Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Taban Abdul Hai

1715 - 1749 | Delhi, India

Famous for his good looks apart from poetry. Died at a young age.

Famous for his good looks apart from poetry. Died at a young age.

Sher of Taban Abdul Hai

2.4K
Favorite

SORT BY

kis kis tarah dil meñ guzartī haiñ hasrateñ

hai vasl se ziyāda mazā intizār

kis kis tarah ki dil mein guzarti hain hasraten

hai wasl se ziyaada maza intizar ka

ka.ī fāqoñ meñ eid aa.ī hai

aaj ho to jaan ham-āġhosh

kai faqon mein eid aai hai

aaj tu ho to jaan ham-aghosh

dard-e-sar hai ḳhumār se mujh ko

jald le kar sharāb aa saaqī

dard-e-sar hai KHumar se mujh ko

jald le kar sharab aa saqi

ek bulbul bhī chaman meñ na rahī ab fasal

zulm aisā kiyā ne ai sayyād ki bas

ek bulbul bhi chaman mein na rahi ab ki fasal

zulm aisa hi kiya tu ne ai sayyaad ki bas

mohabbat mat kar dil us bevafā se

dil us bevafā se mohabbat mat kar

mohabbat tu mat kar dil us bewafa se

dil us bewafa se mohabbat tu mat kar

jab talak rahe jiitā chāhiye hañse bole

aadmī ko chup rahnā maut nishānī hai

jab talak rahe jita chahiye hanse bole

aadmi ko chup rahna maut ki nishani hai

tum is qadar jo niDar ho ke zulm karte ho

butāñ hamārā tumhārā koī ḳhudā bhī hai

tum is qadar jo niDar ho ke zulm karte ho

butan hamara tumhaara koi KHuda bhi hai

ātish-e-ishq meñ jo jal na mareñ

ishq ke fan meñ vo anārī haiñ

aatish-e-ishq mein jo jal na maren

ishq ke fan mein wo anari hain

mahfil ke biich sun ke mire soz-e-dil haal

be-iḳhtiyār sham.a ke aañsū Dhalak paḌe

mahfil ke bich sun ke mere soz-e-dil ka haal

be-iKHtiyar shama ke aansu Dhalak paDe

havā bhī ishq lagne na detā maiñ use hargiz

agar is dil pe hotā haa.e kuchh bhī iḳhtiyār apnā

hawa bhi ishq ki lagne na deta main use hargiz

agar is dil pe hota hae kuchh bhi iKHtiyar apna

le merī ḳhabar chashm mire yaar kyūñ-kar

bīmār ayādat kare bīmār kyūñ-kar

le meri KHabar chashm mere yar ki kyun-kar

bimar ayaadat kare bimar ki kyun-kar

dekh qāsid ko mire yaar ne pūchhā 'tābāñ'

kyā mire hijr meñ jiitā hai vo ġhamnāk hanūz

dekh qasid ko mere yar ne puchha 'taban'

kya mere hijr mein jita hai wo ghamnak hanuz

ḳhvān-e-falak pe ne.amat-e-alvān hai kahāñ

ḳhālī haiñ mahr-o-māh dono rikābiyāñ

KHwan-e-falak pe neamat-e-alwan hai kahan

KHali hain mahr-o-mah ki dono rikabiyan

bhalī baat se merī ḳhafā hotā hai

aah kyā chāhnā aisā burā hotā hai

tu bhali baat se hi meri KHafa hota hai

aah kya chahna aisa hi bura hota hai

mil us se ho jis se dil tirā ḳhush

balā se terī maiñ nā-ḳhush huuñ ḳhush

tu mil us se ho jis se dil tera KHush

bala se teri main na-KHush hun ya KHush

yaar rūThā hai mirā us ko manā.ūñ kis tarah

minnateñ kar paañv paḌ us ke le aa.uuñ kis tarah

yar ruTha hai mera us ko manaun kis tarah

minnaten kar panw paD us ke le aaun kis tarah

burā na māniyo maiñ pūchhtā huuñ ai zālim

ki be-kasoñ ke satā.e se kuchh bhalā bhī hai

bura na maniyo main puchhta hun ai zalim

ki be-kason ke satae se kuchh bhala bhi hai

malūñ hoñ ḳhaak juuñ ā.īna muñh par

tirī sūrat mujhe aatī hai jab yaad

malun hon KHak jun aaina munh par

teri surat mujhe aati hai jab yaad

mujh se bīmār hai mirā zālim

ye sitam kis tarah sahūñ 'tābāñ'

