Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Zafar Iqbal's Photo'

Zafar Iqbal

1933 | Lahore, Pakistan

One of the most prominent and trend-setter poet of new Urdu ghazal having a vast following.

One of the most prominent and trend-setter poet of new Urdu ghazal having a vast following.

Sher of Zafar Iqbal

51.9K
Favorite

SORT BY

jab nazāre the to āñkhoñ ko nahīñ thī parvā

ab inhī āñkhoñ ne chāhā to nazāre nahīñ the

jab nazare the to aankhon ko nahin thi parwa

ab inhi aankhon ne chaha to nazare nahin the

ham itnī raushnī meñ dekh bhī sakte nahīñ us ko

so apne aap is chāñd ko gahnā.e rakhte haiñ

hum itni raushni mein dekh bhi sakte nahin us ko

so apne aap hi is chand ko gahnae rakhte hain

rāste haiñ khule hue saare

phir bhī ye zindagī rukī huī hai

raste hain khule hue sare

phir bhi ye zindagi ruki hui hai

uThā sakte nahīñ jab chuum kar chhoḌnā achchhā

mohabbat ye patthar is daf.a bhārī ziyāda hai

uTha sakte nahin jab chum kar hi chhoDna achchha

mohabbat ka ye patthar is dafa bhaari ziyaada hai

tum batlāo ki us qadr kyā hogī tumheñ

jo mohabbat muft meñ mil jaa.e āsānī ke saath

tum hi batlao ki us ki qadr kya hogi tumhein

jo mohabbat muft mein mil jae aasani ke sath

chehre se jhaaḌ pichhle baras kudūrateñ

dīvār se purānā calender utaar de

chehre se jhaD pichhle baras ki kuduraten

diwar se purana calender utar de

ek nā-maujūdgī rah jā.egī chāroñ taraf

rafta rafta is qadar sunsān kar degā mujhe

ek na-maujudgi rah jaegi chaaron taraf

rafta rafta is qadar sunsan kar dega mujhe

us ko aanā thā ki vo mujh ko bulātā thā kahīñ

raat bhar bārish thī us raat bhar paiġhām thā

us ko aana tha ki wo mujh ko bulata tha kahin

raat bhar barish thi us ka raat bhar paigham tha

mujh meñ haiñ gahrī udāsī ke jarāsīm is qadar

maiñ tujhe bhī is maraz meñ mubtalā kar jā.ūñgā

mujh mein hain gahri udasi ke jarasim is qadar

main tujhe bhi is maraz mein mubtala kar jaunga

ek din sub.h jo uTTheñ to ye duniyā na ho

hai madār ab kisī aisī ḳhush-imkānī par

ek din subh jo uTThen to ye duniya hi na ho

hai madar ab kisi aisi hi KHush-imkani par

tujh ko merī na mujhe terī ḳhabar jā.egī

eid ab ke bhī dabe paañv guzar jā.egī

tujh ko meri na mujhe teri KHabar jaegi

eid ab ke bhi dabe panw guzar jaegi

raushnī ab raah se bhaTkā bhī detī hai miyāñ

us āñkhoñ chamak ne mujh ko be-ghar kar diyā

raushni ab rah se bhaTka bhi deti hai miyan

