Sher on Bekhudi
Ecstasy, or trance,
is a state of belonging beyond the limits of consciousness or self-obsession. This s a condition we generally associate with romantic and divine lovers. It also opens up ways to understand the philosophical meaning of human existence. Poets have developed fascinating perspectives on the experience of ecstasy. Here are some examples.
hosh vāloñ ko ḳhabar kyā be-ḳhudī kyā chiiz hai
ishq kiije phir samajhiye zindagī kyā chiiz hai
hosh walon ko KHabar kya be-KHudi kya chiz hai
ishq kije phir samajhiye zindagi kya chiz hai
-
Tags : Famous shayariand 7 more
achchhā ḳhāsā baiThe baiThe gum ho jaatā huuñ
ab maiñ aksar maiñ nahīñ rahtā tum ho jaatā huuñ
achchha KHasa baiThe baiThe gum ho jata hun
ab main aksar main nahin rahta tum ho jata hun
-
Tags : Famous shayariand 3 more
ye kaisā nashsha hai maiñ kis ajab ḳhumār meñ huuñ
tū aa ke jā bhī chukā hai maiñ intizār meñ huuñ
ye kaisa nashsha hai main kis ajab KHumar mein hun
tu aa ke ja bhi chuka hai main intizar mein hun
-
Tag : Intezar
be-ḳhudī be-sabab nahīñ 'ġhālib'
kuchh to hai jis kī parda-dārī hai
be-KHudi be-sabab nahin 'ghaalib'
kuchh to hai jis ki parda-dari hai
-
Tags : Famous shayariand 2 more
chale to paañv ke nīche kuchal ga.ī koī shai
nashe kī jhoñk meñ dekhā nahīñ ki duniyā hai
chale to panw ke niche kuchal gai koi shai
nashe ki jhonk mein dekha nahin ki duniya hai
itnī pī jaa.e ki miT jaa.e maiñ aur tū kī tamīz
yaanī ye hosh kī dīvār girā dī jaa.e
the formality of you and I should in wine be drowned
meaning that these barriers of sobriety be downed
itni pi jae ki miT jae main aur tu ki tamiz
yani ye hosh ki diwar gira di jae
the formality of you and I should in wine be drowned
meaning that these barriers of sobriety be downed
-
Tags : Maikashiand 2 more
be-ḳhudī le ga.ī kahāñ ham ko
der se intizār hai apnā
be-KHudi le gai kahan hum ko
der se intizar hai apna
ab in hudūd meñ laayā hai intizār mujhe
vo aa bhī jaa.eñ to aa.e na e'tibār mujhe
ab in hudud mein laya hai intizar mujhe
wo aa bhi jaen to aae na e'tibar mujhe
be-ḳhudī meñ le liyā bosa ḳhatā kiije muaaf
ye dil-e-betāb kī saarī ḳhatā thī maiñ na thā
be-KHudi mein le liya bosa KHata kije muaf
ye dil-e-betab ki sari KHata thi main na tha
-
Tags : Diland 1 more
jis meñ ho yaad bhī tirī shāmil
haa.e us be-ḳhudī ko kyā kahiye
jis mein ho yaad bhi teri shamil
hae us be-KHudi ko kya kahiye
kamāl-e-ishq to dekho vo aa ga.e lekin
vahī hai shauq vahī intizār baaqī hai
kamal-e-ishq to dekho wo aa gae lekin
wahi hai shauq wahi intizar baqi hai
-
Tag : Intezar
allāh re be-ḳhudī ki tire paas baiTh kar
terā hī intizār kiyā hai kabhī kabhī
o lord! There are times when such is my raptured state
even though I am with you, and yet for you I wait
allah re be-KHudi ki tere pas baiTh kar
tera hi intizar kiya hai kabhi kabhi
o lord! There are times when such is my raptured state
even though I am with you, and yet for you I wait
-
Tags : Famous shayariand 1 more
din raat mai-kade meñ guzartī thī zindagī
'aḳhtar' vo be-ḳhudī ke zamāne kidhar ga.e
din raat mai-kade mein guzarti thi zindagi
'aKHtar' wo be-KHudi ke zamane kidhar gae
-
Tags : Maikadaand 1 more
tirā vasl hai mujhe be-ḳhudī tirā hijr hai mujhe āgahī
