Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Jigar Moradabadi's Photo'

Jigar Moradabadi

1890 - 1960 | Moradabad, India

One of the most prominent pre-modern poets who enjoyed stunning popularity and fan-following.

One of the most prominent pre-modern poets who enjoyed stunning popularity and fan-following.

Sher of Jigar Moradabadi

147.6K
Favorite

SORT BY

sunte the mohabbat āsāñ hai vallāh bahut āsāñ hai magar

is sahal meñ jo dushvārī hai vo mushkil mushkil meñ nahīñ

sunte the mohabbat aasan hai wallah bahut aasan hai magar

is sahal mein jo dushwari hai wo mushkil si mushkil mein nahin

ābād agar na dil ho to barbād kījiye

gulshan na ban sake to bayābāñ banā.iye

aabaad agar na dil ho to barbaad kijiye

gulshan na ban sake to bayaban banaiye

jise sayyād ne kuchh gul ne kuchh bulbul ne kuchh samjhā

chaman meñ kitnī mānī-ḳhez thī ik ḳhāmushī mirī

jise sayyaad ne kuchh gul ne kuchh bulbul ne kuchh samjha

chaman mein kitni mani-KHez thi ek KHamushi meri

mere dard meñ ye ḳhalish kahāñ mere soz meñ ye tapish kahāñ

kisī aur pukār hai mirī zindagī sadā nahīñ

mere dard mein ye KHalish kahan mere soz mein ye tapish kahan

kisi aur hi ki pukar hai meri zindagi ki sada nahin

dhaḌakne lagā dil nazar jhuk ga.ī

kabhī un se jab sāmnā ho gayā

dhaDakne laga dil nazar jhuk gai

kabhi un se jab samna ho gaya

āñkhoñ meñ namī hai chup chup se vo baiThe haiñ

nāzuk nigāhoñ meñ nāzuk fasāna hai

aankhon mein nami si hai chup chup se wo baiThe hain

nazuk si nigahon mein nazuk sa fasana hai

kamāl-e-tishnagī se bujhā lete haiñ pyaas apnī

isī tapte hue sahrā ko ham dariyā samajhte haiñ

kamal-e-tishnagi hi se bujha lete hain pyas apni

isi tapte hue sahra ko hum dariya samajhte hain

allāh agar taufīq na de insān ke bas kaam nahīñ

faizān-e-mohabbat aam sahī irfān-e-mohabbat aam nahīñ

allah agar taufiq na de insan ke bas ka kaam nahin

faizan-e-mohabbat aam sahi irfan-e-mohabbat aam nahin

gudāz-e-ishq nahīñ kam jo maiñ javāñ na rahā

vahī hai aag magar aag meñ dhuāñ na rahā

no longer am I young, love's passion still remains

the fire as yet burns, no smoke tho it contains

gudaz-e-ishq nahin kam jo main jawan na raha

wahi hai aag magar aag mein dhuan na raha

no longer am I young, love's passion still remains

the fire as yet burns, no smoke tho it contains

sunā hai hashr meñ har aañkh use be-parda dekhegī

mujhe Dar hai na tauhīn-e-jamāl-e-yār ho jaa.e

suna hai hashr mein har aankh use be-parda dekhegi

mujhe Dar hai na tauhin-e-jamal-e-yar ho jae

mujh ko mast-e-sharāb honā thā

mohtasib ko kabāb honā thā

mujh ko mast-e-sharab hona tha

mohtasib ko kabab hona tha

ye mai-ḳhāna hai bazm-e-jam nahīñ hai

yahāñ koī kisī se kam nahīñ hai

ye mai-KHana hai bazm-e-jam nahin hai

yahan koi kisi se kam nahin hai

gunāhgār ke dil se na bach ke chal zāhid

yahīñ kahīñ tirī jannat bhī paa.ī jaatī hai

