Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Altaf Hussain Hali's Photo'

Altaf Hussain Hali

1837 - 1914 | Delhi, India

One of the founders of Urdu criticism. Outstanding pre-modern poet. Famous for writing Yaadgar-e-ghalib the first biography of Mirza Ghalib.

One of the founders of Urdu criticism. Outstanding pre-modern poet. Famous for writing Yaadgar-e-ghalib the first biography of Mirza Ghalib.

Sher of Altaf Hussain Hali

20K
Favorite

SORT BY

maañ baap aur ustād sab haiñ ḳhudā rahmat

hai rok-Tok un haq meñ tumhāre ne.amat

man bap aur ustad sab hain KHuda ki rahmat

hai rok-Tok un ki haq mein tumhaare neamat

farishte se baḌh kar hai insān banñā

magar is meñ lagtī hai mehnat ziyāda

farishte se baDh kar hai insan banna

magar is mein lagti hai mehnat ziyaada

ham jis pe mar rahe haiñ vo hai baat kuchh aur

aalam meñ tujh se laakh sahī magar kahāñ

hum jis pe mar rahe hain wo hai baat hi kuchh aur

aalam mein tujh se lakh sahi tu magar kahan

sadā ek ruḳh nahīñ naav chaltī

chalo tum udhar ko havā ho jidhar

sada ek hi ruKH nahin naw chalti

chalo tum udhar ko hawa ho jidhar ki

hotī nahīñ qubūl duā tark-e-ishq

dil chāhtā na ho to zabāñ meñ asar kahāñ

hoti nahin qubul dua tark-e-ishq ki

dil chahta na ho to zaban mein asar kahan

jānvar aadmī farishta ḳhudā

aadmī haiñ saikaḌoñ qismeñ

barbaric and human, angelic, divine

man, by many names, one may well define

jaanwar aadmi farishta KHuda

aadmi ki hain saikaDon qismen

barbaric and human, angelic, divine

man, by many names, one may well define

bahut ḳhush huā 'hālī' se mil kar

abhī kuchh log baaqī haiñ jahāñ meñ

bahut ji KHush hua 'haali' se mil kar

abhi kuchh log baqi hain jahan mein

hai justujū ki ḳhuub se hai ḳhūb-tar kahāñ

ab Thahartī hai dekhiye kar nazar kahāñ

hai justuju ki KHub se hai KHub-tar kahan

ab Thaharti hai dekhiye ja kar nazar kahan

farāġhat se duniyā meñ har dam na baiTho

agar chāhte ho farāġhat ziyāda

faraghat se duniya mein har dam na baiTho

agar chahte ho faraghat ziyaada

ishq sunte the jise ham vo yahī hai shāyad

ḳhud-baḳhud dil meñ hai ik shaḳhs samāyā jaatā

ishq sunte the jise hum wo yahi hai shayad

KHud-baKHud dil mein hai ek shaKHs samaya jata

ham ne avval se paḌhī hai ye kitāb āḳhir tak

ham se pūchhe koī hotī hai mohabbat kaisī

hum ne awwal se paDhi hai ye kitab aaKHir tak

hum se puchhe koi hoti hai mohabbat kaisi

yahī hai ibādat yahī diin o īmāñ

ki kaam aa.e duniyā meñ insāñ ke insāñ

yahi hai ibaadat yahi din o iman

ki kaam aae duniya mein insan ke insan

ek raushan dimāġh thā na rahā

shahar meñ ik charāġh thā na rahā

ek raushan dimagh tha na raha

shahar mein ek charagh tha na raha

vo ummīd kyā jis ho intihā

vo va.ada nahīñ jo vafā ho gayā

wo ummid kya jis ki ho intiha

wo wada nahin jo wafa ho gaya

dil se ḳhayāl-e-dost bhulāyā na jā.egā

siine meñ daaġh hai ki miTāyā na jā.egā

