Sher of Natiq Gulavthi
tum aise achchhe ki achchhe nahīñ kisī ke saath
maiñ vo burā ki kisī kā burā nahīñ kartā
tum aise achchhe ki achchhe nahin kisi ke sath
main wo bura ki kisi ka bura nahin karta
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kyā irāde haiñ vahshat-e-dil ke
kis se milnā hai ḳhaak meñ mil ke
kya irade hain wahshat-e-dil ke
kis se milna hai KHak mein mil ke
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kis ko mehrbāñ kahiye kaun mehrbāñ apnā
vaqt kī ye bāteñ haiñ vaqt ab kahāñ apnā
kis ko mehrban kahiye kaun mehrban apna
waqt ki ye baaten hain waqt ab kahan apna
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
zāhir na thā nahīñ sahī lekin zuhūr thā
kuchh kyuuñ na thā jahān meñ kuchh to zarūr thā
zahir na tha nahin sahi lekin zuhur tha
kuchh kyun na tha jahan mein kuchh to zarur tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hamāre aib meñ jis se madad mile ham ko
hameñ hai aaj kal aise kisī hunar kī talāsh
hamare aib mein jis se madad mile hum ko
hamein hai aaj kal aise kisi hunar ki talash
hichkiyoñ par ho rahā hai zindagī kā raag ḳhatm
jhaTke de kar taar toḌe jā rahe haiñ saaz ke
hichkiyon par ho raha hai zindagi ka rag KHatm
jhaTke de kar tar toDe ja rahe hain saz ke
aa.ī hogī to maut aa.egī
tum to jaao mirā ḳhudā hāfiz
aai hogi to maut aaegi
tum to jao mera KHuda hafiz
-
Tag : Farewell
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
umr bhar kā saath miTTī meñ milā
ham chale ai jism-e-be-jāñ al-vidā.a
umr bhar ka sath miTTi mein mila
hum chale ai jism-e-be-jaan al-widaa
hameñ kam-baḳht ehsās-e-ḳhudī us dar pe le baiThā
ham uTh jaate to vo parda bhī uTh jaatā jo haa.il thā
hamein kam-baKHt ehsas-e-KHudi us dar pe le baiTha
hum uTh jate to wo parda bhi uTh jata jo hail tha
riyā-kārī ke sajde shaiḳh le baiTheñge masjid ko
kisī din dekhnā ho kar rahegī sar-nigūñ vo bhī
riya-kari ke sajde shaiKH le baiThenge masjid ko
kisi din dekhna ho kar rahegi sar-nigun wo bhi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ab kahāñ guftugū mohabbat kī
aisī bāteñ hue zamāna huā
ab kahan guftugu mohabbat ki
aisi baaten hue zamana hua
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tumhārī baat kā itnā hai e'tibār hameñ
ki ek baat nahīñ e'tibār ke qābil
tumhaari baat ka itna hai e'tibar hamein
ki ek baat nahin e'tibar ke qabil
chaal aur hai duniyā kī hamārā hai chalan aur
vo sāḳht hai kuchh aur ye be-sāḳhta-pan aur
chaal aur hai duniya ki hamara hai chalan aur
wo saKHt hai kuchh aur ye be-saKHta-pan aur
kuchh nahīñ achchhā to duniyā meñ burā bhī kuchh nahīñ
kījiye sab kuchh magar apnī zarūrat dekh kar
kuchh nahin achchha to duniya mein bura bhi kuchh nahin
kijiye sab kuchh magar apni zarurat dekh kar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sab kuchh mujhe mushkil hai na pūchho mirī mushkil
āsān bhī ho kaam to āsāñ nahīñ hotā
sab kuchh mujhe mushkil hai na puchho meri mushkil
aasan bhi ho kaam to aasan nahin hota
DhūñDhtī hai iztirāb-e-shauq kī duniyā mujhe
aap ne mahfil se uThvā kar kahāñ rakkhā mujhe
DhunDhti hai iztirab-e-shauq ki duniya mujhe
aap ne mahfil se uThwa kar kahan rakkha mujhe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ai zindagī junūñ na sahī be-ḳhudī sahī
tū kuchh bhī apnī aql se pāgal uThā to lā
ai zindagi junun na sahi be-KHudi sahi
tu kuchh bhi apni aql se pagal uTha to la
-
