Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Jaleel Manikpuri's Photo'

Jaleel Manikpuri

1866 - 1946 | Hyderabad, India

One of the most popular post-classical poets and disciple of Ameer Minai and succeeded Dagh as court poet of Hyderabad.

One of the most popular post-classical poets and disciple of Ameer Minai and succeeded Dagh as court poet of Hyderabad.

Sher of Jaleel Manikpuri

106.5K
Favorite

SORT BY

tasadduq is karam ke maiñ kabhī tanhā nahīñ rahtā

ki jis din tum nahīñ aate tumhārī yaad aatī hai

tasadduq is karam ke main kabhi tanha nahin rahta

ki jis din tum nahin aate tumhaari yaad aati hai

aap pahlū meñ jo baiTheñ to sambhal kar baiTheñ

dil-e-betāb ko aadat hai machal jaane

when you come into my arms you should be aware

my restless heart is wont to leap, it may give you a scare

aap pahlu mein jo baiThen to sambhal kar baiThen

dil-e-betab ko aadat hai machal jaane ki

when you come into my arms you should be aware

my restless heart is wont to leap, it may give you a scare

mohabbat rañg de jaatī hai jab dil dil se miltā hai

magar mushkil to ye hai dil baḌī mushkil se miltā hai

mohabbat rang de jati hai jab dil dil se milta hai

magar mushkil to ye hai dil baDi mushkil se milta hai

ye jo sar nīche kiye baiThe haiñ

jaan kitnoñ liye baiThe haiñ

ye jo sar niche kiye baiThe hain

jaan kitnon ki liye baiThe hain

jaate ho ḳhudā-hāfiz haañ itnī guzārish hai

jab yaad ham aa jaa.eñ milne duā karnā

jate ho KHuda-hafiz han itni guzarish hai

jab yaad hum aa jaen milne ki dua karna

aap ne tasvīr bhejī maiñ ne dekhī ġhaur se

har adā achchhī ḳhamoshī adā achchhī nahīñ

aap ne taswir bheji main ne dekhi ghaur se

har ada achchhi KHamoshi ki ada achchhi nahin

baat ulTī vo samajhte haiñ jo kuchh kahtā huuñ

ab pūchhā to ye kah dūñgā ki haal achchhā hai

baat ulTi wo samajhte hain jo kuchh kahta hun

ab ki puchha to ye kah dunga ki haal achchha hai

bikhrī huī vo zulf ishāroñ meñ kah ga.ī

maiñ bhī sharīk huuñ tire hāl-e-tabāh meñ

bikhri hui wo zulf ishaaron mein kah gai

main bhi sharik hun tere haal-e-tabah mein

jab maiñ chalūñ to saaya bhī apnā na saath de

jab tum chalo zamīn chale āsmāñ chale

jab main chalun to saya bhi apna na sath de

jab tum chalo zamin chale aasman chale

nigāh barq nahīñ chehra āftāb nahīñ

vo aadmī hai magar dekhne taab nahīñ

nigah barq nahin chehra aaftab nahin

wo aadmi hai magar dekhne ki tab nahin

roz vo ḳhvāb meñ aate haiñ gale milne ko

maiñ jo sotā huuñ to jaag uThtī hai qismat merī

roz wo KHwab mein aate hain gale milne ko

main jo sota hun to jag uThti hai qismat meri

aañkh rahzan nahīñ to phir kyā hai

luuT letī hai qāfila dil

aankh rahzan nahin to phir kya hai

luT leti hai qafila dil ka

sab kuchh ham un se kah ga.e lekin ye ittifāq

kahne thī jo baat vahī dil meñ rah ga.ī

sab kuchh hum un se kah gae lekin ye ittifaq

kahne ki thi jo baat wahi dil mein rah gai

husn aafat nahīñ to phir kyā hai

qayāmat nahīñ to phir kyā hai

husn aafat nahin to phir kya hai

tu qayamat nahin to phir kya hai

