Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ameeta Parsuram Meeta's Photo'

Ameeta Parsuram Meeta

1955 | Delhi, India

Sher of Ameeta Parsuram Meeta

4.7K
Favorite

SORT BY

vaqt se lamha lamha khelī hai

zindagī ik ajab pahelī hai

waqt se lamha lamha kheli hai

zindagi ek ajab paheli hai

zindagī apnā safar tai to karegī lekin

ham-safar aap jo hote to mazā aur thā

zindagi apna safar tai to karegi lekin

ham-safar aap jo hote to maza aur hi tha

kuchh to ehsās-e-mohabbat se huiiñ nam āñkheñ

kuchh tirī yaad ke bādal bhī bhigo jaate haiñ

kuchh to ehsas-e-mohabbat se huin nam aankhen

kuchh teri yaad ke baadal bhi bhigo jate hain

ab zamāna hai bevafā.ī

siikh leñ ham bhī ye hunar shāyad

ab zamana hai bewafai ka

sikh len hum bhi ye hunar shayad

qaa.em hai ab bhī merī vafāoñ silsila

ik silsila hai un jafāoñ silsila

qaem hai ab bhi meri wafaon ka silsila

ek silsila hai un ki jafaon ka silsila

agar hai zindagī ik jashn to nā-mehrbāñ kyoñ hai

fasurda rang meñ Duubī huī har dāstāñ kyoñ hai

agar hai zindagi ek jashn to na-mehrban kyon hai

fasurda rang mein Dubi hui har dastan kyon hai

zindagī apnā safar tai to karegī lekin

ham-safar aap jo hote to mazā aur thā

zindagi apna safar tai to karegi lekin

ham-safar aap jo hote to maza aur hi tha

adhūrī vafāoñ se ummīd rakhnā

hamāre bhī dil ajab sādgī hai

adhuri wafaon se ummid rakhna

hamare bhi dil ki ajab sadgi hai

aaj mausam bhī kuchh udaas milā

aaj tanhā.ī bhī akelī hai

aaj mausam bhi kuchh udas mila

aaj tanhai bhi akeli hai

guzar jā.eñge tere firāq ke mausam

har intizār ke aage bhī haiñ maqām ka.ī

guzar hi jaenge tere firaq ke mausam

har intizar ke aage bhi hain maqam kai

ye aarzū hai ki ab koī aarzū na rahe

kisī safar kisī manzil justujū na rahe

ye aarzu hai ki ab koi aarzu na rahe

kisi safar kisi manzil ki justuju na rahe

tumheñ ham se mohabbat hai hameñ tum se mohabbat hai

anā dā.era phir bhī hamāre darmiyāñ kyoñ hai

tumhein hum se mohabbat hai hamein tum se mohabbat hai

ana ka daera phir bhi hamare darmiyan kyon hai

ham ne hazār fāsle kar tamām shab

ik muḳhtasar raat ko muddat banā diyā

hum ne hazar fasle ji kar tamam shab

ek muKHtasar si raat ko muddat bana diya

do kināroñ ko milāyā thā faqat lahroñ ne

ham agar us ke na the vo bhī hamārā kab thā

do kinaron ko milaya tha faqat lahron ne

hum agar us ke na the wo bhi hamara kab tha

us va.ada hai lauT aane

aur mirā intizār va.ada

us ka wada hai lauT aane ka

aur mera intizar ka wada

ham-safar vo jo ham-safar na thā

aur phir kar liiñ dūriyāñ maiñ ne

ham-safar wo jo ham-safar hi na tha

aur phir kar lin duriyan main ne

sub.h-e-raushan ko añdheroñ se bharī shaam na de

dil ke rishte ko mirī jaan koī naam na de

subh-e-raushan ko andheron se bhari sham na de

dil ke rishte ko meri jaan koi nam na de

tujhī se guftugū har dam tirī justujū har dam

mirī āsāniyāñ tujh se mirī mushkil hai

tujhi se guftugu har dam teri hi justuju har dam

meri aasaniyan tujh se meri mushkil hai tu hi tu

barseñgī aaj rahmateñ aamad hai yaar

nāyāb haiñ ye ghaḌiyāñ tire intizār

barsengi aaj rahmaten aamad hai yar ki

nayab hain ye ghaDiyan tere intizar ki

koī tadbīr na taqdīr se lenā-denā

bas yūñhī faisle jo hone haiñ ho jaate haiñ

koi tadbir na taqdir se lena-dena

bas yunhi faisle jo hone hain ho jate hain

ka.aba-o-dair meñ ab DhūñD rahī hai duniyā

jo dil-o-jān meñ bastā thā ḳhudā aur thā

kaba-o-dair mein ab DhunD rahi hai duniya

jo dil-o-jaan mein basta tha KHuda aur hi tha

gañvā umr jis ko jītne meñ

vo duniyā merī jaañ terī na merī

ganwa di umr jis ko jitne mein

wo duniya meri jaan teri na meri

na hoñ ḳhvāhisheñ na gilā koī na jafā koī

na savāl ahd-e-vafā ho vahī ishq hai

na hon KHwahishen na gila koi na jafa koi

na sawal ahd-e-wafa ka ho wahi ishq hai

zindagī ab tujhe sañvāreñ kyā

koshisheñ saarī be-asar shāyad

zindagi ab tujhe sanwaren kya

koshishen sari be-asar shayad

mile qatra qatra ye kyā zindagī hai

ai dariyā-e-rahmat vahī tishnagī hai

mile qatra qatra ye kya zindagi hai

ai dariya-e-rahmat wahi tishnagi hai

