Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Firaq Gorakhpuri's Photo'

Firaq Gorakhpuri

1896 - 1982 | Allahabad, India

One of the most influential Pre-modern poets who paved the way for the modern Urdu ghazal. Known for his perceptive critical comments. Recipient of Gyanpeeth award.

One of the most influential Pre-modern poets who paved the way for the modern Urdu ghazal. Known for his perceptive critical comments. Recipient of Gyanpeeth award.

Sher of Firaq Gorakhpuri

196K
Favorite

SORT BY

bahut hasīn hai doshīzgī-e-husn magar

ab aa ga.e ho to aao tumheñ ḳharāb kareñ

bahut hasin hai doshizgi-e-husn magar

ab aa gae ho to aao tumhein KHarab karen

tirā 'firāq' to us din tirā firāq huā

jab un se pyaar kiyā maiñ ne jin se pyaar nahīñ

tera 'firaq' to us din tera firaq hua

jab un se pyar kiya main ne jin se pyar nahin

laa.ī na aisoñ-vaisoñ ko ḳhātir meñ aaj tak

ūñchī hai kis qadar tirī nīchī nigāh bhī

lai na aison-waison ko KHatir mein aaj tak

unchi hai kis qadar teri nichi nigah bhi

samajhnā kam na ham ahl-e-zamīñ ko

utarte haiñ sahīfe āsmāñ se

samajhna kam na hum ahl-e-zamin ko

utarte hain sahife aasman se

vo kuchh rūThī huī āvāz meñ tajdīd-e-dildārī

nahīñ bhūlā tirā vo iltifāt-e-sar-girāñ ab tak

wo kuchh ruThi hui aawaz mein tajdid-e-dildari

nahin bhula tera wo iltifat-e-sar-giran ab tak

mire dil se kabhī ġhāfil na hoñ ḳhuddām-e-mai-ḳhāna

ye rind-e-lā-ubālī be-piye bhī to bahaktā hai

mere dil se kabhi ghafil na hon KHuddam-e-mai-KHana

ye rind-e-la-ubaali be-piye bhi to bahakta hai

niiñd aa chalī hai anjum-e-shām-e-abad ko bhī

aañkh ahl-e-intizār ab tak lagī nahīñ

nind aa chali hai anjum-e-sham-e-abad ko bhi

aankh ahl-e-intizar ki ab tak lagi nahin

jo un ma.asūm āñkhoñ ne diye the

vo dhoke aaj tak maiñ khā rahā huuñ

jo un masum aankhon ne diye the

wo dhoke aaj tak main kha raha hun

aañkh churā rahā huuñ maiñ apne shauq-e-dīd se

jalva-e-husn-e-be-panāh ne ye kyā dikhā diyā

aankh chura raha hun main apne hi shauq-e-did se

jalwa-e-husn-e-be-panah tu ne ye kya dikha diya

lutf-o-sitam vafā jafā yās-o-umīd qurb-o-bod

ishq umr kaT ga.ī chand tavahhumāt meñ

lutf-o-sitam wafa jafa yas-o-umid qurb-o-bod

ishq ki umr kaT gai chand tawahhumat mein

hayāt ho ki ajal sab se kaam le ġhāfil

ki muḳhtasar bhī hai kār-e-jahāñ darāz bhī hai

hayat ho ki ajal sab se kaam le ghafil

ki muKHtasar bhi hai kar-e-jahan daraaz bhi hai

kuchh qafas tīliyoñ se chhan rahā hai nuur

kuchh fazā kuchh hasrat-e-parvāz bāteñ karo

kuchh qafas ki tiliyon se chhan raha hai nur sa

kuchh faza kuchh hasrat-e-parwaz ki baaten karo

ham se kyā ho sakā mohabbat meñ

ḳhair tum ne to bevafā.ī

hum se kya ho saka mohabbat mein

KHair tum ne to bewafai ki

duniyā thī rahguzar to qadam mārnā thā sahl

manzil huī to paañv zanjīr ho ga.ī

duniya thi rahguzar to qadam marna tha sahl

manzil hui to panw ki zanjir ho gai

rafta rafta ishq mānūs-e-jahāñ hone lagā

ḳhud ko tere hijr meñ tanhā samajh baiThe the ham

rafta rafta ishq manus-e-jahan hone laga

KHud ko tere hijr mein tanha samajh baiThe the hum

aql meñ yuuñ to nahīñ koī kamī

ik zarā dīvāngī darkār hai

aql mein yun to nahin koi kami

ek zara diwangi darkar hai

maut bhī ilaaj ho shāyad

zindagī koī ilaaj nahīñ

for death a cure there well may be

but for this life no remedy

maut ka bhi ilaj ho shayad

zindagi ka koi ilaj nahin

for death a cure there well may be

but for this life no remedy

ik fusūñ-sāmāñ nigāh-e-āshnā der thī

is bharī duniyā meñ ham tanhā nazar aane lage

ek fusun-saman nigah-e-ashna ki der thi

is bhari duniya mein hum tanha nazar aane lage

ishq ke dard ḳhud ishq ko ehsās nahīñ

khiñch gayā baade se bhī durd-e-tah-e-jām bahut

ishq ke dard ka KHud ishq ko ehsas nahin

khinch gaya baade se bhi durd-e-tah-e-jam bahut

ināyat karam lutf āḳhir koī had hai

koī kartā rahegā chāra-e-zaḳhm-e-jigar kab tak

inayat ki karam ki lutf ki aaKHir koi had hai

koi karta rahega chaara-e-zaKHm-e-jigar kab tak

parda-e-lutf meñ ye zulm-o-sitam kyā kahiye

haa.e zālim tirā andāz-e-karam kyā kahiye

parda-e-lutf mein ye zulm-o-sitam kya kahiye

hae zalim tera andaz-e-karam kya kahiye

ma.alūm hai mohabbat lekin usī ke hāthoñ

ai jān-e-ishq maiñ ne terā burā bhī chāhā

malum hai mohabbat lekin usi ke hathon

ai jaan-e-ishq main ne tera bura bhi chaha

mā.il-e-bedād vo kab thā 'firāq'

ne us ko ġhaur se dekhā nahīñ

mail-e-bedad wo kab tha 'firaq'