kuchh is adā se aap ne pūchhā mirā mizāj

kahnā paḌā ki shukr hai parvardigār

you inquired how I was in such an artful way

except for 'God is kind' there is little I could say

kuchh is ada se aap ne puchha mera mizaj

kahna paDa ki shukr hai parwardigar ka

you inquired how I was in such an artful way

except for 'God is kind' there is little I could say

mirī aah tum asar dekh lenā

vo ā.eñge thāme jigar dekh lenā

meri aah ka tum asar dekh lena

wo aaenge thame jigar dekh lena

baat saaqī na Taalī jā.egī

kar ke tauba toḌ Daalī jā.egī

the wishes of my saaqii I will not ignore

the vow of abstinence I take, will forthwith abjure

baat saqi ki na Tali jaegi

kar ke tauba toD Dali jaegi

the wishes of my saaqii I will not ignore

the vow of abstinence I take, will forthwith abjure

husn ye hai ki dilrubā ho tum

aib ye hai ki bevafā ho tum

husn ye hai ki dilruba ho tum

aib ye hai ki bewafa ho tum

āñkheñ ḳhudā ne haiñ to dekheñge husn-e-yār

kab tak naqāb ruḳh se uThā.ī na jā.egī

aankhen KHuda ne di hain to dekhenge husn-e-yar

kab tak naqab ruKH se uThai na jaegi

haal tum sun lo mirā dekh lo sūrat merī

dard vo chiiz nahīñ hai ki dikhā.e koī

haal tum sun lo mera dekh lo surat meri

dard wo chiz nahin hai ki dikhae koi

un sūrat dekh ḳhush ho ga.e

un sīrat se hameñ kyā kaam hai

un ki surat dekh li KHush ho gae

un ki sirat se hamein kya kaam hai

maiñ Dar rahā huuñ tumhārī nashīlī āñkhoñ se

ki luuT leñ na kisī roz kuchh pilā ke mujhe

main Dar raha hun tumhaari nashili aankhon se

ki luT len na kisi roz kuchh pila ke mujhe

dekh lete jo mire dil pareshānī ko

aap baiThe hue zulfeñ na sañvārā karte

dekh lete jo mere dil ki pareshani ko

aap baiThe hue zulfen na sanwara karte

kamāl-e-ishq to dekho vo aa ga.e lekin

vahī hai shauq vahī intizār baaqī hai

kamal-e-ishq to dekho wo aa gae lekin

wahi hai shauq wahi intizar baqi hai

raat ko sonā na sonā sab barābar ho gayā

tum na aa.e ḳhvāb meñ āñkhoñ meñ ḳhvāb aayā to kyā

raat ko sona na sona sab barabar ho gaya

tum na aae KHwab mein aankhon mein KHwab aaya to kya

sūrat to ibtidā se tirī lā-javāb thī

nāz-o-adā ne aur tarah-dār kar diyā

surat to ibtida se teri la-jawab thi

naz-o-ada ne aur tarah-dar kar diya

vo chāñdnī meñ phirte haiñ ghar ghar ye shor hai

niklā hai āftāb shab-e-māhtāb meñ

wo chandni mein phirte hain ghar ghar ye shor hai

nikla hai aaftab shab-e-mahtab mein

hotī kahāñ hai dil se judā dil aarzū

jaatā kahāñ hai sham.a ko parvāna chhoḌ kar

hoti kahan hai dil se juda dil ki aarzu

jata kahan hai shama ko parwana chhoD kar

jab unheñ dekho pyaar aatā hai

aur be-iḳhtiyār aatā hai

jab unhen dekho pyar aata hai

aur be-iKHtiyar aata hai

sach hai ehsān bhī bojh bahut hotā hai

chaar phūloñ se dabī jaatī hai turbat merī

sach hai ehsan ka bhi bojh bahut hota hai

chaar phulon se dabi jati hai turbat meri

chāñd shakl jo allāh ne thī tum ko

kaash raushan mirī qismat sitārā karte

chand si shakl jo allah ne di thi tum ko

kash raushan meri qismat ka sitara karte

