aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Top 20 Phool Shayari

A blossom, or a flower,

is an image but it is also a simile, a metaphor, and a symbol. Its various colours represent various shades of life. They also represent transience as opposed to permanence. Even though it has become a cliché but some poets have used it as a repository of many more meanings than we may imagine. You may see some of them in this selection.

vo to ḳhush-bū hai havāoñ meñ bikhar jā.egā

mas.ala phuul hai phuul kidhar jā.egā

wo to KHush-bu hai hawaon mein bikhar jaega

masala phul ka hai phul kidhar jaega

Parveen Shakir

phuul gul shams o qamar saare the

par hameñ un meñ tumhīñ bhaa.e bahut

phul gul shams o qamar sare hi the

par hamein un mein tumhin bhae bahut

Meer Taqi Meer

phuul to phuul haiñ āñkhoñ se ghire rahte haiñ

kāñTe be-kār hifāzat meñ lage rahte haiñ

phul to phul hain aankhon se ghire rahte hain

kanTe be-kar hifazat mein lage rahte hain

Waseem Barelvi

ham ne kāñToñ ko bhī narmī se chhuā hai aksar

log bedard haiñ phūloñ ko masal dete haiñ

hum ne kanTon ko bhi narmi se chhua hai aksar

log bedard hain phulon ko masal dete hain

Bismil Saeedi

maiñ chāhtā thā ki us ko gulāb pesh karūñ

vo ḳhud gulāb thā us ko gulāb kyā detā

main chahta tha ki us ko gulab pesh karun

wo KHud gulab tha us ko gulab kya deta

Afzal Allahabadi

log kāñToñ se bach ke chalte haiñ

maiñ ne phūloñ se zaḳhm khaa.e haiñ

log kanTon se bach ke chalte hain

main ne phulon se zaKHm khae hain

Unknown

maiñ phuul chuntī rahī aur mujhe ḳhabar na huī

vo shaḳhs aa ke mire shahr se chalā bhī gayā

main phul chunti rahi aur mujhe KHabar na hui

wo shaKHs aa ke mere shahr se chala bhi gaya

Parveen Shakir

kāñToñ se guzar jaatā huuñ dāman ko bachā kar

phūloñ siyāsat se maiñ begāna nahīñ huuñ

kanTon se guzar jata hun daman ko bacha kar

phulon ki siyasat se main begana nahin hun

Shakeel Badayuni

kāñToñ se dil lagāo jo tā-umr saath deñ

phūloñ kyā jo saañs garmī na sah sakeñ

befriend the thorns for they will be loyal until death

what of these flowers that will wilt with just a burning breath

kanTon se dil lagao jo ta-umr sath den

phulon ka kya jo sans ki garmi na sah saken

befriend the thorns for they will be loyal until death

what of these flowers that will wilt with just a burning breath

Akhtar Shirani

aaj bhī shāyad koī phūloñ tohfa bhej de

titliyāñ mañDlā rahī haiñ kāñch ke gul-dān par

aaj bhi shayad koi phulon ka tohfa bhej de

titliyan manDla rahi hain kanch ke gul-dan par

Shakeb Jalali

phuul phuul yaad aate haiñ

aap jab jab bhī muskurāte haiñ

phul hi phul yaad aate hain

aap jab jab bhi muskuraate hain

Sajid Premi

agarche phuul ye apne liye ḳharīde haiñ

koī jo pūchhe to kah dūñgā us ne bheje haiñ

agarche phul ye apne liye KHaride hain

koi jo puchhe to kah dunga us ne bheje hain

Iftikhar Naseem

phuul khile haiñ likhā huā hai toḌo mat

aur machal kar kahtā hai chhoḌo mat

TRANSLATION

Blossomed flowers and ‘do not pluck’ is diktat,

But the spirited heart says this: ‘don’t leave that’.

Sagar Akbarabadi

phul khile hain likha hua hai toDo mat

aur machal kar ji kahta hai chhoDo mat

TRANSLATION

Blossomed flowers and ‘do not pluck’ is diktat,

But the spirited heart says this: ‘don’t leave that’.

Sagar Akbarabadi

Ameeq Hanafi

ḳhudā ke vāste gul ko na mere haath se lo

mujhe aatī hai is meñ kisī badan

KHuda ke waste gul ko na mere hath se lo

mujhe bu aati hai is mein kisi badan ki si

Nazeer Akbarabadi

tire laboñ ko milī hai shaguftagī gul

hamārī aañkh ke hisse meñ jharne aa.e haiñ

tere labon ko mili hai shaguftagi gul ki

hamari aankh ke hisse mein jharne aae hain

Aaga nisaar

itnā nārāz ho kyuuñ us ne jo patthar pheñkā

us ke hāthoñ se kabhī phuul bhī aayā hogā

itna naraaz ho kyun us ne jo patthar phenka

us ke hathon se kabhi phul bhi aaya hoga

Saghar Azmi

hamesha hāthoñ meñ hote haiñ phuul un ke liye

kisī ko bhej ke mañgvāne thoḌī hote haiñ

hamesha hathon mein hote hain phul un ke liye

kisi ko bhej ke mangwane thoDi hote hain

Anwar Shuoor

dil agar dil hai to vābasta-e-ġham bhī hogā

nik.hat-e-gul bhī kahīñ gul se judā rahtī hai

if truly this is a heart it will be filled with pain

like the fragrance of the flower does in the flower remain

dil agar dil hai to wabasta-e-gham bhi hoga

nikhat-e-gul bhi kahin gul se juda rahti hai

if truly this is a heart it will be filled with pain

like the fragrance of the flower does in the flower remain

Unknown

aap chhū dekheñ kisī ġhunche ko apne haath se

ġhuncha gul ho jā.egā aur gul chaman ho jā.egā

aap chhu dekhen kisi ghunche ko apne hath se

ghuncha gul ho jaega aur gul chaman ho jaega

Jaleel Manikpuri

ka.ī tarah ke tahā.if pasand haiñ us ko

magar jo kaam yahāñ phuul se nikaltā hai

kai tarah ke tahaif pasand hain us ko

magar jo kaam yahan phul se nikalta hai

Rana Amir Liyaqat

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now