tirā vasl mujh ko firāq hai tirā hijr mujh ko visāl hai
tera wasl hai mujhe be-KHudi tera hijr hai mujhe aagahi
tera wasl mujh ko firaq hai tera hijr mujh ko visal hai
-
Tags : Aagahiand 2 more
aalam se be-ḳhabar bhī huuñ aalam meñ bhī huuñ maiñ
saaqī ne is maqām ko āsāñ banā diyā
aalam se be-KHabar bhi hun aalam mein bhi hun main
saqi ne is maqam ko aasan bana diya
-
Tag : Nasha
umr jo be-ḳhudī meñ guzrī hai
bas vahī āgahī meñ guzrī hai
umr jo be-KHudi mein guzri hai
bas wahi aagahi mein guzri hai
-
Tag : Aagahi
mai se ġharaz nashāt hai kis rū-siyāh ko
ik-gūna be-ḳhudī mujhe din raat chāhiye
mai se gharaz nashat hai kis ru-siyah ko
ik-guna be-KHudi mujhe din raat chahiye
yahāñ koī na jī sakā na jī sakegā hosh meñ
miTā de naam hosh kā sharāb lā sharāb lā
yahan koi na ji saka na ji sakega hosh mein
miTa de nam hosh ka sharab la sharab la
-
Tag : Nasha
na to hosh se ta.āruf na junūñ se āshnā.ī
ye kahāñ pahuñch ga.e haiñ tirī bazm se nikal ke
what is this place that I have reached, having left your company
na to hosh se taaruf na junun se aashnai
ye kahan pahunch gae hain teri bazm se nikal ke
what is this place that I have reached, having left your company
mai-e-hayāt meñ shāmil hai talḳhī-e-daurāñ
jabhī to pī ke taraste haiñ be-ḳhudī ke liye
mai-e-hayat mein shamil hai talKHi-e-dauran
jabhi to pi ke taraste hain be-KHudi ke liye
itnī pī hai ki ba.ad-e-tauba bhī
be-piye be-ḳhudī sī rahtī hai
itni pi hai ki baad-e-tauba bhi
be-piye be-KHudi si rahti hai
-
Tags : Maikashiand 2 more
kitnā mushkil hai ḳhud-baḳhud ronā
be-ḳhudī se rihā kare koī
kitna mushkil hai KHud-baKHud rona
be-KHudi se riha kare koi
ab maiñ hudūd-e-hosh-o-ḳhirad se guzar gayā
Thukrāo chāhe pyaar karo maiñ nashe meñ huuñ
ab main hudud-e-hosh-o-KHirad se guzar gaya
Thukrao chahe pyar karo main nashe mein hun
-
Tag : Nasha
be-ḳhudī ne kar diyā jazbāt-e-dil se be-niyāz
ab tirā milnā na milnā sab barābar ho gayā
be-KHudi ne kar diya jazbaat-e-dil se be-niyaz
ab tera milna na milna sab barabar ho gaya
ḳhvāb meñ naam tirā le ke pukār uThtā huuñ
be-ḳhudī meñ bhī mujhe yaad tirī yaad kī hai
KHwab mein nam tera le ke pukar uThta hun
be-KHudi mein bhi mujhe yaad teri yaad ki hai
mere dil o dimāġh pe chhā.e hue ho tum
zarre ko āftāb banā.e hue ho tum
mere dil o dimagh pe chhae hue ho tum
zarre ko aaftab banae hue ho tum
shah-e-be-ḳhudī ne atā kiyā mujhe ab libās-e-barahnagī
na ḳhirad kī baḳhiya-garī rahī na junūñ kī parda-darī rahī
shah-e-be-KHudi ne ata kiya mujhe ab libas-e-barahnagi
na KHirad ki baKHiya-gari rahi na junun ki parda-dari rahi
ai be-ḳhudi-e-dil mujhe ye bhī ḳhabar nahīñ
kis din bahār aa.ī maiñ dīvāna kab huā
ai be-KHudi-e-dil mujhe ye bhi KHabar nahin
kis din bahaar aai main diwana kab hua
allāh-re be-ḳhudī ki chalā jā rahā huuñ maiñ
manzil ko dekhtā huā kuchh sochtā huā
allah-re be-KHudi ki chala ja raha hun main
manzil ko dekhta hua kuchh sochta hua
-
Tag : Mazi
be-ḳhudī meñ ham to terā dar samajh kar jhuk ga.e
ab ḳhudā ma.alūm ka.aba thā ki vo but-ḳhāna thā
be-KHudi mein hum to tera dar samajh kar jhuk gae
ab KHuda malum kaba tha ki wo but-KHana tha
kah deñ tum se kaun haiñ, kyā haiñ, kahāñ rahte haiñ ham
be-ḳhudoñ ko apne jab tum hosh meñ aane to do
