hai mohabbat is vatan se apnī miTTī se hameñ
is liye apnā kareñge jaan-o-tan qurbān ham
miTTī kī mohabbat meñ ham āshufta-saroñ ne
vo qarz utāre haiñ ki vājib bhī nahīñ the
vatan kī pāsbānī jaan-o-īmāñ se bhī afzal hai
maiñ apne mulk kī ḳhātir kafan bhī saath rakhtā huuñ
dil se niklegī na mar kar bhī vatan kī ulfat
merī miTTī se bhī ḳhushbū-e-vafā aa.egī
tan-man miTā.e jaao tum naam-e-qaumiyat par
raah-e-vatan par apnī jāneñ laḌā.e jaao
vatan kī ret zarā eḌiyāñ ragaḌne de
mujhe yaqīñ hai ki paanī yahīñ se niklegā
vatan kī ḳhaak se mar kar bhī ham ko uns baaqī hai
mazā dāmān-e-mādar kā hai is miTTī ke dāman meñ
ḳhuuñ shahīdān-e-vatan kā rang lā kar hī rahā
aaj ye jannat-nishāñ hindostāñ āzād hai
lahū vatan ke shahīdoñ kā rang laayā hai
uchhal rahā hai zamāne meñ naam-e-āzādī
ai ahl-e-vatan shaam-o-sahar jāgte rahnā
aġhyār haiñ āmāda-e-shar jāgte rahnā
diloñ meñ hubb-e-vatan hai agar to ek raho
nikhārnā ye chaman hai agar to ek raho
vatan ke jaañ-nisār haiñ vatan ke kaam ā.eñge
ham is zamīñ ko ek roz āsmāñ banā.eñge
us mulk kī sarhad ko koī chhū nahīñ saktā
jis mulk kī sarhad kī nigahbān haiñ āñkheñ
maz.hab nahīñ sikhātā aapas meñ bair rakhnā
hindī haiñ ham vatan hai hindostāñ hamārā
jannat kī zindagī hai jis kī fazā meñ jiinā
merā vatan vahī hai merā vatan vahī hai
na pūchho ham-safaro mujh se mājrā-e-vatan
vatan hai mujh pe fidā aur maiñ fidā-e-vatan
kārvāñ jin kā luTā raah meñ āzādī kī
qaum kā mulk kā un dard ke māroñ ko salām
vo hindī naujavāñ ya.anī alam-bardār-e-āzādī
vatan kī pāsbāñ vo teġh-e-jauhar-daar-e-āzādī
kyā karishma hai mire jazba-e-āzādī kā
thī jo dīvār kabhī ab hai vo dar kī sūrat