Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Iftikhar Arif's Photo'

Iftikhar Arif

1943 | Islamabad, Pakistan

One of the most prominent Pakistani poets, famous for his cultural romanticism.

One of the most prominent Pakistani poets, famous for his cultural romanticism.

Sher of Iftikhar Arif

61.3K
Favorite

SORT BY

mirā ḳhush-ḳhirām balā tez-ḳhirām thā

mirī zindagī se chalā gayā to ḳhabar huī

mera KHush-KHiram bala ka tez-KHiram tha

meri zindagi se chala gaya to KHabar hui

miTTī gavāhī se baḌī dil gavāhī

yuuñ ho to ye zanjīr ye zindāñ bhī mirā hai

miTTi ki gawahi se baDi dil ki gawahi

yun ho to ye zanjir ye zindan bhi mera hai

duniyā badal rahī hai zamāne ke saath saath

ab roz roz dekhne vaalā kahāñ se laa.eñ

duniya badal rahi hai zamane ke sath sath

ab roz roz dekhne wala kahan se laen

ḳhvāb tarah bikhar jaane ko chāhtā hai

aisī tanhā.ī ki mar jaane ko chāhtā hai

KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai

aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai

sub.h savere ran paḌnā hai aur ghamsān ran

rātoñ raat chalā jaa.e jis ko jaanā hai

subh sawere ran paDna hai aur ghamsan ka ran

raaton raat chala jae jis ko jaana hai

duā ko haat uThāte hue laraztā huuñ

kabhī duā nahīñ māñgī thī maañ ke hote hue

dua ko hat uThate hue larazta hun

kabhi dua nahin mangi thi man ke hote hue

jo Dūbtī jaatī hai vo kashtī bhī hai merī

jo TūTtā jaatā hai vo paimāñ bhī mirā hai

jo Dubti jati hai wo kashti bhi hai meri

jo TuTta jata hai wo paiman bhi mera hai

mire ḳhudā mujhe itnā to mo'tabar kar de

maiñ jis makān meñ rahtā huuñ us ko ghar kar de

mere KHuda mujhe itna to mo'tabar kar de

main jis makan mein rahta hun us ko ghar kar de

kareñ to kis se kareñ nā-rasā.iyoñ gila

safar tamām huā ham-safar nahīñ aayā

karen to kis se karen na-rasaiyon ka gila

safar tamam hua ham-safar nahin aaya

munhadim hotā chalā jaatā hai dil sāl-ba-sāl

aisā lagtā hai girah ab ke baras TūTtī hai

munhadim hota chala jata hai dil sal-ba-sal

aisa lagta hai girah ab ke baras TuTti hai

sipāh-e-shām ke neze pe āftāb sar

kis ehtimām se parvar-digār-e-shab niklā

sipah-e-sham ke neze pe aaftab ka sar

kis ehtimam se parwar-digar-e-shab nikla

samundar ke kināre ek bastī ro rahī hai

maiñ itnī duur huuñ aur mujh ko vahshat ho rahī hai

samundar ke kinare ek basti ro rahi hai

main itni dur hun aur mujh ko wahshat ho rahi hai

ye tere mere charāġhoñ zid jahāñ se chalī

vahīñ kahīñ se ilāqa havā lagtā hai

ye tere mere charaghon ki zid jahan se chali

wahin kahin se ilaqa hawa ka lagta hai

mansab na kulāh chāhtā huuñ

tanhā huuñ gavāh chāhtā huuñ

mansab na kulah chahta hun

tanha hun gawah chahta hun

yahī lahja thā ki me.ār-e-suḳhan Thahrā thā

ab isī lahja-e-be-bāk se ḳhauf aatā hai

yahi lahja tha ki mear-e-suKHan Thahra tha

ab isi lahja-e-be-bak se KHauf aata hai

sab log apne apne qabīloñ ke saath the

ik maiñ thā ki koī bhī lashkar mirā na thā

sab log apne apne qabilon ke sath the