us ki aankhon ki chamak ne mujh ko be-ghar kar diya

sunā hai vo mire baare meñ sochtā hai bahut

ḳhabar to hai magar mo'tabar zyāda nahīñ

suna hai wo mere bare mein sochta hai bahut

KHabar to hai hi magar mo'tabar zyaada nahin

haath pair aap maiñ maar rahā huuñ filhāl

Dūbte ko abhī tinke sahārā kam hai

hath pair aap hi main mar raha hun filhaal

Dubte ko abhi tinke ka sahaara kam hai

ye ham jo peT se sochte haiñ shaam o sahar

kabhī to jā.eñge is dāl-bhāt se aage

ye hum jo peT se hi sochte hain sham o sahar

kabhi to jaenge is dal-bhat se aage

vo bahut chālāk hai lekin agar himmat kareñ

pahlā pahlā jhuuT hai us ko yaqīñ aa jā.egā

wo bahut chaalak hai lekin agar himmat karen

pahla pahla jhuT hai us ko yaqin aa jaega

vo mujh se apnā patā pūchhne ko aa nikle

ki jin se maiñ ne ḳhud apnā surāġh paayā thā

wo mujh se apna pata puchhne ko aa nikle

ki jin se main ne KHud apna suragh paya tha

maiñ andar se kahīñ tabdīl honā chāhtā thā

purānī keñchulī meñ nayā honā thā mujh ko

main andar se kahin tabdil hona chahta tha

purani kenchuli mein hi naya hona tha mujh ko

yahāñ kisī ko bhī kuchh hasb-e-ārzū na milā

kisī ko ham na mile aur ham ko na milā

yahan kisi ko bhi kuchh hasb-e-arzu na mila

kisi ko hum na mile aur hum ko tu na mila

ik lahar hai ki mujh meñ uchhalne ko hai 'zafar'

ik lafz hai ki mujh se adā hone vaalā hai

ek lahar hai ki mujh mein uchhalne ko hai 'zafar'

ek lafz hai ki mujh se ada hone wala hai

ḳhushī milī to ye aalam thā bad-havāsī

ki dhyān na rahā ġham be-libāsī

KHushi mili to ye aalam tha bad-hawasi ka

ki dhyan hi na raha gham ki be-libasi ka

yuuñ bhī hotā hai ki yak dam koī achchhā lag jaa.e

baat kuchh bhī na ho aur dil meñ tamāshā lag jaa.e

yun bhi hota hai ki yak dam koi achchha lag jae

baat kuchh bhi na ho aur dil mein tamasha lag jae

sāl-hā-sāl se ḳhāmosh the gahre paanī

ab nazar aa.e haiñ āvāz ke āsār mujhe

sal-ha-sal se KHamosh the gahre pani

ab nazar aae hain aawaz ke aasar mujhe

tirā chaḌhā huā dariyā samajh meñ aatā hai

tire ḳhamosh kināre nahīñ samajhtā huuñ

tera chaDha hua dariya samajh mein aata hai

tere KHamosh kinare nahin samajhta hun

buḌhāpe se aglī ye manzil hai koī

javāñ ho gayā huuñ hasīñ ho gayā huuñ

buDhape se agli ye manzil hai koi

jawan ho gaya hun hasin ho gaya hun

ham pe duniyā huī savār 'zafar'

aur ham haiñ savār duniyā par

hum pe duniya hui sawar 'zafar'