we will tell you who and what we are and where we stay
let your besotten lovers regain consciousness today
kah den tum se kaun hain, kya hain, kahan rahte hain hum
be-KHudon ko apne jab tum hosh mein aane to do
we will tell you who and what we are and where we stay
let your besotten lovers regain consciousness today
ai be-ḳhudī salām tujhe terā shukriya
duniyā bhī mast mast hai uqbā bhī mast mast
ai be-KHudi salam tujhe tera shukriya
duniya bhi mast mast hai uqba bhi mast mast
-
Tag : Shukriya
allāh re be-ḳhudī ki tire ghar ke ās-pās
har dar pe dī sadā tire dar ke ḳhayāl meñ
allah re be-KHudi ki tere ghar ke aas-pas
har dar pe di sada tere dar ke KHayal mein
ga.ī bahār magar apnī be-ḳhudī hai vahī
samajh rahā huuñ ki ab tak bahār baaqī hai
gai bahaar magar apni be-KHudi hai wahi
samajh raha hun ki ab tak bahaar baqi hai
-
Tag : Bahaar
ai zindagī junūñ na sahī be-ḳhudī sahī
tū kuchh bhī apnī aql se pāgal uThā to lā
ai zindagi junun na sahi be-KHudi sahi
tu kuchh bhi apni aql se pagal uTha to la
vo be-ḳhudī thī mohabbat kī be-ruḳhī to na thī
pe us ko tark-e-ta.alluq ko ik bahāna huā
wo be-KHudi thi mohabbat ki be-ruKHi to na thi
pe us ko tark-e-talluq ko ek bahana hua
-
Tag : Bahana
niyāz-e-be-ḳhudī behtar namāz-e-ḳhud-numā.ī siiñ
na kar ham puḳhta-maġhzoñ siiñ ḳhayāl-e-ḳhām ai vaa.iz
niyaz-e-be-KHudi behtar namaz-e-KHud-numai sin
na kar hum puKHta-maghzon sin KHayal-e-KHam ai waiz
chhoḌ kar kūcha-e-mai-ḳhāna taraf masjid ke
maiñ to dīvāna nahīñ huuñ jo chalūñ hosh kī raah
chhoD kar kucha-e-mai-KHana taraf masjid ke
main to diwana nahin hun jo chalun hosh ki rah
-
Tag : Maikada
vafūr-e-be-ḳhudī meñ rakh diyā sar un ke qadmoñ par
vo kahte hī rahe 'vāsif' ye mahfil hai ye mahfil hai
wafur-e-be-KHudi mein rakh diya sar un ke qadmon par
wo kahte hi rahe 'wasif' ye mahfil hai ye mahfil hai
sar pā-e-ḳhum pe chāhiye hañgām-e-be-ḳhudī
rū sū-e-qibla vaqt-e-munājāt chāhiye
sar pa-e-KHum pe chahiye hangam-e-be-KHudi
ru su-e-qibla waqt-e-munajat chahiye
haañ kaif-e-be-ḳhudī kī vo saa.at bhī yaad hai
mahsūs kar rahā thā ḳhudā ho gayā huuñ maiñ
han kaif-e-be-KHudi ki wo saat bhi yaad hai
mahsus kar raha tha KHuda ho gaya hun main
juz be-ḳhudī guzar nahīñ kū-e-habīb meñ
gum ho gayā jo maiñ to milā rāsta mujhe
juz be-KHudi guzar nahin ku-e-habib mein
gum ho gaya jo main to mila rasta mujhe
tirī yaad meñ thī vo be-ḳhudī ki na fikr-e-nāma-barī rahī
mirī vo nigārish-e-shauq bhī kahīñ taaq hī pe dharī rahī
teri yaad mein thi wo be-KHudi ki na fikr-e-nama-bari rahi
meri wo nigarish-e-shauq bhi kahin taq hi pe dhari rahi
pā-ba-gil be-ḳhudī-e-shauq se maiñ rahtā thā
kūcha-e-yār meñ hālat mirī dīvār kī thī
pa-ba-gil be-KHudi-e-shauq se main rahta tha
kucha-e-yar mein haalat meri diwar ki thi
mere aur yaar ke parda to nahīñ kuchh lekin
be-ḳhudī biich meñ dīvār huā chāhtī hai
mere aur yar ke parda to nahin kuchh lekin
be-KHudi bich mein diwar hua chahti hai
tere ḳhayāl meñ kabhī is tarah kho ga.e
terā ḳhayāl bhī hameñ aksar nahīñ rahā
tere KHayal mein kabhi is tarah kho gae
tera KHayal bhi hamein aksar nahin raha
-
Tag : Yaad
pās-e-ādāb-e-vafā thā ki shikasta-pā.ī
be-ḳhudī meñ bhī na ham had se guzarne paa.e
pas-e-adab-e-wafa tha ki shikasta-pai
be-KHudi mein bhi na hum had se guzarne pae