Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Sahir Ludhianvi's Photo'

Sahir Ludhianvi

1921 - 1980 | Mumbai, India

Leading progressive Indian poet and celebrated film-lyricist. Popular for his writings against social injustice and backwardness in society

Leading progressive Indian poet and celebrated film-lyricist. Popular for his writings against social injustice and backwardness in society

Sher of Sahir Ludhianvi

178K
Favorite

SORT BY

vo afsāna jise anjām tak laanā na ho mumkin

use ik ḳhūb-sūrat moḌ de kar chhoḌnā achchhā

wo afsana jise anjam tak lana na ho mumkin

use ek KHub-surat moD de kar chhoDna achchha

ham to samjhe the ki ham bhuul ga.e haiñ un ko

kyā huā aaj ye kis baat pe ronā aayā

hum to samjhe the ki hum bhul gae hain un ko

kya hua aaj ye kis baat pe rona aaya

terā milnā ḳhushī baat sahī

tujh se mil kar udaas rahtā huuñ

tera milna KHushi ki baat sahi

tujh se mil kar udas rahta hun

dekhā hai zindagī ko kuchh itne qarīb se

chehre tamām lagne lage haiñ ajiib se

dekha hai zindagi ko kuchh itne qarib se

chehre tamam lagne lage hain ajib se

ġham aur ḳhushī meñ farq na mahsūs ho jahāñ

maiñ dil ko us maqām pe laatā chalā gayā

gham aur KHushi mein farq na mahsus ho jahan

main dil ko us maqam pe lata chala gaya

hazār barq gire laakh āñdhiyāñ uTTheñ

vo phuul khil ke raheñge jo khilne vaale haiñ

hazar barq gire lakh aandhiyan uTThen

wo phul khil ke rahenge jo khilne wale hain

le de ke apne paas faqat ik nazar to hai

kyuuñ dekheñ zindagī ko kisī nazar se ham

le de ke apne pas faqat ek nazar to hai

kyun dekhen zindagi ko kisi ki nazar se hum

kabhī ḳhud pe kabhī hālāt pe ronā aayā

baat niklī to har ik baat pe ronā aayā

kabhi KHud pe kabhi haalat pe rona aaya

baat nikli to har ek baat pe rona aaya

tañg aa chuke haiñ kashmakash-e-zindagī se ham

Thukrā na deñ jahāñ ko kahīñ be-dilī se ham

tang aa chuke hain kashmakash-e-zindagi se hum

Thukra na den jahan ko kahin be-dili se hum

kaun rotā hai kisī aur ḳhātir ai dost

sab ko apnī kisī baat pe ronā aayā

who does ever weep for others' sake my friend

everybody cries

kaun rota hai kisi aur ki KHatir ai dost

sab ko apni hi kisi baat pe rona aaya

who does ever weep for others' sake my friend

everybody cries

apnī tabāhiyoñ mujhe koī ġham nahīñ

tum ne kisī ke saath mohabbat nibhā to

at my own destruction I do not moan or weep

for faith at least with someone, you managed to keep

apni tabahiyon ka mujhe koi gham nahin

tum ne kisi ke sath mohabbat nibha to di

at my own destruction I do not moan or weep

for faith at least with someone, you managed to keep

ham amn chāhte haiñ magar zulm ke ḳhilāf

gar jañg lāzmī hai to phir jañg sahī

hum amn chahte hain magar zulm ke KHilaf

gar jang lazmi hai to phir jang hi sahi

aap daulat ke tarāzū meñ diloñ ko tauleñ

ham mohabbat se mohabbat sila dete haiñ

aap daulat ke taraazu mein dilon ko taulen

hum mohabbat se mohabbat ka sila dete hain

maiñ zindagī saath nibhātā chalā gayā

har fikr ko dhueñ meñ uḌātā chalā gayā

main zindagi ka sath nibhata chala gaya

har fikr ko dhuen mein uData chala gaya

is tarah zindagī ne diyā hai hamārā saath

jaise koī nibāh rahā ho raqīb se

is tarah zindagi ne diya hai hamara sath

jaise koi nibah raha ho raqib se