ek main hi tha ki koi bhi lashkar mera na tha

umīd-o-bīm ke mehvar se haT ke dekhte haiñ

zarā der ko duniyā se kaT ke dekhte haiñ

umid-o-bim ke mehwar se haT ke dekhte hain

zara si der ko duniya se kaT ke dekhte hain

vo ham nahīñ the to phir kaun thā sar-e-bāzār

jo kah rahā thā ki biknā hameñ gavārā nahīñ

wo hum nahin the to phir kaun tha sar-e-bazar

jo kah raha tha ki bikna hamein gawara nahin

dil un ke saath magar teġh aur shaḳhs ke saath

ye silsila bhī kuchh ahl-e-riyā lagtā hai

dil un ke sath magar tegh aur shaKHs ke sath

ye silsila bhi kuchh ahl-e-riya ka lagta hai

maiñ jis ko ek umr sambhāle phirā kiyā

miTTī batā rahī hai vo paikar mirā na thā

main jis ko ek umr sambhaale phira kiya

miTTi bata rahi hai wo paikar mera na tha

ajab tarah hai mausam ki ḳhaak uḌtī hai

vo din bhī the ki khile the gulāb āñkhoñ meñ

ajab tarah ka hai mausam ki KHak uDti hai

wo din bhi the ki khile the gulab aankhon mein

dayār-e-nūr meñ tīra-shaboñ sāthī ho

koī to ho jo mirī vahshatoñ sāthī ho

dayar-e-nur mein tira-shabon ka sathi ho

koi to ho jo meri wahshaton ka sathi ho

maiñ zindagī duā māñgne lagā huuñ bahut

jo ho sake to duāoñ ko be-asar kar de

main zindagi ki dua mangne laga hun bahut

jo ho sake to duaon ko be-asar kar de

bahut mushkil zamānoñ meñ bhī ham ahl-e-mohabbat

vafā par ishq buniyād rakhnā chāhte haiñ

bahut mushkil zamanon mein bhi hum ahl-e-mohabbat

wafa par ishq ki buniyaad rakhna chahte hain

vahī charāġh bujhā jis lau qayāmat thī

usī pe zarb paḌī jo shajar purānā thā

wahi charagh bujha jis ki lau qayamat thi

usi pe zarb paDi jo shajar purana tha

ḳhaak meñ daulat-e-pindār-o-anā miltī hai

apnī miTTī se bichhaḌne sazā miltī hai

KHak mein daulat-e-pindar-o-ana milti hai

apni miTTi se bichhaDne ki saza milti hai

ḳhazāna-e-zar-o-gauhar pe ḳhaak Daal ke rakh

ham ahl-e-mehr-o-mohabbat haiñ dil nikāl ke rakh

KHazana-e-zar-o-gauhar pe KHak Dal ke rakh

hum ahl-e-mehr-o-mohabbat hain dil nikal ke rakh

is baar bhī duniyā ne hadaf ham ko banāyā

is baar to ham shah ke musāhib bhī nahīñ the

is bar bhi duniya ne hadaf hum ko banaya

is bar to hum shah ke musahib bhi nahin the

kahānī meñ na.e kirdār shāmil ho ga.e haiñ

nahīñ ma.alūm ab kis Dhab tamāshā ḳhatm hogā

kahani mein nae kirdar shamil ho gae hain

nahin malum ab kis Dhab tamasha KHatm hoga

ye bastī jaanī pahchānī bahut hai

yahāñ va.adoñ arzānī bahut hai

ye basti jaani pahchani bahut hai

yahan wadon ki arzani bahut hai

ajiib thā mire daur-e-gumrahī rafīq

bichhaḌ gayā to kabhī lauT kar nahīñ aayā

ajib hi tha mere daur-e-gumrahi ka rafiq

bichhaD gaya to kabhi lauT kar nahin aaya

ye bastiyāñ haiñ ki maqtal duā kiye jaa.eñ

duā ke din haiñ musalsal duā kiye jaa.eñ

ye bastiyan hain ki maqtal dua kiye jaen

dua ke din hain musalsal dua kiye jaen

vafā ke baab meñ kār-e-suḳhan tamām huā

mirī zamīn pe ik ma.arka lahū bhī ho

wafa ke bab mein kar-e-suKHan tamam hua

meri zamin pe ek marka lahu ka bhi ho

miTTī mohabbat meñ ham āshufta-saroñ ne

