Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baĔhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ahmad Mushtaq's Photo'

Ahmad Mushtaq

1933 | USA

One of the leading and reputed Pakistani poets known for his neo-classical tone, equally well-known in India, lives in Houston USA.

One of the leading and reputed Pakistani poets known for his neo-classical tone, equally well-known in India, lives in Houston USA.

Sher of Ahmad Mushtaq

42.3K
Favorite

SORT BY

yaar sab jam.a hue raat kÄ« įø³hāmoshÄ« meƱ

koī ro kar to koī baal banā kar aayā

yar sab jama hue raat ki KHamoshi mein

koi ro kar to koi baal bana kar aaya

kisī jānib nahīƱ khulte darīche

kahīƱ jaatā nahīƱ rasta hamārā

kisi jaanib nahin khulte dariche

kahin jata nahin rasta hamara

umr bhar dukh sahte sahte āįø³hir itnā to huā

apnī chup ko dekh letā huuƱ sadā bante hue

umr bhar dukh sahte sahte aaKHir itna to hua

apni chup ko dekh leta hun sada bante hue

bahtā aaƱsÅ« ek jhalak meƱ kitne ruup dikhā.egā

aaƱkh se ho kar gaal bhigo kar miTTī meƱ mil jā.egā

bahta aansu ek jhalak mein kitne rup dikhaega

aankh se ho kar gal bhigo kar miTTi mein mil jaega

ik zamāna thā ki sab ek jagah rahte the

aur ab koī kahīƱ koī kahīƱ rahtā hai

ek zamana tha ki sab ek jagah rahte the

aur ab koi kahin koi kahin rahta hai

mil hī jā.egā kabhī dil ko yaqīƱ rahtā hai

vo isī shahr kī galiyoƱ meƱ kahīƱ rahtā hai

mil hi jaega kabhi dil ko yaqin rahta hai

wo isi shahr ki galiyon mein kahin rahta hai

chhat se kuchh qahqahe abhī tak

jāloƱ kī tarah laTak rahe haiƱ

chhat se kuchh qahqahe abhi tak

jalon ki tarah laTak rahe hain

milne kÄ« ye kaun ghaįøŒÄ« thÄ«

bāhar hijr kÄ« raat khaįøŒÄ« thÄ«

milne ki ye kaun ghaDi thi

bahar hijr ki raat khaDi thi

koī tasvīr mukammal nahīƱ hone paatī

dhuup dete haiƱ to saayā nahīƱ rahne dete

koi taswir mukammal nahin hone pati

dhup dete hain to saya nahin rahne dete

ye paanÄ« įø³hāmushÄ« se bah rahā hai

ise dekheƱ ki is meƱ Duub jaa.eƱ

ye pani KHamushi se bah raha hai

ise dekhen ki is mein Dub jaen

jahāƱ Daale the us ne dhuup meƱ kapįøŒe sukhāne ko

Tapaktī haiƱ abhī tak rassiyāƱ āhista āhista

jahan Dale the us ne dhup mein kapDe sukhane ko

Tapakti hain abhi tak rassiyan aahista aahista

fazā-e-dil pe kahīƱ chhā na jaa.e yaas kā raƱg

kahāƱ ho tum ki badalne lagā hai ghaas kā raƱg

faza-e-dil pe kahin chha na jae yas ka rang

kahan ho tum ki badalne laga hai ghas ka rang

tire aane kā din hai tere raste meƱ bichhāne ko

chamaktī dhuup meƱ saa.e ikaTThe kar rahā huuƱ maiƱ

tere aane ka din hai tere raste mein bichhane ko

chamakti dhup mein sae ikaTThe kar raha hun main

hotÄ« hai shaam aaƱkh se aaƱsÅ« ravāƱ hue

ye vaqt qaidiyoƱ kī rihā.ī kā vaqt hai

hoti hai sham aankh se aansu rawan hue

ye waqt qaidiyon ki rihai ka waqt hai

