Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Top 20 chand shayari

Moon is a stock image

and metaphor of Urdu poetry. It has been treated both as a cliché and a fresh symbol. While it spread its cool light, it remains unreachable. It has been appropriated in many contexts but especially in the romantic and the spiritualist contexts. Here is a selection. Read and enjoy.

us ke chehre chamak ke sāmne saada lagā

āsmāñ pe chāñd puurā thā magar aadhā lagā

us ke chehre ki chamak ke samne sada laga

aasman pe chand pura tha magar aadha laga

Iftikhar Naseem

kal chaudhvīñ raat thī shab bhar rahā charchā tirā

kuchh ne kahā ye chāñd hai kuchh ne kahā chehrā tirā

T'was a full moon out last night, all evening there was talk of you

Some people said it was the moon,and some said that it was you

kal chaudhwin ki raat thi shab bhar raha charcha tera

kuchh ne kaha ye chand hai kuchh ne kaha chehra tera

T'was a full moon out last night, all evening there was talk of you

Some people said it was the moon,and some said that it was you

Ibn e Insha

eid chāñd tum ne dekh liyā

chāñd eid ho ga.ī hogī

eid ka chand tum ne dekh liya

chand ki eid ho gai hogi

Idris Azad

har ek raat ko mahtāb dekhne ke liye

maiñ jāgtā huuñ tirā ḳhvāb dekhne ke liye

har ek raat ko mahtab dekhne ke liye

main jagta hun tera KHwab dekhne ke liye

Azhar Inayati

vo chāñd kah ke gayā thā ki aaj niklegā

to intizār meñ baiThā huā huuñ shaam se maiñ

wo chand kah ke gaya tha ki aaj niklega

to intizar mein baiTha hua hun sham se main

Farhat Ehsas

chāñd se tujh ko jo de nisbat so be-insāf hai

chāñd ke muñh par haiñ chhā.īñ terā mukhḌā saaf hai

chand se tujh ko jo de nisbat so be-insaf hai

chand ke munh par hain chhain tera mukhDa saf hai

Shaikh Zahuruddin Hatim

mujh ko ma.alūm hai mahbūb-parastī azaab

der se chāñd nikalnā bhī ġhalat lagtā hai

mujh ko malum hai mahbub-parasti ka azab

der se chand nikalna bhi ghalat lagta hai

Ahmad Kamal Parwazi

paañv sākit ho ga.e 'sarvat' kisī ko dekh kar

ik kashish mahtāb jaisī chehra-e-dilbar meñ thī

panw sakit ho gae 'sarwat' kisi ko dekh kar

ek kashish mahtab jaisi chehra-e-dilbar mein thi

Sarvat Husain

ka.ī chāñd the sar-e-āsmāñ ki chamak chamak ke palaT ga.e

na lahū mire jigar meñ thā na tumhārī zulf siyāh thī

kai chand the sar-e-asman ki chamak chamak ke palaT gae

na lahu mere hi jigar mein tha na tumhaari zulf siyah thi

Ahmad Mushtaq

lutf-e-shab-e-mah ai dil us dam mujhe hāsil ho

ik chāñd baġhal meñ ho ik chāñd muqābil ho

lutf-e-shab-e-mah ai dil us dam mujhe hasil ho

ek chand baghal mein ho ek chand muqabil ho

Mirza Mohammad Taqi Hawas

chāñd meñ nazar aayā thā mujhe

maiñ ne mahtāb nahīñ dekhā thā

chand mein tu nazar aaya tha mujhe

main ne mahtab nahin dekha tha

Abdurrahman momin

ye kis zohra-jabīñ anjuman meñ aamad aamad hai

bichhāyā hai qamar ne chāñdnī farsh mahfil meñ

ye kis zohra-jabin ki anjuman mein aamad aamad hai

bichhaya hai qamar ne chandni ka farsh mahfil mein

Syed Yusuf Ali Khan Nazim

rusvā karegī dekh ke duniyā mujhe 'qamar'

is chāñdnī meñ un ko bulāne ko jaa.e kaun

ruswa karegi dekh ke duniya mujhe 'qamar'

is chandni mein un ko bulane ko jae kaun

Qamar Jalalvi

dekhā hilāl-e-īd to tum yaad aa ga.e

is mahviyat meñ iid hamārī guzar ga.ī

dekha hilal-e-id to tum yaad aa gae

is mahwiyat mein id hamari guzar gai

Unknown

ham ne us chehre ko bāñdhā nahīñ mahtāb-misāl

ham ne mahtāb ko us ruḳh ke mumāsil bāñdhā

hum ne us chehre ko bandha nahin mahtab-misal

hum ne mahtab ko us ruKH ke mumasil bandha

Iftikhar Mughal

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now