dil se KHayal-e-dost bhulaya na jaega

sine mein dagh hai ki miTaya na jaega

tum ko hazār sharm sahī mujh ko laakh zabt

ulfat vo raaz hai ki chhupāyā na jā.egā

tum ko hazar sharm sahi mujh ko lakh zabt

ulfat wo raaz hai ki chhupaya na jaega

raazī haiñ ham ki dost se ho dushmanī magar

dushman ko ham se dost banāyā na jā.egā

raazi hain hum ki dost se ho dushmani magar

dushman ko hum se dost banaya na jaega

shahd-o-shakar se shīrīñ urdu zabāñ hamārī

hotī hai jis ke bole mīThī zabāñ hamārī

shahd-o-shakar se shirin urdu zaban hamari

hoti hai jis ke bole miThi zaban hamari

aa rahī hai chāh-e-yūsuf se sadā

dost yaañ thoḌe haiñ aur bhaa.ī bahut

aa rahi hai chah-e-yusuf se sada

dost yan thoDe hain aur bhai bahut

'hālī' suḳhan meñ 'sheftā' se mustafīd hai

'ġhālib' mo'taqid hai muqallid hai 'mīr'

'haali' suKHan mein 'shefta' se mustafid hai

'ghaalib' ka mo'taqid hai muqallid hai 'mir' ka

kahte haiñ jis ko jannat vo ik jhalak hai terī

sab vā.izoñ baaqī rañgīñ-bayāniyāñ haiñ

kahte hain jis ko jannat wo ek jhalak hai teri

sab waizon ki baqi rangin-bayaniyan hain

chor hai dil meñ kuchh na kuchh yaaro

niind phir raat bhar na aa.ī aaj

chor hai dil mein kuchh na kuchh yaro

nind phir raat bhar na aai aaj

dariyā ko apnī mauj tuġhyāniyoñ se kaam

kashtī kisī paar ho darmiyāñ rahe

the river is concerned with the storms in its domain

the ship as well might get across or in the midst remain

dariya ko apni mauj ki tughyaniyon se kaam

kashti kisi ki par ho ya darmiyan rahe

the river is concerned with the storms in its domain

the ship as well might get across or in the midst remain

kyuuñ baḌhāte ho iḳhtilāt bahut

ham ko tāqat nahīñ judā.ī

kyun baDhate ho iKHtilat bahut

hum ko taqat nahin judai ki

tazkira dehli-e-marhūm ai dost na chheḌ

na sunā jā.egā ham se ye fasāna hargiz

tazkira dehli-e-marhum ka ai dost na chheD

na suna jaega hum se ye fasana hargiz

us ke jaate ye kyā ho ga.ī ghar sūrat

na vo dīvār sūrat hai na dar sūrat

TRANSLATION

The moment she left, the house is no longer as before,

Neither the walls are as earlier, nor is the door as before.

Sagar Akbarabadi

us ke jate hi ye kya ho gai ghar ki surat

na wo diwar ki surat hai na dar ki surat

TRANSLATION

The moment she left, the house is no longer as before,

Neither the walls are as earlier, nor is the door as before.

Sagar Akbarabadi

us ne achchhā kiyā haal na pūchhā dil

bhaḌak uThtā to ye sho.ala na dabāyā jaatā

us ne achchha hi kiya haal na puchha dil ka

bhaDak uThta to ye shoala na dabaya jata

muñh kahāñ tak chhupāoge ham se

tum meñ aadat hai ḳhud-numā.ī

munh kahan tak chhupaoge hum se

tum mein aadat hai KHud-numai ki

raah ke tālib haiñ par be-rāh paḌte haiñ qadam

dekhiye kyā DhūñDhte haiñ aur kyā paate haiñ ham

rah ke talib hain par be-rah paDte hain qadam

dekhiye kya DhunDhte hain aur kya pate hain hum

qais ho kohkan ho 'hālī'