tu ne us ko ghaur se dekha nahin

maiñ āsmān-e-mohabbat se ruḳhsat-e-shab huuñ

tirā ḳhayāl koī Dūbtā sitāra hai

main aasman-e-mohabbat se ruKHsat-e-shab hun

tera KHayal koi Dubta sitara hai

sarhad-e-ġhaib tak tujhe saaf mileñge naqsh-e-pā

pūchh na ye phirā huuñ maiñ tere liye kahāñ kahāñ

sarhad-e-ghaib tak tujhe saf milenge naqsh-e-pa

puchh na ye phira hun main tere liye kahan kahan

maiñ muddatoñ jiyā huuñ kisī dost ke baġhair

ab tum bhī saath chhoḌne ko kah rahe ho ḳhair

main muddaton jiya hun kisi dost ke baghair

ab tum bhi sath chhoDne ko kah rahe ho KHair

usī duniyā ke kuchh naqsh-o-nigār ash.ār haiñ mere

jo paidā ho rahī hai haqq-o-bātil ke tasādum se

usi duniya ke kuchh naqsh-o-nigar ashaar hain mere

jo paida ho rahi hai haqq-o-baatil ke tasadum se

ḳhush bhī ho lete haiñ tere be-qarār

ġham ġham ho ishq meñ aisā nahīñ

KHush bhi ho lete hain tere be-qarar

gham hi gham ho ishq mein aisa nahin

vaqt-e-ġhurūb aaj karāmāt ho ga.ī

zulfoñ ko us ne khol diyā raat ho ga.ī

waqt-e-ghurub aaj karamat ho gai

zulfon ko us ne khol diya raat ho gai

yaad aayā tire jaur-o-sitam lekin na yaad aa.e

mohabbat meñ ye ma.asūmī baḌī mushkil se aatī hai

You I did remember, your torments all forgot

such innocence in love, is with hardship wrought

tu yaad aaya tere jaur-o-sitam lekin na yaad aae

mohabbat mein ye masumi baDi mushkil se aati hai

You I did remember, your torments all forgot

such innocence in love, is with hardship wrought

ye maanā zindagī hai chaar din

bahut hote haiñ yaaro chaar din bhī

ye mana zindagi hai chaar din ki

bahut hote hain yaro chaar din bhi

jo uljhī thī kabhī aadam ke hāthoñ

vo gutthī aaj tak suljhā rahā huuñ

jo uljhi thi kabhi aadam ke hathon

wo gutthi aaj tak suljha raha hun

bahut dinoñ meñ mohabbat ko ye huā ma.alūm

jo tere hijr meñ guzrī vo raat raat huī

bahut dinon mein mohabbat ko ye hua malum

jo tere hijr mein guzri wo raat raat hui

kahāñ har ek se bār-e-nashāt uThtā hai

balā.eñ ye bhī mohabbat ke sar ga.ī hoñgī

kahan har ek se bar-e-nashat uThta hai

balaen ye bhi mohabbat ke sar gai hongi

taarā TūTte sab ne dekhā ye nahīñ dekhā ek ne bhī

kis aañkh se aañsū Tapkā kis sahārā TuuT gayā

tara TuTte sab ne dekha ye nahin dekha ek ne bhi

kis ki aankh se aansu Tapka kis ka sahaara TuT gaya

qafas vāloñ bhī kyā zindagī hai

chaman duur āshiyāñ duur āsmāñ duur

qafas walon ki bhi kya zindagi hai

chaman dur aashiyan dur aasman dur

