Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Nida Fazli's Photo'

Nida Fazli

1938 - 2016 | Mumbai, India

One of the most prominent modern poets with wide popular appeal. Well-known film lyricist, prose writer. Famous for his ghazal 'Kabhi kisi ko mukammal Jahan nahin milta…'.

One of the most prominent modern poets with wide popular appeal. Well-known film lyricist, prose writer. Famous for his ghazal 'Kabhi kisi ko mukammal Jahan nahin milta…'.

Sher of Nida Fazli

159.2K
Favorite

SORT BY

rishtoñ e'tibār vafāoñ intizār

ham bhī charāġh le ke havāoñ meñ aa.e haiñ

rishton ka e'tibar wafaon ka intizar

hum bhi charagh le ke hawaon mein aae hain

safar meñ dhuup to hogī jo chal sako to chalo

sabhī haiñ bhiiḌ meñ tum bhī nikal sako to chalo

safar mein dhup to hogi jo chal sako to chalo

sabhi hain bhiD mein tum bhi nikal sako to chalo

ab kisī se bhī shikāyat na rahī

jaane kis kis se gilā thā pahle

ab kisi se bhi shikayat na rahi

jaane kis kis se gila tha pahle

bahut mushkil hai banjāra-mizājī

salīqa chāhiye āvārgī meñ

bahut mushkil hai banjara-mizaji

saliqa chahiye aawargi mein

ġham ho ki ḳhushī donoñ kuchh duur ke sāthī haiñ

phir rasta rasta hai hañsnā hai na ronā hai

gham ho ki KHushi donon kuchh dur ke sathi hain

phir rasta hi rasta hai hansna hai na rona hai

sab kuchh to hai kyā DhūñDtī rahtī haiñ nigāheñ

kyā baat hai maiñ vaqt pe ghar kyuuñ nahīñ jaatā

sab kuchh to hai kya DhunDti rahti hain nigahen

kya baat hai main waqt pe ghar kyun nahin jata

ḳhush-hāl ghar sharīf tabī.at sabhī dost

vo shaḳhs thā ziyāda magar aadmī thā kam

KHush-haal ghar sharif tabiat sabhi ka dost

wo shaKHs tha ziyaada magar aadmi tha kam

baḌe baḌe ġham khaḌe hue the rasta roke rāhoñ meñ

chhoTī chhoTī ḳhushiyoñ se ham ne dil ko shaad kiyā

baDe baDe gham khaDe hue the rasta roke rahon mein

chhoTi chhoTi KHushiyon se hi hum ne dil ko shad kiya

merī ġhurbat ko sharāfat abhī naam na de

vaqt badlā to tirī raa.e badal jā.egī

meri ghurbat ko sharafat ka abhi nam na de

waqt badla to teri rae badal jaegi

besan sauñdhī roTī par khaTTī chaTnī jaisī maañ

yaad aatī hai! chaukā bāsan chimTā phuknī jaisī maañ

besan ki saundhi roTi par khaTTi chaTni jaisi man

yaad aati hai! chauka basan chimTa phukni jaisi man

yaqīn chāñd pe sūraj meñ e'tibār bhī rakh

magar nigāh meñ thoḌā intizār bhī rakh

yaqin chand pe suraj mein e'tibar bhi rakh

magar nigah mein thoDa sa intizar bhi rakh

ab ḳhushī hai na koī dard rulāne vaalā

ham ne apnā liyā har rañg zamāne vaalā

ab KHushi hai na koi dard rulane wala

hum ne apna liya har rang zamane wala

naqsha uThā ke koī nayā shahr DhūñDhiye

is shahr meñ to sab se mulāqāt ho ga.ī

naqsha uTha ke koi naya shahr DhunDhiye

is shahr mein to sab se mulaqat ho gai

apnī marzī se kahāñ apne safar ke ham haiñ

ruḳh havāoñ jidhar hai udhar ke ham haiñ

apni marzi se kahan apne safar ke hum hain

ruKH hawaon ka jidhar ka hai udhar ke hum hain

ye kyā azaab hai sab apne aap meñ gum haiñ

zabāñ milī hai magar ham-zabāñ nahīñ miltā

