Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Mohammad Alvi's Photo'

Mohammad Alvi

1927 - 2018 | Ahmedabad, India

One of the most prominent modern poets. Known for his style of layered simplicity. Recipient of Sahitya Academy award.

One of the most prominent modern poets. Known for his style of layered simplicity. Recipient of Sahitya Academy award.

Sher of Mohammad Alvi

34.3K
Favorite

SORT BY

dhuup ne guzārish

ek buuñd bārish

dhup ne guzarish ki

ek bund barish ki

roz achchhe nahīñ lagte aañsū

ḳhaas mauqoñ pe mazā dete haiñ

roz achchhe nahin lagte aansu

KHas mauqon pe maza dete hain

aaj phir mujh se kahā dariyā ne

kyā irāda hai bahā le jā.ūñ

aaj phir mujh se kaha dariya ne

kya irada hai baha le jaun

añdherā hai kaise tirā ḳhat paḌhūñ

lifāfe meñ kuchh raushnī bhej de

andhera hai kaise tera KHat paDhun

lifafe mein kuchh raushni bhej de

ab to chup-chāp shaam aatī hai

pahle chiḌiyoñ ke shor hote the

ab to chup-chap sham aati hai

pahle chiDiyon ke shor hote the

sardī meñ din sard milā

har mausam bedard milā

sardi mein din sard mila

har mausam bedard mila

kuchh to is dil ko sazā jaa.e

us tasvīr haTā jaa.e

kuchh to is dil ko saza di jae

us ki taswir haTa di jae

kabhī āñkheñ kitāb meñ gum haiñ

kabhī gum hai kitāb āñkhoñ meñ

kabhi aankhen kitab mein gum hain

kabhi gum hai kitab aankhon mein

apnā ghar aane se pahle

itnī galiyāñ kyuuñ aatī haiñ

apna ghar aane se pahle

itni galiyan kyun aati hain

maanā ki zahīn bhī hai ḳhūb-rū bhī hai

tujh na maiñ huā to bhalā kyā burā huā

mana ki tu zahin bhi hai KHub-ru bhi hai

tujh sa na main hua to bhala kya bura hua

achchhe din kab ā.eñge

kyā yuuñ mar jā.eñge

achchhe din kab aaenge

kya yun hi mar jaenge

aag apne lagā sakte haiñ

ġhair to sirf havā dete haiñ

aag apne hi laga sakte hain

ghair to sirf hawa dete hain

us se mile zamāna huā lekin aaj bhī

dil se duā nikaltī hai ḳhush ho jahāñ bhī ho

us se mile zamana hua lekin aaj bhi

dil se dua nikalti hai KHush ho jahan bhi ho

maiñ ḳhud ko marte hue dekh kar bahut ḳhush huuñ

ye Dar bhī hai ki mirī aañkh khul na jaa.e kahīñ

main KHud ko marte hue dekh kar bahut KHush hun

ye Dar bhi hai ki meri aankh khul na jae kahin

us se bichhaḌte vaqt maiñ royā thā ḳhūb-sā

ye baat yaad aa.ī to pahroñ hañsā kiyā

us se bichhaDte waqt main roya tha KHub-sa

ye baat yaad aai to pahron hansa kiya

haa.e vo log jo dekhe bhī nahīñ

yaad aa.eñ to rulā dete haiñ

hae wo log jo dekhe bhi nahin

yaad aaen to rula dete hain

nazroñ se nāptā hai samundar vus.ateñ

sāhil pe ik shaḳhs akelā khaḌā huā

nazron se napta hai samundar ki wusaten

sahil pe ek shaKHs akela khaDa hua

dekhā na hogā ne magar intizār meñ

chalte hue samay ko Thaharte hue bhī dekh

dekha na hoga tu ne magar intizar mein

chalte hue samay ko Thaharte hue bhi dekh

maut bhī duur bahut duur kahīñ phirtī hai

kaun ab aa ke asīroñ ko rihā.ī degā

maut bhi dur bahut dur kahin phirti hai

kaun ab aa ke asiron ko rihai dega

dekhā to sab ke sar pe gunāhoñ bojh thā

ḳhush the tamām nekiyāñ dariyā meñ Daal kar

dekha to sab ke sar pe gunahon ka bojh tha

KHush the tamam nekiyan dariya mein Dal kar

maiñ us ke badan muqaddas kitāb

nihāyat aqīdat se paḌhtā rahā

main us ke badan ki muqaddas kitab

nihayat aqidat se paDhta raha

ab na 'ġhālib' se shikāyat hai na shikva 'mīr'

