Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ahmad Nadeem Qasmi's Photo'

Ahmad Nadeem Qasmi

1916 - 2006 | Lahore, Pakistan

Most outstanding Pakistani, Progressive poet. Also counted among leading fiction-writers. Edited an important literary magazine Funoon.

Most outstanding Pakistani, Progressive poet. Also counted among leading fiction-writers. Edited an important literary magazine Funoon.

Sher of Ahmad Nadeem Qasmi

34.1K
Favorite

SORT BY

kaun kahtā hai ki maut aa.ī to mar jā.ūñgā

maiñ to dariyā huuñ samundar meñ utar jā.ūñgā

kaun kahta hai ki maut aai to mar jaunga

main to dariya hun samundar mein utar jaunga

jis bhī fankār shahkār ho tum

us ne sadiyoñ tumheñ sochā hogā

jis bhi fankar ka shahkar ho tum

us ne sadiyon tumhein socha hoga

ik safīna hai tirī yaad agar

ik samundar hai mirī tanhā.ī

ek safina hai teri yaad agar

ek samundar hai meri tanhai

āḳhir duā kareñ bhī to kis mudda.ā ke saath

kaise zamīñ baat kaheñ āsmāñ se ham

aaKHir dua karen bhi to kis muddaa ke sath

kaise zamin ki baat kahen aasman se hum

tujh se kis tarah maiñ iz.hār-e-tamannā kartā

lafz sūjhā to ma.ānī ne baġhāvat kar

tujh se kis tarah main izhaar-e-tamanna karta

lafz sujha to maani ne baghawat kar di

maiñ ne samjhā thā ki lauT aate haiñ jaane vaale

ne kar to judā.ī mirī qismat kar

main ne samjha tha ki lauT aate hain jaane wale

tu ne ja kar to judai meri qismat kar di

mar jaatā huuñ jab ye sochtā huuñ

maiñ tere baġhair rahā huuñ

mar jata hun jab ye sochta hun

main tere baghair ji raha hun

musāfir musāfir har taraf haiñ

magar har shaḳhs tanhā rahā hai

musafir hi musafir har taraf hain

magar har shaKHs tanha ja raha hai

maiñ kashtī meñ akelā to nahīñ huuñ

mire hamrāh dariyā rahā hai

main kashti mein akela to nahin hun

mere hamrah dariya ja raha hai

zindagī sham.a mānind jalātā huuñ 'nadīm'

bujh to jā.ūñgā magar subah to kar jā.ūñgā

zindagi shama ki manind jalata hun 'nadim'