ye kya azab hai sab apne aap mein gum hain

zaban mili hai magar ham-zaban nahin milta

us ko ruḳhsat to kiyā thā mujhe ma.alūm na thā

saarā ghar le gayā ghar chhoḌ ke jaane vaalā

us ko ruKHsat to kiya tha mujhe malum na tha

sara ghar le gaya ghar chhoD ke jaane wala

har taraf har jagah be-shumār aadmī

phir bhī tanhā.iyoñ shikār aadmī

har taraf har jagah be-shumar aadmi

phir bhi tanhaiyon ka shikar aadmi

is añdhere meñ to Thokar ujālā degī

raat jañgal meñ koī sham.a jalāne se rahī

is andhere mein to Thokar hi ujala degi

raat jangal mein koi shama jalane se rahi

ham bhī kisī kamān se nikle the tiir se

ye aur baat hai ki nishāne ḳhatā hue

hum bhi kisi kaman se nikle the tir se

ye aur baat hai ki nishane KHata hue

kahāñ charāġh jalā.eñ kahāñ gulāb rakheñ

chhateñ to miltī haiñ lekin makāñ nahīñ miltā

kahan charagh jalaen kahan gulab rakhen

chhaten to milti hain lekin makan nahin milta

kisī ke vāste rāheñ kahāñ badaltī haiñ

tum apne aap ko ḳhud badal sako to chalo

kisi ke waste rahen kahan badalti hain

tum apne aap ko KHud hi badal sako to chalo

hamārā 'mīr'-jī se muttafiq honā hai nā-mumkin

uThānā hai jo patthar ishq to halkā bhārī kyā

hamara 'mir'-ji se muttafiq hona hai na-mumkin

uThana hai jo patthar ishq ka to halka bhaari kya

badlā na apne-āp ko jo the vahī rahe

milte rahe sabhī se magar ajnabī rahe

badla na apne-ap ko jo the wahi rahe

milte rahe sabhi se magar ajnabi rahe

itnā sach bol ki hoñToñ tabassum na bujhe

raushnī ḳhatm na kar aage añdherā hogā

itna sach bol ki honTon ka tabassum na bujhe

raushni KHatm na kar aage andhera hoga

tamām shahr meñ aisā nahīñ ḳhulūs na ho

jahāñ umiid ho is vahāñ nahīñ miltā

tamam shahr mein aisa nahin KHulus na ho

jahan umid ho is ki wahan nahin milta

kuchh bhī bachā na kahne ko har baat ho ga.ī

aao kahīñ sharāb piyeñ raat ho ga.ī

kuchh bhi bacha na kahne ko har baat ho gai

aao kahin sharab piyen raat ho gai

har aadmī meñ hote haiñ das biis aadmī

jis ko bhī dekhnā ho ka.ī baar dekhnā

har aadmi mein hote hain das bis aadmi

jis ko bhi dekhna ho kai bar dekhna

ek be-chehra ummīd hai chehra chehra

jis taraf dekhiye aane ko hai aane vaalā

ek be-chehra si ummid hai chehra chehra

jis taraf dekhiye aane ko hai aane wala

vo ek chehra to nahīñ saare jahāñ meñ

jo duur hai vo dil se utar kyuuñ nahīñ jaatā

wo ek hi chehra to nahin sare jahan mein

jo dur hai wo dil se utar kyun nahin jata

zarūrī kyā har ik mahfil meñ baiTheñ

takalluf ravā-dārī se bachiye

zaruri kya har ek mahfil mein baiThen

takalluf ki rawa-dari se bachiye

har jañgal ek kahānī vo bheñT vahī qurbānī

gūñgī bahrī saarī bheḌeñ charvāhoñ jāgīreñ haiñ

har jangal ki ek kahani wo hi bhenT wahi qurbani

gungi bahri sari bheDen charwahon ki jagiren hain

duur ke chāñd ko DhūñDo na kisī āñchal meñ

ye ujālā nahīñ āñgan meñ samāne vaalā

dur ke chand ko DhunDo na kisi aanchal mein

ye ujala nahin aangan mein samane wala

mumkin hai safar ho āsāñ ab saath bhī chal kar dekheñ

kuchh tum bhī badal kar dekho kuchh ham bhī badal kar dekheñ