tum aa.e ho tumheƱ bhī aazmā kar dekh letā huuƱ

tumhāre saath bhī kuchh duur jā kar dekh letā huuƱ

tum aae ho tumhein bhi aazma kar dekh leta hun

tumhaare sath bhi kuchh dur ja kar dekh leta hun

vahī gulshan hai lekin vaqt kī parvāz to dekho

koī taa.ir nahīƱ pichhle baras ke āshiyānoƱ meƱ

wahi gulshan hai lekin waqt ki parwaz to dekho

koi tair nahin pichhle baras ke aashiyanon mein

dukh ke safar pe dil ko ravāna to kar diyā

ab saarī umr haath hilāte raheƱge ham

dukh ke safar pe dil ko rawana to kar diya

ab sari umr hath hilate rahenge hum

mujhe ma.alūm hai ahl-e-vafā par kyā guzartī hai

samajh kar soch kar tujh se mohabbat kar rahā huuƱ maiƱ

mujhe malum hai ahl-e-wafa par kya guzarti hai

samajh kar soch kar tujh se mohabbat kar raha hun main

guzre hazār bādal palkoƱ ke saa.e saa.e

utre hazār sūraj ik shah-nashīn-e-dil par

guzre hazar baadal palkon ke sae sae

utre hazar suraj ek shah-nashin-e-dil par

jhilmilāte rahe vo įø³hvāb jo puure na hue

dard bedār Tapaktā rahā aaƱsÅ« aaƱsÅ«

jhilmilate rahe wo KHwab jo pure na hue

dard bedar Tapakta raha aansu aansu

dil bhar aayā kāĔhaz-e-įø³hālÄ« kÄ« sÅ«rat dekh kar

jin ko likhnā thā vo sab bāteƱ zabānī ho ga.iiƱ

dil bhar aaya kaghaz-e-KHali ki surat dekh kar

jin ko likhna tha wo sab baaten zabani ho gain

vahāƱ salām ko aatī hai naƱge paaƱv bahār

khile the phuul jahāƱ tere muskurāne se

wahan salam ko aati hai nange panw bahaar

khile the phul jahan tere muskurane se

ahl-e-havas to įø³hair havas meƱ hue zalÄ«l

vo bhÄ« hue įø³harāb, mohabbat jinhoƱ ne kÄ«

ahl-e-hawas to KHair hawas mein hue zalil

wo bhi hue KHarab, mohabbat jinhon ne ki

ishq meƱ kaun batā saktā hai

kis ne kis se sach bolā hai

ishq mein kaun bata sakta hai

kis ne kis se sach bola hai

vo jo raat mujh ko baįøŒe adab se salām kar ke chalā gayā

use kyā įø³habar mire dil meƱ bhÄ« kabhÄ« ārzÅ«-e-gunāh thÄ«

wo jo raat mujh ko baDe adab se salam kar ke chala gaya

use kya KHabar mere dil mein bhi kabhi aarzu-e-gunah thi

tÅ« ne hÄ« to chāhā thā ki miltā rahÅ«Ć± tujh se

terī yahī marzī hai to achchhā nahīƱ miltā

tu ne hi to chaha tha ki milta rahun tujh se

teri yahi marzi hai to achchha nahin milta

dhueƱ se āsmāƱ kā raƱg mailā hotā jaatā hai

hare jaƱgal badalte jā rahe haiƱ kār-įø³hānoƱ meƱ

dhuen se aasman ka rang maila hota jata hai

hare jangal badalte ja rahe hain kar-KHanon mein

ek lamhe meƱ bikhar jaatā hai tānā-bānā

aur phir umr guzar jaatī hai yakjā.ī meƱ

ek lamhe mein bikhar jata hai tana-bana

aur phir umr guzar jati hai yakjai mein

jo muqaddar thā use to roknā bas meƱ na thā

un kā kyā karte jo bāteƱ nā-gahānī ho ga.iiƱ

jo muqaddar tha use to rokna bas mein na tha

un ka kya karte jo baaten na-gahani ho gain

ham apnī dhuup meƱ baiThe haiƱ 'mushtāq'

hamāre saath hai saaya hamārā

hum apni dhup mein baiThe hain 'mushtaq'