tum mere liye ab koī ilzām na DhūñDo

chāhā thā tumheñ ik yahī ilzām bahut hai

a reason to indict me, you need hardly pursue

is it not cause enough I fell in love with you

tum mere liye ab koi ilzam na DhunDo

chaha tha tumhein ek yahi ilzam bahut hai

a reason to indict me, you need hardly pursue

is it not cause enough I fell in love with you

aurat ne janam diyā mardoñ ko mardoñ ne use bāzār diyā

jab chāhā maslā kuchlā jab chāhā dhutkār diyā

aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazar diya

jab ji chaha masla kuchla jab ji chaha dhutkar diya

be piye sharāb se nafrat

ye jahālat nahīñ to phir kyā hai

without drinking, to abhor wine so

what is this if not igorant stupidity

be piye hi sharab se nafrat

ye jahaalat nahin to phir kya hai

without drinking, to abhor wine so

what is this if not igorant stupidity

tum husn ḳhud ik duniyā ho shāyad ye tumheñ mālūm nahīñ

mahfil meñ tumhāre aane se har chiiz pe nuur aa jaatā hai

tum husn ki KHud ek duniya ho shayad ye tumhein malum nahin

mahfil mein tumhaare aane se har chiz pe nur aa jata hai

vaise to tumhīñ ne mujhe barbād kiyā hai

ilzām kisī aur ke sar jaa.e to achchhā

waise to tumhin ne mujhe barbaad kiya hai

ilzam kisi aur ke sar jae to achchha

ham ġham-zada haiñ laa.eñ kahāñ se ḳhushī ke giit

deñge vahī jo pā.eñge is zindagī se ham

hum gham-zada hain laen kahan se KHushi ke git

denge wahi jo paenge is zindagi se hum

jañg to ḳhud ek mas.ala hai

jañg kyā mas.aloñ hal degī

jang to KHud hi ek masala hai

jang kya masalon ka hal degi

gar zindagī meñ mil ga.e phir ittifāq se

pūchheñge apnā haal tirī bebasī se ham

gar zindagi mein mil gae phir ittifaq se

puchhenge apna haal teri bebasi se hum

phir kho na jaa.eñ ham kahīñ duniyā bhiiḌ meñ

miltī hai paas aane mohlat kabhī kabhī

phir kho na jaen hum kahin duniya ki bhiD mein

milti hai pas aane ki mohlat kabhi kabhi

ik shahanshāh ne daulat sahārā le kar

ham ġharīboñ mohabbat uḌāyā hai mazāq

ek shahanshah ne daulat ka sahaara le kar

hum gharibon ki mohabbat ka uDaya hai mazaq

abhī na chheḌ mohabbat ke giit ai mutrib

abhī hayāt māhaul ḳhush-gavār nahīñ

abhi na chheD mohabbat ke git ai mutrib

abhi hayat ka mahaul KHush-gawar nahin

chand kaliyāñ nashāt chun kar muddatoñ mahv-e-yās rahtā huuñ

terā milnā ḳhushī baat sahī tujh se mil kar udaas rahtā huuñ

chand kaliyan nashat ki chun kar muddaton mahw-e-yas rahta hun

tera milna KHushi ki baat sahi tujh se mil kar udas rahta hun

un ke ruḳhsār pe Dhalke hue aañsū tauba

maiñ ne shabnam ko bhī sho.aloñ pe machalte dekhā

un ke ruKHsar pe Dhalke hue aansu tauba

main ne shabnam ko bhi shoalon pe machalte dekha

duniyā ne tajrabāt o havādis shakl meñ

jo kuchh mujhe diyā hai vo lauTā rahā huuñ maiñ

duniya ne tajrabaat o hawadis ki shakl mein

jo kuchh mujhe diya hai wo lauTa raha hun main

barbādiyoñ sog manānā fuzūl thā

barbādiyoñ jashn manātā chalā gayā

barbaadiyon ka sog manana fuzul tha

barbaadiyon ka jashn manata chala gaya

jab tum se mohabbat ham ne tab ke kahīñ ye raaz khulā

marne salīqa aate jiine shu.ūr aa jaatā hai

jab tum se mohabbat ki hum ne tab ja ke kahin ye raaz khula

marne ka saliqa aate hi jine ka shuur aa jata hai

maiñ jise pyaar andāz samajh baiThā huuñ

vo tabassum vo takallum tirī aadat na ho