mumkin hai safar ho aasan ab sath bhi chal kar dekhen

kuchh tum bhi badal kar dekho kuchh hum bhi badal kar dekhen

koī hindū koī muslim koī īsā.ī hai

sab ne insān na banñe qasam khaa.ī hai

koi hindu koi muslim koi isai hai

sab ne insan na banne ki qasam khai hai

apne lahje hifāzat kījiye

sher ho jaate haiñ nā-mālūm bhī

apne lahje ki hifazat kijiye

sher ho jate hain na-malum bhi

ghī misrī bhī bhej kabhī aḳhbāroñ meñ

ka.ī dinoñ se chaa.e hai kaḌvī allāh

ghi misri bhi bhej kabhi aKHbaron mein

kai dinon se chae hai kaDwi ya allah

pahle har chiiz thī apnī magar ab lagtā hai

apne ghar meñ kisī dūsre ghar ke ham haiñ

pahle har chiz thi apni magar ab lagta hai

apne hi ghar mein kisi dusre ghar ke hum hain

ek mahfil meñ ka.ī mahfileñ hotī haiñ sharīk

jis ko bhī paas se dekhoge akelā hogā

ek mahfil mein kai mahfilen hoti hain sharik

jis ko bhi pas se dekhoge akela hoga

fāsla nazroñ dhoka bhī to ho saktā hai

vo mile na mile haath baḌhā kar dekho

fasla nazron ka dhoka bhi to ho sakta hai

wo mile ya na mile hath baDha kar dekho

ham laboñ se kah na paa.e un se hāl-e-dil kabhī

aur vo samjhe nahīñ ye ḳhāmushī kyā chiiz hai

hum labon se kah na pae un se haal-e-dil kabhi

aur wo samjhe nahin ye KHamushi kya chiz hai

gintiyoñ meñ gine jaate haiñ har daur meñ ham

har qalamkār be-nām ḳhabar ke ham haiñ

gintiyon mein hi gine jate hain har daur mein hum

har qalamkar ki be-nam KHabar ke hum hain

charāġh jalte bīnā.ī bujhne lagtī hai

ḳhud apne ghar meñ ghar nishāñ nahīñ miltā

charagh jalte hi binai bujhne lagti hai

KHud apne ghar mein hi ghar ka nishan nahin milta

masrūf gorkan ko bhī shāyad pata nahīñ

vo ḳhud khaḌā huā hai qazā qatār meñ

masruf gorkan ko bhi shayad pata nahin

wo KHud khaDa hua hai qaza ki qatar mein

tum se chhuT kar bhī tumheñ bhūlnā āsān na thā

tum ko yaad kiyā tum ko bhulāne ke liye

tum se chhuT kar bhi tumhein bhulna aasan na tha

tum ko hi yaad kiya tum ko bhulane ke liye

ḳhudā ke haath meñ mat sauñp saare kāmoñ ko

badalte vaqt pe kuchh apnā iḳhtiyār bhī rakh

KHuda ke hath mein mat saunp sare kaamon ko

badalte waqt pe kuchh apna iKHtiyar bhi rakh

girjā meñ mandiroñ meñ azānoñ meñ baT gayā

hote sub.h aadmī ḳhānoñ meñ baT gayā

girja mein mandiron mein azanon mein baT gaya

hote hi subh aadmi KHanon mein baT gaya

vahī hamesha aalam hai kyā kiyā jaa.e

jahāñ se dekhiye kuchh kam hai kyā kiyā jaa.e

wahi hamesha ka aalam hai kya kiya jae

jahan se dekhiye kuchh kam hai kya kiya jae

dhuup meñ niklo ghaTāoñ meñ nahā kar dekho

zindagī kyā hai kitāboñ ko haTā kar dekho

dhup mein niklo ghaTaon mein naha kar dekho

zindagi kya hai kitabon ko haTa kar dekho

brindāban ke kirshn kanhayyā allāh

bansī rādhā giitā gaiyyā allāh

brindaban ke kirshn kanhayya allah hu

bansi radha gita gaiyya allah hu

dil meñ na ho jur.at to mohabbat nahīñ miltī

ḳhairāt meñ itnī baḌī daulat nahīñ miltī

dil mein na ho jurat to mohabbat nahin milti

KHairaat mein itni baDi daulat nahin milti

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now