Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Imam Bakhsh Nasikh's Photo'

Imam Bakhsh Nasikh

1772 - 1838 | Lucknow, India

One of the most prominent and trend-setter classical poets from Lucknow. Contemporary of Mirza Ghalib.

One of the most prominent and trend-setter classical poets from Lucknow. Contemporary of Mirza Ghalib.

Sher of Imam Bakhsh Nasikh

30.8K
Favorite

SORT BY

zindagī zinda-dilī hai naam

murda-dil ḳhaak jiyā karte haiñ

zindagi zinda-dili ka hai nam

murda-dil KHak jiya karte hain

terī sūrat se kisī nahīñ miltī sūrat

ham jahāñ meñ tirī tasvīr liye phirte haiñ

teri surat se kisi ki nahin milti surat

hum jahan mein teri taswir liye phirte hain

vo nahīñ bhūltā jahāñ jā.ūñ

haa.e maiñ kyā karūñ kahāñ jā.ūñ

wo nahin bhulta jahan jaun

hae main kya karun kahan jaun

siyah-baḳhtī meñ kab koī kisī saath detā hai

ki tārīkī meñ saayā bhī judā rahtā hai insāñ se

siyah-baKHti mein kab koi kisi ka sath deta hai

ki tariki mein saya bhi juda rahta hai insan se

aane meñ sadā der lagāte rahe tum

jaate rahe ham jaan se aate rahe tum

Delay in arriving always managed to contrive

this world I was leaving, yet you didn't arrive

aane mein sada der lagate hi rahe tum

jate rahe hum jaan se aate hi rahe tum

Delay in arriving always managed to contrive

this world I was leaving, yet you didn't arrive

justujū karnī har ik amr meñ nādānī hai

jo ki peshānī pe likkhī hai vo pesh aanī hai

justuju karni har ek amr mein nadani hai

jo ki peshani pe likkhi hai wo pesh aani hai

dariyā-e-husn aur bhī do haath baḌh gayā

añgḌā.ī us ne nashshe meñ jab uThā ke haath

dariya-e-husn aur bhi do hath baDh gaya

angDai us ne nashshe mein li jab uTha ke hath

ḳhud ġhalat hai jo kahe hotī hai taqdīr ġhalat

kahīñ qismat bhī ho saktī hai tahrīr ġhalat

KHud ghalat hai jo kahe hoti hai taqdir ghalat

kahin qismat ki bhi ho sakti hai tahrir ghalat

rashk se naam nahīñ lete ki sun le na koī

dil dil meñ use ham yaad kiyā karte haiñ

rashk se nam nahin lete ki sun le na koi

dil hi dil mein use hum yaad kiya karte hain

māshūqoñ se ummīd-e-vafā rakhte ho 'nāsiḳh'

nādāñ koī duniyā meñ nahīñ tum se ziyāda

mashuqon se ummid-e-wafa rakhte ho 'nasiKH'