Tag : Bekhudi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mai ko mire surūr se hāsil surūr thā
maiñ thā nashe meñ chuur nasha mujh meñ chuur thā
mai ko mere surur se hasil surur tha
main tha nashe mein chur nasha mujh mein chur tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hameñ jo yaad hai ham to usī se kaam lete haiñ
kisī kā naam lenā ho usī kā naam lete haiñ
hamein jo yaad hai hum to usi se kaam lete hain
kisi ka nam lena ho usi ka nam lete hain
ham to masjid se bhī māyūs hī aa.e 'nātiq'
koī allāh kā banda to musalmāñ hotā
hum to masjid se bhi mayus hi aae 'natiq'
koi allah ka banda to musalman hota
vafā par naaz ham ko un ko apnī bevafā.ī par
koī muñh aa.ine meñ dekhtā hai koī paanī meñ
wafa par naz hum ko un ko apni bewafai par
koi munh aaine mein dekhta hai koi pani mein
haañ jaan to deñge magar ai maut abhī dam le
aisā na kaheñ vo ki ham aa.e to chale aap
han jaan to denge magar ai maut abhi dam le
aisa na kahen wo ki hum aae to chale aap
rah ke achchhā bhī kuchh bhalā na huā
maiñ burā ho gayā burā na huā
rah ke achchha bhi kuchh bhala na hua
main bura ho gaya bura na hua
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
be-ḳhud-e-shauq huuñ aatā hai ḳhudā yaad mujhe
rāsta bhuul ke baiThā huuñ sanam-ḳhāne kā
be-KHud-e-shauq hun aata hai KHuda yaad mujhe
rasta bhul ke baiTha hun sanam-KHane ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mujh se nārāz haiñ jo log vo ḳhush haiñ un se
maiñ judā chiiz huuñ 'nātiq' mire ash.ār judā
mujh se naraaz hain jo log wo KHush hain un se
main juda chiz hun 'natiq' mere ashaar juda
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ab maiñ kyā tum se apnā haal kahūñ
ba-ḳhudā yaad bhī nahīñ mujh ko
ab main kya tum se apna haal kahun
ba-KHuda yaad bhi nahin mujh ko
ġham-o-andoh kā lashkar bhī chalā aatā hai
ek ghoḌ-dauḌ sī hai umr-e-gurezāñ ke qarīb
gham-o-andoh ka lashkar bhi chala aata hai
ek ghoD-dauD si hai umr-e-gurezan ke qarib
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aise bohtān lagā.e ki ḳhudā yaad aayā
but ne ghabrā ke kahā mujh se ki qur.ān uThā
aise bohtan lagae ki KHuda yaad aaya
but ne ghabra ke kaha mujh se ki quran uTha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ham paañv bhī paḌte haiñ to allāh-re naḳhvat
hotā hai ye irshād ki paḌte haiñ gale aap
hum panw bhi paDte hain to allah-re naKHwat
hota hai ye irshad ki paDte hain gale aap
ab jahāñ meñ baaqī hai aah se nishāñ apnā
uḌ ga.e dhueñ apne rah gayā dhuāñ apnā
ab jahan mein baqi hai aah se nishan apna
uD gae dhuen apne rah gaya dhuan apna
-
Tag : Aah
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ik harf-e-shikāyat par kyuuñ ruuTh ke jaate ho
jaane do ga.e shikve aa jaao maiñ baaz aayā
ek harf-e-shikayat par kyun ruTh ke jate ho
jaane do gae shikwe aa jao main baz aaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kyā karūñ ai dil-e-māyūs zarā ye to batā
kyā kiyā karte haiñ sadmoñ se hirāsāñ ho kar
kya karun ai dil-e-mayus zara ye to bata
kya kiya karte hain sadmon se hirasan ho kar
dūsroñ ko kyā kahiye dūsrī hai duniyā hī
ek ek apne ko ham ne dūsrā paayā
dusron ko kya kahiye dusri hai duniya hi
ek ek apne ko hum ne dusra paya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kashtī hai ghaaT par tū chale kyuuñ na duur aaj
kal bas chale chale na chale chal uThā to lā
kashti hai ghaT par tu chale kyun na dur aaj
