Sher on Dussehra Shayari
Dussehra is the festival symbolizing the victory of good over evil. Celebrate it with these selected Urdu shayari.
hai raam ke vajūd pe hindostāñ ko naaz
ahl-e-nazar samajhte haiñ us ko imām-e-hind
hai ram ke wajud pe hindostan ko naz
ahl-e-nazar samajhte hain us ko imam-e-hind
jo sunte haiñ ki tire shahr meñ dashrā hai
ham apne ghar meñ divālī sajāne lagte haiñ
jo sunte hain ki tere shahr mein dashra hai
hum apne ghar mein diwali sajaane lagte hain
hai dasahre meñ bhī yuuñ gar farhat-o-zīnat 'nazīr'
par divālī bhī ajab pākīza-tar tyauhār hai
hai dasahre mein bhi yun gar farhat-o-zinat 'nazir'
par diwali bhi ajab pakiza-tar tyauhaar hai
ab naam nahīñ kaam kā qaa.el hai zamāna
ab naam kisī shaḳhs kā rāvan na milegā
ab nam nahin kaam ka qael hai zamana
ab nam kisi shaKHs ka rawan na milega
achchhoñ se pata chaltā hai insāñ ko buroñ kā
rāvan kā pata chal na sakā raam se pahle
achchhon se pata chalta hai insan ko buron ka
rawan ka pata chal na saka ram se pahle
qadam qadam haiñ rāvan lekin
nirbal ke bas raam bahut haiñ
qadam qadam hain rawan lekin
nirbal ke bas ram bahut hain
'nazr' phir aayā hai ik rasm nibhāne kā din
saj sañvar ke sabhī rāvan ko jalāne nikle
'nazr' phir aaya hai ek rasm nibhane ka din
saj sanwar ke sabhi rawan ko jalane nikle
dard ghanerā hijr kā sahrā ghor añdherā aur yādeñ
raam nikāl ye saare rāvan merī raam kahānī se
dard ghanera hijr ka sahra ghor andhera aur yaaden
ram nikal ye sare rawan meri ram kahani se
ab bhī khaḌī hai soch meñ Duubī ujyāloñ kā daan liye
aaj bhī rekhā paar hai rāvan siitā ko samjhā.e kaun
ab bhi khaDi hai soch mein Dubi ujyalon ka dan liye
aaj bhi rekha par hai rawan sita ko samjhae kaun
ye manzil-e-haq ke dīvāno kuchh soch karo kuchh kar guzro
kyā jaane kab kyā kar guzre ye vaqt kā rāvan kyā kahiye
ye manzil-e-haq ke diwano kuchh soch karo kuchh kar guzro
kya jaane kab kya kar guzre ye waqt ka rawan kya kahiye
jis paap kī duniyā meñ hai rāvan kā baserā
us svarg sī dhartī pe koī raam nahīñ hai
jis pap ki duniya mein hai rawan ka basera
us swarg si dharti pe koi ram nahin hai