Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Sher on Qasid

A messenger is a stereotypical

character in classical poetry. He does not only bring messages, he also helps develop lasting bonds. A lover lying in separation considers the messenger luckier than himself who can meet her and speak to her. Sometimes, even the messenger has to bear the onslaughts of love and has to pay for someone else’s love.

kyā jaane kyā likhā thā use iztirāb meñ

qāsid laash aa.ī hai ḳhat ke javāb meñ

kya jaane kya likha tha use iztirab mein

qasid ki lash aai hai KHat ke jawab mein

Momin Khan Momin

qāsid ke aate aate ḳhat ik aur likh rakhūñ

maiñ jāntā huuñ jo vo likheñge javāb meñ

ere the messenger returns, another letter I

should prepare,I am aware, what she will reply

qasid ke aate aate KHat ek aur likh rakhun

main jaanta hun jo wo likhenge jawab mein

ere the messenger returns, another letter I

should prepare,I am aware, what she will reply

Mirza Ghalib

koī nām-o-nishāñ pūchhe to ai qāsid batā denā

taḳhallus 'dāġh' hai vo āshiqoñ ke dil meñ rahte haiñ

koi nam-o-nishan puchhe to ai qasid bata dena

taKHallus 'dagh' hai wo aashiqon ke dil mein rahte hain

Dagh Dehlvi

ek muddat se na qāsid hai na ḳhat hai na payām

apne va.ade ko to kar yaad mujhe yaad na kar

ek muddat se na qasid hai na KHat hai na payam

apne wade ko to kar yaad mujhe yaad na kar

Jalal Manikpuri

nāma-bar batā ne to dekhe hoñge

kaise hote haiñ vo ḳhat jin ke javāb aate haiñ

o messenger do tell me you surely have espied

what sort of messages are those that get replied

nama-bar tu hi bata tu ne to dekhe honge

kaise hote hain wo KHat jin ke jawab aate hain

o messenger do tell me you surely have espied

what sort of messages are those that get replied

Qamar Badayuni

qāsid payām-e-shauq ko denā bahut na tuul

kahnā faqat ye un se ki āñkheñ taras ga.iiñ

qasid payam-e-shauq ko dena bahut na tul

kahna faqat ye un se ki aankhen taras gain

Jaleel Manikpuri

mirā ḳhat us ne paḌhā paḌh ke nāma-bar se kahā

yahī javāb hai is koī javāb nahīñ

mera KHat us ne paDha paDh ke nama-bar se kaha

yahi jawab hai is ka koi jawab nahin

Ameer Minai

aatī hai baat baat mujhe baar baar yaad

kahtā huuñ dauḌ dauḌ ke qāsid se raah meñ

aati hai baat baat mujhe bar bar yaad

kahta hun dauD dauD ke qasid se rah mein

Dagh Dehlvi

dekh rahā hai jo mirā haal hai qāsid

mujh ko yahī kahnā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā

tu dekh raha hai jo mera haal hai qasid

mujh ko yahi kahna hai ki main kuchh nahin kahta

Dattatriya Kaifi

ashkoñ ke nishāñ parcha-e-sāda pe haiñ qāsid

ab kuchh na bayāñ kar ye ibārat bahut hai

ashkon ke nishan parcha-e-sada pe hain qasid

ab kuchh na bayan kar ye ibarat hi bahut hai

Ehsan Ali Khan

mazmūn sūjhte haiñ hazāroñ na.e na.e

qāsid ye ḳhat nahīñ mire ġham kitāb hai

mazmun sujhte hain hazaron nae nae

qasid ye KHat nahin mere gham ki kitab hai

Nizam Rampuri

qāsid nahīñ ye kaam tirā apnī raah le

us payām dil ke sivā kaun sake

qasid nahin ye kaam tera apni rah le

us ka payam dil ke siwa kaun la sake

Khwaja Meer Dard

mazā jab thā ki mere muñh se sunte dāstāñ merī

kahāñ se lā.egā qāsid dahan merā zabāñ merī

maza jab tha ki mere munh se sunte dastan meri

kahan se laega qasid dahan mera zaban meri

Unknown

ḳhat dekh kar mirā mire qāsid se yuuñ kahā

kyā gul nahīñ huā vo charāġh-e-sahar hanūz

KHat dekh kar mera mere qasid se yun kaha

kya gul nahin hua wo charagh-e-sahar hanuz

Maatam Fazl Mohammad

aah qāsid to ab talak na phirā

dil dhaḌaktā hai kyā huā hogā

aah qasid to ab talak na phira

dil dhaDakta hai kya hua hoga

Meer Mohammadi Bedar

vo aur va.ada vasl qāsid nahīñ nahīñ

sach sach batā ye lafz unhī zabāñ ke haiñ

wo aur wada wasl ka qasid nahin nahin

sach sach bata ye lafz unhi ki zaban ke hain

Mufti Sadruddin Aazurda

kisī ko bhej ke ḳhat haa.e ye kaisā azaab aayā

ki har ik pūchhtā hai nāma-bar aayā javāb aayā

kisi ko bhej ke KHat hae ye kaisa azab aaya

ki har ek puchhta hai nama-bar aaya jawab aaya

Ahsan Marahravi

phaaḌ kar ḳhat us ne qāsid se kahā