āshiqī kuchh kisī zaat nahīñ

qais ho kohkan ho ya 'haali'

aashiqi kuchh kisi ki zat nahin

ham ne har adnā ko a.alā kar diyā

ḳhāksārī apnī kaam i bahut

hum ne har adna ko aala kar diya

KHaksari apni kaam i bahut

ham roz-e-vidā.a un se hañs hañs ke hue ruḳhsat

ronā thā bahut ham ko rote bhī to kyā hotā

hum roz-e-widaa un se hans hans ke hue ruKHsat

rona tha bahut hum ko rote bhi to kya hota

nazar aatī nahīñ ab dil meñ tamannā koī

baad muddat ke tamannā mirī bar aa.ī hai

nazar aati nahin ab dil mein tamanna koi

baad muddat ke tamanna meri bar aai hai

ik dard ho bas aaTh pahar dil meñ ki jis ko

taḳhfīf davā se ho na taskīn duā se

ek dard ho bas aaTh pahar dil mein ki jis ko

taKHfif dawa se ho na taskin dua se

be-qarārī thī sab ummīd-e-mulāqāt ke saath

ab vo aglī darāzī shab-e-hijrāñ meñ nahīñ

be-qarari thi sab ummid-e-mulaqat ke sath

ab wo agli si daraazi shab-e-hijran mein nahin

aage baḌhe na qissa-e-ishq-e-butāñ se ham

sab kuchh kahā magar na khule rāz-dāñ se ham

aage baDhe na qissa-e-ishq-e-butan se hum

sab kuchh kaha magar na khule raaz-dan se hum

mujhe kal ke vaade pe karte haiñ ruḳhsat

koī vaada puurā huā chāhtā hai

mujhe kal ke wade pe karte hain ruKHsat

koi wada pura hua chahta hai

dikhānā paḌegā mujhe zaḳhm-e-dil

agar tiir us ḳhatā ho gayā

dikhana paDega mujhe zaKHm-e-dil

agar tir us ka KHata ho gaya

qalaq aur dil meñ sivā ho gayā

dilāsā tumhārā balā ho gayā

qalaq aur dil mein siwa ho gaya

dilasa tumhaara bala ho gaya

dhuum thī apnī pārsā.ī

bhī aur kis se āshnā.ī

dhum thi apni parsai ki

ki bhi aur kis se aashnai ki

yārān-e-tez-gām ne mahmil ko liyā

ham mahv-e-nāla-e-jaras-e-kārvāñ rahe

yaran-e-tez-gam ne mahmil ko ja liya

hum mahw-e-nala-e-jaras-e-karwan rahe

saḳht mushkil hai sheva-e-taslīm

ham bhī āḳhir ko churāne lage

saKHt mushkil hai shewa-e-taslim

hum bhi aaKHir ko ji churane lage

ronā hai ye ki aap bhī hañste the varna yaañ

ta.an-e-raqīb dil pe kuchh aisā girāñ na thā

rona hai ye ki aap bhi hanste the warna yan

tan-e-raqib dil pe kuchh aisa giran na tha

tāzīr-e-jurm-e-ishq hai be-sarfa mohtasib

baḌhtā hai aur zauq-e-gunah yaañ sazā ke ba.ad

tazir-e-jurm-e-ishq hai be-sarfa mohtasib

baDhta hai aur zauq-e-gunah yan saza ke baad

gul-o-gulchīñ gila bulbul-e-ḳhush-lahja na kar

giraftār huī apnī sadā ke baa.is

gul-o-gulchin ka gila bulbul-e-KHush-lahja na kar

tu giraftar hui apni sada ke bais

kuchh hañsī khel sambhalnā ġham-e-hijrāñ meñ nahīñ

chāk-e-dil meñ hai mire jo ki garebāñ meñ nahīñ

kuchh hansi khel sambhalna gham-e-hijran mein nahin

chaak-e-dil mein hai mere jo ki gareban mein nahin

har samt gard-e-nāqa-e-lailā buland hai

pahuñche jo hausla ho kisī shahsavār

har samt gard-e-naqa-e-laila buland hai

pahunche jo hausla ho kisi shahsawar ka

yārān-e-tez-gām ne manzil ko liyā

ham mahv-e-nāla-e-jaras-e-kārvāñ rahe

yaran-e-tez-gam ne manzil ko ja liya

hum mahw-e-nala-e-jaras-e-karwan rahe

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now