Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Qateel Shifai's Photo'

Qateel Shifai

1919 - 2001 | Lahore, Pakistan

One of the most popular poets ever and film lyricist. Famous for his ghazal 'Garmi-e-hasrat-e-nakaam se jal jate hain'.

One of the most popular poets ever and film lyricist. Famous for his ghazal 'Garmi-e-hasrat-e-nakaam se jal jate hain'.

Sher of Qateel Shifai

71.2K
Favorite

SORT BY

yuuñ lage dost tirā mujh se ḳhafā ho jaanā

jis tarah phuul se ḳhushbū judā ho jaanā

yun lage dost tera mujh se KHafa ho jaana

jis tarah phul se KHushbu ka juda ho jaana

kuchh kah rahī haiñ aap ke siine dhaḌkaneñ

merā nahīñ to dil kahā maan jā.iye

kuchh kah rahi hain aap ke sine ki dhaDkanen

mera nahin to dil ka kaha man jaiye

jis barahman ne kahā hai ki ye saal achchhā hai

us ko dafnāo mire haath rekhāoñ meñ

jis barahman ne kaha hai ki ye sal achchha hai

us ko dafnao mere hath ki rekhaon mein

rahegā saath tirā pyaar zindagī ban kar

ye aur baat mirī zindagī vafā na kare

rahega sath tera pyar zindagi ban kar

ye aur baat meri zindagi wafa na kare

'qatīl' ab dil dhaḌkan ban ga.ī hai chaap qadmoñ

koī merī taraf aatā huā mahsūs hotā hai

'qatil' ab dil ki dhaDkan ban gai hai chap qadmon ki

koi meri taraf aata hua mahsus hota hai

dād-e-safar milī hai kise rāh-e-shauq meñ

ham ne miTā diye haiñ nishāñ apne paañv ke

dad-e-safar mili hai kise rah-e-shauq mein

hum ne miTa diye hain nishan apne panw ke

jiit le jaa.e koī mujh ko nasīboñ vaalā

zindagī ne mujhe daañv pe lagā rakkhā hai

jit le jae koi mujh ko nasibon wala

zindagi ne mujhe danw pe laga rakkha hai

na chhāñv karne ko hai vo āñchal na chain lene ko haiñ vo bāñheñ

musāfiroñ ke qarīb aa kar har ik baserā palaT gayā hai

na chhanw karne ko hai wo aanchal na chain lene ko hain wo banhen

musafiron ke qarib aa kar har ek basera palaT gaya hai

vo terī bhī to pahlī mohabbat na thī 'qatīl'

phir kyā huā agar vo bhī harjā.ī ban gayā

wo teri bhi to pahli mohabbat na thi 'qatil'

phir kya hua agar wo bhi harjai ban gaya

soch ko jur.at-e-parvāz to mil lene do

ye zamīñ aur hameñ tañg dikhā.ī degī

soch ko jurat-e-parwaz to mil lene do

ye zamin aur hamein tang dikhai degi

tum pūchho aur maiñ na batā.ūñ aise to hālāt nahīñ

ek zarā dil TuuTā hai aur to koī baat nahīñ

tum puchho aur main na bataun aise to haalat nahin

ek zara sa dil TuTa hai aur to koi baat nahin

kyuuñ sharīk-e-ġham banāte ho kisī ko ai 'qatīl'

apnī suulī apne kāñdhe par uThāo chup raho

kyun sharik-e-gham banate ho kisi ko ai 'qatil'

