Sher of Shahzad Ahmad
ab apne chehre par do patthar se sajā.e phirtā huuñ
aañsū le kar bech diyā hai āñkhoñ kī bīnā.ī ko
ab apne chehre par do patthar se sajae phirta hun
aansu le kar bech diya hai aankhon ki binai ko
Thahar ga.ī hai tabī.at ise ravānī de
zamīn pyaas se marne lagī hai paanī de
Thahar gai hai tabiat ise rawani de
zamin pyas se marne lagi hai pani de
jo sāmne thā us ke ḳhad-o-ḳhāl nahīñ yaad
vo yaad rahā jis ko zarā dekh liyā hai
jo samne tha us ke KHad-o-KHal nahin yaad
wo yaad raha jis ko zara dekh liya hai
maiñ tirā kuchh bhī nahīñ huuñ magar itnā to batā
dekh kar mujh ko tire zehn meñ aatā kyā hai
main tera kuchh bhi nahin hun magar itna to bata
dekh kar mujh ko tere zehn mein aata kya hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bigḌī huī is shahr kī hālat bhī bahut hai
jā.ūñ bhī kahāñ is se mohabbat bhī bahut hai
bigDi hui is shahr ki haalat bhi bahut hai
jaun bhi kahan is se mohabbat bhi bahut hai
har dam tirī shabīh thī āñkhoñ ke sāmne
tanhā bhī ham nahīñ the tire saath bhī na the
har dam teri shabih thi aankhon ke samne
tanha bhi hum nahin the tere sath bhi na the
karo be-nūr mahfil-e-imroz
turbatoñ par diye jalāte raho
karo be-nur mahfil-e-imroz
turbaton par diye jalate raho
zarā sā ġham huā aur ro diye ham
baḌī nāzuk tabī.at ho ga.ī hai
zara sa gham hua aur ro diye hum
baDi nazuk tabiat ho gai hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tū kuchh bhī ho kab tak tujhe ham yaad kareñge
tā-hashr to ye dil bhī dhaḌaktā na rahegā
tu kuchh bhi ho kab tak tujhe hum yaad karenge
ta-hashr to ye dil bhi dhaDakta na rahega
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
umr jitnī bhī kaTī us ke bharose pe kaTī
aur ab sochtā huuñ us kā bharosa kyā thā
umr jitni bhi kaTi us ke bharose pe kaTi
aur ab sochta hun us ka bharosa kya tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ḳhud par bhī kholiye na kabhī dil kī vārdāt
ā.īna sāmne ho to chehra chhupā.iye
KHud par bhi kholiye na kabhi dil ki wardat
aaina samne ho to chehra chhupaiye
yaar hote to mujhe muñh pe burā kah dete
bazm meñ merā gilā sab ne kiyā mere ba.ad
yar hote to mujhe munh pe bura kah dete
bazm mein mera gila sab ne kiya mere baad
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ik aag phir bhaḌak uTThī hai diida o dil meñ
kuchh ashk phir sar-e-mizhgāñ dikhā.ī dete haiñ
ek aag phir bhaDak uTThi hai dida o dil mein
kuchh ashk phir sar-e-mizhgan dikhai dete hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
koī batāo ki kis ke liye talāsh kareñ
jahāñ chhupī haiñ bahāreñ hameñ ḳhabar hī sahī
koi batao ki kis ke liye talash karen
jahan chhupi hain bahaaren hamein KHabar hi sahi
das baje raat ko so jaate haiñ ḳhabreñ sun kar
aañkh khultī hai to aḳhbār talab karte haiñ
das baje raat ko so jate hain KHabren sun kar
aankh khulti hai to aKHbar talab karte hain
jis se do roz bhī khul kar na mulāqāt huī
muddatoñ ba.ad mile bhī to gilā kaise ho
jis se do roz bhi khul kar na mulaqat hui
muddaton baad mile bhi to gila kaise ho
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
safar-e-shauq hai bujhte hue sahrāoñ meñ
aag marham hai mire paañv ke chhāloñ ke liye