gunahgar ke dil se na bach ke chal zahid

yahin kahin teri jannat bhi pai jati hai

na ġharaz kisī se na vāsta mujhe kaam apne kaam se

tire zikr se tirī fikr se tirī yaad se tire naam se

na gharaz kisi se na wasta mujhe kaam apne hi kaam se

tere zikr se teri fikr se teri yaad se tere nam se

vo the ḳhafā ham se ham haiñ ḳhafā un se

kal un zamāna thā aaj apnā zamānā hai

ya wo the KHafa hum se ya hum hain KHafa un se

kal un ka zamana tha aaj apna zamana hai

mujh ko nahīñ qubūl do-ālam vus.ateñ

qismat meñ kū-e-yār do-gaz zamīñ rahe

mujh ko nahin qubul do-alam ki wusaten

qismat mein ku-e-yar ki do-gaz zamin rahe

ye raaz sun rahe haiñ ik mauj-e-dil-nashīñ se

Duube haiñ ham jahāñ par ubhreñge phir vahīñ se

ye raaz sun rahe hain ek mauj-e-dil-nashin se

Dube hain hum jahan par ubhrenge phir wahin se

zabt jinheñ da.avā ishq meñ rahā aksar

haal ham ne dekhā hai beshtar ḳharāb un

zabt ka jinhen dawa ishq mein raha aksar

haal hum ne dekha hai beshtar KHarab un ka

sehn-e-chaman ko apnī bahāroñ pe naaz thā

vo aa ga.e to saarī bahāroñ pe chhā ga.e

sehn-e-chaman ko apni bahaaron pe naz tha

wo aa gae to sari bahaaron pe chha gae

idhar se bhī hai sivā kuchh udhar majbūrī

ki ham ne aah to un se aah bhī na huī

idhar se bhi hai siwa kuchh udhar ki majburi

ki hum ne aah to ki un se aah bhi na hui

tire jamāl tasvīr khīñch duuñ lekin

zabāñ meñ aañkh nahīñ aañkh meñ zabān nahīñ

tere jamal ki taswir khinch dun lekin

zaban mein aankh nahin aankh mein zaban nahin

aap ke dushman raheñ vaqf-e-ḳhalish sarf-e-tapish

aap kyuuñ ġham-ḳhvārī-e-bīmār-e-hijrāñ kījiye

aap ke dushman rahen waqf-e-KHalish sarf-e-tapish

aap kyun gham-KHwari-e-bimar-e-hijran kijiye

sab pe mehrbān hai pyāre

kuchh hamārā bhī dhyān hai pyāre

sab pe tu mehrban hai pyare

kuchh hamara bhi dhyan hai pyare

kabhī un mad-bharī āñkhoñ se piyā thā ik jaam

aaj tak hosh nahīñ hosh nahīñ hosh nahīñ

kabhi un mad-bhari aankhon se piya tha ek jam

aaj tak hosh nahin hosh nahin hosh nahin

itne hijāboñ par to ye aalam hai husn

kyā haal ho jo dekh leñ parda uThā ke ham

itne hijabon par to ye aalam hai husn ka

kya haal ho jo dekh len parda uTha ke hum

aisā kahāñ bahār meñ rañgīniyoñ josh

shāmil kisī ḳhūn-e-tamannā zarūr thā

aisa kahan bahaar mein ranginiyon ka josh

shamil kisi ka KHun-e-tamanna zarur tha

ek dil hai aur tūfān-e-havādis ai 'jigar'

ek shīsha hai ki har patthar se Takrātā huuñ maiñ

ek dil hai aur tufan-e-hawadis ai 'jigar'

ek shisha hai ki har patthar se Takraata hun main

terī āñkhoñ kuchh qusūr nahīñ

haañ mujhī ko ḳharāb honā thā

teri aankhon ka kuchh qusur nahin

han mujhi ko KHarab hona tha

barābar se bach kar guzar jaane vaale

ye naale nahīñ be-asar jaane vaale

barabar se bach kar guzar jaane wale

ye nale nahin be-asar jaane wale

ahbāb mujh se qat-e-ta.alluq kareñ 'jigar'

ab āftāb-e-zīst lab-e-bām aa gayā

ahbab mujh se qat-e-talluq karen 'jigar'