nadan koi duniya mein nahin tum se ziyaada

ġhair se khelī hai holī yaar ne

Daale mujh par dīda-e-ḳhūñ-bār rañg

ghair se kheli hai holi yar ne

Dale mujh par dida-e-KHun-bar rang

tamām umr yuuñ ho ga.ī basar apnī

shab-e-firāq ga.ī roz-e-intizār aayā

tamam umr yun hi ho gai basar apni

shab-e-firaq gai roz-e-intizar aaya

lete lete karvaTeñ tujh bin jo ghabrātā huuñ maiñ

naam le le kar tirā rātoñ ko chillātā huuñ maiñ

lete lete karwaTen tujh bin jo ghabraata hun main

nam le le kar tera raaton ko chillata hun main

tiin tribenī haiñ do āñkheñ mirī

ab allahabad bhī punjab hai

tin tribeni hain do aankhen meri

ab allahabad bhi punjab hai

zulfoñ meñ kiyā qaid na abrū se kiyā qatl

ne to koī baat na maanī mire dil

zulfon mein kiya qaid na abru se kiya qatl

tu ne to koi baat na mani mere dil ki

ham mai-kashoñ ko Dar nahīñ marne mohtasib

firdaus meñ bhī sunte haiñ nahr-e-sharāb hai

hum mai-kashon ko Dar nahin marne ka mohtasib

firdaus mein bhi sunte hain nahr-e-sharab hai

ab holī meñ rahā be-kār rañg

aur laayā firāq-e-yār rañg

ab ki holi mein raha be-kar rang

aur hi laya firaq-e-yar rang

ai ajal ek din āḳhir tujhe aanā hai vale

aaj aatī shab-e-furqat meñ to ehsāñ hotā

ai ajal ek din aaKHir tujhe aana hai wale

aaj aati shab-e-furqat mein to ehsan hota

shubh 'nāsiḳh' nahīñ kuchh 'mīr' ustādī meñ

aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'mīr' nahīñ

shubh 'nasiKH' nahin kuchh 'mir' ki ustadi mein

aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'mir' nahin

kis tarah chhoḌūñ yakāyak terī zulfoñ ḳhayāl

ek muddat ke ye kaale naag haiñ paale hue

kis tarah chhoDun yakayak teri zulfon ka KHayal

ek muddat ke ye kale nag hain pale hue

jis qadar ham se tum hue nazdīk

us qadar duur kar diyā ham ko

jis qadar hum se tum hue nazdik

us qadar dur kar diya hum ko

bhūltā nahīñ vo dil se use

ham ne sau sau tarah bhulā dekhā

bhulta hi nahin wo dil se use

hum ne sau sau tarah bhula dekha

furqat-e-yār meñ insān huuñ maiñ ki sahāb

har baras aa ke rulā jaatī hai barsāt mujhe

furqat-e-yar mein insan hun main ya ki sahab

har baras aa ke rula jati hai barsat mujhe

gayā vo chhoḌ kar raste meñ mujh ko

ab us naqsh-e-pā hai aur maiñ huuñ

gaya wo chhoD kar raste mein mujh ko

ab us ka naqsh-e-pa hai aur main hun

kaam auroñ ke jaarī raheñ nākām raheñ ham

ab aap sarkār meñ kyā kaam hamārā

kaam auron ke jari rahen nakaam rahen hum

ab aap ki sarkar mein kya kaam hamara

ḳhvāb meñ nazar aa jaa.e shab-e-hijr kahīñ

so mujhe hasrat-e-dīdār ne sone na diyā

her, on the eve of separation, in dreams I'd hoped to sight

but the yearning for her vision kept me up all night

KHwab hi mein nazar aa jae shab-e-hijr kahin

so mujhe hasrat-e-didar ne sone na diya

her, on the eve of separation, in dreams I'd hoped to sight

but the yearning for her vision kept me up all night

kaam kyā nikle kisī tadbīr se

aadmī majbūr hai taqdīr se

kaam kya nikle kisi tadbir se

aadmi majbur hai taqdir se

ho gayā zard paḌī jis pe hasīnoñ nazar

ye ajab gul haiñ ki tāsīr-e-ḳhizāñ rakhte haiñ

Pale and wan he turned, on whom / beauties cast their glance

These flowers are strange, they bear / an autumnal stance

ho gaya zard paDi jis pe hasinon ki nazar

ye ajab gul hain ki tasir-e-KHizan rakhte hain

Pale and wan he turned, on whom / beauties cast their glance

These flowers are strange, they bear / an autumnal stance

vo nazar aatā hai mujh ko maiñ nazar aatā nahīñ

ḳhuub kartā huuñ añdhere meñ nazāre raat ko

wo nazar aata hai mujh ko main nazar aata nahin

KHub karta hun andhere mein nazare raat ko

kartī hai mujhe qatl mire yaar talvār

talvār talvār hai raftār raftār

karti hai mujhe qatl mere yar ki talwar

talwar ki talwar hai raftar ki raftar

kis holī jashn-e-nau-rozī hai aaj

surḳh mai se sāqiyā dastār rañg