safar-e-shauq hai bujhte hue sahraon mein
aag marham hai mere panw ke chhaalon ke liye
vo ḳhush-nasīb the jinheñ apnī ḳhabar na thī
yaañ jab bhī aañkh kholiye aḳhbār dekhiye
wo KHush-nasib the jinhen apni KHabar na thi
yan jab bhi aankh kholiye aKHbar dekhiye
aage nikal ga.e vo mujhe dekhte hue
jaise maiñ aadmī na huā naqsh-e-pā huā
aage nikal gae wo mujhe dekhte hue
jaise main aadmi na hua naqsh-e-pa hua
kis liye vo shahr kī dīvār se sar phoḌtā
qais dīvāna sahī itnā bhī dīvāna na thā
kis liye wo shahr ki diwar se sar phoDta
qais diwana sahi itna bhi diwana na tha
talāsh karnī thī ik roz apnī zaat mujhe
ye bhuut bhī mire sar par savār honā thā
talash karni thi ek roz apni zat mujhe
ye bhut bhi mere sar par sawar hona tha
tere siine meñ bhī ik daaġh hai tanhā.ī kā
jāntā maiñ to kabhī duur na hotā tujh se
tere sine mein bhi ek dagh hai tanhai ka
jaanta main to kabhi dur na hota tujh se
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
khulī fazā meñ agar laḌkhaḌā ke chal na sakeñ
to zahr piinā hai behtar sharāb piine se
khuli faza mein agar laDkhaDa ke chal na saken
to zahr pina hai behtar sharab pine se
ḳhalq be-parvā ḳhudā bandoñ se tañg aayā huā
maiñ akelā phir rahā huuñ hashr ke maidān meñ
KHalq be-parwa KHuda bandon se tang aaya hua
main akela phir raha hun hashr ke maidan mein
dīvār kis taraf se baḌhe kuchh ḳhabar nahīñ
hai be-shumār shahroñ meñ jañgal ghirā huā
diwar kis taraf se baDhe kuchh KHabar nahin
hai be-shumar shahron mein jangal ghira hua
saarī maḳhlūq tamāshe ke liye aa.ī thī
kaun thā sīkhne vaalā hunar-e-parvāna
sari maKHluq tamashe ke liye aai thi
kaun tha sikhne wala hunar-e-parwana
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
be-hunar haath chamakne lagā sūraj kī tarah
aaj ham kis se mile aaj kise chhū aa.e
be-hunar hath chamakne laga suraj ki tarah
aaj hum kis se mile aaj kise chhu aae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
chhup chhup ke kahāñ tak tire dīdār mileñge
ai parda-nashīñ ab sar-e-bāzār mileñge
chhup chhup ke kahan tak tere didar milenge
ai parda-nashin ab sar-e-bazar milenge
shahr ko chhoḌ ke vīrānoñ meñ ābād to ho
tujhe tanhā.ī kī āvāz sunā.ī degī
shahr ko chhoD ke viranon mein aabaad to ho
tujhe tanhai ki aawaz sunai degi
tanhā.ī meñ aa jaatī haiñ hūreñ mire ghar meñ
chamkāte haiñ masjid ke dar-o-bām farishte
tanhai mein aa jati hain huren mere ghar mein
chamkate hain masjid ke dar-o-baam farishte
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kabhī kabhī chhalak uThtā hai aab o rañg un kā
vagarna dasht to sūkhe hue samundar haiñ
kabhi kabhi chhalak uThta hai aab o rang un ka
wagarna dasht to sukhe hue samundar hain
bahut sharminda huuñ iblīs se maiñ
ḳhatā merī sazā us ko milī hai
bahut sharminda hun iblis se main
KHata meri saza us ko mili hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
āñkheñ na khuleñ nuur ke sailāb meñ merī
ho raushnī itnī ki añdherā nazar aa.e
aankhen na khulen nur ke sailab mein meri
ho raushni itni ki andhera nazar aae
bas yahī hogā ki dīvāna kaheñge ahl-e-bazm
aap chup kyuuñ haiñ mirī tarz-e-navā le lījiye
bas yahi hoga ki diwana kahenge ahl-e-bazm
