Sher of Qayem Chaandpuri
qismat to dekh TuuTī hai jā kar kahāñ kamand
kuchh duur apne haath se jab baam rah gayā
qismat to dekh TuTi hai ja kar kahan kamand
kuchh dur apne hath se jab baam rah gaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
duniyā meñ ham rahe to ka.ī din pa is tarah
dushman ke ghar meñ jaise koī mehmāñ rahe
I did stay in this world but twas in such a way
a guest who in the house of his enemy does stay
duniya mein hum rahe to kai din pa is tarah
dushman ke ghar mein jaise koi mehman rahe
I did stay in this world but twas in such a way
a guest who in the house of his enemy does stay
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
koī din aage bhī zāhid ajab zamāna thā
har ik mohalle kī masjid sharāb-ḳhāna thā
koi din aage bhi zahid ajab zamana tha
har ek mohalle ki masjid sharab-KHana tha
dil pā ke us kī zulf meñ ārām rah gayā
darvesh jis jagah ki huī shaam rah gayā
TRANSLATION
Heart found comfort and stayed on in her tresses,
As an ascetic stays wherever on the nightfall he is.
Sagar Akbarabadi
dil pa ke us ki zulf mein aaram rah gaya
darwesh jis jagah ki hui sham rah gaya
TRANSLATION
Heart found comfort and stayed on in her tresses,
As an ascetic stays wherever on the nightfall he is.
Sagar Akbarabadi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
TukḌe ka.ī ik dil ke maiñ aapas meñ siye haiñ
phir sub.h talak rone ke asbāb kiye haiñ
TukDe kai ek dil ke main aapas mein siye hain
phir subh talak rone ke asbab kiye hain
zālim tū merī sāda-dilī par to rahm kar
rūThā thā tujh se aap hī aur aap man gayā
zalim tu meri sada-dili par to rahm kar
ruTha tha tujh se aap hi aur aap man gaya
ġhair se milnā tumhārā sun ke go ham chup rahe
par sunā hogā ki tum ko ik jahāñ ne kyā kahā
ghair se milna tumhaara sun ke go hum chup rahe
par suna hoga ki tum ko ek jahan ne kya kaha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ kin āñkhoñ se ye dekhūñ ki saaya saath ho tere
mujhe chalne de aage yā Tuk us ko peshtar le jā
main kin aankhon se ye dekhun ki saya sath ho tere
mujhe chalne de aage ya Tuk us ko peshtar le ja
dil se bas haath uThā tū ab ai ishq
deh-e-vīrān par ḳhirāj nahīñ
dil se bas hath uTha tu ab ai ishq
deh-e-viran par KHiraj nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kis baat par tirī maiñ karūñ e'tibār haa.e
iqrār yak taraf hai to inkār yak taraf
what should I believe of what you say to me
on one hand you refuse on the other you agree
kis baat par teri main karun e'tibar hae
iqrar yak taraf hai to inkar yak taraf
what should I believe of what you say to me
on one hand you refuse on the other you agree
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
chāheñ haiñ ye ham bhī ki rahe paak mohabbat
par jis meñ ye duurī ho vo kyā ḳhaak mohabbat
chahen hain ye hum bhi ki rahe pak mohabbat
par jis mein ye duri ho wo kya KHak mohabbat
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
TuuTā jo ka.aba kaun sī ye jā-e-ġham hai shaiḳh
kuchh qasr-e-dil nahīñ ki banāyā na jā.egā
TuTa jo kaba kaun si ye ja-e-gham hai shaiKH
kuchh qasr-e-dil nahin ki banaya na jaega
kab maiñ kahtā huuñ ki terā maiñ gunahgār na thā
lekin itnī to uqūbat kā sazā-vār na thā
I have sinned against you, I certainly agree
but was I still deserving of such cruelty
kab main kahta hun ki tera main gunahgar na tha
lekin itni to uqubat ka saza-war na tha
I have sinned against you, I certainly agree
but was I still deserving of such cruelty
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
jis musalle pe chhiḌkiye na sharāb
apne aa.iin meñ vo paak nahīñ
jis musalle pe chhiDkiye na sharab
apne aain mein wo pak nahin
-
Tag : Sharab
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aage mire na ġhair se go tum ne baat kī