kal bas chale chale na chale chal uTha to la
ho ga.ī āvāragardī be-gharī kī parda-dār
kaam jitnā ham ko aatā thā vo kaam aa hī gayā
ho gai aawaragardi be-ghari ki parda-dar
kaam jitna hum ko aata tha wo kaam aa hi gaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aa umr-e-rafta hashr ke dam-ḳham bhī dekh leñ
tūfān-e-zindagī kī vo halchal uThā to lā
aa umr-e-rafta hashr ke dam-KHam bhi dekh len
tufan-e-zindagi ki wo halchal uTha to la
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
pahlī bāteñ haiñ na pahle kī mulāqāteñ haiñ
ab dinoñ meñ vo rahā lutf na rātoñ meñ rahā
pahli baaten hain na pahle ki mulaqaten hain
ab dinon mein wo raha lutf na raaton mein raha
ghar banāne kī baḌī fikr hai duniyā meñ hameñ
sāhab-e-ḳhāna bane jaate haiñ mehmāñ ho kar
ghar banane ki baDi fikr hai duniya mein hamein
sahab-e-KHana bane jate hain mehman ho kar
kahne vaale vo sunñe vaalā maiñ
ek bhī aaj dūsrā na huā
kahne wale wo sunne wala main
ek bhi aaj dusra na hua
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
pahuñchā.egā nahīñ tū Thikāne lagā.egā
ab us galī meñ ġhair ko rahbar banā.eñge
pahunchaega nahin tu Thikane lagaega
ab us gali mein ghair ko rahbar banaenge
mile murād hamārī magar mile bhī kahīñ
ḳhudā kare magar aisā ḳhudā nahīñ kartā
mile murad hamari magar mile bhi kahin
KHuda kare magar aisa KHuda nahin karta
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
nazar aatā nahīñ ab ghar meñ vo bhī uf re tanhā.ī
ik ā.īne meñ pahle aadmī thā merī sūrat kā
nazar aata nahin ab ghar mein wo bhi uf re tanhai
ek aaine mein pahle aadmi tha meri surat ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
rahtī hai shams-o-qamar ko tire saa.e kī talāsh
raushnī DhūñDhtī phirtī hai añdherā terā
rahti hai shams-o-qamar ko tere sae ki talash
raushni DhunDhti phirti hai andhera tera
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
majnūñ se jo nafrat hai dīvānī hai tū lailā
vo ḳhaak uḌātā hai lekin nahīñ dil mailā
majnun se jo nafrat hai diwani hai tu laila
wo KHak uData hai lekin nahin dil maila
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hañgāma-e-hayāt se lenā to kuchh nahīñ
haañ dekhte chalo ki tamāshā hai raah kā
hangama-e-hayat se lena to kuchh nahin
han dekhte chalo ki tamasha hai rah ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
rasm-e-talab meñ kyā hai samajh kar uThā qadam
aa tujh ko ham batā.eñ ki kyā maañg kyā na maañg
rasm-e-talab mein kya hai samajh kar uTha qadam
aa tujh ko hum bataen ki kya mang kya na mang
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vahāñ se le ga.ī nākām badbaḳhtoñ ko ḳhud-kāmī
jahāñ chashm-e-karam se ḳhud-ba-ḳhud kuchh kaam honā thā
wahan se le gai nakaam badbaKHton ko KHud-kaami
jahan chashm-e-karam se KHud-ba-KHud kuchh kaam hona tha
ab gardish-e-daurāñ ko le aate haiñ qaabū meñ
ham daur chalāte haiñ saaqī se kaho mai lā
ab gardish-e-dauran ko le aate hain qabu mein
hum daur chalate hain saqi se kaho mai la
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dūsrā aisā kahāñ ai dasht ḳhalvat kā maqām
apnī vīrānī ko le kar mere vīrāne meñ aa
dusra aisa kahan ai dasht KHalwat ka maqam
apni virani ko le kar mere virane mein aa
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dostī kis kī rahī yaad vo kis par bhūlā
dūsrā biich meñ kaun aa ke marā mere ba.ad
dosti kis ki rahi yaad wo kis par bhula
dusra bich mein kaun aa ke mara mere baad