ban gayā maiñ bhī nishāna reḳhta ke tiir

ab na 'ghaalib' se shikayat hai na shikwa 'mir' ka

ban gaya main bhi nishana reKHta ke tir ka

kamre meñ maze raushnī ho

achchhī koī kitāb dekhūñ

kamre mein maze ki raushni ho

achchhi si koi kitab dekhun

rakhte ho agar aañkh to bāhar se na dekho

dekho mujhe andar se bahut TuuT chukā huuñ

rakhte ho agar aankh to bahar se na dekho

dekho mujhe andar se bahut TuT chuka hun

nayā saal dīvār par Taañg de

purāne baras calendar girā

naya sal diwar par Tang de

purane baras ka calendar gira

vo jañgaloñ meñ daraḳhtoñ pe kūdte phirnā

burā bahut thā magar aaj se to behtar thā

wo jangalon mein daraKHton pe kudte phirna

bura bahut tha magar aaj se to behtar tha

chhoḌ gayā mujh ko 'alvī'

shāyad vo jaldī meñ thā

chhoD gaya mujh ko 'alwi'

shayad wo jaldi mein tha

un dinoñ ghar se ajab rishta thā

saare darvāze gale lagte the

un dinon ghar se ajab rishta tha

sare darwaze gale lagte the

abhī do chaar būñdeñ girīñ haiñ

magar mausam nashīlā ho gayā hai

abhi do chaar hi bunden girin hain

magar mausam nashila ho gaya hai

ghar meñ kyā aayā ki mujh ko

dīvāroñ ne gher liyā hai

ghar mein kya aaya ki mujh ko

diwaron ne gher liya hai

ġham bahut din muft khātā rahā

ab use dil se nikālā chāhiye

gham bahut din muft ki khata raha

ab use dil se nikala chahiye

aur bāzār se kyā le jā.ūñ

pahlī bārish mazā le jā.ūñ

aur bazar se kya le jaun

pahli barish ka maza le jaun

ik laḌkā thā ik laḌkī thī

aage allāh marzī thī

ek laDka tha ek laDki thi

aage allah ki marzi thi

raat paḌe ghar jaanā hai

sub.h talak mar jaanā hai

raat paDe ghar jaana hai

subh talak mar jaana hai

thoḌī sardī zarā nazla hai

shā.erī mizāj patlā hai

thoDi sardi zara sa nazla hai

shaeri ka mizaj patla hai

chalā jā.ūñgā jaise ḳhud ko tanhā chhoḌ kar 'alvī'

maiñ apne aap ko rātoñ meñ uTh kar dekh letā huuñ

chala jaunga jaise KHud ko tanha chhoD kar 'alwi'

main apne aap ko raaton mein uTh kar dekh leta hun

are ye dil aur itnā ḳhālī

koī musībat paal rakhiye

are ye dil aur itna KHali

koi musibat hi pal rakhiye

raat milī tanhā.ī milī aur jaam milā

ghar se nikle to kyā kyā ārām milā

raat mili tanhai mili aur jam mila

ghar se nikle to kya kya aaram mila

aisā hañgāma na thā jañgal meñ

shahr meñ aa.e to Dar lagtā thā

aisa hangama na tha jangal mein

shahr mein aae to Dar lagta tha

khiḌkiyoñ se jhāñktī hai raushnī

battiyāñ jaltī haiñ ghar ghar raat meñ

khiDkiyon se jhankti hai raushni

battiyan jalti hain ghar ghar raat mein

āñkheñ kholo ḳhvāb sameTo jaago bhī

'alvī' pyāre dekho saalā din niklā

aankhen kholo KHwab sameTo jago bhi

'alwi' pyare dekho sala din nikla

gaaḌī aatī hai lekin aatī nahīñ

rail paTrī dekh ke thak jaatā huuñ maiñ

gaDi aati hai lekin aati hi nahin

rail ki paTri dekh ke thak jata hun main

har vaqt khilte phuul jānib takā na kar

murjhā ke pattiyoñ ko bikharte hue bhī dekh

har waqt khilte phul ki jaanib taka na kar

murjha ke pattiyon ko bikharte hue bhi dekh

bulā rahā thā koī chīḳh chīḳh kar mujh ko

kueñ meñ jhāñk ke dekhā to maiñ andar thā

bula raha tha koi chiKH chiKH kar mujh ko

kuen mein jhank ke dekha to main hi andar tha

maut na aa.ī to 'alvī'

chhuTTī meñ ghar jā.eñge

maut na aai to 'alwi'

chhuTTi mein ghar jaenge

tārīf sun ke dost se 'alvī' ḳhush na ho

us ko tirī burā.iyāñ karte hue bhī dekh

tarif sun ke dost se 'alwi' tu KHush na ho

us ko teri buraiyan karte hue bhi dekh

parinde duur fazāoñ meñ kho ga.e 'alvī'

ujaaḌ ujaaḌ daraḳhtoñ pe āshiyāne the

parinde dur fazaon mein kho gae 'alwi'

ujaD ujaD daraKHton pe aashiyane the

āsmān par pahuñchūñ

allāh terā naam likhūñ

aasman par ja pahunchun

allah tera nam likhun

darvāze par pahra dene

tanhā.ī bhuut khaḌā hai

darwaze par pahra dene

tanhai ka bhut khaDa hai

'alvī' ye mo.ajiza hai december dhuup

saare makān shahr ke dho.e hue se haiñ

'alwi' ye moajiza hai december ki dhup ka

sare makan shahr ke dhoe hue se hain

Recitation

Speak Now