koī paiġhām-e-zabānī aur hai

phaD kar KHat us ne qasid se kaha

koi paigham-e-zabani aur hai

Sardar Genda Singh Mashriqi

aayā na phir ke ek bhī kūche se yaar ke

qāsid gayā nasīm ga.ī nāma-bar gayā

aaya na phir ke ek bhi kuche se yar ke

qasid gaya nasim gai nama-bar gaya

Jaleel Manikpuri

zabāñ qāsid 'muztar' kaaT jab un ko ḳhat bhejā

ki āḳhir aadmī hai tazkira shāyad kahīñ kar de

zaban qasid ki 'muztar' kaT li jab un ko KHat bheja

ki aaKHir aadmi hai tazkira shayad kahin kar de

Muztar Khairabadi

kyā bhuul ga.e haiñ vo mujhe pūchhnā qāsid

naama koī muddat se mire kaam na aayā

kya bhul gae hain wo mujhe puchhna qasid

nama koi muddat se mere kaam na aaya

Fana bulandshahri

ḳhat-e-shauq ko paḌh ke qāsid se bole

ye hai kaun dīvāna ḳhat likhne vaalā

KHat-e-shauq ko paDh ke qasid se bole

ye hai kaun diwana KHat likhne wala

Saail Dehlvi

vo kab sunñe lage qāsid magar yuuñ sunā denā

milā kar dūsroñ dāstāñ meñ dāstāñ merī

wo kab sunne lage qasid magar yun hi suna dena

mila kar dusron ki dastan mein dastan meri

Unknown

us se javāb-e-ḳhat laanā qāsid itnā kah denā

bachne nahīñ bīmār tirā irshād agar kuchh bhī na huā

ya us se jawab-e-KHat lana ya qasid itna kah dena

bachne ka nahin bimar tera irshad agar kuchh bhi na hua

Haqeer

phirtā hai mere dil meñ koī harf-e-mudda.ā

qāsid se kah do aur na jaa.e zarā der

phirta hai mere dil mein koi harf-e-muddaa

qasid se kah do aur na jae zara si der

Dagh Dehlvi

qayāmat hai ye kah kar us ne lauTāyā hai qāsid ko

ki un to har ik ḳhat āḳhirī paiġhām hotā hai

qayamat hai ye kah kar us ne lauTaya hai qasid ko

ki un ka to har ek KHat aaKHiri paigham hota hai

Sheri Bhopali

jab us ne mirā ḳhat na chhuā haath se apne

qāsid ne bhī chipkā diyā dīvār se kāġhaz

jab us ne mera KHat na chhua hath se apne

qasid ne bhi chipka diya diwar se kaghaz

Peer Sher Mohammad Ajiz

qāsid payām un na kuchh der abhī sunā

rahne de mahv-e-lazzat-e-zauq-e-ḳhabar mujhe

qasid payam un ka na kuchh der abhi suna

rahne de mahw-e-lazzat-e-zauq-e-KHabar mujhe

Asar Lakhnavi

pahuñche na vahāñ tak ye duā maañg rahā huuñ

qāsid ko udhar bhej ke dhyān aa.e hai kyā kyā

pahunche na wahan tak ye dua mang raha hun

qasid ko udhar bhej ke dhyan aae hai kya kya

Jalal Lakhnavi

ḳhat ke purze aa.e haiñ qāsid sar tasvīr-e-ġhair

ye hai bhejā us sitamgar ne mire ḳhat javāb

KHat ke purze aae hain qasid ka sar taswir-e-ghair

ye hai bheja us sitamgar ne mere KHat ka jawab

Unknown

patā miltā nahīñ us be-nishāñ

liye phirtā hai qāsid jā-ba-jā ḳhat

pata milta nahin us be-nishan ka

liye phirta hai qasid ja-ba-ja KHat

Bahram ji

mirā ḳhat paḌh liyā us ne magar ye to batā qāsid

nazar aa.ī jabīñ par buuñd bhī koī pasīne

mera KHat paDh liya us ne magar ye to bata qasid

nazar aai jabin par bund bhi koi pasine ki

Heera Lal Falak Dehlvi

kahnā qāsid ki us ke jiine

va.ada-e-vasl par madār hai aaj

kahna qasid ki us ke jine ka

wada-e-wasl par madar hai aaj

Mardan Ali Khan Rana

dekh qāsid ko mire yaar ne pūchhā 'tābāñ'

kyā mire hijr meñ jiitā hai vo ġhamnāk hanūz

dekh qasid ko mere yar ne puchha 'taban'

kya mere hijr mein jita hai wo ghamnak hanuz

Taban Abdul Hai

qāsid jo gayā merā le naama to zālim ne

naame ke kiye purze qāsid ko biThā rakkhā

qasid jo gaya mera le nama to zalim ne

name ke kiye purze qasid ko biTha rakkha

Mushafi Ghulam Hamdani

ḳhat ye javāb aayā ki qāsid gayā se

sar ek taraf loTe hai aur ek taraf dhaḌ

KHat ka ye jawab aaya ki qasid gaya ji se

sar ek taraf loTe hai aur ek taraf dhaD

Waliullah Muhib

kyā mire haal pe sach-much unheñ ġham thā qāsid

ne dekhā thā sitāra sar-e-mizhgāñ koī

kya mere haal pe sach-much unhen gham tha qasid

tu ne dekha tha sitara sar-e-mizhgan koi

Unknown

javāb-e-nāma detā nahīñ qaid kartā hai

jo bhejā ham ne qāsid phir na paa.ī kuchh ḳhabar us

jawab-e-nama ya deta nahin ya qaid karta hai

jo bheja hum ne qasid phir na pai kuchh KHabar us ki

Shaikh Zahuruddin Hatim

nāma-bar nā-umīd aatā hai

haa.e kyā sust paañv paḌte haiñ

nama-bar na-umid aata hai

hae kya sust panw paDte hain

Lala Madhav Ram Jauhar
Speak Now