aap chup kyun hain meri tarz-e-nawa le lijiye
tumhārī bazm se bhī uTh chale haiñ dīvāne
jise vo DhūñD rahe the vo shai yahāñ bhī nahīñ
tumhaari bazm se bhi uTh chale hain diwane
jise wo DhunD rahe the wo shai yahan bhi nahin
aaj tak us kī mohabbat kā nasha taarī hai
phuul baaqī nahīñ ḳhushbū kā safar jaarī hai
aaj tak us ki mohabbat ka nasha tari hai
phul baqi nahin KHushbu ka safar jari hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
manzil pe jā ke ḳhaak uḌāne se fā.eda
jin kī talāsh thī mujhe raste meñ mil ga.e
manzil pe ja ke KHak uDane se faeda
jin ki talash thi mujhe raste mein mil gae
chāhtā huuñ ki ho parvāz sitāroñ se buland
aur mire hisse meñ TuuTe hue baazū aa.e
chahta hun ki ho parwaz sitaron se buland
aur mere hisse mein TuTe hue bazu aae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
Duub jaatā hai damaktā huā sūraj lekin
mehñdiyāñ shaam ke hāthoñ meñ rachā detā hai
Dub jata hai damakta hua suraj lekin
mehndiyan sham ke hathon mein racha deta hai
yuuñ kis tarah batā.ūñ ki kyā mere paas hai
tū bhī to koī rañg dikhā aur dekh le
yun kis tarah bataun ki kya mere pas hai
tu bhi to koi rang dikha aur dekh le
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ḳhāmushī hī meñ sahī par kabhī iz.hār to kar
is qadar zabt se siina tirā phaT jā.egā
KHamushi hi mein sahi par kabhi izhaar to kar
is qadar zabt se sina tera phaT jaega
Takrātā hai sar phoḌtā hai saarā zamāna
dīvār ko raste se haTātā nahīñ phir bhī
Takraata hai sar phoDta hai sara zamana
diwar ko raste se haTata nahin phir bhi
raushan bhī karoge kabhī tārīki-e-shab ko
yā sham.a kī mānind pighalte hī rahoge
raushan bhi karoge kabhi tariki-e-shab ko
ya shama ki manind pighalte hi rahoge
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kuchh tere sabab thī mire pahlū meñ harārat
kuchh dil ne bhī is aag ko bhaḌkāyā huā thā
kuchh tere sabab thi mere pahlu mein hararat
kuchh dil ne bhi is aag ko bhaDkaya hua tha
hamāre pesh-e-nazar manzileñ kuchh aur bhī thiiñ
ye hādsa hai ki ham tere paas aa pahuñche
hamare pesh-e-nazar manzilen kuchh aur bhi thin
ye hadsa hai ki hum tere pas aa pahunche
chāhe ab aap bhī mujhe aaseb hī kaheñ
ḳhud muntaḳhab kyā hai ye ujḌā huā makāñ
chahe ab aap bhi mujhe aaseb hi kahen
KHud muntaKHab kya hai ye ujDa hua makan
chup ke aalam meñ vo tasvīr sī sūrat us kī
boltī hai to badal jaatī hai rañgat us kī
chup ke aalam mein wo taswir si surat us ki
bolti hai to badal jati hai rangat us ki
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kam nahīñ hai ye aziyyat ki abhī zinda huuñ
ab mire sar pe koī aur balā kyuuñ aa.e
kam nahin hai ye aziyyat ki abhi zinda hun
ab mere sar pe koi aur bala kyun aae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aañkh rakhte ho to us aañkh kī tahrīr paḌho
muñh se iqrār na karnā to hai aadat us kī
aankh rakhte ho to us aankh ki tahrir paDho
munh se iqrar na karna to hai aadat us ki
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jis ke baa.is abhī ThanDak hai mire siine meñ
bhaḌak uThtā huuñ agar naam liyā jaatā hai
jis ke bais abhi ThanDak hai mere sine mein
bhaDak uThta hun agar nam liya jata hai