mujh se bimar hai mera zalim

ye sitam kis tarah sahun 'taban'

ho ruuh ke ta.iiñ jism se kis tarah mohabbat

taa.ir ko qafas se bhī kahīñ ho hai mohabbat

ho ruh ke tain jism se kis tarah mohabbat

tair ko qafas se bhi kahin ho hai mohabbat

mujhe aatā hai ronā aisī tanhā.ī pe ai 'tābāñ'

na yaar apnā na dil apnā na tan apnā na jaañ apnā

mujhe aata hai rona aisi tanhai pe ai 'taban'

na yar apna na dil apna na tan apna na jaan apna

aatā nahīñ vo yār-e-sitamgar to kyā huā

koī ġham to us dil se hamāre judā nahīñ

aata nahin wo yar-e-sitamgar to kya hua

koi gham to us ka dil se hamare juda nahin

dil hasrat na rahī dil meñ mire kuchh baaqī

ek teġh lagā aisī ai jallād ki bas

dil ki hasrat na rahi dil mein mere kuchh baqi

ek hi tegh laga aisi ai jallad ki bas

kab pilāvegā ai saaqī mujhe jām-e-sharāb

jāñ-ba-lab huuñ aarzū meñ mai paimāne tarah

kab pilawega tu ai saqi mujhe jam-e-sharab

jaan-ba-lab hun aarzu mein mai ki paimane ki tarah

maiñ ho ke tire ġham se nāshād bahut royā

rātoñ ke ta.iiñ kar ke fariyād bahut royā

main ho ke tere gham se nashad bahut roya

raaton ke tain kar ke fariyaad bahut roya

kar qatl mujhe un ne aalam meñ bahut DhūñDā

jab mujh na kui paayā jallād bahut royā

kar qatl mujhe un ne aalam mein bahut DhunDa

jab mujh sa na kui paya jallad bahut roya

kartā hai gar but-shikanī to samajh ke kar

shāyad ki un ke parde meñ zāhid ḳhudā bhī ho

karta hai gar tu but-shikani to samajh ke kar

shayad ki un ke parde mein zahid KHuda bhi ho

in butoñ ko to mire saath mohabbat hotī

kaash bantā maiñ barahman musalmāñ ke evaz

in buton ko to mere sath mohabbat hoti

kash banta main barahman hi musalman ke ewaz

ḳhudā deve agar qudrat mujhe to zid hai zāhid

jahāñ tak masjideñ haiñ maiñ banā.ūñ toḌ but-ḳhāna

KHuda dewe agar qudrat mujhe to zid hai zahid ki

jahan tak masjiden hain main banaun toD but-KHana

hai kyā sabab ki yaar na aayā ḳhabar ke ta.iiñ

shāyad kisī ne haal hamārā kahā nahīñ

hai kya sabab ki yar na aaya KHabar ke tain

shayad kisi ne haal hamara kaha nahin

zāhid ho aur taqvā aabid ho aur musallā

maalā ho aur barhaman sahbā ho aur ham hoñ

zahid ho aur taqwa aabid ho aur musalla

mala ho aur barhaman sahba ho aur hum hon

zāhid tirā to diin sarāsar fareb hai

rishte se tere sub.ha ke zunnār bhalā

zahid tera to din sarasar fareb hai

rishte se tere subha ke zunnar hi bhala

qismat meñ kyā hai dekheñ jiite bacheñ ki mar jaa.eñ

qātil se ab to ham ne āñkheñ laḌā.iyāñ haiñ

qismat mein kya hai dekhen jite bachen ki mar jaen

qatil se ab to hum ne aankhen laDaiyan hain

vo to suntā nahīñ kisī baat

us se maiñ haal kyā kahūñ 'tābāñ'

wo to sunta nahin kisi ki baat

us se main haal kya kahun 'taban'