aur hum hain sawar duniya par

bujhā nahīñ mire andar āftāb abhī

jalā ke ḳhaak karegā yahī sharāra mujhe

bujha nahin mere andar ka aaftab abhi

jala ke KHak karega yahi sharara mujhe

aisā hai jaise aañkh putlī ke vast meñ

naqsha banā huā hai kisī ḳhvāb-zār

aisa hai jaise aankh ki putli ke wast mein

naqsha bana hua hai kisi KHwab-zar ka

havā ke saath jo ik bosa bhejtā huuñ kabhī

to shola us badan-pāk se nikaltā hai

hawa ke sath jo ek bosa bhejta hun kabhi

to shola us badan-pak se nikalta hai

maiñ ziyāda huuñ bahut us ke liye ab tak bhī

aur mere liye vo saare saarā kam hai

main ziyaada hun bahut us ke liye ab tak bhi

aur mere liye wo sare ka sara kam hai

kahāñ tak ho sakā kār-e-mohabbat kyā batā.eñ

tumhāre sāmne hai kaam jitnā ho rahā hai

kahan tak ho saka kar-e-mohabbat kya bataen

tumhaare samne hai kaam jitna ho raha hai

jo yahāñ ḳhud lagā rakkhī hai chāroñ jānib

ek din ham ne isī aag meñ jal jaanā hai

jo yahan KHud hi laga rakkhi hai chaaron jaanib

ek din hum ne isi aag mein jal jaana hai

milā to manzil-e-jāñ meñ utārne na diyā

vo kho gayā to kisī ne pukārne na diyā

mila to manzil-e-jaan mein utarne na diya

wo kho gaya to kisi ne pukarne na diya

sāf-o-shaffāf thī paanī tarah niyyat-e-dil

dekhne vāloñ ne dekhā ise gadlā kar ke

saf-o-shaffaf thi pani ki tarah niyyat-e-dil

dekhne walon ne dekha ise gadla kar ke

jidhar se khol ke baiThe the dar añdhere

usī taraf se hameñ raushnī bahut aa.ī

jidhar se khol ke baiThe the dar andhere ka

usi taraf se hamein raushni bahut aai

ab ke is bazm meñ kuchh apnā pata bhī denā

paañv par paañv jo rakhnā to dabā bhī denā

ab ke is bazm mein kuchh apna pata bhi dena

panw par panw jo rakhna to daba bhi dena

merī sūraj se mulāqāt bhī ho saktī hai

sūkhne Daal diyā jā.ūñ jo dhoyā huā maiñ

meri suraj se mulaqat bhi ho sakti hai

sukhne Dal diya jaun jo dhoya hua main

kartā huuñ niind meñ safar saare shahr

fāriġh to baiThtā nahīñ sone ke bāvajūd

karta hun nind mein hi safar sare shahr ka

farigh to baiThta nahin sone ke bawajud

inkisārī meñ mirā hukm bhī jaarī thā 'zafar'

arz karte hue irshād bhī ḳhud maiñ ne kiyā

inkisari mein mera hukm bhi jari tha 'zafar'

arz karte hue irshad bhi KHud main ne kiya

bas ek baar kisī ne gale lagāyā thā

phir us ke baad na maiñ thā na merā saayā thā

bas ek bar kisi ne gale lagaya tha

phir us ke baad na main tha na mera saya tha

sunoge lafz meñ bhī phaḌphaḌāhaT

lahū meñ bhī par-afshānī rahegī

sunoge lafz mein bhi phaDphaDahaT

lahu mein bhi par-afshani rahegi

ab us diid mohabbat nahīñ zarūrat hai

ki us se mil ke bichhaḌne aarzū hai bahut

ab us ki did mohabbat nahin zarurat hai

ki us se mil ke bichhaDne ki aarzu hai bahut

rakhtā huuñ apnā aap bahut khīñch-tān kar

chhoTā huuñ aur ḳhud ko baḌā karne aayā huuñ

rakhta hun apna aap bahut khinch-tan kar

chhoTa hun aur KHud ko baDa karne aaya hun

ye zindagī āḳhirī shab na ho kahīñ

jo so ga.e haiñ un ko jagā lenā chāhiye

ye zindagi ki aaKHiri shab hi na ho kahin

jo so gae hain un ko jaga lena chahiye

husn us usī maqām pe hai

ye musāfir safar nahīñ kartā

husn us ka usi maqam pe hai

ye musafir safar nahin karta

vo chehra haath meñ le kar kitāb sūrat

har ek lafz har ik naqsh adā dekhūñ

wo chehra hath mein le kar kitab ki surat

har ek lafz har ek naqsh ki ada dekhun

dar-e-umīd se ho kar nikalne lagtā huuñ

to yaas rauzan-e-zindāñ se aañkh mārtī hai

dar-e-umid se ho kar nikalne lagta hun

to yas rauzan-e-zindan se aankh marti hai

aage baḌhūñ to zard ghaTā mere rū-ba-rū

pīchhe muḌūñ to gard-e-safar mere sāmne

aage baDhun to zard ghaTa mere ru-ba-ru

pichhe muDun to gard-e-safar mere samne

chūmne ke liye thaam rakhkhūñ koī dam vo haath

aur vo paañv rañg-e-hinā ke liye chhoḌ duuñ

chumne ke liye tham rakhkhun koi dam wo hath

aur wo panw rang-e-hina ke liye chhoD dun

vo maqāmāt-e-muqaddas vo tire gumbad o qaus

aur mirā aise nishānāt zaa.er honā

wo maqamat-e-muqaddas wo tere gumbad o qaus

aur mera aise nishanat ka zaer hona

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now