bujh to jaunga magar subah to kar jaunga

kuchh khel nahīñ hai ishq karnā

ye zindagī bhar rat-jagā hai

kuchh khel nahin hai ishq karna

ye zindagi bhar ka rat-jaga hai

us vaqt hisāb kyā duuñ

jo tere baġhair kaT gayā hai

us waqt ka hisab kya dun

jo tere baghair kaT gaya hai

ḳhudā kare ki tirī umr meñ gine jaa.eñ

vo din jo ham ne tire hijr meñ guzāre the

KHuda kare ki teri umr mein gine jaen

wo din jo hum ne tere hijr mein guzare the

aaj raat bhī tanhā kaTī

aaj ke din bhī añdherā hogā

aaj ki raat bhi tanha hi kaTi

aaj ke din bhi andhera hoga

sub.h hote nikal aate haiñ bāzār meñ log

gaThriyāñ sar pe uThā.e hue īmanoñ

subh hote hi nikal aate hain bazar mein log

gaThriyan sar pe uThae hue imanon ki

mujh ko dushman ke irādoñ pe bhī pyaar aatā hai

tirī ulfat ne mohabbat mirī aadat kar

mujh ko dushman ke iradon pe bhi pyar aata hai

teri ulfat ne mohabbat meri aadat kar di

itnā mānūs huuñ sannāTe se

koī bole to burā lagtā hai

itna manus hun sannaTe se

koi bole to bura lagta hai

dil gayā thā to ye āñkheñ bhī koī le jaatā

maiñ faqat ek tasvīr kahāñ tak dekhūñ

dil gaya tha to ye aankhen bhi koi le jata

main faqat ek hi taswir kahan tak dekhun

andāz hū-ba-hū tirī āvāz-e-pā thā

dekhā nikal ke ghar se to jhoñkā havā thā

andaz hu-ba-hu teri aawaz-e-pa ka tha

dekha nikal ke ghar se to jhonka hawa ka tha

saarī duniyā hameñ pahchāntī hai

koī ham bhī na tanhā hogā

sari duniya hamein pahchanti hai

koi hum sa bhi na tanha hoga

jannat milī jhūToñ ko agar jhuuT ke badle

sachchoñ ko sazā meñ hai jahannam bhī gavārā

jannat mili jhuTon ko agar jhuT ke badle

sachchon ko saza mein hai jahannam bhi gawara

mujhe manzūr gar tark-e-ta'alluq hai razā terī

magar TūTegā rishta dard āhista āhista

mujhe manzur gar tark-e-ta'alluq hai raza teri

magar TuTega rishta dard ka aahista aahista

mire ḳhudā ne kiyā thā mujhe asīr-e-bahisht

mire gunah ne rihā.ī mujhe dilā.ī hai

mere KHuda ne kiya tha mujhe asir-e-bahisht

mere gunah ne rihai mujhe dilai hai

ik umr ke ba.ad muskurā kar

ne to mujhe rulā diyā hai

ek umr ke baad muskura kar

tu ne to mujhe rula diya hai

kis tavaqqo.a pe kisī ko dekheñ

koī tum se bhī hasīñ kyā hogā

kis tawaqqoa pe kisi ko dekhen

koi tum se bhi hasin kya hoga

kar bhī to niiñd uḌ ga.ī thī

kho kar bhī to rat-jage mile haiñ

pa kar bhi to nind uD gai thi

kho kar bhi to rat-jage mile hain

maiñ tere kahe se chup huuñ lekin

chup bhī to bayān-e-mudda.ā hai

main tere kahe se chup hun lekin

chup bhi to bayan-e-muddaa hai

bharī duniyā meñ faqat mujh se nigāheñ na churā

ishq par bas na chalegā tirī dānā.ī

bhari duniya mein faqat mujh se nigahen na chura

ishq par bas na chalega teri danai ka

un aanā hashr se kuchh kam na thā

aur jab palTe qayāmat Dhā ga.e

un ka aana hashr se kuchh kam na tha

aur jab palTe qayamat Dha gae

har lamha agar gurez-pā hai

kyuuñ mire dil meñ bas gayā hai

har lamha agar gurez-pa hai

tu kyun mere dil mein bas gaya hai

ne yuuñ dekhā hai jaise kabhī dekhā na thā

maiñ to dil meñ tire qadmoñ ke nishāñ tak dekhūñ

tu ne yun dekha hai jaise kabhi dekha hi na tha

main to dil mein tere qadmon ke nishan tak dekhun

fareb khāne ko pesha banā liyā ham ne

jab ek baar vafā fareb khā baiThe

fareb khane ko pesha bana liya hum ne

jab ek bar wafa ka fareb kha baiThe

umr bhar sañg-zanī karte rahe ahl-e-vatan

ye alag baat ki dafnā.eñge e.azāz ke saath

umr bhar sang-zani karte rahe ahl-e-watan

ye alag baat ki dafnaenge eazaz ke sath

ajab tazād meñ kaaTā hai zindagī safar

laboñ pe pyaas thī bādal the sar pe chhā.e hue

ajab tazad mein kaTa hai zindagi ka safar

labon pe pyas thi baadal the sar pe chhae hue

ḳhud ko to 'nadīm' āzmāyā

ab mar ke ḳhudā ko āzmā.ūñ

KHud ko to 'nadim' aazmaya

ab mar ke KHuda ko aazmaun

log kahte haiñ ki saayā tire paikar nahīñ

maiñ to kahtā huuñ zamāne pe hai saayā terā

log kahte hain ki saya tere paikar ka nahin

main to kahta hun zamane pe hai saya tera

mirā vajūd mirī ruuh ko pukārtā hai

tirī taraf bhī chalūñ to Thahar Thahar jā.ūñ

mera wajud meri ruh ko pukarta hai

teri taraf bhi chalun to Thahar Thahar jaun

jakḌī huī hai in meñ mirī saarī kā.enāt

go dekhne meñ narm hai terī kalā.iyāñ

jakDi hui hai in mein meri sari kaenat

go dekhne mein narm hai teri kalaiyan

shaam ko sub.h-e-chaman yaad aa.ī

kis ḳhushbu-e-badan yaad aa.ī

sham ko subh-e-chaman yaad aai

kis ki KHushbu-e-badan yaad aai

āġhosh meñ mahkoge dikhā.ī nahīñ doge

tum nik.hat-e-gulzār ho ham parda-e-shab haiñ

aaghosh mein mahkoge dikhai nahin doge

tum nikhat-e-gulzar ho hum parda-e-shab hain

kis dil se karūñ vidā.a tujh ko

TuuTā jo sitāra bujh gayā hai

kis dil se karun widaa tujh ko

TuTa jo sitara bujh gaya hai

tum mire irādoñ ke Dolte sitāroñ ko

yaas ke ḳhalāoñ meñ rāsta dikhāte ho

tum mere iradon ke Dolte sitaron ko

yas ke KHalaon mein rasta dikhate ho

yaksāñ haiñ firāq-e-vasl donoñ

ye marhale ek se kaḌe haiñ

yaksan hain firaq-e-wasl donon

ye marhale ek se kaDe hain

mujh se kāfir ko tire ishq ne yuuñ sharmāyā

dil tujhe dekh ke dhaḌkā to ḳhudā yaad aaya

TRANSLATION

Thy love embarrassed an infidel like me, in such a way,

That when seeing you my heart stopped, I began to pray.

Sagar Akbarabadi

mujh se kafir ko tere ishq ne yun sharmaya

dil tujhe dekh ke dhaDka to KHuda yaad aaya

TRANSLATION

Thy love embarrassed an infidel like me, in such a way,

That when seeing you my heart stopped, I began to pray.

Sagar Akbarabadi

ġham-e-jānāñ ġham-e-daurāñ taraf yuuñ aayā

jānib shahar chale duḳhtar-e-dahqāñ jaise

gham-e-jaanan gham-e-dauran ki taraf yun aaya

jaanib shahar chale duKHtar-e-dahqan jaise

Recitation

Speak Now