sarkār kī nazar ko to pahchāntā huuñ maiñ
though in my presence you did not converse with my foe
dearest, the aspect of your eye, I certainly do know
aage mere na ghair se go tum ne baat ki
sarkar ki nazar ko to pahchanta hun main
though in my presence you did not converse with my foe
dearest, the aspect of your eye, I certainly do know
-
Tag : Shikwa
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
'qā.em' maiñ iḳhtiyār kiyā shā.irī kā aib
pahuñchā na koī shaḳhs jab apne hunar talak
'qaem' main iKHtiyar kiya shairi ka aib
pahuncha na koi shaKHs jab apne hunar talak
maiñ huuñ ki mere dukh pe koī chashm-e-tar na ho
mar bhī agar rahūñ to kisī ko ḳhabar na huuñ
main hun ki mere dukh pe koi chashm-e-tar na ho
mar bhi agar rahun to kisi ko KHabar na hun
mai kī tauba ko to muddat huī 'qā.em' lekin
be-talab ab bhī jo mil jaa.e to inkār nahīñ
mai ki tauba ko to muddat hui 'qaem' lekin
be-talab ab bhi jo mil jae to inkar nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ahl-e-masjid ne jo kāfir mujhe samjhā to kyā
sākin-e-dair to jaane haiñ musalmāñ mujh ko
ahl-e-masjid ne jo kafir mujhe samjha to kya
sakin-e-dair to jaane hain musalman mujh ko
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mai pī jo chāhe ātish-e-dozaḳh se tū najāt
jaltā nahīñ vo uzv jo tar ho sharāb meñ
mai pi jo chahe aatish-e-dozaKH se tu najat
jalta nahin wo uzw jo tar ho sharab mein
-
Tag : Sharab
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
shikva na baḳht se hai ne āsmāñ se mujh ko
pahuñchī jo kuchh aziyyat apne gumāñ se mujh ko
shikwa na baKHt se hai ne aasman se mujh ko
pahunchi jo kuchh aziyyat apne guman se mujh ko
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
yaañ talak ḳhush huuñ amārid se ki ai rabb-e-karīm
kaash de huur ke badle bhī tū ġhilmāñ mujh ko
yan talak KHush hun amarid se ki ai rabb-e-karim
kash de hur ke badle bhi tu ghilman mujh ko
-
Tag : Homosexuality
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
gandumī rañg jo hai duniyā meñ
merī chhātī pe muuñg daltā hai
gandumi rang jo hai duniya mein
meri chhati pe mung dalta hai
maiñ divānā huuñ sadā kā mujhe mat qaid karo
jī nikal jā.egā zanjīr kī jhankār ke saath
main diwana hun sada ka mujhe mat qaid karo
ji nikal jaega zanjir ki jhankar ke sath
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
pahle hī apnī kaun thī vaañ qadr-o-manzilat
par shab kī minnatoñ ne Dubo dī rahī sahī
pahle hi apni kaun thi wan qadr-o-manzilat
par shab ki minnaton ne Dubo di rahi sahi
pūchho ho mujh se tum ki piyegā bhī tū sharāb
aisā kahāñ kā shaiḳh huuñ yā pārsā huuñ maiñ
puchho ho mujh se tum ki piyega bhi tu sharab
aisa kahan ka shaiKH hun ya parsa hun main
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sañg ko aab kareñ pal meñ hamārī bāteñ
lekin afsos yahī hai ki kahāñ sunte ho
sang ko aab karen pal mein hamari baaten
lekin afsos yahi hai ki kahan sunte ho
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sair us kūche kī kartā huuñ ki jibrīl jahāñ
jā ke bolā ki bas ab aage maiñ jal jā.ūñgā
sair us kuche ki karta hun ki jibril jahan
ja ke bola ki bas ab aage main jal jaunga
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
'qā.em' jo kaheñ haiñ fārsī yaar
is se to ye reḳhta hai behtar
'qaem' jo kahen hain farsi yar
is se to ye reKHta hai behtar
-
Tag : Rekhta
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
har uzv hai dil-fareb terā
kahiye kise kaun sā hai behtar
har uzw hai dil-fareb tera
kahiye kise kaun sa hai behtar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
har dam aane se maiñ bhī huuñ nādim
kyā karūñ par rahā nahīñ jaatā
har dam aane se main bhi hun nadim
kya karun par raha nahin jata
na jaane kaun sī saa.at chaman se bichhḌe the
ki aañkh bhar ke na phir sū-e-gulsitāñ dekhā