āñkheñ saaqī jab se dekhī haiñ

ham se do ghūñT nahīñ jaatī

aankhen saqi ki jab se dekhi hain

hum se do ghunT pi nahin jati

qāsid payām-e-shauq ko denā bahut na tuul

kahnā faqat ye un se ki āñkheñ taras ga.iiñ

qasid payam-e-shauq ko dena bahut na tul

kahna faqat ye un se ki aankhen taras gain

zindagī kyā jo basar ho chain se

dil meñ thoḌī tamannā chāhiye

zindagi kya jo basar ho chain se

dil mein thoDi si tamanna chahiye

Thikānā pūchhte haiñ sab tumhārā mujh se aa aa kar

koī tasvīr do aisī lagā duuñ maiñ dar-e-dil par

Thikana puchhte hain sab tumhaara mujh se aa aa kar

koi taswir do aisi laga dun main dar-e-dil par

tanhā vo aa.eñ jaa.eñ ye hai shaan ke ḳhilāf

aanā hayā ke saath hai jaanā adā ke saath

tanha wo aaen jaen ye hai shan ke KHilaf

aana haya ke sath hai jaana ada ke sath

aise chhupne se na chhupnā thā behtar terā

hai parde meñ magar zikr hai ghar ghar terā

aise chhupne se na chhupna hi tha behtar tera

tu hai parde mein magar zikr hai ghar ghar tera

dil meñ vo bhiiḌ hai ki zarā bhī nahīñ jagah

aap aa.iye magar koī armāñ nikāl ke

dil mein wo bhiD hai ki zara bhi nahin jagah

aap aaiye magar koi arman nikal ke

tujh se sau baar mil chuke lekin

tujh se milne aarzū hai vahī

tujh se sau bar mil chuke lekin

tujh se milne ki aarzu hai wahi

maar Daalā muskurā kar naaz se

haañ mirī jaañ phir usī andāz se

mar Dala muskura kar naz se

han meri jaan phir usi andaz se

maiñ samajhtā huuñ ki hai jannat o dozaḳh kyā chiiz

ek hai vasl tirā ek hai furqat terī

main samajhta hun ki hai jannat o dozaKH kya chiz

ek hai wasl tera ek hai furqat teri

dekhī haiñ baḌe ġhaur se maiñ ne vo nigāheñ

āñkhoñ meñ muravvat kahīñ naam nahīñ hai

dekhi hain baDe ghaur se main ne wo nigahen

aankhon mein murawwat ka kahin nam nahin hai

zarā zarā shikāyat pe ruuTh jaate haiñ

nayā nayā hai abhī shauq dilrubā.ī

zara zara si shikayat pe ruTh jate hain

naya naya hai abhi shauq dilrubai ka

sab se pyārī hai jaan duniyā meñ

jaan se baḌh ke jān-e-jāñ hai

sab se pyari hai jaan duniya mein

jaan se baDh ke jaan-e-jaan tu hai

aate aate aa.egā un ko ḳhayāl

jaate jaate be-ḳhayālī jā.egī

aate aate aaega un ko KHayal

jate jate be-KHayali jaegi

aatā hai meñ sāqi-e-mah-vash pe baar baar

lab chuum luuñ tirā lab-e-paimāna chhoḌ kar

aata hai ji mein saqi-e-mah-wash pe bar bar

lab chum lun tera lab-e-paimana chhoD kar

ne sūrat na dikhā.ī to ye sūrat hogī

log dekheñge tamāshā tire dīvāne

tu ne surat na dikhai to ye surat hogi

log dekhenge tamasha tere diwane ka

aañsū hamāre gir ga.e un nigāh se

in motiyoñ ab koī qīmat nahīñ rahī

aansu hamare gir gae un ki nigah se

in motiyon ki ab koi qimat nahin rahi

jo tire ishq meñ tabāh huā

koī us ko tabāh kar na sakā

jo tere ishq mein tabah hua

koi us ko tabah kar na saka

chāhtā hai phir koī tujh se karūñ savāl

terī nahīñ nahīñ ne ġhazab mazā diyā

ji chahta hai phir koi tujh se karun sawal

teri nahin nahin ne ghazab ka maza diya

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now