hamare sath hai saya hamara

ye tanhā raat ye gahrī fazā.eƱ

use DhÅ«Ć±DeƱ ki us ko bhuul jaa.eƱ

ye tanha raat ye gahri fazaen

use DhunDen ki us ko bhul jaen

ham un ko soch meƱ gum dekh kar vāpas chale aa.e

vo apne dhyān meƱ baiThe hue achchhe lage ham ko

hum un ko soch mein gum dekh kar wapas chale aae

wo apne dhyan mein baiThe hue achchhe lage hum ko

bhuul ga.Ä« vo shakl bhÄ« āįø³hir

kab tak yaad koī rahtā hai

bhul gai wo shakl bhi aaKHir

kab tak yaad koi rahta hai

paanī meƱ aks aur kisī āsmāƱ kā hai

ye naav kaun sī hai ye dariyā kahāƱ kā hai

pani mein aks aur kisi aasman ka hai

ye naw kaun si hai ye dariya kahan ka hai

chāƱd bhī niklā sitāre bhī barābar nikle

mujh se achchhe to shab-e-Ĕham ke muqaddar nikle

chand bhi nikla sitare bhi barabar nikle

mujh se achchhe to shab-e-gham ke muqaddar nikle

rone lagtā huuƱ mohabbat meƱ to kahtā hai koī

kyā tire ashkoƱ se ye jaƱgal harā ho jā.egā

rone lagta hun mohabbat mein to kahta hai koi

kya tere ashkon se ye jangal hara ho jaega

nÄ«ndoƱ meƱ phir rahā huuƱ use DhÅ«Ć±Dhtā huā

shāmil jo ek įø³hvāb mire rat-jage meƱ thā

nindon mein phir raha hun use DhunDhta hua

shamil jo ek KHwab mere rat-jage mein tha

balā kī chamak us ke chehre pe thī

mujhe kyā įø³habar thÄ« ki mar jā.egā

bala ki chamak us ke chehre pe thi

mujhe kya KHabar thi ki mar jaega

jaise pau phaT rahī ho jaƱgal meƱ

yuuƱ koī muskurā.e jaatā hai

jaise pau phaT rahi ho jangal mein

yun koi muskurae jata hai

hamārā kyā hai jo hotā hai jī udaas bahut

to gul tarāshte haiƱ titliyāƱ banāte haiƱ

hamara kya hai jo hota hai ji udas bahut

to gul tarashte hain titliyan banate hain

chup kahīƱ aur liye phirtī thī bāteƱ kahīƱ aur

din kahīƱ aur guzarte the to rāteƱ kahīƱ aur

chup kahin aur liye phirti thi baaten kahin aur

din kahin aur guzarte the to raaten kahin aur

vo vaqt bhī aatā hai jab āƱkhoƱ meƱ hamārī

phirtī haiƱ vo shakleƱ jinheƱ dekhā nahīƱ hotā

wo waqt bhi aata hai jab aankhon mein hamari

phirti hain wo shaklen jinhen dekha nahin hota

tÅ« agar paas nahīƱ hai kahīƱ maujÅ«d to hai

tere hone se baįøŒe kaam hamāre nikle

tu agar pas nahin hai kahin maujud to hai

tere hone se baDe kaam hamare nikle

roz milne pe bhī lagtā thā ki jug biit ga.e

ishq meƱ vaqt kā ehsās nahīƱ rahtā hai

roz milne pe bhi lagta tha ki jug bit gae

ishq mein waqt ka ehsas nahin rahta hai

bahut udaas ho tum aur maiƱ bhī baiThā huuƱ

ga.e dinoƱ kī kamar se kamar lagā.e hue

bahut udas ho tum aur main bhi baiTha hun

gae dinon ki kamar se kamar lagae hue

ab shuĔhl hai yahī dil-e-īzā-pasand kā

jo zaįø³hm bhar gayā hai nishāƱ us kā dekhnā

ab shughl hai yahi dil-e-iza-pasand ka

jo zaKHm bhar gaya hai nishan us ka dekhna

jahān-e-ishq se ham sarsarī nahīƱ guzre

ye vo jahāƱ hai jahāƱ sarsarī nahīƱ koī shai

jahan-e-ishq se hum sarsari nahin guzre

ye wo jahan hai jahan sarsari nahin koi shai

tanhā.ī meƱ karnī to hai ik baat kisī se

lekin vo kisī vaqt akelā nahīƱ hotā

tanhai mein karni to hai ek baat kisi se

lekin wo kisi waqt akela nahin hota

maut įø³hāmoshÄ« hai chup rahne se chup lag jā.egÄ«

zindagī āvāz hai bāteƱ karo bāteƱ karo

maut KHamoshi hai chup rahne se chup lag jaegi

zindagi aawaz hai baaten karo baaten karo

khoyā hai kuchh zarÅ«r jo us kÄ« talāsh meƱ

har chiiz ko idhar se udhar kar rahe haiƱ ham

khoya hai kuchh zarur jo us ki talash mein

har chiz ko idhar se udhar kar rahe hain hum

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now