tirī yādoñ se mahkā hai merī tanhā.ī aalam

qayāmat tak inhīñ tanhā.iyāñ meñ Dūbnā chāhūñ

teri yaadon se mahka hai meri tanhai ka aalam

qayamat tak inhin tanhaiyan mein Dubna chahun

kaun thā mere alāva us

us ne DhūñDe the Thikāne kyā kyā

kaun tha mere alawa us ka

us ne DhunDe the Thikane kya kya

khīñch laayā tujhe ehsās-e-mohabbat mujh tak

ham-safar hone terā bhī irāda kab thā

khinch laya tujhe ehsas-e-mohabbat mujh tak

ham-safar hone ka tera bhi irada kab tha

vahī charche vahī qisse milī rusvā.iyāñ ham ko

unhī qissoñ se vo mash.hūr ho jaa.e to kyā kiije

wahi charche wahi qisse mili ruswaiyan hum ko

unhi qisson se wo mashhur ho jae to kya kije

terā andāz nirālā sab se

tiir to ek nishāne kyā kyā

tera andaz nirala sab se

tir to ek nishane kya kya

mazā tabhī hai mohabbat meñ ġharq hone

maiñ Duub jā.ūñ to ye ho ki bhī to na rahe

maza tabhi hai mohabbat mein gharq hone ka

main Dub jaun to ye ho ki tu bhi to na rahe

tajdīd-e-zindagī ke ishāre hue to haiñ

kuchh pal sahī vo aaj hamāre hue to haiñ

tajdid-e-zindagi ke ishaare hue to hain

kuchh pal sahi wo aaj hamare hue to hain

dard jab zabt har had se guzar jaatā hai

ḳhvāb tanhā.ī āġhosh meñ so jaate haiñ

dard jab zabt ki har had se guzar jata hai

KHwab tanhai ki aaghosh mein so jate hain

mohabbat umr bhar rā.egāñ karnā nahīñ achchhā

sañbhal ai dil anā ko āsmāñ karnā nahīñ achchhā

mohabbat umr bhar ki raegan karna nahin achchha

sanbhal ai dil ana ko aasman karna nahin achchha

mire ham-safar mirī jān-e-jāñ kahūñ aur kyā

tirī qurbatoñ meñ haiñ dūriyāñ kahūñ aur kyā

mere ham-safar meri jaan-e-jaan kahun aur kya

teri qurbaton mein hain duriyan kahun aur kya

yādoñ ik hujūm thā tanhā nahīñ thī merī zaat

ḳhud-kalāmī meñ huī tamām shab unhīñ se baat

yaadon ka ek hujum tha tanha nahin thi meri zat

KHud-kalami mein hui tamam shab unhin se baat

sun ke har samt siskiyāñ maiñ ne

jaane kyoñ kar liiñ dūriyāñ maiñ ne

sun ke har samt siskiyan main ne

jaane kyon kar lin duriyan main ne

na hoñ ḳhvāhisheñ na gila koī na jafā koī

na savāl ahd-e-vafā ho vahī ishq hai

na hon KHwahishen na gila koi na jafa koi

na sawal ahd-e-wafa ka ho wahi ishq hai

par katar paa.ī jab na ḳhvāboñ ke

bañd kar diiñ khiḌkiyāñ maiñ ne

par katar pai jab na KHwabon ke

band hi kar din khiDkiyan main ne

zabāñ kar ke muqaffal tum sadā.eñ chāhte ho

sazā dete ho pahle phir duā.eñ chāhte ho

zaban kar ke muqaffal tum sadaen chahte ho

saza dete ho pahle phir duaen chahte ho

hai jiinā aur marnā jab akele to mere dil

kisī duur jaanā kyā kisī paas aana kyā

hai jina aur marna jab akele hi to mere dil

kisi ka dur jaana kya kisi ka pas aana kya

lamha-lamha rang badaltī duniyā meñ

tum chāho janmoñ ke rishte pāgal ho

lamha-lamha rang badalti duniya mein

tum chaho janmon ke rishte pagal ho

chalo ik dūsre pe aaj ye ehsān kar deñ

ham apne biich duurī ab e'lān kar deñ

chalo ek dusre pe aaj ye ehsan hi kar den

hum apne bich ki duri ka ab e'lan hi kar den

mausam bhī vahī garm havā.eñ bhī usī taur

hai farq bas itnā ki sitamgar hai koī aur

mausam bhi wahi garm hawaen bhi usi taur

hai farq bas itna ki sitamgar hai koi aur

qadam-qadam pe tire rokne koshish ne

qadam-qadam pe mirā hausla baḌhāyā hai

qadam-qadam pe tere rokne ki koshish ne

qadam-qadam pe mera hausla baDhaya hai

bahut nibhāyā hai ham ne to zindagī tujh se

zarā milā bhī hai tujh se bahut baqāyā hai

bahut nibhaya hai hum ne to zindagi tujh se

zara mila bhi hai tujh se bahut baqaya hai

kisī ke dil meñ rahnā hai

to phir kuchh dūriyāñ rakhnā

kisi ke dil mein rahna hai

to phir kuchh duriyan rakhna

manzil apnī DhūñD rahe ho

rasta duuje chalte ho

manzil apni DhunD rahe ho

rasta duje ka chalte ho

tumheñ 'ādat hai tum aksar mohabbat bhuul jaate ho

hameñ mā'lūm hai sab rāste tum par nahīñ rukte

tumhein 'adat hai tum aksar mohabbat bhul jate ho

hamein ma'lum hai sab raste tum par nahin rukte

un ko ye shikāyat hai ham muḌ ke na aa.e

qadmoñ mire sust-ravī vo nahīñ samjhe

un ko ye shikayat hai ki hum muD ke na aae

qadmon ki mere sust-rawi wo nahin samjhe

Recitation

Speak Now