kis ki holi jashn-e-nau-rozi hai aaj

surKH mai se saqiya dastar rang

go miltā nahīñ par dil ke taqāze se ham

roz ho aate haiñ sau baar tire kūche meñ

go tu milta nahin par dil ke taqaze se hum

roz ho aate hain sau bar tere kuche mein

aatī jaatī hai jā-ba-jā badlī

sāqiyā jald aa havā badlī

aati jati hai ja-ba-ja badli

saqiya jald aa hawa badli

dil siyah hai baal haiñ sab apne piirī meñ safed

ghar ke andar hai añdherā aur bāhar chāñdnī

in old age my heart is black and my hair is white

the house as though is dark inside, outside there is starlight

dil siyah hai baal hain sab apne piri mein safed

ghar ke andar hai andhera aur bahar chandni

in old age my heart is black and my hair is white

the house as though is dark inside, outside there is starlight

raat din nāqūs kahte haiñ ba-āvāz-e-buland

dair se behtar hai kaaba gar butoñ meñ nahīñ

raat din naqus kahte hain ba-awaz-e-buland

dair se behtar hai kaba gar buton mein tu nahin

ain dānā.ī hai 'nāsiḳh' ishq meñ dīvāngī

aap saudā.ī haiñ jo kahte haiñ saudā.ī mujhe

ain danai hai 'nasiKH' ishq mein diwangi

aap saudai hain jo kahte hain saudai mujhe

furqat qubūl rashk ke sadme nahīñ qubūl

kyā aa.eñ ham raqīb terī anjuman meñ hai

furqat qubul rashk ke sadme nahin qubul

kya aaen hum raqib teri anjuman mein hai

muñh aap ko dikhā nahīñ saktā hai sharm se

is vāste hai piiTh idhar āftāb

munh aap ko dikha nahin sakta hai sharm se

is waste hai piTh idhar aaftab ki

dekh kar tujh ko qadam uTh nahīñ saktā apnā

ban ga.e sūrat-e-dīvār tire kūche meñ

dekh kar tujh ko qadam uTh nahin sakta apna

ban gae surat-e-diwar tere kuche mein

jism aisā ghul gayā hai mujh marīz-e-ishq

dekh kar kahte haiñ sab tāvīz hai baazū nahīñ

jism aisa ghul gaya hai mujh mariz-e-ishq ka

dekh kar kahte hain sab tawiz hai bazu nahin

rif.at kabhī kisī gavārā yahāñ nahīñ

jis sar-zamīñ ke ham haiñ vahāñ āsmāñ nahīñ

rifat kabhi kisi ki gawara yahan nahin

jis sar-zamin ke hum hain wahan aasman nahin

takallum faqat hai us sanam

ḳhudā tarah goyā be-dahāñ hai

takallum hi faqat hai us sanam ka

KHuda ki tarah goya be-dahan hai

tāzgī hai suḳhan-e-kuhna meñ ye bād-e-vafāt

log aksar mire jiine gumāñ rakhte haiñ

tazgi hai suKHan-e-kuhna mein ye baad-e-wafat

log aksar mere jine ka guman rakhte hain

ba-zer-e-qasr-e-gardūñ kyā koī ārām se so.e

ye chhat aisī purānī hai ki shabnam se Tapaktī hai

ba-zer-e-qasr-e-gardun kya koi aaram se soe

ye chhat aisi purani hai ki shabnam se Tapakti hai

ham za.īfoñ ko kahāñ aamad o shud tāqat

aañkh band huā kūcha-e-jānāñ paidā

hum zaifon ko kahan aamad o shud ki taqat

aankh ki band hua kucha-e-jaanan paida

bahut fareb se ham vahshiyoñ ko vahshat hai

hamāre dasht meñ 'nāsiḳh' kahīñ sarāb nahīñ

bahut fareb se hum wahshiyon ko wahshat hai

hamare dasht mein 'nasiKH' kahin sarab nahin

tang aa jab jab kahā maiñ ne ki mar jā.ūñ kahīñ

bad-gumāñ samjhā ki is ko ishtiyāq-e-hūr hai

tang aa jab jab kaha main ne ki mar jaun kahin

bad-guman samjha ki is ko ishtiyaq-e-hur hai

hir-phir ke dā.ere meñ rakhtā huuñ maiñ qadam

aa.ī kahāñ se gardish-e-parkār paañv meñ

hir-phir ke daere hi mein rakhta hun main qadam

aai kahan se gardish-e-parkar panw mein

baad murdan bhī hai terā ḳhauf mujh ko is qadar

aañkh uThā kar maiñ ne jannat meñ na dekhā huur ko

baad murdan bhi hai tera KHauf mujh ko is qadar

aankh uTha kar main ne jannat mein na dekha hur ko

sanam kūcha tirā hai aur maiñ huuñ

ye zindān-e-daġhā hai aur maiñ huuñ

TRANSLATION

This is thy alley O beloved! and it’s me,

A treacherous prison it is, and it’s me.

Sagar Akbarabadi

sanam kucha tera hai aur main hun

ye zindan-e-dagha hai aur main hun

TRANSLATION

This is thy alley O beloved! and it’s me,

A treacherous prison it is, and it’s me.

Sagar Akbarabadi

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now