maiñ to tālib dil se hūñgā diin

daulat-e-duniyā mujhe matlūb nahīñ

main to talib dil se hunga din ka

daulat-e-duniya mujhe matlub nahin

aa.ine ko tirī sūrat se na ho kyuuñ kar hairat

dar o dīvār tujhe dekh ke hairān hai aaj

aaine ko teri surat se na ho kyun kar hairat

dar o diwar tujhe dekh ke hairan hai aaj

jis gorā rañg ho vo raat ko khiltā hai ḳhuub

raushnā.ī sham.a phīkī nazar aatī hai sub.h

jis ka gora rang ho wo raat ko khilta hai KHub

raushnai shama ki phiki nazar aati hai subh

na vaa.iz bātoñ par hamesha mai ko 'tābāñ'

abas Dartā hai dozaḳh se ik shara.ī darakkā hai

na ja waiz ki baaton par hamesha mai ko pi 'taban'

abas Darta hai tu dozaKH se ek sharai darakka hai

sohbat-e-shaiḳh meñ raat ko jaayā mat kar

vo sikhā degā tujhe jaan namāz-e-ma.akūs

sohbat-e-shaiKH mein tu raat ko jaya mat kar

wo sikha dega tujhe jaan namaz-e-makus

riñd vaa.iz se kyuuñ ki sarbar ho

us chhū, kitāb aur hai

rind waiz se kyun ki sarbar ho

us ki chhu, ki kitab aur hi hai

ā.īna rū-ba-rū rakh aur apnī chhab dikhānā

kyā ḳhud-pasañdiyāñ haiñ kyā ḳhud-numā.iyāñ haiñ

aaina ru-ba-ru rakh aur apni chhab dikhana

kya KHud-pasandiyan hain kya KHud-numaiyan hain

ve shaḳhs jin se faḳhr jahāñ ko thā ab ve haa.e

aise ga.e ki un kahīñ naam nahīñ

we shaKHs jin se faKHr jahan ko tha ab we hae

aise gae ki un ka kahin nam hi nahin

duniyā ki nek o bad se mujhe kuchh ḳhabar nahīñ

itnā nahīñ jahāñ maiñ koī be-ḳhabar ki ham

duniya ki nek o bad se mujhe kuchh KHabar nahin

itna nahin jahan main koi be-KHabar ki hum

īmān o diiñ se 'tābāñ' kuchh kaam nahīñ hai ham ko

saaqī ho aur mai ho duniyā ho aur ham hoñ

iman o din se 'taban' kuchh kaam nahin hai hum ko

saqi ho aur mai ho duniya ho aur hum hon

haram ko chhoḌ rahūñ kyuuñ na but-kade meñ shaiḳh

ki yaañ har ek ko hai martaba ḳhudā.ī

haram ko chhoD rahun kyun na but-kade mein shaiKH

ki yan har ek ko hai martaba KHudai ka

aatā hai mohtasib pa.e-ta.azīr mai-kasho

pagḌī ko us pheñk do dāḌhī ko lo ukhāḌ

aata hai mohtasib pae-tazir mai-kasho

pagDi ko us ki phenk do daDhi ko lo ukhaD

kaun hai ai vaa.iz jo mujh ko Darātā hai

maiñ bhī haiñ to haiñ allāh taqsīreñ

tu kaun hai ai waiz jo mujh ko Daraata hai

main ki bhi hain to ki hain allah ki taqsiren

yaar se ab ke gar milūñ 'tābāñ'

to phir us se judā na huuñ 'tābāñ'

yar se ab ke gar milun 'taban'

to phir us se juda na hun 'taban'

'tābāñ' zi-bas hava-e-junūñ sar meñ hai mire

ab maiñ huuñ aur dasht hai ye sar hai aur pahāḌ

'taban' zi-bas hawa-e-junun sar mein hai mere

ab main hun aur dasht hai ye sar hai aur pahaD

agar shohra-e-āfāq hai to tere bandoñ meñ

hameñ bhī jāntā hai ḳhuub ik aalam miyāñ-sāhib

agar tu shohra-e-afaq hai to tere bandon mein

hamein bhi jaanta hai KHub ek aalam miyan-sahib

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now