhoka hi wo deta ki main pachhta sakta

ham itnā chāhte the ek dūsre ko 'zafar'

maiñ us aur vo merī misāl ho ke rahā

hum itna chahte the ek dusre ko 'zafar'

main us ki aur wo meri misal ho ke raha

har darje pe ishq kar ke dekhā

har darje meñ bevafā.iyāñ haiñ

har darje pe ishq kar ke dekha

har darje mein bewafaiyan hain

banā huā hai mirā shahr qatl-gāh koī

palaT ke maaoñ ke laḳht-e-jigar nahīñ aate

bana hua hai mera shahr qatl-gah koi

palaT ke maon ke laKHt-e-jigar nahin aate

maiñ aise jamghaTe meñ kho gayā huuñ

jahāñ mere sivā koī nahīñ hai

main aise jamghaTe mein kho gaya hun

jahan mere siwa koi nahin hai

apnī yādeñ us se vāpas maañg kar

maiñ ne apne-āp ko yakjā kiyā

apni yaaden us se wapas mang kar

main ne apne-ap ko yakja kiya

ye zaḳhm-e-ishq hai koshish karo harā rahe

kasak to na sakegī agar ye bhar bhī gayā

ye zaKHm-e-ishq hai koshish karo hara hi rahe

kasak to ja na sakegi agar ye bhar bhi gaya

vo log aaj ḳhud ik dāstāñ hissa haiñ

jinheñ aziiz the qisse kahāniyāñ aur phuul

wo log aaj KHud ek dastan ka hissa hain

jinhen aziz the qisse kahaniyan aur phul

pahle bhī ḳhudā ko māntā thā

aur ab bhī ḳhudā ko māntā huuñ

pahle bhi KHuda ko manta tha

aur ab bhi KHuda ko manta hun

us se bichhaḌ ke ek usī haal nahīñ maiñ jaan sakā

vaise ḳhabar to har pal mujh tak duniyā bhar aatī rahī

us se bichhaD ke ek usi ka haal nahin main jaan saka

waise KHabar to har pal mujh tak duniya bhar ki aati rahi

ye ibtidā thī ki maiñ ne use pukārā thā

vo aa gayā thā 'zafar' us ne intihā thī

ye ibtida thi ki main ne use pukara tha

wo aa gaya tha 'zafar' us ne intiha ki thi

ai kaash ḳhud sukūt bhī mujh se ho ham-kalām

maiñ ḳhāmushī-zada huuñ sadā chāhiye mujhe

ai kash KHud sukut bhi mujh se ho ham-kalam

main KHamushi-zada hun sada chahiye mujhe

shā.erī phuul khilāne ke sivā kuchh bhī nahīñ hai to 'zafar'

baaġh koī lagātā ki jahāñ khelte bachche kar

shaeri phul khilane ke siwa kuchh bhi nahin hai to 'zafar'

bagh hi koi lagata ki jahan khelte bachche ja kar

yahāñ hai dhuup vahāñ saa.e haiñ chale jaao

ye log lene tumheñ aa.e haiñ chale jaao

yahan hai dhup wahan sae hain chale jao

ye log lene tumhein aae hain chale jao

kahtī hai ye shaam narm havā phir mahkegī is ghar fazā

nayā kamra sajā na.ī sham.a jalā tire chāhne vaale aur bhī haiñ

kahti hai ye sham ki narm hawa phir mahkegi is ghar ki faza

naya kamra saja nai shama jala tere chahne wale aur bhi hain

nāma-bar koī nahīñ hai to kisī lahr ke haath

bhej sāhil taraf apnī ḳhabar paanī se

nama-bar koi nahin hai to kisi lahr ke hath

bhej sahil ki taraf apni KHabar pani se

guzārtā huuñ jo shab ishq-e-be-ma.āsh ke saath

to sub.h ashk mire nāshte pe girte haiñ

guzarta hun jo shab ishq-e-be-maash ke sath

to subh ashk mere nashte pe girte hain

sar-e-shām luT chukā huuñ sar-e-ām luT chukā huuñ

ki Dakait ban chuke haiñ ka.ī shahr ke sipāhī

sar-e-sham luT chuka hun sar-e-am luT chuka hun

ki Dakait ban chuke hain kai shahr ke sipahi

muḌ ke jo aa nahīñ paayā hogā us kūche meñ ke 'zafar'

ham jaisā be-bas hogā ham jaisā tanhā hogā

muD ke jo aa nahin paya hoga us kuche mein ja ke 'zafar'

hum jaisa be-bas hoga hum jaisa tanha hoga

kisī zindāñ meñ sochnā hai abas

dahr ham meñ hai ki dahr meñ ham

kisi zindan mein sochna hai abas

dahr hum mein hai ya ki dahr mein hum

vo ek baar bhī mujh se nazar milā.e agar

to maiñ use bhī koī mehrbāñ shumār karūñ

wo ek bar bhi mujh se nazar milae agar

to main use bhi koi mehrban shumar karun

duur tak ek ḳhalā hai so ḳhalā ke andar

sirf tanhā.ī sūrat nazar aa.egī

dur tak ek KHala hai so KHala ke andar

sirf tanhai ki surat hi nazar aaegi

ilāj-e-ahl-e-sitam chāhiye abhī se 'zafar'

abhī to sañg zarā fāsle pe girte haiñ

ilaj-e-ahl-e-sitam chahiye abhi se 'zafar'

abhi to sang zara fasle pe girte hain

paḌā na farq koī pairahan badal ke bhī

lahū lahū rahā jam ke bhī pighal ke bhī

TRANSLATION

Changing of costumes made no tranformation,

Blood remained blood, whether frozen or molten.

Sagar Akbarabadi

paDa na farq koi pairahan badal ke bhi

lahu lahu hi raha jam ke bhi pighal ke bhi

TRANSLATION

Changing of costumes made no tranformation,

Blood remained blood, whether frozen or molten.

Sagar Akbarabadi

pahlā qadam āḳhirī ziine pe rakh diyā

yā'nī jo dil bojh thā siine pe rakh diyā

pahla qadam hi aaKHiri zine pe rakh diya

ya'ni jo dil ka bojh tha sine pe rakh diya

'zafar' vahāñ ki jahāñ ho koī bhī had qaa.em

faqat bashar nahīñ hotā ḳhudā bhī hotā hai

'zafar' wahan ki jahan ho koi bhi had qaem

faqat bashar nahin hota KHuda bhi hota hai

kisī ḳhayāl sarshārī meñ jārī-o-sārī yaarī meñ

apne-āp koī aa.egā aur ban jā.egā mehmān

kisi KHayal ki sarshaari mein jari-o-sari yari mein

apne-ap koi aaega aur ban jaega mehman

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now