apni suli apne kandhe par uThao chup raho

dushmanī mujh se kiye magar apnā ban kar

jaan le le mirī sayyād magar pyaar ke saath

dushmani mujh se kiye ja magar apna ban kar

jaan le le meri sayyaad magar pyar ke sath

ahbāb ko de rahā huuñ dhokā

chehre pe ḳhushī sajā rahā huuñ

ahbab ko de raha hun dhoka

chehre pe KHushi saja raha hun

girte haiñ samundar meñ baḌe shauq se dariyā

lekin kisī dariyā meñ samundar nahīñ girtā

girte hain samundar mein baDe shauq se dariya

lekin kisi dariya mein samundar nahin girta

ab jis ke meñ aa.e vahī paa.e raushnī

ham ne to dil jalā ke sar-e-ām rakh diyā

whoever so desires may now partake of its heat

for I have set my heart afire and left it on the street

ab jis ke ji mein aae wahi pae raushni

hum ne to dil jala ke sar-e-am rakh diya

whoever so desires may now partake of its heat

for I have set my heart afire and left it on the street

uf vo marmar se tarāshā huā shaffāf badan

dekhne vaale use tāj-mahal kahte haiñ

uf wo marmar se tarasha hua shaffaf badan

dekhne wale use taj-mahal kahte hain

na jaane kaun manzil pe aa pahuñchā hai pyaar apnā

na ham ko e'tibār apnā na un ko e'tibār apnā

na jaane kaun si manzil pe aa pahuncha hai pyar apna

na hum ko e'tibar apna na un ko e'tibar apna

yaaro ye daur zof-e-basārat daur hai

āñdhī uThe to us ko ghaTā kah liyā karo

yaro ye daur zof-e-basarat ka daur hai

aandhi uThe to us ko ghaTa kah liya karo

yuuñ tasallī de rahe haiñ ham dil-e-bīmār ko

jis tarah thāme koī girtī huī dīvār ko

yun tasalli de rahe hain hum dil-e-bimar ko

jis tarah thame koi girti hui diwar ko

abhī to baat karo ham se dostoñ tarah

phir iḳhtilāf ke pahlū nikālte rahnā

abhi to baat karo hum se doston ki tarah

phir iKHtilaf ke pahlu nikalte rahna

sham.a jis aag meñ jaltī hai numā.ish ke liye

ham usī aag meñ gum-nām se jal jaate haiñ

the fire,that the flame burns in, for all to see

In that very fire I do burn but namelessly

shama jis aag mein jalti hai numaish ke liye

hum usi aag mein gum-nam se jal jate hain

the fire,that the flame burns in, for all to see

In that very fire I do burn but namelessly

suukh ga.ī jab āñkhoñ meñ pyaar niilī jhiil 'qatīl'

tere dard zard samundar kaahe shor machā.egā

sukh gai jab aankhon mein pyar ki nili jhil 'qatil'