ab aaftab-e-zist lab-e-baam aa gaya

kyā ḳhabar thī ḳhalish-e-nāz na jiine degī

ye tirī pyaar āvāz na jiine degī

kya KHabar thi KHalish-e-naz na jine degi

ye teri pyar ki aawaz na jine degi

laboñ pe mauj-e-tabassum nigah meñ barq-e-ġhazab

koī batā.e ye andāz-e-barhamī kyā hai

labon pe mauj-e-tabassum nigah mein barq-e-ghazab

koi batae ye andaz-e-barhami kya hai

un jo farz hai vo ahl-e-siyāsat jāneñ

merā paiġhām mohabbat hai jahāñ tak pahuñche

un ka jo farz hai wo ahl-e-siyasat jaanen

mera paigham mohabbat hai jahan tak pahunche

dil gayā raunaq-e-hayāt ga.ī

ġham gayā saarī kā.enāt ga.ī

dil gaya raunaq-e-hayat gai

gham gaya sari kaenat gai

mirī zindagī to guzrī tire hijr ke sahāre

mirī maut ko bhī pyāre koī chāhiye bahāna

meri zindagi to guzri tere hijr ke sahaare

meri maut ko bhi pyare koi chahiye bahana

huuñ ḳhatā-kār siyāhkār gunahgār magar

kis ko baḳhshe tirī rahmat jo gunahgār na ho

hun KHata-kar siyahkar gunahgar magar

kis ko baKHshe teri rahmat jo gunahgar na ho

kidhar se barq chamaktī hai dekheñ ai vaa.iz

maiñ apnā jaam uThātā huuñ kitāb uThā

where does lightening strike, priest, let us look

I will raise my glass you raise your holy book

kidhar se barq chamakti hai dekhen ai waiz

main apna jam uThata hun tu kitab uTha

where does lightening strike, priest, let us look

I will raise my glass you raise your holy book

aadmī ke paas sab kuchh hai magar

ek tanhā ādamiyyat nahīñ

aadmi ke pas sab kuchh hai magar

ek tanha aadamiyyat hi nahin

mujhī meñ rahe mujh se mastūr ho kar

bahut paas nikle bahut duur ho kar

mujhi mein rahe mujh se mastur ho kar

bahut pas nikle bahut dur ho kar

mire rashk-e-be-nihāyat ko na pūchh mere dil se

tujhe tujh se bhī chhupātā agar iḳhtiyār hotā

mere rashk-e-be-nihayat ko na puchh mere dil se

tujhe tujh se bhi chhupata agar iKHtiyar hota

vo ḳhalish jis se thā hañgāma-e-hastī barpā

vaqf-e-betābī-e-ḳhāmosh huī jaatī hai

wo KHalish jis se tha hangama-e-hasti barpa

waqf-e-betabi-e-KHamosh hui jati hai

hajv ne to tirā ai shaiḳh bharam khol diyā

to masjid meñ hai niyyat tirī mai-ḳhāne meñ

hajw ne to tera ai shaiKH bharam khol diya

tu to masjid mein hai niyyat teri mai-KHane mein

mohabbat sulh bhī paikār bhī hai

ye shāḳh-e-gul bhī hai talvār bhī hai

mohabbat sulh bhi paikar bhi hai

ye shaKH-e-gul bhi hai talwar bhi hai

kuchh is adā se aaj vo pahlū-nashīñ rahe

jab tak hamāre paas rahe ham nahīñ rahe

she was in my embrace

I myself was lost as long she stayed with me

kuchh is ada se aaj wo pahlu-nashin rahe

jab tak hamare pas rahe hum nahin rahe

she was in my embrace

I myself was lost as long she stayed with me

dil hai qadmoñ par kisī ke sar jhukā ho na ho

bandagī to apnī fitrat hai ḳhudā ho na ho

dil hai qadmon par kisi ke sar jhuka ho ya na ho

bandagi to apni fitrat hai KHuda ho ya na ho

ātish-e-ishq vo jahannam hai

jis meñ firdaus ke nazāre haiñ

aatish-e-ishq wo jahannam hai

jis mein firdaus ke nazare hain

merī barbādiyāñ durust magar

batā kyā tujhe savāb huā

meri barbaadiyan durust magar

tu bata kya tujhe sawab hua

duniyā ke sitam yaad na apnī vafā yaad

ab mujh ko nahīñ kuchh bhī mohabbat ke sivā yaad

duniya ke sitam yaad na apni hi wafa yaad

ab mujh ko nahin kuchh bhi mohabbat ke siwa yaad

ham ne siine se lagāyā dil na apnā ban sakā

muskurā kar tum ne dekhā dil tumhārā ho gayā

hum ne sine se lagaya dil na apna ban saka

muskura kar tum ne dekha dil tumhaara ho gaya

jahl-e-ḳhirad ne din ye dikhā.e

ghaT ga.e insāñ baḌh ga.e saa.e

jahl-e-KHirad ne din ye dikhae

ghaT gae insan baDh gae sae

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now