vo qarz utāre haiñ ki vājib bhī nahīñ the

miTTi ki mohabbat mein hum aashufta-saron ne

wo qarz utare hain ki wajib bhi nahin the

ham bhī ik shaam bahut uljhe hue the ḳhud meñ

ek shaam us ko bhī hālāt ne mohlat nahīñ

hum bhi ek sham bahut uljhe hue the KHud mein

ek sham us ko bhi haalat ne mohlat nahin di

hamīñ meñ rahte haiñ vo log bhī ki jin ke sabab

zamīñ buland huī āsmāñ ke hote hue

hamin mein rahte hain wo log bhi ki jin ke sabab

zamin buland hui aasman ke hote hue

vo mere naam nisbat se mo'tabar Thahre

galī galī mirī rusvā.iyoñ sāthī ho

wo mere nam ki nisbat se mo'tabar Thahre

gali gali meri ruswaiyon ka sathi ho

javāb aa.e na aa.e savāl uThā to sahī

phir is savāl meñ pahlū na.e savāl ke rakh

jawab aae na aae sawal uTha to sahi

phir is sawal mein pahlu nae sawal ke rakh

duā.eñ yaad karā ga.ī thiiñ bachpan meñ

so zaḳhm khāte rahe aur duā diye ga.e ham

duaen yaad kara di gai thin bachpan mein

so zaKHm khate rahe aur dua diye gae hum

ham apne raftagāñ ko yaad rakhnā chāhte haiñ

diloñ ko dard se ābād rakhnā chāhte haiñ

hum apne raftagan ko yaad rakhna chahte hain

dilon ko dard se aabaad rakhna chahte hain

payambaroñ se zamīneñ vafā nahīñ kartīñ

ham aise kaun ḳhudā the ki apne ghar rahte

payambaron se zaminen wafa nahin kartin

hum aise kaun KHuda the ki apne ghar rahte

kahāñ ke naam o nasab ilm kyā fazīlat kyā

jahān-e-rizq meñ tauqīr-e-ahl-e-hājat kyā

kahan ke nam o nasab ilm kya fazilat kya

jahan-e-rizq mein tauqir-e-ahl-e-hajat kya

vo kyā manzil jahāñ se rāste aage nikal jaa.eñ

so ab phir ik safar silsila karnā paḌegā

wo kya manzil jahan se raste aage nikal jaen

so ab phir ek safar ka silsila karna paDega

Duub jā.ūñ to koī mauj nishāñ tak na batā.e

aisī naddī meñ utar jaane ko chāhtā hai

Dub jaun to koi mauj nishan tak na batae

aisi naddi mein utar jaane ko ji chahta hai

ghar vahshat se laraztā huuñ magar jaane kyuuñ

shaam hotī hai to ghar jaane ko chāhtā hai

ghar ki wahshat se larazta hun magar jaane kyun

sham hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai

yahī lau thī ki ulajhtī rahī har raat ke saath

ab ke ḳhud apnī havāoñ meñ bujhā chāhtī hai

yahi lau thi ki ulajhti rahi har raat ke sath

ab ke KHud apni hawaon mein bujha chahti hai

shikam aag liye phir rahī hai shahr-ba-shahr

sag-e-zamāna haiñ ham kyā hamārī hijrat kyā

shikam ki aag liye phir rahi hai shahr-ba-shahr

sag-e-zamana hain hum kya hamari hijrat kya

shagufta lafz likkhe rahe haiñ

magar lahjoñ meñ vīrānī bahut hai

shagufta lafz likkhe ja rahe hain

magar lahjon mein virani bahut hai

ġham-e-jahāñ ko sharmsār karne vaale kyā hue

vo saarī umr intizār karne vaale kyā hue

gham-e-jahan ko sharmsar karne wale kya hue

wo sari umr intizar karne wale kya hue

khulā fareb-e-mohabbat dikhā.ī detā hai

ajab kamāl hai us bevafā ke lahje meñ

khula fareb-e-mohabbat dikhai deta hai

ajab kamal hai us bewafa ke lahje mein

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now