tere dard ka zard samundar kahe shor machaega

tumhārī be-ruḳhī ne laaj rakh bāda-ḳhāne

tum āñkhoñ se pilā dete to paimāne kahāñ jaate

your indifference has saved the tavern from ignominy

had I quaffed wine from your eyes, where would the goblets be

tumhaari be-ruKHi ne laj rakh li baada-KHane ki

tum aankhon se pila dete to paimane kahan jate

your indifference has saved the tavern from ignominy

had I quaffed wine from your eyes, where would the goblets be

jab bhī aatā hai mirā naam tire naam ke saath

jaane kyuuñ log mire naam se jal jaate haiñ

whenever my name happens to be linked to thee

I wonder why these people burn with jealousy

jab bhi aata hai mera nam tere nam ke sath

jaane kyun log mere nam se jal jate hain

whenever my name happens to be linked to thee

I wonder why these people burn with jealousy

sitam to ye hai ki vo bhī na ban sakā apnā

qubūl ham ne kiye jis ke ġham ḳhushī tarah

sitam to ye hai ki wo bhi na ban saka apna

qubul hum ne kiye jis ke gham KHushi ki tarah

muflis ke badan ko bhī hai chādar zarūrat

ab khul ke mazāroñ pe ye elaan kiyā jaa.e

muflis ke badan ko bhi hai chadar ki zarurat

ab khul ke mazaron pe ye elan kiya jae

ba-pās-e-dil jise apne laboñ se bhī chhupāyā thā

mirā vo raaz tere hijr ne pahuñchā diyā sab tak

ba-pas-e-dil jise apne labon se bhi chhupaya tha

mera wo raaz tere hijr ne pahuncha diya sab tak

hameñ bhī niiñd aa jā.egī ham bhī so jā.eñge

abhī kuchh be-qarārī hai sitāro tum to so jaao

hamein bhi nind aa jaegi hum bhi so hi jaenge

abhi kuchh be-qarari hai sitaro tum to so jao

mujh se pūchhne aayā hai vafā ke ma.anī

ye tirī sāda-dilī maar na Daale mujh ko

mujh se tu puchhne aaya hai wafa ke mani

ye teri sada-dili mar na Dale mujh ko

hālāt se ḳhauf khā rahā huuñ

shīshe ke mahal banā rahā huuñ

haalat se KHauf kha raha hun

shishe ke mahal bana raha hun

jo bhī aatā hai batātā hai nayā koī ilaaj

baT na jaa.e tirā bīmār masīhāoñ meñ

jo bhi aata hai batata hai naya koi ilaj

baT na jae tera bimar masihaon mein

maiñ jab 'qatīl' apnā sab kuchh luTā chukā huuñ

ab merā pyaar mujh se dānā.ī chāhtā hai

main jab 'qatil' apna sab kuchh luTa chuka hun

ab mera pyar mujh se danai chahta hai

tum aa sako to shab ko baḌhā do kuchh aur bhī

apne kahe meñ sub.h taarā hai in dinoñ

tum aa sako to shab ko baDha do kuchh aur bhi

apne kahe mein subh ka tara hai in dinon

raqs karne milā hukm jo dariyāoñ meñ

ham ne ḳhush ho ke bhañvar bāñdh liyā paañv meñ

raqs karne ka mila hukm jo dariyaon mein

hum ne KHush ho ke bhanwar bandh liya panw mein

maiñ apne dil se nikālūñ ḳhayāl kis kis

jo nahīñ to koī aur yaad aa.e mujhe

main apne dil se nikalun KHayal kis kis ka

jo tu nahin to koi aur yaad aae mujhe

kis tarah apnī mohabbat maiñ takmīl karūñ

ġham-e-hastī bhī to shāmil hai ġham-e-yār ke saath

kis tarah apni mohabbat ki main takmil karun

gham-e-hasti bhi to shamil hai gham-e-yar ke sath

kyā maslahat-shanās thā vo aadmī 'qatīl'

majbūriyoñ jis ne vafā naam rakh diyā

kya maslahat-shanas tha wo aadmi 'qatil'

majburiyon ka jis ne wafa nam rakh diya

thoḌī aur zaḳhm ko gahrā.ī mil ga.ī

thoḌā aur dard ehsās ghaT gayā

thoDi si aur zaKHm ko gahrai mil gai

thoDa sa aur dard ka ehsas ghaT gaya

mere ba.ad vafā dhokā aur kisī se mat karnā

gaalī degī duniyā tujh ko sar merā jhuk jā.egā

mere baad wafa ka dhoka aur kisi se mat karna

gali degi duniya tujh ko sar mera jhuk jaega

ye mo.ajiza bhī mohabbat kabhī dikhā.e mujhe

ki sañg tujh pe gire aur zaḳhm aa.e mujhe

ye moajiza bhi mohabbat kabhi dikhae mujhe

ki sang tujh pe gire aur zaKHm aae mujhe

maiñ ghar se terī tamannā pahan ke jab niklūñ

barahna shahr meñ koī nazar na aa.e mujhe

main ghar se teri tamanna pahan ke jab niklun

barahna shahr mein koi nazar na aae mujhe

nikal kar dair-o-ka.aba se agar miltā na but-ḳhāna

to Thukrā.e hue insāñ ḳhudā jaane kahāñ jaate

nikal kar dair-o-kaba se agar milta na but-KHana

to Thukrae hue insan KHuda jaane kahan jate

gungunātī huī aatī haiñ falak se būñdeñ

koī badlī tirī pāzeb se Takrā.ī hai

gungunati hui aati hain falak se bunden

koi badli teri pazeb se Takrai hai

ye Thiik hai nahīñ martā koī judā.ī meñ

ḳhudā kisī ko kisī se magar judā na kare

ye Thik hai nahin marta koi judai mein

KHuda kisi ko kisi se magar juda na kare

le mere tajraboñ se sabaq ai mire raqīb

do-chār saal umr meñ tujh se baḌā huuñ maiñ

le mere tajrabon se sabaq ai mere raqib

do-chaar sal umr mein tujh se baDa hun main

tez dhuup meñ aa.ī aisī lahar sardī

mom har ik putlā bach gayā pighalne se

tez dhup mein aai aisi lahar sardi ki

mom ka har ek putla bach gaya pighalne se

zindagī maiñ bhī chalūñgā tire pīchhe pīchhe

mire dost naqsh-e-kaf-e-pā ho jaanā

zindagi main bhi chalunga tere pichhe pichhe

tu mere dost ka naqsh-e-kaf-e-pa ho jaana

kyā jaane kis adā se liyā ne merā naam

duniyā samajh rahī hai ki sach-much tirā huuñ maiñ

kya jaane kis ada se liya tu ne mera nam

duniya samajh rahi hai ki sach-much tera hun main

apne liye ab ek raah najāt hai

har zulm ko razā-e-ḳhudā kah liyā karo

apne liye ab ek hi rah najat hai

har zulm ko raza-e-KHuda kah liya karo

Recitation

Speak Now