main jise pyar ka andaz samajh baiTha hun

wo tabassum wo takallum teri aadat hi na ho

mujhe chhoḌ ke Thukrā ke bhī saktī hai

tere hāthoñ meñ mire haath haiñ zanjīr nahīñ

tu mujhe chhoD ke Thukra ke bhi ja sakti hai

tere hathon mein mere hath hain zanjir nahin

zulm phir zulm hai baḌhtā hai to miT jaatā hai

ḳhuun phir ḳhuun hai Tapkegā to jam jā.egā

zulm phir zulm hai baDhta hai to miT jata hai

KHun phir KHun hai Tapkega to jam jaega

maanā ki is zamīñ ko na gulzār kar sake

kuchh ḳhaar kam to kar ga.e guzre jidhar se ham

mana ki is zamin ko na gulzar kar sake

kuchh KHar kam to kar gae guzre jidhar se hum

yūñhī dil ne chāhā thā ronā-rulānā

tirī yaad to ban ga.ī ik bahānā

yunhi dil ne chaha tha rona-rulana

teri yaad to ban gai ek bahana

jo mil gayā usī ko muqaddar samajh liyā

jo kho gayā maiñ us ko bhulātā chalā gayā

jo mil gaya usi ko muqaddar samajh liya

jo kho gaya main us ko bhulata chala gaya

are o āsmāñ vaale batā is meñ burā kyā hai

ḳhushī ke chaar jhoñke gar idhar se bhī guzar jaa.eñ

are o aasman wale bata is mein bura kya hai

KHushi ke chaar jhonke gar idhar se bhi guzar jaen

abhī zinda huuñ lekin sochtā rahtā huuñ ḳhalvat meñ

ki ab tak kis tamannā ke sahāre liyā maiñ ne

abhi zinda hun lekin sochta rahta hun KHalwat mein

ki ab tak kis tamanna ke sahaare ji liya main ne

tujh ko ḳhabar nahīñ magar ik sāda-lauh ko

barbād kar diyā tire do din ke pyaar ne

tujh ko KHabar nahin magar ek sada-lauh ko

barbaad kar diya tere do din ke pyar ne

mere ḳhvāboñ meñ bhī mere ḳhayāloñ meñ bhī

kaun chiiz tujhe tujh se judā pesh karūñ

mere KHwabon mein bhi tu mere KHayalon mein bhi tu

kaun si chiz tujhe tujh se juda pesh karun

un ġham un tasavvur un ke shikve ab kahāñ

ab to ye bāteñ bhī ai dil ho ga.iiñ aa.ī ga.ī

un ka gham un ka tasawwur un ke shikwe ab kahan

ab to ye baaten bhi ai dil ho gain aai gai

phir na kiije mirī gustāḳh-nigāhī gilā

dekhiye aap ne phir pyaar se dekhā mujh ko

phir na kije meri gustaKH-nigahi ka gila

dekhiye aap ne phir pyar se dekha mujh ko

kis darja dil-shikan the mohabbat ke hādse

ham zindagī meñ phir koī armāñ na kar sake

kis darja dil-shikan the mohabbat ke hadse

hum zindagi mein phir koi arman na kar sake

vafā-shi.ār ka.ī haiñ koī hasīñ bhī to ho

chalo phir aaj usī bevafā baat kareñ

wafa-shiar kai hain koi hasin bhi to ho

chalo phir aaj usi bewafa ki baat karen

koī to aisā ghar hotā jahāñ se pyaar mil jaatā

vahī begāne chehre haiñ jahāñ jaa.eñ jidhar jaa.eñ

koi to aisa ghar hota jahan se pyar mil jata

wahi begane chehre hain jahan jaen jidhar jaen

ab aa.eñ na aa.eñ idhar pūchhte chalo

kyā chāhtī hai un nazar pūchhte chalo

ab aaen ya na aaen idhar puchhte chalo

kya chahti hai un ki nazar puchhte chalo

lo aaj ham ne toḌ diyā rishta-e-umīd

lo ab kabhī gilā na kareñge kisī se ham

lo aaj hum ne toD diya rishta-e-umid

lo ab kabhi gila na karenge kisi se hum

har ek daur maz.hab nayā ḳhudā laayā

kareñ to ham bhī magar kis ḳhudā baat kareñ

har ek daur ka mazhab naya KHuda laya

karen to hum bhi magar kis KHuda ki baat karen

māyūsī-e-ma.āl-e-mohabbat na pūchhiye

apnoñ se pesh aa.e haiñ begānagī se ham

mayusi-e-maal-e-mohabbat na puchhiye

apnon se pesh aae hain beganagi se hum

Recitation

Speak Now