farsh-e-mai-ḳhāna pe jalte chale jaate haiñ charāġh

dīdanī hai tirī āhista-ravī ai saaqī

farsh-e-mai-KHana pe jalte chale jate hain charagh

didani hai teri aahista-rawi ai saqi

ab to un yaad bhī aatī nahīñ

kitnī tanhā ho ga.iiñ tanhā.iyāñ

nowadays even her thoughts do not intrude

see how forlorn and lonely is my solitude

ab to un ki yaad bhi aati nahin

kitni tanha ho gain tanhaiyan

nowadays even her thoughts do not intrude

see how forlorn and lonely is my solitude

tirā visāl baḌī chiiz hai magar ai dost

visāl ko mirī duniyā-e-ārzū na banā

tera visal baDi chiz hai magar ai dost

visal ko meri duniya-e-arzu na bana

paal le ik rog nādāñ zindagī ke vāste

sirf sehhat ke sahāre umr to kaTtī nahīñ

pal le ek rog nadan zindagi ke waste

sirf sehhat ke sahaare umr to kaTti nahin

kisī bazm-e-tarab meñ hayāt baTtī thī

umīd-vāroñ meñ kal maut bhī nazar aa.ī

kisi ki bazm-e-tarab mein hayat baTti thi

umid-waron mein kal maut bhi nazar aai

kam se kam maut se aisī mujhe ummīd nahīñ

zindagī ne to dhoke pe diyā hai dhoka

kam se kam maut se aisi mujhe ummid nahin

zindagi tu ne to dhoke pe diya hai dhoka

zabt kiije to dil hai añgārā

aur agar roiye to paanī hai

zabt kije to dil hai angara

aur agar roiye to pani hai

sar meñ saudā bhī nahīñ dil meñ tamannā bhī nahīñ

lekin is tark-e-mohabbat bharosā bhī nahīñ

sar mein sauda bhi nahin dil mein tamanna bhi nahin

lekin is tark-e-mohabbat ka bharosa bhi nahin

diloñ ko tere tabassum yaad yuuñ aa.ī

ki jagmagā uTheñ jis tarah mandiroñ meñ charāġh

dilon ko tere tabassum ki yaad yun aai

ki jagmaga uThen jis tarah mandiron mein charagh

kyā jāniye maut pahle kyā thī

ab merī hayāt ho ga.ī hai

kya jaaniye maut pahle kya thi

ab meri hayat ho gai hai

rahā hai mire pahlū meñ ik zamāne tak

mire liye to vahī ain hijr ke din the

raha hai tu mere pahlu mein ek zamane tak

mere liye to wahi ain hijr ke din the

tire pahlū meñ kyuuñ hotā hai mahsūs

ki tujh se duur hotā rahā huuñ

tere pahlu mein kyun hota hai mahsus

ki tujh se dur hota ja raha hun

ek rañgīnī-e-zāhir hai gulistāñ meñ agar

ek shādābī-e-pinhāñ hai bayābānoñ meñ

ek rangini-e-zahir hai gulistan mein agar

ek shadabi-e-pinhan hai bayabanon mein

le uḌī tujh ko nigāh-e-shauq kyā jaane kahāñ

terī sūrat par bhī ab terā gumāñ hotā nahīñ

le uDi tujh ko nigah-e-shauq kya jaane kahan

teri surat par bhi ab tera guman hota nahin

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now