na jaane kaun si saat chaman se bichhDe the
ki aankh bhar ke na phir su-e-gulsitan dekha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
garm kar de tū Tuk āġhosh meñ aa
maare jaaḌe ke Thire baiThe haiñ
garm kar de tu Tuk aaghosh mein aa
mare jaDe ke Thire baiThe hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sub.h tak thā vahīñ ye muḳhlis bhī
aap rakhte the shab jahāñ tashrīf
subh tak tha wahin ye muKHlis bhi
aap rakhte the shab jahan tashrif
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
lagā.ī aag paanī meñ ye kis ke aks ne pyāre
ki ham-dīgar chalī haiñ mauj se dariyā meñ shamshīreñ
lagai aag pani mein ye kis ke aks ne pyare
ki ham-digar chali hain mauj se dariya mein shamshiren
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
qaazī ḳhabar le mai ko bhī likkhā hai vaañ mubāh
rishvat kā hai javāz tirī jis kitāb meñ
qazi KHabar le mai ko bhi likkha hai wan mubah
rishwat ka hai jawaz teri jis kitab mein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kahtā hai aa.ina ki hai tujh sā hī ek aur
bāvar nahīñ to lā maiñ tire rū-ba-rū karūñ
kahta hai aaina ki hai tujh sa hi ek aur
bawar nahin to la main tere ru-ba-ru karun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
pahle hī gadhā mile jahāñ shaiḳh
us ka.aba ko hai salām apnā
pahle hi gadha mile jahan shaiKH
us kaba ko hai salam apna
binā thī aish-e-jahāñ kī tamām ġhaflat par
khulī jo aañkh to goyā ki ahtelām huā
bina thi aish-e-jahan ki tamam ghaflat par
khuli jo aankh to goya ki ahtelam hua
duḳhtar-e-raz to hai beTī sī tire uupar harām
riñd is rishte se saare tire dāmād haiñ shaiḳh
duKHtar-e-raz to hai beTi si tere upar haram
rind is rishte se sare tere damad hain shaiKH
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
qaa.em maiñ ġhazal taur kiyā reḳhta varna
ik baat lachar sī ba-zabān-e-dakanī thī
qaem main ghazal taur kiya reKHta warna
ek baat lachar si ba-zaban-e-dakani thi
parvāne kī shab kī shaam huuñ maiñ
yā roz kī sham.a kī sahar huuñ
parwane ki shab ki sham hun main
ya roz ki shama ki sahar hun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
shaiḳh-jī kyūñki ma.āsī se bacheñ ham ki gunāh
irs hai apnī ham aadam ke agar pote haiñ
shaiKH-ji kyunki maasi se bachen hum ki gunah
irs hai apni hum aadam ke agar pote hain
honā thā zindagī hī meñ muñh shaiḳh kā siyāh
is umr meñ hai varna mazā kyā ḳhizāb kā
hona tha zindagi hi mein munh shaiKH ka siyah
is umr mein hai warna maza kya KHizab ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
shaiḳh-jī maanā maiñ is ko tum farishta ho to ho
lek hazrat-ādmī honā nihāyat duur hai
shaiKH-ji mana main is ko tum farishta ho to ho
lek hazrat-admi hona nihayat dur hai
dard-e-dil kyūñ-ki kahūñ maiñ us se
har taraf log ghire baiThe haiñ
dard-e-dil kyun-ki kahun main us se
har taraf log ghire baiThe hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vahshat-e-dil koī shahroñ meñ samā saktī hai
kaash le jaa.e junūñ sū-e-bayābāñ mujh ko
wahshat-e-dil koi shahron mein sama sakti hai
kash le jae junun su-e-bayaban mujh ko
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
thoḌī sī baat meñ 'qā.em' kī tū hotā hai ḳhafā
kuchh haramzadga.īñ apnī bhī tujhe yaad haiñ shaiḳh
thoDi si baat mein 'qaem' ki tu hota hai KHafa
kuchh haramzadgain apni bhi tujhe yaad hain shaiKH
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mujh be-gunah ke qatl kā āhañg kab talak
aa ab binā-e-sulh rakheñ jañg kab talak
mujh be-gunah ke qatl ka aahang kab talak
aa ab bina-e-sulh rakhen jang kab talak
'qā.em' maiñ reḳhta ko diyā ḳhil.at-e-qubūl
varna ye pesh-e-ahl-e-hunar kyā kamāl thā
'qaem' main reKHta ko diya KHilat-e-qubul
warna ye pesh-e-ahl-e-hunar kya kamal tha
-
Tag : Rekhta
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download